Tuesday, July 26, 2011

Na zindagi mili na wafa mili...

Na zindagi mili na wafa mili,
Na jaane kyu har khushi
Humse khafa rehti hai,
Jhuthi muskaan ke pichhe
Hum gum ko chhupate rahe,
Khush rahne ki bhi kya khoob saza mili

Dasht e Junoon....!!!

hum dasht e junuun k sodae
hum gird e safar hum naqsh e kadam
hum soz e talab hum tarz e fugaan
hum ranj e chaman hum fasl e khizaan
hum heirat o hasrat yaas o alam
hum dasht e junuun k sodae

ye dasht e junuun ye pagal pan
ye pecha kerti ruswae
ye ranj o alam ye hisn o malaal
ye nala e shab ye soz e kamaal
dil mein kahein benaam chuban
aur hadd e nazar tak tanhai
hum dasht e junuun k sodae

ab jaan humari chotay bhi
ya dasht e junuun hi thak jaye
jo roh o badan ka rishta tha
kae saal hoye wo toot gya
ab dil ka dharakna ruk jaye
ab saans ki dori tootay bhi
hum dasht e junuun k sodae...!

jO Udaas hAin Teray Hijr Mein

wO Rah e Wafa Kii Saleeb Par dO Qadam Uthaaney Ka ShUkriya
Bara Pur Khatar Tha Yeh RaaSta Teray lOat jAney Ka ShUkriya

hAi Zamaney Bhar Ka UsOol jO wO UsOol tOo Ney NiBah Diya
Yahii Rasm Thehray Gii mOutbir mUjhey bhOol jAney Ka ShUkriya

jO Udaas hAin Teray Hijr Mein Jinhien bOjh Lagtii hAi Zindagii
Unhey Dekh Kar Sar e Bazm Mein Tera mOun ChUpaney Ka ShUkriya

mUjhey Khasta Haal Sa Dekh Kar Teray hOnt Phir Sey jO Khil Uthey
mUjhey Gham Nahii tUjhey Dekh Kar Teray mUskuraney Ka ShUkriya

Chaand kay tamanaee....

Chaand kay tamanaee
Shahar-e-dil ke galiyoon main
Shaam say bhatak'tay hain
Chaand kay taman'nai
Bay'qaraar sodaai'ee
Dil gudaaz tareekee
Jan gudaaz tunhai
Rooh-o-jaan ko dastee hai
Rooh-o-jaan mein bastee hai
Shahar-e-dil ke galiyoon main
Taak shab ke bailoon par
Shabnameen sarkashoon kee
Bay qaraar logoon nay
Bay shumaar logoon nay
Yaad'gaar choori hai
Itni baat thoori hai ??
Sud hazaar batain theen
heelaaa-e-shakeebayai
Sourtoon ke zay'bayee
Qamtoon ke ra'nayee
In sayaah ratoon main
Ik bhi na yaad aye
Ja baja bhataktay hain
Kis ke raah taktay hain
Chaand kay tamanayee
Yeh nagar kabhi pehlay
Iss qadar na vairaan tha
Kehnay wallay kehtay hain
Qaryaa nagaraan thaa
Khair apnay jeenay kaa
Yeh bhi aik samaan tha
Aaj dil mein vairaani
Aabr ban kay ghir aye..
Aaj dil ko kaya kahiyeah
Be wafa na har jayee
Phir bhee loug divaanaay
Aa gai hain samjhanay
Apni wahshaat-e-dil kay
Bun liyeah hain afsaanay
Khush khayaal duniyaa nay
Garmiyaan tu jaati hain
Woh rutaain bhi aati hain
Jab malool ratoon main
Dostoon ke batoon main
Jee na chain paye ga
Aur aoob jaye ga
A'ahatoon say gounjay gee
Shahar e dil ke punhayee
Aur chaand ratoon main
Chandini kay shaydayee
Har bahanay nikllain gay
A'azmanay niklaain gai
Dhoondhnay ko ruswayee
Sard sard ratoon ko
Zard chaand bakhshay ga
Bey hisaab tunhaii
Bey hijaaab tunhaii
Shaahar-e-dil ke gailiyoon main....!!!

