Tuesday, October 11, 2016

Sirf hont larzay thay....

Main ajj bhi taptay sehra main
tanha nangay paon
Is k intizaar main khari hon...
Jisne jate howay
ujlat main
koi ehad o paiman bhi na kia....
Sirf palat ker
IK lamhay k liye itna pocha tha
TUMHAIN MUJHSE MOHABAT HAY?
Meray honton pe aa ker lafz
jam se gaye thay....
Sirf hont larzay thay...
Ye keh ker wo chala gaya...
TUM LARKI NAHI BARAF HO...
Jab se ab tak
jalte sehra main
honton pe tehray howay munjamid lafzon k 
pighalne ka intizaar ker rahi hon...

Zindagi....

Koi lamha
aisa gulaab ho...
koi lamha
aisa aseer ho...
Ye jo
TERE MERE HAY DARMIYAAN
na koi
riazaaton ki zanjeer ho
Teri her khushi
Teri her ada
Meri zindagi ki tehreer ho...

Saturday, June 25, 2016

Kaanch ki aurat k liye....

Zeest k kathin raastay 
paich o khum ye jevan k 
kaanch ka ho paiker tum
aur...
aassab ahin k 
apnay ghar k angan se
hosla lia tumne
wo jo kehna asan hay
wo jo kerna mushkil hay
jo kaha, kia tumne
rakh k paon suraj pe
chand choo lia tumne

Apne Aaap se aik sawal....???

Ajj bethay bethaye aik tasveeer
apne maazi ki post ki maine
Daikh ker usko facebook pay kisi
ajnabi dost ne comment kia
"JAB TUM ITNI HE KHOBSURAT THEIN
KAASH HUM TAB TUMHAIN MILAY HOTAY"
Aur
Main bethi sochti hon ab
"MAIN BHI KYA TAB USAY MILI HOTI"

Wednesday, May 25, 2016

Rishta.....

Hum dono thay
Ik dojay ki
Ulfat ka dum bharne wale
Saath hamara aisa tha
K jese jism aur sayaa dono
Lazim aur mulzoom
Laikin
Ajj na jane tumne
Kyoon mujhse
Wo sare natay rishtay tor liye hain
Youn lagta hay
Jesay Tu tha Soraj
Aur main raat
DONO BAHUM KAISE REHTE?

Mashwaraa....

Tum
Shehad se bani
ik larki ho

Main
namak se bana howa
Aik admi hun..

Meray qareeb mat aoo

Talkhi k narghey main aker
Tum
Apna zaiqa kho bethogi...

Wednesday, May 18, 2016

Alvida....

Tumne jate samay
Humko dekha nahi
Ik zara si nigaah
Hum pe daali nahi
Sans khamosh ki

ALVIDA
bus kaha

Aur 
So bhi gaye....

Salgiraah ka wo samah....

Yaad to hoga tumhain
Salgiraah ka wo sama
logon ki mubarakain, 
hans rahay thay hum wahan
khilay howe thay log sab
na koi chehra tha dhuwaan
Muskurate log saray 
duaon k hajoom may
Apnay tohfay de rahay thay
In  k sare tohfay jannah
Thay to behad qeemti
Per
Dil ko mere bhai thi
Maila lot lai thi
Wo phool ki nazuk kali

Tumne de thi jo mujhay
Wo balon main meray sajji


Veeran bohat hon....

Veeran bohat hun
visaal se tashkeel de mujhay

Tu pyar ker mujhay
Zara tabdeel ker mujhay

Sehra ki tapti rait se
Tu aa ker mujhay bacha le

Tu thanday meethay pani ki
Aik jheel ker mujhay

Ho jain na kharab meri aadatain
Her hukm per na is terha tameel ker mujhay

Chor ker mera wajood tajalli si bakhsh de

Main aik andhairi raat hon 
qandeel ker mujhay

Friday, May 13, 2016

Chanchal larki....

