Sunday, July 17, 2011

Wo janti thi........

Wo janti thi ke wafa ka ajar nahi hota
Muhabbaton main sabar ka samar nahi hota
Wo janti thi
Muhabbat dukhon ka sehra hai
Jahan saraab si khushiyan hain
Aur azaab se gham
Jahan hai pyaas judaii ki be'tahasha magar
Millan ki barishein hoti hain jis dayar main kam
Wo janti thi
Muhabbat khiraaj mangti hai
Wo jis ko dil ka lahoo de ke jagmagaya ho
Andheri raah ke liye wo cheragh mangti hai
Wo janti thi
Muhabbat wo reh'guzar hai jahan
Biche hain kanch judaii ke be'shumar magar
Barahna'pa hi inhein paar karna paRta hai
Ghamon ki dhoop main ab sayebaan koi na ho
Kisi yaad ki chaadar ko taan kar khud par
Tammam aahein daba kar guzarna paRta hai
Wo janti thi ke wafa ka ajar nahi hota
Mohabbat main sabar ka samar nahi hota
Hij'r ki raah main hoti hai be'tahasha ghutan
Wahan kabhi bhi hawa ka guzar nahi hota
Wo janti thi phir bhi rog le bethi
Kisi ke pyaar main na jaane kyun jog le bethi