Mere mehboob nama bar

Mere mehboob nama bar
unhain kehna yehi jaa ker
maraasim laakh gehrey hoon
dilon ke dil se,
phir bhi jab
miley un ko na wo chahat
k jis k khwab dekhe hoon
tou aise main phir ehl e dard
wafoor e gham se ghabra ker
dilon main chot si khaa ker
Maraasim toor detey hain
safer jis ki na manzil hoo
thakan hi jis ka haasil hoo
musaafir thak k bil aakhir
wo rastey chorr dete hain
sukoon barbaad hota hai
ye dil nashaad hota hai
ba zaahir kuch nahin kehtey
khamoshi se
saleeqey se
sanbhal ker toot jaatey hain
baseraa ker nahin saktey
kisi k dil main jab armaan
thakey panchi ki soorat phir
ye waapis lout jaatey hain
phir un ko laakh bulwaao
kiye apney peh pachtaao
mager yeh roothney waley
kabhi waapis nahin aatey
khayalon ke safer main yeh
sada pehchaan letey hain
sabhi kuch jaan letey hain
khata ko bhool janey ki
dilon main thaan letey hain
mager waapis nahin aatey
mager waapis nahin aatey

Ussay Kahna....

Ussay Kahna....
Mukammal kuch nahin hota
Milan bhi na-mukkamal hai
Judaee bhi adhoree hai
Yahan ik mout pooree hai


Ussay Kahna.....
udasee jab ragoon mein
Khoon ki manind utartee hai
Bohat Nuqsaan kartee hai


Ussay Kahna......
Bisat-e-Ishq Par jab maat hotee hai
Dukhon k shehar mein jab raat hotee hai
Mukammal buss Khuda ki zaat hotee hai

Suna hai....

suna hay aaj kal woh pareshan rehta hay
usay kehna befikar hum bhi nahe hain
suna hay woh gumsum rehta hay
usay kehna hosh main hum bhi nahe hain
suna hay woh ratoon ko jaga karta hay
usay kehna sotay hum bhi nahe hain
suna hay woh chup chup k rota hay
usay kehna hanstay hum b nahe hain
suna hay woh mujhy yaad bohat karta hay
usay kehna bhoolay hum b nahe hain
suna hay usnay wafa ka daawa kia hay
usay kehna be wafa hum bhi nahe hain

Lafzon say kya bayan karon

Lafzoon Se Kya Byaan Karun Main
Geeli palkein kah jaati hain
Tanha akeli raaton ko
Dhoondti aisa humdum ho jo
Rok dai inn barsaaton ko
Dil ki dhadhkan kahti hai aa
Thaam lei soone haathon ko
Ankhon ki zubaani sun lei
Ishq ki saari baaton ko
Lafzon se kya byaan karun main
Iss dil ke jazbaaton ko

Tum.....

Tum.....
jante ho mujy kya pasand ha?
gulab ki mehak
rat ki chandni
sham ki udasii
...november ki ratyn
aur
is nazam ka pehla LAFZ...!

Thursday, July 21, 2011

Manzil....

Yeh Dil Uskii Mohabbat sey Juda Ho ker
Dharrakna Seekh Jaey To
Najanay Kitnay Jugnoo
MUthiyoun Mein Jagmaga Uthein
Andhairy Door Hojaein
Tumharii Raah Say Bhatkain To
Manzil Par Pohunch Jaein

NOshii Gilanii

Kabhi yaad aao to is tarah

Kabhi yaad aao to is tarah

Na ujad sakain na sanwar sakain
Kabhi dil dukhao to is tarah
Na simatt sakain na bikhar sakain
kabhi bhool jao to is tarah
Kisi taur jaan se guzar sakain

Kabhi yaad aao to is tarah

Hum jo toote to is tarah toote

Hum jo toote to is tarah toote
jaise hathon se girr k pathar par
koi shafaaf aaiina toote
jaise palkon se toot tha aansoo
jaise seene main ik kamaan toote
jaise umeed ki nazuk daali
barg mosam main na gahaan toote
jaise aankhon main khwab ki doori
waqt e takmeel se ulajh jaye
jaise pairon tale zameen nikle
jaise sar par yeh asmaan toote
jaise ik shaakh pe bharosa kia
is pe jitne thay aashiyaan toote
jaise wehshat se hosh aa jaye
jaise ta dair main dheyaan toote
ab jo raiza howay to sochte hain
kis nay dekha tha tootna apna
hum jo toote to raayegaan toote

Rishtay jur nahi saktay....

Beshak tum chaley jao
mujhh ko chor kar laikin
itna yaad rakhhna keh
ye lamhey mur nahain sktey
ik baar toot jaain tou
phir.....
phir rishtey jur nahin skte......!

MuHoBBaT....

MuHoBBaT Woh Manzil Hey
Jiski TaLaasH Mein
RooH Kabhii Nahii ThakTii
Jism Thak Jata Hay

POet: Shayan Butt

!...IntiQaam...!

Uss Nay....!!
Ajeeb Intiqaam Liya...!!
Meri Neendon Se....
Dosti Kar K....!!

Expiry

Apne na khoon na haq ki zimedar
main khud hon
galti meri apni hai
paida hone se pehle
apne maushray ki
Date of expiration
dekhne bhool gayee thee!!!!

