Wednesday, August 30, 2017

Hawa ziddi bohat hay....

Hawa ziddi bohat hay
Shaakh pe ik phool tak rehne nahi deti
Rawish pe khaak urati hay tou 
uski dhool tak rehne nahi deti

Hawa ki zidd pe ...
Shaakhain kab tak khushboo sambhalain ge
Keh
Phool ki mehekti patyon ki,,,naram o nazuk si ragain
Hawa k khurdaray hathon se ch'hil  jain
Tou mausam sard per jaye
Hawa zidd pe jo arr jaye
Tou paidon ki jarain mitti ki teh main...toot jati hain
sambhalo sans ka resham...
Keh 
Awara hawa k tund khu jhonkay se choo jain 
Tou apas me jurri sansain bhi akser toot jati hain
Sambhalo apne saaye ko
Keh
Apas main bicharnay ki yehi rut hay
Hawa ziddi bohat hay

Tuesday, August 29, 2017

Abhi likhain tou kia likhain.....??

Her ik janib udaasi hay
Abhi sochain tou kia sochain...?
her aik suuu, huu ka aalam hay
Abhi bolain tou kia bolain...?
Her ik insan pather hay

Abhi dharkain tou kia dharkain...?
Fiza pe neend tarri hay
Abhi jagain tou kia jagain ....?
Her aik maktal ki sheh rug say
Lahu ki leher jari hay
Abhi dekhain tou kia dekhain...?
her aik insaan ka saaya
Abhi mitti pe bhaari hay
Abhi likhain tou kia likhain...?

Ahtiyaat...

Ye tumhain bata dun main
Chahaton k rishte main 
phir giraah nahi lagti.

Lag bhi jaye tou usme, wo kashish nahi rehti
Aik pheka pheka sa, rabta tou hota hay, tazgi nahi rehti 
Rooh k talluq main roshni nahi milti
baat wo nahi rehti, dosti nahi rehti
Lakh bar mil ker bhi dil nahi milte
Zehan k jharoko main, yaad k dareechon main
Titliyon k rangon main phool nahi khilte
Is liye main kehta hon
Is terha ki baton main ahtiyaat kerte hain
Is terha ki baton se ijtinaab kerte hain

Sunday, August 13, 2017

Khuda he na chahay tou.....

Khuda he na chahay tou kia theek honge...
Naseeb admi k bigar jane walay
Bhalay lakh ro ro k faryad kijiye
Kahan lot'tay hain bichar jane walay

Tuesday, August 8, 2017

Jane kia kuch raakh howa....

Mohabat ki aur itni ki
keh
Humne apna
Sub kuch tum per waar dia


Nafrat ki aur itni ki 
Keh
Humne apni 
nus nus main zeher utar diya

Is tuk o do main 
Jal ker sajan

Jane kia kuch raakh howa

Per itna hay.....

APNE ANDER HUMNE TUM KO MAAR DIA ......

Tum is durd se...

Tum is durd se guzre ho na?
wo rut, jisme jal jati hain ankhain
Tum per bhi guzri hay

wo shab, jo metab se tapkay
ansoo ansoo, shabnam shabnam, wo shab
mujh per bhi utri hay

wo din, jab ghariyaan so jain
lamhay pather k ho jain
wo din tum nay bhi kata hay
wo din maine bhi kata hay

dono k jismon , rooh'on main
yaksan dukh ka sana'ta hay
phir kyoon mujhse poochty ho tum?

Meri palkain kyoon purnam hain?
Akhir mujhko, konse gham hain ?
TUM IS DURD SE GUZRAY HO NA???

Saturday, May 6, 2017

Nafrat...

Nafrat kisko kehte hain?
Nafrat kesi hoti hay?
Jahan khamosh ho zuban
Aur 
Ankhain lahu bolti 
Nafrat isko kehte hain
Nafrat aesi hoti hay

Be'Khabar...

Wo bholi, sabz ankhain
jo duniya se anjaan hain...
Nahi janti
Kisi ki zeest ka 
sara saman hain....

