Wednesday, August 30, 2017

Hawa ziddi bohat hay....

Hawa ziddi bohat hay
Shaakh pe ik phool tak rehne nahi deti
Rawish pe khaak urati hay tou 
uski dhool tak rehne nahi deti

Hawa ki zidd pe ...
Shaakhain kab tak khushboo sambhalain ge
Keh
Phool ki mehekti patyon ki,,,naram o nazuk si ragain
Hawa k khurdaray hathon se ch'hil  jain
Tou mausam sard per jaye
Hawa zidd pe jo arr jaye
Tou paidon ki jarain mitti ki teh main...toot jati hain
sambhalo sans ka resham...
Keh 
Awara hawa k tund khu jhonkay se choo jain 
Tou apas me jurri sansain bhi akser toot jati hain
Sambhalo apne saaye ko
Keh
Apas main bicharnay ki yehi rut hay
Hawa ziddi bohat hay

Tuesday, August 29, 2017

Abhi likhain tou kia likhain.....??

Her ik janib udaasi hay
Abhi sochain tou kia sochain...?
her aik suuu, huu ka aalam hay
Abhi bolain tou kia bolain...?
Her ik insan pather hay

Abhi dharkain tou kia dharkain...?
Fiza pe neend tarri hay
Abhi jagain tou kia jagain ....?
Her aik maktal ki sheh rug say
Lahu ki leher jari hay
Abhi dekhain tou kia dekhain...?
her aik insaan ka saaya
Abhi mitti pe bhaari hay
Abhi likhain tou kia likhain...?

Ahtiyaat...

Ye tumhain bata dun main
Chahaton k rishte main 
phir giraah nahi lagti.

Lag bhi jaye tou usme, wo kashish nahi rehti
Aik pheka pheka sa, rabta tou hota hay, tazgi nahi rehti 
Rooh k talluq main roshni nahi milti
baat wo nahi rehti, dosti nahi rehti
Lakh bar mil ker bhi dil nahi milte
Zehan k jharoko main, yaad k dareechon main
Titliyon k rangon main phool nahi khilte
Is liye main kehta hon
Is terha ki baton main ahtiyaat kerte hain
Is terha ki baton se ijtinaab kerte hain

Sunday, August 13, 2017

Khuda he na chahay tou.....

Khuda he na chahay tou kia theek honge...
Naseeb admi k bigar jane walay
Bhalay lakh ro ro k faryad kijiye
Kahan lot'tay hain bichar jane walay

Tuesday, August 8, 2017

Jane kia kuch raakh howa....

Mohabat ki aur itni ki
keh
Humne apna
Sub kuch tum per waar dia


Nafrat ki aur itni ki 
Keh
Humne apni 
nus nus main zeher utar diya

Is tuk o do main 
Jal ker sajan

Jane kia kuch raakh howa

Per itna hay.....

APNE ANDER HUMNE TUM KO MAAR DIA ......

Tum is durd se...

Tum is durd se guzre ho na?
wo rut, jisme jal jati hain ankhain
Tum per bhi guzri hay

wo shab, jo metab se tapkay
ansoo ansoo, shabnam shabnam, wo shab
mujh per bhi utri hay

wo din, jab ghariyaan so jain
lamhay pather k ho jain
wo din tum nay bhi kata hay
wo din maine bhi kata hay

dono k jismon , rooh'on main
yaksan dukh ka sana'ta hay
phir kyoon mujhse poochty ho tum?

Meri palkain kyoon purnam hain?
Akhir mujhko, konse gham hain ?
TUM IS DURD SE GUZRAY HO NA???