Ussay Apna Bana Lena

Ussay Apna Bana Lena
Banay Mahwer Jo Sochoon Ka..!!
Lagay Jo Ba-wafa Tujh Ko..!!
Jissay Daikhny Say Aankhoon Ko..!!
Milay Thandak Sukoo'n Dil Ko..!!
Ussay Apna Bana Lena
Mujhy Sapna Samjh Ker Tum
Suna Dena Bhulaa Dena....!!!
Aagha Nisaar

Teri Yaadain....

Zaat ki chaataanon par
Jism-o-jaan k saahil par
Aik ajab talatum hai
Aankhon ki nami dill se
Moaj ban kar milti hai
Ham to bas akele hain
Jaane kiyun teri yaadein
Foaj ban k milti hain...!!!

Khuwaish

Darya Mein Qatray Ki Soorat....!!
Ghumm Ho Jayun..!!
Apnay Aap Say Bahar Nikloon..!!
"Tum" Hoo Jayon...!!!

(Amjad Islam Amjad)

Khuwab si raat....

Woh Jo Eik Khuwab Si Raat Thi...!!
Meray Bakht Mein..!!
Yunhi Eik Pal Mein Guzar Gaye..!!
Woh Guzar Gaye Toa Patha Chala..!!
Wohi Eik Kaam Ki Cheez Thi ..!!
Meri Zindagi Ki Rakht Mein..!!

(Amjad Islam Amjad)

Yaad....

Mein tum se kuch nahin kehta
Faqat itni guzarish hai
k...
Utni baar Mil jao
K....
Jitna Yaad aate ho..!!!

UDAIK

Ek Benanwi,bemaini jahi Udaik
Dihaarri Ratein
jussey nu Trorr dii Rahndii Aey

Sayed Asif Shahkar

Tarveni

Sab pe aati hai, sab ki bari se
Maut munsif hai, kam-o-besh nahin

Zindagi sab pe kyon nahin aati?

Gulzaar

Apna, mera Naam likhna....!!!

Agr kabi Kitaab Likho
Chahato'n ke Naam likhna
Rafaqato'n ke Naam likhna
Tumhai mujh se Dosti ki
Wo pehli pehli Bat likhna
Peyaam likhna wo Dosti key
Qabooliyat ke mukaam likhna
Wo Hijer Rato'n ki Bat likhna
Wo WasL Din ki mulakat likhna
Ikhtetam-e-kitab aye to soch lena
Yad rakhna..
Aur...
Apna, mera Naam likhna....!!!

Ye mera Dil hai...

Mohabat...
Ehsaas hai Pazeb ki Chankaar nhi
Mana keh Tu YOUSUF sa Haseen hai
Lekan...
Ye mera Dil hai, MISAR ka Bazar nhi...!!!

Chand aur Tum....

Kal Rat Chaand hoo-ba-hoo tum jaisa tha
Wohi Husan..
Wohi Gharoor..
Aur
Wohi Doori....!!!

Dil ke kache angan mein....

kabhi utro yon mere dil ke kache angan mein
kisi udas mosam mein
kisi weeran lamhe mein
chupke se dabe paon
meri ankhon pe rakh do hath apne
aur hanste hoye keh do
boojh lo to hum tumhare
nahen to aap hamare!!!!

Moam ka shehar....

Jis tarah shabnam
raat k ghup andheray main
anjaani raahon par chal kar
kissi phool ki saij pe sajti hai
bilkul ussi tarah
main bhi deis, deis ka pardesi
teray naam ki surkhi ban-na chaahon
yeh jantay huwaye bhi
k subah hotay hi
yeh shaffaaf mootiyun ka shehar
baad e naseem main ghum ho jayega
aur suraj ki pehli kiran se
mom ka shehar pighal jayega,.........!!!

Pehchaan...

Ek bechain sa lamhaa
Soch ke daayere mein
Lafzon ke gird
Apni pehchaan ki talaash mein
Pehron shaklein badalta raha
Aur,
Muqammal bebasi ke
Narm haathon mein
Bekhayal si ek
Lakeer ban gaya..

Amanat....

Usko ..!!
Baray khaloos se samjhaya thaa...!!
Ye muhabbat...!!
ye chahat...!!
ye rooh..!!
ye jism...!!
ye jaan...!!
Sab kisi ki amanat hain...!!
Meray paas...........
Dainay ko kuch bhi nahi hai!!!!!!!!
Us ne khamoshi se...!!
meray behtay huay ashkon ko...!!
Apni hatheli pe saja liya.......!!
Aur ye kehta hua chal diya............
Mujhy meray jeenay ka Sahara mil gaya!!!

