Monday, April 23, 2012

Khamoshi Say Bikharna Aa Gia Hay....

Khamoshi Say Bikharna Aa Gia Hay,
hamin Ab Khud Ujarna Aa Gia Hay,
kisi Ko Baywafa Kehtay Nahi Hum,
hamin Bhi Ab Badalna Aa Gia Hay,
kisi Ki Yad Main Rotay Nahi Hain,
hamin Chupchaap Jalna Aa Gia Hay,
gulaboon Ko Tum Apnay Pass Rakho,
hamin Kaanton Pay chalna Aa gia Hay.

Hum Jo Toote To Is Tarah Toote...

Hum Jo Toote To Is Tarah Toote
Jaise Hathon Se Girr K Pathar Pe
Koi Shafaaf Aaiina Toote
Jaise Palkon Se Toot Tha Aansoo
Jaise Seene Main Ik Kamaan Toote
Jaise Umeed Ki Nazuk Daali
Barg Mosam Main Na Gahaan Toote
Jaise Aankhon Main Khwab Ki Doori
Waqt E Takmeel Se Ulajh Jaye
Jaise Pairon Tale Zameeen Nikle
Jaise Sar Par Yeh Aasmaan Toote
Jaise Ik Shaakh Pe Bharosa Kia
Is Pe Jitne Thay Aashiyaan Toote
Jaise Wehshat Se Hosh Aa Jaye
Jaise Ta Dair Main Dheyaan Toote
Ab Jo Raiza Howay To Sochte Hain
Kis Nay Dekha Tha Tootna Apna
Hum Jo Toote To Raayegaan Toote

Tumhin kis nay kaha pagli...

Tumhin kis nay kaha pagli
mujhay tum yaad aati ho
bohat khush faham ho tum bhi
tumharai khush gumani hai
meeri ankhon ki surkhi main
tumhari yaad ka matlab???????
meeray shab bhar kay jagnay main
tumharay khwaab ka matlab???
yah ankhien to hameesha say hi
meri surkh rehti hain
tumhin malom hi hoga
is shahar ki faza kitni aloda hai
tu yah sozish,,ussi fizza kay bayes hai
tumhin kis nay kaha pagli
ka main shab bhar nhin sota
mujhay is nokri kay sab jhameelon say
kabhi fursat milay to tab hai na
meeri baaton main larzash hai???
main aksar kho sa jata hon??
tumhin kis nay kaha pagli
mohabbat kay ilawa aur bhi to dard hotay hain
fikar-e-muaash,sukh ki tlaash,
aisay aur bhi gham hain
aur tum
un sab ghamon kay baad aati ho
tumhin kis nay kaha pagali
mujhay tum yaad aati ho
yah dunya walay pagal hain
zara si baat ko yah to afsaana samjhtay hain
mujhay ab bhi yah pagal tera dewana samjhaty hain
tumhin kis nay kaha pagli!!!
magar shyed!!!!!!!
magar shyed main jhhota hon
main raiza raiza toota hon

Sab log ye mujh say kehte hain....

Sab log ye mujh say kehte hain
nazmo say ishq khuda jesa
ghazlo main kaif udhaasi ka
kis dost nay tum ko sonpa hai
mera ik jawab hamesha say
ik shakhs shehar mai aea tha
kuch roz woh mere sath raha
mughe lehje kay amrat ras main
is nay kuch esa rang dia
har nazuk dil moh lene ka
mere lafzo ko ahang dia
phir soch kay tane bane main
uljha kar mugh ko chor ghia
kuch din say us ki yaad yunhi
is dil par dastak deti hai
aur pao main zanjeer pari
kab hum ko jane deti hai
kabh dil main us ki aas nehi
ye baat alag woh pas nehi

Barishon ke mosum mai....

Barishon ke mosum mai
Dil buhat machalta hai
Tere sang chalny ko
Tuj se baat karny ko
Teri baat sunany ko
Dil buhat machalta hai
Dil ko kaisy samjain
hum ko zindagi bhar ab
Barishoon ke mausam main
bheegna bhi hai tanha
Aur tanha chalna hia
Dil ko kaisy samjain
Barishoon ke mausam mian
Tuj ko yaad karna hai

Mujhay acha sa lagta hai...

