Thursday, November 15, 2012

Aaj ki shab to kisi tau guzar jayegi

Aaj ki shab to kisi tau guzar jayegi
Raat gehri hai
magar
chaand chamakta hai abhi
Mere maathe pe tera pyar
damakta hai abhi
Meri saanson mein, tera
lums mahekta hai abhi
Mere seene mein tera
naam dharakta hai abhi
Zeest karne ko, mere paas
bahot kuchh hai abhi
Teri aawaz ka jaadu hai
abhi mere liye
Tere malboos ki, khushbu
hai abhi mere liye
Teri baahein tera
pehlu hai abhi mere liye
Sab se barhkar, meri jaan
tu hai abhi mere liye
Zeest karne ko mere paas
bahot kuchh hai abhi
Aaj ki shab to kisi taur
guzar jaayegi
Aaj ke baad magar rang e wafaa kya hoga
Ishq hairaan hai sare
shaher e saba kya hoga
Mere qaatil tera andaaz e
jafaa kya hoga
Aaj ki shab to bahot kuchh hai magar kal ke
liye Ek andesha e benaam hai aur kuchh bhi nahin
Dekhna ye hai ke kal tujh se mulaqaat ke baad
Rang e ummeed khilega
ke bikhar jaayega
Waqt parwaaz karega ke thaher jaayega
Jeet ho jaayegi ya khel bigar jaayega
Khwaab ka shaher rahega
ke ujar jaayega...