(Atif Saeed)

Usey Kehna ..!!

Usey Kehna ..!!
Agar Ayee Toa..!!
Saath Apnay..!!
Koi Jugnoo...
Koi Taara Bhi Lay Ayee...!!
K Mera Dil..!!
Meray Ghar Ki Tarah...!!
Tareek Rehta Hay..!!

~*~Wajah-e-Malal~*~

Runj ki baat ab yeh thehri hai
Mout k bazuon mein aa k bhi
Dil se jeene ka dar nahin jata...!!!
(Saima Ali)

Ae badal!

Ae badal!
Barsat main tu
Kis se bicharta hai
Jo is qadar tarapta hai
Aur be_tarah barasta hai

suno!!!!!

suno!!!!!
aik baat kehni thii
zara tum dhiyan se dekho
meri bekhwab ankhon mein
tumhara khwab sota hai
mujhe bedaar mat karna
usey tabiir hone tak!!!

Faraib...

Wo jise samjtey they "zindagi"
Meri dharkanon ka "faraib" tha
Mujhe muskarana sikha k
"Wo" meri rooh tak ko rula gya

Qafas e hijr...

qafas-e-hijr mein
sanson ka amal

jari to hai magar

zindagi hai kahan
dhoond raha hon

Mohabat...

Khushbakhti samajh lo
ya......
siyahbakhti keh lo
mujhe sare zamane mein
mohabbat hai to bas
tum se......

"vasvasa"

voh jald lauT aane ka de kar dilaasa
yuN hi eik din mujh se rukhsat hua tha
ab is baat ko eik muddat hui hai
na voh khud hi lauTa na peghaam bheja

tazabzub meiN ab din guzarte haiN mere
ajab vasvasa dil meiN uThne laga hai
ke umr-e-ravaaN ka yeh behta safeena
adam ke kisi ghaaT par jaa ruka to
bhala us ko kese khabar ho sake gi?

bhala us ko kese khabar ho sake gi???

Sawal Jawab...

Na mainey usko khat liikhay
na uski panaah chahii
khud apni apni jaga pay hum ko
malaal kitna ajeeb sa tha
safar akeley hi kaat logay
yeh meiney poocha to ro para woh
sawaal kitna ajeeb sa tha
jawaab kitna ajeeb sa tha

Hissab...

Woh nafraton ke sawal kar ke
mohabaton ke jawab maange
ye chaahton ki karri mushaqat
chalen hain tanha
shikast khurda
koi to mera bhi dard jaane
koi to uss se hisaab maange!!!!

Mohabat Naam hai mera...

Mohabat Naam hai mera
Agr Chaho gey tum mujh ko
Tumari saans se pehlay
Tumari Jaan ban jaon
Agr Dekho gey tum mujh ko
Tumari Aankh se pehlay
Tumara khowab ban jaon
Agr socho gey tum mujh ko
Tumaray Paaon se pelay
Tumari Raah ban jaon
Mohabat Naam hai mera
Mujhey Tum soch ke dekho...!!!

Mohabbat mein aik mashwara

Dobara us se milne ka
yaqeen rakh kar
bas apni zimedari par juda hona
mohabbat maiN bicharte dam
Khuda Hafiz nahiN kehte!!!!!!

Dasht e zulmat...

Wo kal mili to es trah thi
chamkti Aankhon main shokh jazbe
Gulab chahre per muskrahat
keh jaise chandni pighal rahi ho
magar jo boli to es trah
Lahje main thakan thi
keh jaise sadion se
dasht-e-zulmat main jal rahi ho...!!!

**KARB**

Jafa se teri seekha hai
Muhabbat kuch nahi hoti
Saway
Karb k Jana'an

(Zia Sahil)

Bicharne ki aziyat

Bicharne ki aziyat ko ager tum jaanna chaho......
Tou kuch pal ko,
Zara apni ye saans rok ker dekho,
Tumhen mehsoos ye ho ga k,
Bicharrna........
Mout jesa hai...!!!

!! Hum Hawa'on K Baroosay Pay Jeye !!

Kya Kahoon Zeest Ka Haasil Kia Hay....!!
Aik Khuwaish Thi So Khuwaish Hi Rahi...!!
Timti'maatay Hein Tamana'On Kay Deye...!!
Hum Sa Saada Bhi Na Hoga Koi....!!
Hum Hawa'on K Baroosay Pay Jeye...!!
(SaadUllah Shah)

~~ Saza ~~

La Mutnahi Tanhai
Ka Sehra
Aik Aisi Saza
Jis Ka
Koi Gunnah Nahin !

Aye KHUDAWAND!!!!