Mujhay acha sa lagta hai
Tumharay sung sung chalna
Wafa ki aag main jalna
Tumhain naraz kar daina
Kabhi khud bhi roth jana
Tumhari berukhi pe bhi
Tumhari aarzoo karna
Khud apnay dil ki dharkan say
Tumhari guftugo karna
Mujhay acha sa lagta hai
Bohat acha sa lagta hai
Tum hi ko daikhtay rehna
Tum he ki sochtay rehna
Bohat gehray khayalon main
Jawabon main sawalon main
Mohabbat kay hawalon main
Tumhara naam aa jana
Mujhay acha sa lagta hai…

kuch yaden hen un lamhon ki....

kuch yaden hen un lamhon ki
jin lamhon men hum sath rahey
khushion sey bharey jazbaat rahey
ek umar guzari hai hum ney
jahan roothey hue b hanstey thy
kuch kehtey thy kuch suntey thy
hum roz subha jab miltey thy
tau sab k chehrey khiltey thy
pur lutaf wo manzar hota tha
sab mil k baten kartey thy
hum soch k kitna hanstey thy
wo goonj hamarey hansney ki
ab ek purani yaad bani
ye baten hen un lamhon ki
jin lamhon men hum sath rahey ...

Kabhi waqat miley tau aa jao...

Kabhi waqat miley tau aa jao
hum jheel kinarey ja bethen
tum apney sukh ki baat karo
hum apney dukh ki baat karen
aur un lamhon ki baat karen
jo sung tumharey beet gae
aur ehdey khizaan ki nazar huey
in sabaz ruton k daman men
hum piyaar ki khushboo mehkaain
in bikhrey sabz nazaron ko
hm ankhon men tasveer karen
phir apney piyar k jadoo sey
hum lamhon ko jageer karen
kabhi waqat miley tau aajao
hum jheel kinarey ja bethen

Aankhon Main Baaqi Reh Gaye....

Aankhon Main Baaqi Reh Gaye, Ab Teray Khad-o-Khaal Se
Lub Pe Hain Kuch Sawal Se, Dil Main Hain Kuch Malaal Se
Tu Jo Gaya To Yuun Laga, Tanha Hoon Kainaat Main
Raatain Thaki Thaki Meri, Din Bhi Meray Nidhaal Se
Itne Qareeb Hoon Teray, Rasta Na Wehem Ko Milay
So‘un Teray Hisaar Main, Jagoon Teray Jamal Se
Mujh Ko Hain Kaam Aur Bhi, Kuch To Karo Mera Khayal
Aatay Ho Jab Khayal Main, Jatay Nahi Khayal Se
Tujh Si Hasee‘n Ghazal Koi, Mujh Sa Ghazal Sara Koi
Dunia Main Ho Ager Kaheen, Waazeh Karo Misaal Se
Uss Se Gila Ay Dosto, Itna Sa Hai Ke Wo Mujhe
Samjha Nahi Hai Aaj Tak, Ghaafil Hai Meray Haal Se .

Ek to teri awaaz yaad aayegi....

Ek to teri awaaz yaad aayegi,
Teri kahi hui har baat yaad aayegi,
Din dhal jaayega raat yaad aayegi,
Har lamha pehli mulaqaat yaad aayegi,
Kabhi hansti, kabhi roti, kabhi muskurati,
Yeh zindgi tere bin bhi kat jaayegi,
Par kuchh kami is mein bhi to reh jayegi,
Dil ko tadpaayegi kabhi tarssayegi,
Har lamha teri yaad aa jayegi.

Mujhay maujazoN pay yaqeeN nahiN...

Mujhay maujazoN pay yaqeeN nahiN
magar aarzoo hay kay jab qaza
mujhay bazm-e-dehr say lay chalay
to phir aik baar ye izn day
kay lehad say laut kay aa sakooN
teray dar pay aa kay sada karooN
tujhay ghumgusar ki ho talab
to teray huzoor maiN aa rahooN
ye na ho to soo-e-adum maiN
phir aik baar rawana hooN

Judai ke Mosam mein....

Judai ke Mosam mein
Utarti Sham se Pehlay
Meri Yak-Basta Aankho'n mein
Khamoshi Raqs krti hai
To Os ki Yad ki PayiL
Youn mere Kaam mein aa ker
Musal-sal Chan-chana-tti hai
To phir Yak-Dam Khamoshi ka
Tasal-sul Toot jata hai
Phir.... Aisey mein koi Koyal
Barey hee Qarb se KooKay
To Youn Mehsoos hota hai
Keh...
Jaisey Be-sabab koi
Kisi ko Yad krta hai......!!!

