Tumhein kitna yeh bola tha
K meri zindage mein is terha shamil nahin hona
Jub aankhein subha ko kholoon pukaroon naam mein tera
Kabhi jub aaeina dekhoon
Tumhara aqks meri aankh ki putlee mein jum jae
Khushi mujh ko milay koi
Tumhara saath mein dhoondoon
Dukhoon mein bhi yehi chahoon k meray pass bus tum ho
Tumhein kitna yeh bola tha
Mujhay baadal say, barish say muhabbat hay humesha say
Maggar tum nay muhabbat ko junoon mein kiun badul dala
Mein ab barish k mousam mein tum hi ko dhoondta kiun hoon?
Inhee soochoon mein bheega hoon mein tunha bheegta kiun hoon?
Tumhein kitna yeh bola tha
Meri aadat nahin badlo
Meri khatir nahin badlo
Maggar tum nay badul dala
Mera sub kuch badul dala
Mein ab jo khud ko tukta hoon mujhay tum yaad aati ho
Tumhein kitna yeh bola tha mujhay tum yaad mat ana
K tum ko bhoolna waisay hi meray bus say baahir hay
Mujhay jub yaad aati ho to yeh mehsoos hota hay
Mujhay tum yaad kerti ho
Tumhein kitna yeh bola tha mujhay tum yaad mat kerna
Mujhay tum yaad mat ana
Meri is zindage mein is terha shamil nahin hona
Tumhein kitna yeh bola tha
Wo rungoon mein dhalli lerki
Kabhi jub baat kerti hay
To us k lafz khushbu ki terha mehsoos hotay hein
Wo hansti hay to jaisay sara aalum us haansi mein doob jata hay
Wo lub us k wo aankhein aur wo chehray ki shadaabi
K jaisay apsaraa koi
Wo mera naam laiti hay to meri rooh mein jaisay nasha uterta hay
Mera mun jhoom uthta hay
Wo rungoon mein dhalli lerki
Jhukaae apni palkoon ko kabhi woh mujh say jo kehti hay
Mujhay tum say muhabbat hay
To is ka shermageen lehja yaqeen mujh ko dilata hay k dunya khubsorat hay
Wo rungoon mein dhalli lerki
Udaasi k saayoon ko jub bhi oorh laiti hay
Mera dil khoon roota hay
Mein us ki sharbatti aankhoon ki num say bheeg jata hoon
Wo rungoon mein dhalli lerki
Jissay mujh say muhabbat hay
Mera izhaar sunnti hay to sub bhool jati hay
Jhukaae apni palkoon ko wo aisay mukurati hay
k jaisay apsara koi
Wo rungoon mein dhallli lerki
Meray lafzoon mein rehti hay
mujhay aksar yeh kehti hay
Mujhay tum say muhabbat hay!