Aye KHUDAWAND!!!!
Teri hun mamnun
TU ne mujhe kitna nawaza hai
Kawishun ka meri samar bhi diya
Chahton se saja nagar bhi diya
Phool, patay, shajar bhi diya
Umr kerne ko humsafar bhi diya
Aik pyara sa mujh ko ghar bhi diya
Aur
Yeh sub cheeney jane ka mujhe ko dar bhi diya...!!!

Ikhtiar...

Wo kia Aajeb Shakhs tha,
ky Jis Ki Zaat Par !

Jab Aitbaar Barh Gaya
to
Ikhtiaar Na Raha...

Lehja ...

Wohi hai dharti,
Falak wohi hai
Ye dil samunder,
Bhanwer se naina
Yaqeen wohi hai,
Gumaan wohi hai
Ye chand or kehkashan
Wohi hai
Tumhari surat,
Tumhari murat
Tumhari baatein
Wohi hain !

Lekin ...

Buhat dinon se
Yuon lag raha hai ..
Samaton mein uter ke ..
Suraj pighal raha hai ..

Tumhara Lehja Badal Raha Hai!!

Rishta...

Tera mera rishta kesa
Is ko suljhate suljhate
Apne dil ki deewarein zakhmi ker betha hun
Rishta shayed sulajh na paye
Lekin is ko suljhane ki dhun mein
Janaa'a...!!!
Saare khawab bhula betha hun.....
Apna aap ganwa betha hun...!!!

Talaash ...

Mujhe' raayigaaN na talaash kar
MaiN safar maiN tha
MaiN safar maiN hooN
Kabhii noor-e-harf ki raah maiN
Mere' khush'shanaas ma aaooN ga
Mujhe' doosroN se talab na kar
Mujhe' khud se maaNg ke dekhna
Ma be'rang aks-e-gohar'numaa
Kaff-e-iltamaas maiN aaooN ga
Mujhe' ab tu shaoq se bhool ja
Yahi naaz kam to nahii ke maiN
Terii chaahaton ki kitaab ke
Iqtabaas maiN aaooN ge

Wo shakhs......

aik jumle mein kahon?
wo shakhs mere liye kya hai!
dua hai!!
wo shakhs...
mere liye wo dua hai
ke jis ke heele se main ne
sab kuch mangna seekha hai!!!

Dua....

Dua ke liye hath jab bhi uthaye
tamana'on ki bheer mein sab se agey
wo hi aik chehra
nigahon mein ata hai
main bhool jata hon
kya manga tha
bicharne ke dukh mein kami ya
milan ki dua....

Etaraf-e-Shikast

Jo ho skay to Bhula dena
Ranjashen Dil ki

Keh Mohabat ka Taqaza hai
Dar-Guzar karna

Tere Tarz-e-Taghaful sey kya Gila
Hamain hee nahi ata Dilon me
Ghar karna...!!!

Sunday, July 17, 2011

Meray hamsafar

Kabhi yun jo ho kisi din agar
Kabhi tu mujhey sare-e-raah miley

Mein hazaar lamhon ko khainch kar
Yeh jo chalta waqt hai baandh doon

Yeh jo gardishen hein zameen ki
Usi ik lamhey pe ruki rahain

Mein taka karoon tujhey jazb se
Yunhi pyar se yunhi ishq se
Teri her adaa ko samait loon

Mein hisaar-e-jaan mein sajaa rakhon
Na tu keh sakey , na mein keh sakon

Tu jo paas ho to mein jee sakon
Tu jo door ho na jiya karoon

Kabhi yun jo ho kisi din agar
Merey humsafar tu jo na miley

Mein hazaar dharkanon ko khainch kar
Ye jo chalta dil hai baandh doon

Ye jo silsiley hein meri saans ke
Teri doori mein hi haar doon

Tu jo paas ho to mein jee sakoon
Tu jo door ho , na jiya karoon

Kabhi yun jo ho kisi din agar
Merey hum safar tu jo na miley…!

Phir nain to saawan bante hain

jab pyaar ki rut badal jaaye
aur mohabbat rog main dhal jaaye
phir nain to saawan bante hain
jab dil ka nazuk sheesha chupke se
seene ke ander toot jaaye
aur is ki kirchiyan saare wajood ko
dheere dheere ghayel karain
phir nain to saawan bante hain
jab sheh're tamanna main
hum dil ka derd chupaaye
gali gali nagar nagar
ik teri khoj main bhatkain aur
phir tu bhi hamain na mil paaye
phir nain to saawan bante hain
jab hamare dehshat zada kamre main
teri yaadon ka ik hujoom ho
saans laine main bhi dushwari ho
sirf maat hi maat hamaari ho
neend bhi rukhsat ho
aur khuwab bhi kho jaaein
phir nain to saawan bante hain

Ye he raasta hay apna....

