Monday, April 25, 2016

Paheli...

Meri mohabat
aik un'kahi paheli
jisay bojhne ki aas main 
main jal gai saheli
magar
paheli na suljhi
rahi main akaili....

Khobsurat....

Meray dil ki dharkan main
Tumhara nam shamil hay
Tumhari chah hay mujhko
Tum meri mohabat ho
Zindagi khobsurat ho
Tum bhi khobsurat ho

Teray Bina....

Jiyain kaisay bina teray
Abhi to theek say hum ko sambhalna bhi nahi aata
Abhi to apni ankhain hum ko perhna bhi nahi aata
Abhi hum saans laite hain to dil bojhal sa hota hay
ZARA SOCHO....!
Zara tum soch ker khud apne dil se is qadr pocho
Tumhare saath honay se ajab ye haal hay mera
AGR TUM CHOR JAO GAY....!
Tou kia ye zindagi aik moat se berh k nahi hogi?

Tumne.....

Main...
Jaise ik veeran sur zameen
sadyon se jo dhoop maik dehak rahi thi
Tumne us per haryali bonay ki jasarut ki hay
Tumhari ahsaas ki thundi bondon ne
Mujh main jazb ho ker
meri zerkhaizi ko berha dia hay
bohat jald main bhi
kuch khushnuma phool 
tumhain paish karongi...

Mashwara....

TUM
shehad se bani 
aik larki ho...
Main
namak se bana howa
aik admi hun
mere qareeb mat ao
talkhi k nar'gay main aker
Tum apna zaiqa
kho betho gi

Sunday, April 24, 2016

Meri jaan ho tum....

Kon ho tum
meray intizaar ki rahat ho tum
meray dil ki chahat ho tum
tum ho to ye duniya hay
main kesay kahon k meray liye kya ho tum?
Chalo main bataon kia ho tum
choo ker jo guzar jaye wo hawa ho tum
Maine jo mangi wo dua ho tum
Karay mujhko roshan wo dia ho tum
fiza main mehekti ik sham ho tum
pyar main chalakta jaam ho tum
Meri zindagi ka dosra nam ho tum
Meri bujhti zindagi ki sans ho tum
Phir
kesay na kahon 
MERI JAAN HO TUM :)

Azaad nazam....

Tujhse 
mulaqat ki arzoo bhi nahi
Teray bicharnay ka malal bhi nahi
Laikin ae jaan e tamana.....
Ae meri rooh k musafir....
Tujhse milnay k liye
hum her sarhad ko aboor ker saktay hain
baar baar khud ko mita ker tujhay
apnana chahte hain 
magar
ghumon aur dukhon ki 
in bhatki howi rahon main 
HUM
tanha reh gaye hain....

Wo akser mujhse kehta tha....

Wo akser mujhse kehta tha
Tujhay apna bana'onga
Mujhay tumse mohabat hay
logon ko bata'onga
wo akser mujhse kehta tha
wafa zaat hay aurat ki
magar
jo mard hotay hain
bohat be durd hotay hain
kisi jugnu ki sorat
gulon se khushbo loat laitay hain....!
Suno.....!
Tumko qasam meri
riwayat tor dena tum
na tanha chor ker jana
na ye dil tor ker jana
magar...
Phir youn howa
Mujhay anjan raste per 
akaila chor ker us ne
Mera dil tor ker us ne
Mohabat chor di usne
Wafa hay zaat aurat ki
Riwayat tor di usne...

Tuesday, April 19, 2016

Loat Ao...

Banjer ankhon main
Sapnon ki nadya sookh chali
rokhay hontt, sookhay gaal
Hijr ki musafaton k bojh taalay dabay
Chup k kinaray pay khare hain
Be umeed raston ko takti ankhain
Baraf hota badan, intezar main teray
Pather hon ay ko hay sajan
Loat ao k hamari 
sanson ki muddat kam hay....

Main aur TUM....

Main aur Tum.....!
 nudya k do kinary hain
jo hamaisha saath chalte hain
magar
kabhi mil nhi saktay
main aur tum..... 

Sunday, April 17, 2016

Waday kab wafa hotay hain???

Usay na paya to kia karo gay
Bayan to karo gay haal dil ro k tum
aur tumhare rone pay wo muskuraya 
TO KIA KARO GAY?
hawa ka jadu
gulon ki khushboo
bikhar rahi hay , her soo
Usne anay ka wada nahi nibhaya...
TOU KIA KARO GAY?

Baat...

Mohabat main usay mana laina
koi mushkil nahi tha
per ab baat mohabat ki nahi
anah ki thi....

Faisla...

Tum mujhay yaad na aya karo
jo yaad jeenay na day
wo baat jo sonay na day
wo khayal jo rooh per giraan guzray
wo ahsaas  jo ankh nam ker day
wo khushboo jo dil baizaar ker day
wo sub he talluk jo tum say juray hain
Main in sub ko bhool jana chahti hon
Main TUMHAIN bhool jana chahti hon

(aur main tumhain btaon keh main roz ye faisla ker k ye baat he bhool jati hon)

Akhir kyoon.....??

Lafzon k aisay teer chalay k jalta raha badan
Kia kya hay? bata dijiye ? kia hay mera jurm
Main nay to her kisi k liye aanso piye hain khoon k
Phir kyoon daldul ki teh main dhanstay ja rahay hain hum
Jaan say bhi jin ko azeez jana maine
WO KYOON ? meri khushyon main hanstay hain itna kam?
Itni azmaishon main kati hay maine zindagi
Dil hogaya hay khali aur ankhain meri hain nam
Umr bhar ki khushyon ko koi meri jholi main dal day
Kon hay aisa yahan aur kis me hay itna dam?


Raas ai hay...

Parinda to nahi hay ye
jo ur ker
phir kisi tehni pe ja bethay
ye mera dil hay aur isko
yehi shaakh e guraizaan raas aye hy...