Monday, June 25, 2012

Us ko kho kr To Mere Pas Raha Kuch Bhi Nahi...

Ab To Hathon Se Lakerein Bhi Miti Jati Hain,
Us ko kho kr To Mere Pas Raha Kuch Bhi Nahi,

Kal Bicharna Hai To Phir Ehad-e-Wafa Soch K Bandh,
Abi Aagaz-e-Muhabbat Hai Gea Kuch Bhi Nahi,

Me To Is Waste Chup Ho K Tamasha Na Bane,
Tu Samajta Hai Muje Tujh Se Gila Kuch Bhi Nahi.


Sochta Ho K Wo Kitne Masoom Thay,
Kya Se Kya Ho Gaye Dekhte Dekhte,
Me Ne Pathar Se Jin Ko Banaya Sanam,
Woh Khuda Ho Gaye Dekhte Dekhte.

Jin Pathron Ko Hum Ne Atta Ki Dharkanein,
Woh Bolne Lage To Hum Hi Par Baras Pare.

Mere Hathon Se Tarashe Howe Pathar K Sanam,
Mere Hi Samne Bagwan Bane Bethe Hain.

Hashar Hai Wo Hashart e Dil Ki Aawargi,
Hum Se Pocho Muhabbat Ki Dewangi,
Jo Pata Pochte Thay Kisi Ka Kabi,
La-Pata Ho Gaye Dekhte Dekhte.

Hum Se Ye Soch Kar Koi Wada Karo,
Aek Wade Par Umrain Guzar Jayein Gi,
Ye Hai Duniya Yaha Kitne Ehad-e-Wafa,
Bewafa Ho Gaye Dekhte Dekhte.

Din Chup Geya Soraj Ka Kahi Naam Nahi Hai,
O Wada Shikan Ab Bhi Teri Sham Nahi Hai.

Kal Se Be-Kal Hon, Bhala Khak Muje Kal Aaye,
Kal Ka Wada Tha, Na Wo Kal Aaye Na Aaj Aaye.

Roz Ka Intazar Kon Kare?
Aap Ka Etabar Kon Kare?

Ho Chuka Wada k Kab Aayiye Ga,
Dekhiye Ab Na Bhol Jayiye Ga.

Bhala Koi Wada Khilafi Ki Had Hai,
Hisab Apne Dil Par laga kar To Socho,
Qayamat Ka Din Aa Geya Rafta Rafta,
Mulaqat Ka Din Badalte Badalte.

Gair Ki Baat Tasleem Kya Kijiye,
Ab To Khud Par Bhi Hum Ko Bharosa Nahi,
Apna Saya Samajte Thay Jin Ko Kabhi,
Woh Juda Ho Gaye Dekhte Dekhte..!!