Kabhi Un ka Naam Lena
Kabhi Un Ki Baat Kerna
Mera Zauq Un Ki Chahat
Mera Shauq Un Pe Marna
Kabhi Chalte Chalte Thamna
Aur Tham k Beth Jana
Kabhi Larkhara k Girna
Aur Gir K Phir Sambhalna
Kabhi Raat Raat Rona
Kabhi Din Charhey Sisakna
Kabhi Darya Darya Rehna
Kabhi Boondh Ko Tarasna
Hamesha Koi Wasta Hy Apna
YEHI ZINDAGI HY APNI
YEHI RASTA HY APNA ...!!!

Kal Hum Nay Sapna Daikha Hai

kal hum nay sapna daikha hai
jo apna ho nahi sakta hai
uss shakhs ko apna daikha hai

wo shakhs kay jis ke khatir hum nay
iss dais phirain, uss dais phirain
jogi ka bana kar bhais phirain
chahat kay niraalay geet likhain
jee mohnay wallay geet likhain
dharti kay mehaktay baghon say
kaliyon ke jholi bhar layain
anbar kay sajeelay mundal say
taron ke dooli bhar layain

haan kis kay liye, sab us kay liye
woh jis kay lap pay taisoo hai
woh jiss kay naina ahoo hain
jo khaar bhi hai aur khushbo bhee
jo dard bhi hai aur daroo bhi
woh alhar see, wo chunchal see
woh shair see, woh pagal see
loug aap hee aap samajh jayain
hum naam na uss ka bat'layain

aye daikhnay waloo tum nay bhi
uss naar kee peet ke anchoon mein
iss dil ka tapna daikha hai ?
kul hum nay sapna daikha hai...

Ye sheh’r apna

Ye sheh’r apna
ajab sheh’r hai
ke raatoN ko
saRak pe chaliye to sar'goshiyan sii karta hai
bula ke zakhm dikhata hai
raaz-e-dil kii tarah
dareeche band
galii chup
nidhaal deewaarein
kwaaR moh'r'ba'lab
gharon mein mayyatein thehrii huii hain barson se
kiraaye par

Wo janti thi........

Wo janti thi ke wafa ka ajar nahi hota
Muhabbaton main sabar ka samar nahi hota
Wo janti thi
Muhabbat dukhon ka sehra hai
Jahan saraab si khushiyan hain
Aur azaab se gham
Jahan hai pyaas judaii ki be'tahasha magar
Millan ki barishein hoti hain jis dayar main kam
Wo janti thi
Muhabbat khiraaj mangti hai
Wo jis ko dil ka lahoo de ke jagmagaya ho
Andheri raah ke liye wo cheragh mangti hai
Wo janti thi
Muhabbat wo reh'guzar hai jahan
Biche hain kanch judaii ke be'shumar magar
Barahna'pa hi inhein paar karna paRta hai
Ghamon ki dhoop main ab sayebaan koi na ho
Kisi yaad ki chaadar ko taan kar khud par
Tammam aahein daba kar guzarna paRta hai
Wo janti thi ke wafa ka ajar nahi hota
Mohabbat main sabar ka samar nahi hota
Hij'r ki raah main hoti hai be'tahasha ghutan
Wahan kabhi bhi hawa ka guzar nahi hota
Wo janti thi phir bhi rog le bethi
Kisi ke pyaar main na jaane kyun jog le bethi

Nick Name.."Guriya"

Tum mujh ko guRia kehte ho
theek hi kehte ho
khelne wale sab hathon ko
mein guRia hi lagti hoon
jo pehna do, mujh pe saje ga
mera koi rang nahi
jis bache ke hath thama do
meri kisi se jang nahi
sochti jaghti ankhein meri
jab chahe beenaii le lo
kook bharo aur batein suno
ya meri goyaii le lo
mang bharo, sindhoor lagao
pyaar karo, ankhon mein basaao
aur phir jab dil bhar jaaye
dil se utha ke taq pe rakh do
tum mujh ko guRia kehte ho
theek hi kehte ho

Sab Maya Hai

Sab Maya Hai

Sab Maya Hai, Sab Dhalti Phirti Chaya Hai
Is Ishq Main Hum Ne Jo Khoya Jo Paaya Hai
Jo Tum Ne Kaha Hai Faiz Ne Jo Farmaya Hai

Sab Maya Hai

Jo Log Abhi Tak Naam Wafa Ka Lete Hain
Wo Jaan Ke Dhoke Khaate Dhoke Dete Hain
Haan Thok Baja Ke Hum Ne Huk'm Lagaya Hai

Sab Maya Hai

Jab Dekh Liya Her Shakhs Yahan Herjaii Hai
Is Shehar Se Door Ik Kuttia Hum Ne Banaii Hai
Aur Us Kuttia Ke Maathe Per Likhwaya Hai

Sab Maaya Hai

Kia khabar tum ko ????

