Wednesday, July 11, 2012

Mujhe Tasleem Hai Hamdam...

Mujhe Tasleem Hai Hamdam
Yanhan Jeewan K Rastay Pe
Jawani Jab Bhi Khilti Hai
To Ik Selaab Ki Surat
Kai Jazbay Machalte Hain
Tasawwur Mein Har Ik Janib Hazaroon Phool Khilte Hain
Kisi Ko Chahne Ki Hasrat Dil Mein Jaag Uthti Hai
Hazaroon Saal Se Soi Hui Murawwat Jaag Uthti Hai
Phir Ase Mein Tabiat Par Ajab Mahool Hota Hai
Magar Zahir Iraadon Par Ana Ka Khool Hota Hai
Kabhi Mehfil Mein Bethay Hi Kisi Sapnay Mein Khoo Jana
Kabhi Apne Khayaloon Mein Kisi Ka Khud Se Ho Jana
Kisi Ki God Mein Yun Rakh K Sar Khamosh Ho Jana
Magar Hamdam Hamesha Yaad Rakhna
Faqat Ik Chahne Se Kuch Nahi Milta
Muhabbat Naam Ka Yeh Phool Yak Tarfa Nahi Khilta
Dunya E Ulfat Ki Yeh Derina Riwayat Hai
K Chahat Rakhne Waloon Par Hazaroon Gham Baraste Hain
Aur Ase Mein Woh Jeewan Ki Musarrat Ko Taraste Hain
Mere Hamdam Jo Kabhi Apne Jeewan Mein
Muhabbat Ka Irada Ho To Mera Mashwara Yeh Hai
K Is Pur Pech Rastay Par Sada Halaat Se Darna
Aur Is Ka Sab Se Behtar Hal Yeh Hi Hai K
Muhabbat Jab Bhi Karni Ho
To Apne Aap Se Karna