Monday, April 23, 2012

Saaz-e-khamoosh...

Tu ne phir cher diya aaj mera saaz-e-khamoosh
Tu hi ab thaam ke dilkhla mera betaab kharosh
Tu ne phir yaad dilaya mera derd mujhe
Tu ne phir ker diya majboor sa majboor mujhe
Tu ne phir yaad dilayin meri batein mujhko
Meri sohbatein ,meri shamein,meri ratein mujhko
Mein ke thi khwaab,mujhe khwaab se be-khwaab kiya
Mein ke thi aab-e-sukun,aab se seemaab kiya

Mein ne khai thi qasam toot na sakne ke liye
Jaam aankhon ke bhare they na chalakne ke liye
Mein kab aati thi khayalon mein ijazat ke baghair
Mein ne socha ke mein ji loongi mohabbat ke baghair
Mein na daalungi teri raahguzar per daire
Khwah giriya karein ,kosein mujhe arman mere
Mein ne khai thi qasam tujh se gureza houngi
Teri taskeen ka ,aaram ka saman houngi
Uzn-e-hungama na doongi dil-e-mastoor ko mein
Rehne doongi dil-e-majboor hi majboor ko mein
Mein ne khai thi qasam tu ne mager yaad aaker
Saaz-e-pur derd bana daala mujhe tardpa ker
Haaye kyun yaad na kerne pe bhi tu yaad aaya
Meri aankhon se tapakne dil-e-barbaad aaya

Tu ne phir cherd diya aaj mera saaz-e-khamoosh
Tu hi ab thaam ke dikhla mera betaab kharoosh.....!!