Kia khabar tum ko dosti kia hai
Ye roshni bhi hai andhera bhi hai
Khwahishon se bhara jazeera bhi hai
Bohat anmol ik heera bhi hai
Dosti ik haseen khwab bhi hai
Pass se dekho to sarab bhi hai
Dukh milne pe ye azab bhi hai
Aur ye pyar ka jawaz bhi hai
Dosti yoon to maya jaal bhi hai
Ik haqeeqat bhi hai khayal bhi hai
Kabhi furqat kabhi wisal bhi hai
Kabhi zameen kabhi falak bhi hai
Dosti jhoot bhi hai such bhi hai
Dil main reh jaye to kasak bhi hai
Kabhi ye haar kabhi jeet bhi hai
Dosti saaz bhi sangeet bhi hai
Sher bhi nazam bhi geet bhi hai
Wafa kia hai wafa bhi dosti hai
Dil se nikli dua bhi dosti hai
Bus itna samajh le to
Pyar ki inteha bhi dosti hai

Barishon k mosam mein ...

Barishon k mosam mein
Dil ki sar zamino pr
Gard kiun bikharti hai
Is tarha k mosam mein

Phool kiun nahi khiltay?
Log kiun nahi miltay
Kiun faqt ye tanhi
sath sath rahti hai
Kiun bhicharnay walon ki
yad sath rahti hai

Itni tez barish sy
Dil k ainay pr sy
Aks kiun nahi dultay
Zakham kiun nahi silaty

Neend kiun nahi aati?
Barishon k mosam mein
Aankh kiun barasti hai
Ashq kiun nahi thamty

Barishon k mosam mein
Log kiun nahi miltay?

Wednesday, July 13, 2011

Kisi K Hijar Main Ye Zindagi Kaise Guzari Hai

Tumhain Maloom Hai Ham Ne
Kisi K Hijar Main Ye Zindagi Kaise Guzari Hai
Har Ik Khusboo Ki Aahat Per
Guman Us Ka Guzarta Hai
Har Ek Saat Pe Dil Aankhon Main Aaker Beth Jata Hai
Kayi Pehlo Badalti Khuwahishain Hathon Ko Phela'aye
Duain Mangti Aur Hanpti
Dil Se Guzarti Hain
Magar Jo Hijar Lahaq Hai
Wo Jism-O-Jan Ki Deewarain Girata Hai
Umeedo Beem Ki Aankhon Se
Beenai K Sab Manzaroon Ko Khak Karta Aur Mitata Hai
So Ham Bhi Khak Hain
Aur Khak Ki Qismat Main Likha Gia Hai
Be-Aman Rehna
Noshi Gilani

Kabhi Sochna Tum Bhi .....

Meri Baatein
Meri Muskurahat
Meri Shararat
Meri Chahat
Meri Saansay
Meri Dharkan
Meri Mohabbat
Shayed ! !
Tumhay Yaad Aa Jaye
Keh
Tumhay Bhi Mujh Say
Mohabbat Thi
Tumhari Bhi Ak
Khowahish Thi
Tumhari Bhi Ak
Tamannah Thi
Tumhari Bhi Ak
Aarzoo Thi
Shayed ! !
Tumhay Yaad Aa Jaye
Keh
Tumhay Bhi Mujh Say
Mohabbat Thi
Ak Baar
Sirf Ak Baar
Kabhi Sochna Tum Kabhi

Tu Khush Rahay KHUDA Karay.....

Tu Khush Rahay KHUDA Karay
Mera DIL Yahi Dua Karay

Teray Hont Muskuraye Sada
Teri Aankh Sada Hansa Karay

Teri Bazam Sada Saji Rahay
Sada Bahaar Teri Gali Rahay

Tu Ghum Say Kabhi Aashna Na Ho
Tu Zeest Main Kabhi Tanha Na Ho

Zindagi Main Na Kuch Khoye Tu
Mazaaq Main Bhi Na Roye Tu

Tera Har Khowab Pura Ho
Koii Sapna Na Adhora Ho

Teri Har Tamannah Puri Ho
Tu Khush Rahay KHUDA Karay

Mera DIL Yahi Dua Karay

Suno !!!!