Chanchal shokh saloni larki
baton baton
rangon ki bochaar main bheegay 
mausam mausam
qaus e khizan k kapray pehne
aatay jate
pholon k rukhsaar ko choomay
uthtay bethtay
jazbon k jhoole main jholay
phaila her so shauq samunder
peeng berha k jhoolay amber
chanchal shokh saloni larki
jo tera man chahe kerlay

Agle ghar main 
tujh per khul ker
ronay ki pabandi hogi....

Monday, April 25, 2016

Paheli...

Meri mohabat
aik un'kahi paheli
jisay bojhne ki aas main 
main jal gai saheli
magar
paheli na suljhi
rahi main akaili....

Khobsurat....

Meray dil ki dharkan main
Tumhara nam shamil hay
Tumhari chah hay mujhko
Tum meri mohabat ho
Zindagi khobsurat ho
Tum bhi khobsurat ho

Teray Bina....

Jiyain kaisay bina teray
Abhi to theek say hum ko sambhalna bhi nahi aata
Abhi to apni ankhain hum ko perhna bhi nahi aata
Abhi hum saans laite hain to dil bojhal sa hota hay
ZARA SOCHO....!
Zara tum soch ker khud apne dil se is qadr pocho
Tumhare saath honay se ajab ye haal hay mera
AGR TUM CHOR JAO GAY....!
Tou kia ye zindagi aik moat se berh k nahi hogi?

Tumne.....

Main...
Jaise ik veeran sur zameen
sadyon se jo dhoop maik dehak rahi thi
Tumne us per haryali bonay ki jasarut ki hay
Tumhari ahsaas ki thundi bondon ne
Mujh main jazb ho ker
meri zerkhaizi ko berha dia hay
bohat jald main bhi
kuch khushnuma phool 
tumhain paish karongi...

Mashwara....

TUM
shehad se bani 
aik larki ho...
Main
namak se bana howa
aik admi hun
mere qareeb mat ao
talkhi k nar'gay main aker
Tum apna zaiqa
kho betho gi

Sunday, April 24, 2016

Meri jaan ho tum....

Kon ho tum
meray intizaar ki rahat ho tum
meray dil ki chahat ho tum
tum ho to ye duniya hay
main kesay kahon k meray liye kya ho tum?
Chalo main bataon kia ho tum
choo ker jo guzar jaye wo hawa ho tum
Maine jo mangi wo dua ho tum
Karay mujhko roshan wo dia ho tum
fiza main mehekti ik sham ho tum
pyar main chalakta jaam ho tum
Meri zindagi ka dosra nam ho tum
Meri bujhti zindagi ki sans ho tum
Phir
kesay na kahon 
MERI JAAN HO TUM :)

Azaad nazam....

Tujhse 
mulaqat ki arzoo bhi nahi
Teray bicharnay ka malal bhi nahi
Laikin ae jaan e tamana.....
Ae meri rooh k musafir....
Tujhse milnay k liye
hum her sarhad ko aboor ker saktay hain
baar baar khud ko mita ker tujhay
apnana chahte hain 
magar
ghumon aur dukhon ki 
in bhatki howi rahon main 
HUM
tanha reh gaye hain....

Wo akser mujhse kehta tha....

Wo akser mujhse kehta tha
Tujhay apna bana'onga
Mujhay tumse mohabat hay
logon ko bata'onga
wo akser mujhse kehta tha
wafa zaat hay aurat ki
magar
jo mard hotay hain
bohat be durd hotay hain
kisi jugnu ki sorat
gulon se khushbo loat laitay hain....!
Suno.....!
Tumko qasam meri
riwayat tor dena tum
na tanha chor ker jana
na ye dil tor ker jana
magar...
Phir youn howa
Mujhay anjan raste per 
akaila chor ker us ne
Mera dil tor ker us ne
Mohabat chor di usne
Wafa hay zaat aurat ki
Riwayat tor di usne...

Tuesday, April 19, 2016

Loat Ao...

Banjer ankhon main
Sapnon ki nadya sookh chali
rokhay hontt, sookhay gaal
Hijr ki musafaton k bojh taalay dabay
Chup k kinaray pay khare hain
Be umeed raston ko takti ankhain
Baraf hota badan, intezar main teray
Pather hon ay ko hay sajan
Loat ao k hamari 
sanson ki muddat kam hay....

