Sunday, December 13, 2015

Bas Ankhain yaad hain uski....


wo meri table se zra sa door kharra tha or…
chand qadam agay barha to..
dhadkanain youn taiz huin
jese k jaray k mosam main 
barish bondain holay holay taiz hoti  hon’
woh na janay kia keh raha tha 
main kuch bhi sun nahi paai…
kioun k ….
mainy be dehani main 
uski ankhon me ik lamhay ko dekha tha
or phir…
meri ankhain uski nain jheelon main
is tarah doobi k jese
ek qatra kahin gehray samandar me….

wo holay holay se sabhi kuch keh raha tha magar!
wo bhi....
qatra qatra meri ankhon main dooba ja raha tha...
wo ye janta tha k..
main kuch  bhi sun nahi paai..
magar wo ye nahi jaanta tha k ....
ussay kuch or kehna tha magar wo…
kuch or keh raha tha…

wo phir  yakdam 
zara sa hosh main aaker
seerhiyan charhnay laga..
wo dheeray dheeray pair rakhta or…
aik anjaan se muskurahat se 
meri aankhon ko takta tha
han wohi ankhain jo 
jhappak kar dekhna bhi bhool bethi thi…

wo ja chukka…
magar ab tak ....
meri palkein nahi jhapkeen....
main sab kuch bhool bethi hoon...
haan magar ...!!
Bus ankhain yaad hain uski.......