Monday, April 23, 2012

Mujhay acha sa lagta hai...

Mujhay acha sa lagta hai
Tumharay sung sung chalna
Wafa ki aag main jalna
Tumhain naraz kar daina
Kabhi khud bhi roth jana
Tumhari berukhi pe bhi
Tumhari aarzoo karna
Khud apnay dil ki dharkan say
Tumhari guftugo karna
Mujhay acha sa lagta hai
Bohat acha sa lagta hai
Tum hi ko daikhtay rehna
Tum he ki sochtay rehna
Bohat gehray khayalon main
Jawabon main sawalon main
Mohabbat kay hawalon main
Tumhara naam aa jana
Mujhay acha sa lagta hai…