Main aur TUM....

Main aur Tum.....!
 nudya k do kinary hain
jo hamaisha saath chalte hain
magar
kabhi mil nhi saktay
main aur tum..... 

Sunday, April 17, 2016

Waday kab wafa hotay hain???

Usay na paya to kia karo gay
Bayan to karo gay haal dil ro k tum
aur tumhare rone pay wo muskuraya 
TO KIA KARO GAY?
hawa ka jadu
gulon ki khushboo
bikhar rahi hay , her soo
Usne anay ka wada nahi nibhaya...
TOU KIA KARO GAY?

Baat...

Mohabat main usay mana laina
koi mushkil nahi tha
per ab baat mohabat ki nahi
anah ki thi....

Faisla...

Tum mujhay yaad na aya karo
jo yaad jeenay na day
wo baat jo sonay na day
wo khayal jo rooh per giraan guzray
wo ahsaas  jo ankh nam ker day
wo khushboo jo dil baizaar ker day
wo sub he talluk jo tum say juray hain
Main in sub ko bhool jana chahti hon
Main TUMHAIN bhool jana chahti hon

(aur main tumhain btaon keh main roz ye faisla ker k ye baat he bhool jati hon)

Akhir kyoon.....??

Lafzon k aisay teer chalay k jalta raha badan
Kia kya hay? bata dijiye ? kia hay mera jurm
Main nay to her kisi k liye aanso piye hain khoon k
Phir kyoon daldul ki teh main dhanstay ja rahay hain hum
Jaan say bhi jin ko azeez jana maine
WO KYOON ? meri khushyon main hanstay hain itna kam?
Itni azmaishon main kati hay maine zindagi
Dil hogaya hay khali aur ankhain meri hain nam
Umr bhar ki khushyon ko koi meri jholi main dal day
Kon hay aisa yahan aur kis me hay itna dam?


Raas ai hay...

Parinda to nahi hay ye
jo ur ker
phir kisi tehni pe ja bethay
ye mera dil hay aur isko
yehi shaakh e guraizaan raas aye hy...

Monday, March 7, 2016

Khobsurat....

Meray dil ki darkhan main
Tumhara naam shamil hay
Tumhari chah hay mujhko
Tum meri mohabat ho
Zindagi khobsurat hay
Tum bhi khobsurat ho...

Paheli....

Meri mohabat 
Ik un kahi paheli
Jisay bojhne ki aas main
Main jal gai saheli
Magar
Paheli na suljhi
Rahi main Akeli...

Teray Bina....

Jiyain kesay bina teray...
Abhi to theek say hum ko sambhalna bhi nahi aata...
Abhi to apni ankhain humko perhna bhi nahi aata...
Abhi hum saans laitay hain to dil bojhal sa hota hay...
Zara Socho...!!!
Zara tum soch ker khud apnay dil se is qadr pocho...
Tumharay saath honay se ajab ye haal hay mera...
Agar TUM chore jao gay....
Tou kya ye zindagi ik moat se berh ker nahi hogi....

Tumharay liye...

Tumhain kia maloom?
Mohabat aur judai 
Kia hoti hay dost...
Shayad he samajh sako...
Taras gaya hon 
Tumharay liye....

Saturday, January 16, 2016

میرے اندر سانس لینا چھوڑ دے

میرے اندر سانس لینا چھوڑ دے
اے اداسی! میرا پیچھا چھوڑ دے

چاند کیا آنگن میں اترا ہے کبھی
سن مری جاں یہ تمنا چھوڑ دے

اُس کی پلکوں پہ کوئی خواب سجا رہنے دے

اُس کی پلکوں پہ کوئی خواب سجا رہنے دے
حبس بڑھ جائے گا اِس در کو کھلا رہنے دے

میرے مالک تو بھلے چھین لے گویائی میری
میرے ہونٹوں پہ فقط ایک دعا رہنے دے

یہی ہوا ناں

یہی ہوا ناں 

کہ تم نے مجھ کو بھلا دیا ہے
جو نقشِ الفت تمہارے دل پہ کھدا ہوا تھا
اُسے کھرچ کے مٹا دیا ہے
مجھے خبر ہے