Is waqt to yoon lagta hai.....

Is waqt to yoon lagta hai ke kuch bhi nahin hai
mehtaab na sooraj na andhera na sawera
ankhon me dareechon main kisi husn ki jhalkan
aur dil ki panahon main ksii dard ka dera
mumkin hai koi weham ho mumkin hai suna ho
galion main kisi chaap ka ik akhri phhera
shakhon main khayalon ke ghane per ke shyaad
ab aake karega na koi khawab basera
ik mehar na ik bair na ik rabt na rishta
tera koi apna na paraya koi mera
manaa ke ye sunsan ghari sakht bari hai
lekin mere dil ye to faqat aik ghari hai
himmat karo jeene ko abhi umr pari hai..!!

Agar tum paas hotey...

Agar tum paas hotey
karam ki inteha kartey
tumhen palkom pe rakhtey
tumhen dil mein basatey
agar tum rooth jatey
tumhen kitna manatey
tumhari laghzishon ko bhi
hansi mein hum urra daitey
agar apni khata hoti
tau khud ko hi saza detey
magar ye sab tabhi hota
agar tum paas hotey ! ! !

Saaz-e-khamoosh...

Tu ne phir cher diya aaj mera saaz-e-khamoosh
Tu hi ab thaam ke dilkhla mera betaab kharosh
Tu ne phir yaad dilaya mera derd mujhe
Tu ne phir ker diya majboor sa majboor mujhe
Tu ne phir yaad dilayin meri batein mujhko
Meri sohbatein ,meri shamein,meri ratein mujhko
Mein ke thi khwaab,mujhe khwaab se be-khwaab kiya
Mein ke thi aab-e-sukun,aab se seemaab kiya

Mein ne khai thi qasam toot na sakne ke liye
Jaam aankhon ke bhare they na chalakne ke liye
Mein kab aati thi khayalon mein ijazat ke baghair
Mein ne socha ke mein ji loongi mohabbat ke baghair
Mein na daalungi teri raahguzar per daire
Khwah giriya karein ,kosein mujhe arman mere
Mein ne khai thi qasam tujh se gureza houngi
Teri taskeen ka ,aaram ka saman houngi
Uzn-e-hungama na doongi dil-e-mastoor ko mein
Rehne doongi dil-e-majboor hi majboor ko mein
Mein ne khai thi qasam tu ne mager yaad aaker
Saaz-e-pur derd bana daala mujhe tardpa ker
Haaye kyun yaad na kerne pe bhi tu yaad aaya
Meri aankhon se tapakne dil-e-barbaad aaya

Tu ne phir cherd diya aaj mera saaz-e-khamoosh
Tu hi ab thaam ke dikhla mera betaab kharoosh.....!!

Mohabat jheel jaisi hai....

Mohabat jheel jaisi hai
Najanay kitni gehri hai
Satah-e-aab par is ki
Talatum hai wafaon ka
Shorida lehro mai pinha
Kasak meethi judai ki
Bahut sadio say thehri hai
Mohabat jheel jaisi hai
Najanay kitni gehri hai
Mohabat dard meetha hai
Shajar rug rug mai phaila hai
Jawan rut mai umangon ka
Narm ehsaas phaila hai
Mohabat barg ki manind
Barasti hai makanon par
Maakan b wo jinhay
Zindan banaya hai zamanay nay
Mohabat kaif ban kar phir
Utarti hai rag-o-pay mai
Tu dil takrar karta hai
Yehi ik rut sunehri hai
Mohabat jheel jaisi hai
Najanay kitni gehri hai

Zindagi k safar main....

Zindagi k safar main koi
rasta nhi deta....
zameen vakif nhi banti.,
falak saaya nhi deta.......
udaasi jin ki kismat ho
usse ki neend urtihai....
kisi ko apni ankhon sy koi sapna nhi deta...........
uthana khud hi parta hai
thaka hara badan apna
k jab tak saans chalti hai
koi kandha nhi deta............

Aankh ka sara dhoka hai...

Phir shab e tanhai mein
dil ka koocha
yaad se abad hua hai
rastoon ki dhool aaj
qadmoon se mere lipti hai
aankh mein kuch
benaam sa paani tahra hai
aag k shooloon mein
narsaai ki tamaash pahli
zehan k aaine mein
dhudla sa naksh ubrah hai
haath ki lakeeroon mein
kuch tabdeeli lagti hai
ya phir…………..
aankh ka sara dhoka hai