Khuda se....

Main pazeerai k aadaab se waqif hun
magar
Ab k baras meray ghar
ya to 
Barsaat aye
ya
Meri tanhai....

Thursday, April 20, 2017

Magar Tum bhool bethi ho...

Mujhay ye yaad rehta hay...
Mujhay tum bhool bethi ho...
Mujhay to yaad hay ab tak
Kahan pehlay milay thay hum...
howi thi guftugu kia kia??
Tumhe nay to bataya tha...
Mujhay ye aasman aur parinday
achay lagte hain...
Mra bhi kerta hay ye jee
parindon ki terha urti...
magar hon main aik qaidi
aur ik majboor c larki...

Mujhay tumne bataya tha...
Mujhay saawan k mausam main
udaasi ghair leti hay...
Agar ho hamsafar koi
tou is saawan k mausam main 
bohat he door tak jana...
Palat ker bheegte ana
Mujhay tou acha lagta hay...

Mujhay tou Yaad hay ab tak
Kaai saawan k mausam
Ik dojay ki qurbat main guzare thay....

Bhari barsat main hum dor tak
Aik saath chalte thay
Murree k sard mausam main
WQ coffee ki garam piyali
Wo chilghozay
Wo alghozay ki piyari dhun

Mujhay sab yaad hay 
LAIKIN
Tumhain bhi yaad kuch hota
to hum bhi guftugu kertay...

Gaye guzre zamanon ki 
Mohabat k taranon ki
MAGAR TUM BHOOL BETHI HO>>>
MAGAR TUM BHOOL BETHI HO>>>

Raat ki baarish....!!!

Kisi matrooq raaste per
bohat din bad
koi chal k aye tou
bikharte khushk ptton k neechay
sisaktay hain
ye pichlay mausmoon ka ishq
kesa ishq hota hay
september k mahine sa
Na is may garam joshi hay
Na is may sard mohri hay
Na kho denay ka dharkaa sa
ye pichlay mausamoo ka ishq
jesay raat ki baarish
jo chupkay se baras jaye
Zamin dil ko nam kerday....

Roak lo...

Abhi kuch saa'atain baqi hain
Abhi kuch lamhay hain baqi
raat ki hatheli per
Agar wo chala gaye tou
Zindagi gehray neelay paaniyon main
doob jayegi
Chand rooth jayega
Chandni mar jayegi
Abhi kuch lamhay hain baqi 
Zindagi ki dastaras main
USAY roak lo...

Nad'di...

Pather se takra k aati nad'di say pocho
kesi kesi mushkil tu nay raah may kaati hay
raasta ziada mushkil tha ye pather bhari thay
phir bhi tu ne jagah jagah haryali banti hay
phool khilain aur panchi gaien sur se behti jaye
Aik he teri taal dewani Aik he laey per gaaey
raasta chaltay rahi dekhain teray alherpaan ko
seedh saadhi tu na chalay pe moar pe tu lehraye
nad'di kinare rehnae walon iski chah nirali
us k dam se phool phulwari aur bari haryali
uska pani thanda youn sangeet madhur matwali
us se dor na jaye 
jisne peeli peet ki pyass... 

Loat Aoo...

Banjer ankhon main
sapno ki nadya sookh chali
rokhay hont,  sokhay gaal
hijr ki musafaton k bojh talay dabay
chup k kinaron pe khare hain
be-umeed raston ko takti ankhain 
baraf hota badan intizar may teray
pather hone ko hay sajan
Loat aoo
hamari sanson ki muddat kam hay....

Teray piyar ka pehla mausam....!

Teray piyar ka pehla mausam
piyar ka mausam
Visal ka mausam
Ik muddat tak yaad raha

Baqi mausam bhool gaye....!!!

Tumhare liye...

Tumhain kia maloom???
Mohabbat
Aur 
Judai
Kia hoti hay dost???

Shayad he samajh sako

Taaras gaya hun
Tumhare liye....