Suno!!
Mujhe Har Pal Tumhari
Yaad Aati Hai

Kabhi Saanso K
Chalne Pe

Kabhi Dil K
Machalnay Pe

Kabhi Barish
Barasnay Pe

Kabhi Aankhen
Chalakne Pe

Kabhi Chanda
Nikal Pe

Kabhi Suraj K
Dhalne Pe

Kabhi Shab K
Andheron Me

Kabhi Din K
Sawairon Me

Kabhi Logo K
Melay Me

Kabhi Tanha
Akele Me

Tumhari
Bus Tumhari Yaad
Aati Hai…

Suno!!

Mujhe Har Pal Tumhari
Yaad Bohat Aati Hai

Ye Dard Mit Gaya To Phir?

Ye Dard Mit Gaya To Phir?
Ye Zakhm Sil Gaya To Phir??
Bichhar Kar Sochta Hoon Main,
Wo Phir Se Mil Gaya To Phir??

Main Titliyon K Shehar Mein,
Rahoon To Mujh Ko Fiker Hai?
Wo Phool Jo Khila Nahi,
Wo Phool Khil Gaya To Phir??

Tujhe Bhi Kuch Nahi Mila,
Mujhe Bhi Kuch Nahi Mila?
Tamam Umer K Liye,
Ye Dard Mil Gaya To Phir??

Main Is Liye To Aaj Tak,
Sawal Bhi Na Kar Sake?
Agar Mere Sawal Ka,
Jawab Mil Gaya To Phir??

Monday, July 11, 2011

Tum hi Tum ho....

Meri soch ki udhan hai jahan talak,
Wahan tum hi tum ho,
Meri nazar ki had hai jahan talak,
Wahan tum hi tum ho,
Mera sehra hai jahan talak,
Barsaat tum hi tum ho,
Meri barsaat hai jahan talak,
Ghata tum hi tum ho,
Mere khawabon ka mehal hai jahaan talak,
Har qadam pe tum hi tum ho,
Mere dil ki waadi hai jahan talak,
Har chehraa tum hi tum ho,
Mere chehre pe muskurahat hai jab talak,
Muskurahat tum hi tum ho,
Meri aankhon ki shararat hai jab talak,
Woh sharart tum hi tum ho,
Mere pyaar ka sehar hai jahan talak
Us sehar mein tum hi tum ho,
Mere pyaar ka jaadoo hai jahan talak,
Wahan tum hi tum ho,
Meri aarzoein bikhrein hai jahan talak,
Woh umeed tum hi tum ho,
Mujhe sahara hai jahan talak,
Woh saheban tum hi tum ho,
Mere dil ki khusiyan hai jahan talak,
Woh sapne tum hi tum ho,
Meri nazar mein chandni hai jahan talak,
Woh roshn i tum hi tum ho,
Meri umeed ki kirne hai jahan talak,
Sab roshniyan tum hi tum ho

Kaho phir kya kiya jaye?

Mujhe tum achi lagti ho
Tumhen main Acha lagta hon
Kaho Phir kya kiya jaye?
Tumhari jagmagati, Muskurati,
Geet gati, Dil ruba Aankhen
Buhat gehri Badi qatil nihayat
Kushnuma Aankhen
Mere Dil se meri Be’tabiyon se

Khelti Aankhen
Khamoshi ki zuban main
mujh se kya kuch Bolti Aankhen
Bazahir Doston main Khil-khilati
Chor Nazron se mujhe Muskurati
Aawaz deti Dhunti Aankhen
wo meri Rouh K Rukhsar ko
ek faasle Chumti Aankhen
Ye sab Baten btati hain
Main tum ko Acha lagta hon
wo mere Zabth Kho Denay
pe Pemaish bhari Nazren
Ada-e-be’niazi ka wo ek
naa-kaam sa manzar

wo ek Kamzor si be’ittifaqui
be’rukhi k sir pe ek
Mohoom se khuwahish
Mujhe han, mujhe
yun hi Nazar andaz
karne ki wo ek
Dil Chusp si koshish
Sar-e-Mehfil tumhara Raaz
Khul jane k Dar se
Be’irada gher ehem Logon se
Rasm-e-guftogu karna
Ye sab Baten btati hain
Tumhen main Acha lagta hon

kaho phir iya kiya jaye?
Mere be’sakhta fikre
mere Lehjay ki har Shokhi
Mera har waqt har ek Simt
tum ko Dhundte rehna
Nazar parte hi tum par
Zoor se Dil ka Dharak uthna
Ye sab baten btati hain
Mujhe tum Achi lagti ho
Tumhen main Acha lagta hon

Kaho phir kya kiya jaye?
Hamare Darmiyan Rasmon, Riwajon ka
Samaji martabe ka Umr ka aur Khandanon ka
Buht gehra khala hai
Usay Kaise, Kaise, Kaise pur kiya jaye?
Kaho phir kya kiya jaye?