اتنی گزارش ہے



سنو
اتنی گزارش ہے

کہ جب یہ نام تیرا نام میرا جڑ نہیں سکتا
تو اپنے نام کے سنگ نام جوڑا مت کر کوئی

مجھے تم کیا بتاؤ گی؟؟؟

مجھے تم کیا بتاؤ گی؟؟؟

کہ جب سے مجھ سے بچھڑی ہو
بہت بےچین رہتی ہو
مری باتیں ستاتی ہیں 
مرے لفظوں کے جگنو!
ایک پل اوجھل نہیں ہوتے
مری نظمیں رُلاتی ہیں 
مری آنکھیں جگاتی ہیں 

مجھے تم کیا بتاؤ گی ۔۔


کہ تم نے بارہا اُن اجنبی چہروں کے جنگل میں 
مرے چہرے کو ڈھونڈا ہے
کسی مانوس لہجے پر
کسی مانوس آہٹ پر
پلٹ کر ایسے دیکھا ہے
کہ جیسے تم میری موجودگی محسوس کرتی ہو!

مجھے تم کیا بتاؤ گی!

کہ کتنی شبنمی شامیں 
ٹہلتے، سوچتے گزریں 
کہ کتنی چاندنی راتیں 
دُعائیں مانگتے گزریں 
کہ کتنے اشک ایسے تھے
جو گِرتے ہی رہے دل میں 

مجھے تم کیا بتاؤ گی ۔۔

مری جاں ! میں سمجھتا ہوں 
تمھاری اَن کہی باتیں 
کہ میں ان موسموں کے ایک اک رستے سے گزرا ہوں 
میں اب بھی لفظ چُنتا ہوں 
میں اب بھی اشک بُنتا ہوں 
کہ جب سے تم سے بچھڑا ہوں 
تمھاری ذات پر گزرے
میں ہر موسم میں رہتا ہوں 
تو پھر تم کیا سناؤ گی؟؟؟
مجھے تم کیا بتاؤ گی؟؟؟

مجھے تم سے محبت ہے

وہ رنگوں میں ڈھلی لڑکی 

کبھی جب بات کرتی ہے
تو اس کے لفظ خوشبو کی طرح محسوس ہوتے ہیں 
وہ ہنستی ہے تو جیسے سارا عالم اس ہنسی میں ڈوب جاتا ہے

وہ لب اس کے، وہ آنکھیں اور وہ چہرے کی شادابی
کہ جیسے اپسرا کوئی
وہ میرا نام لیتی ہے تو میری روح میں جیسے نشہ سا اک اُترتا ہے
مرا مَن جھوم اٹھتا ہے
وہ رنگوں میں *ڈھلی لڑکی
جھکائے اپنی پلکوں کو کبھی مجھ سے جو کہتی ہے
مجھے تم سے محبت ہے
تو اس کا شرمگیں لہجہ، یقیں مجھ کو دلاتا ہے کہ دُنیا خوبصورت ہے
وہ رنگوں میں ڈھلی لڑکی
اُداسی کے گھنے سایوں کو جب بھی اوڑھ لیتی ہے
مرا دل خون روتا ہے
میں اس کی شربتی آنکھوں کے نم سے بھیگ جاتا ہوں 
وہ رنگوں میں ڈھلی لڑکی
جسے مجھ سے محبت ہے
مرا اظہار سنتی ہے تو پھر سب بھول جاتی ہے
جھکائے اپنی پلکوں کو وہ ایسے مسکراتی ہے
کہ جیسے اپسرا کوئی
وہ رنگوں میں ڈھلی لڑکی
مرے لفظوں میں رہتی ہے
مجھے اکثر یہ کہتی ہے
مجھے تم سے محبت ہے