Tuesday, July 26, 2011

Mere mehboob nama bar

Mere mehboob nama bar
unhain kehna yehi jaa ker
maraasim laakh gehrey hoon
dilon ke dil se,
phir bhi jab
miley un ko na wo chahat
k jis k khwab dekhe hoon
tou aise main phir ehl e dard
wafoor e gham se ghabra ker
dilon main chot si khaa ker
Maraasim toor detey hain
safer jis ki na manzil hoo
thakan hi jis ka haasil hoo
musaafir thak k bil aakhir
wo rastey chorr dete hain
sukoon barbaad hota hai
ye dil nashaad hota hai
ba zaahir kuch nahin kehtey
khamoshi se
saleeqey se
sanbhal ker toot jaatey hain
baseraa ker nahin saktey
kisi k dil main jab armaan
thakey panchi ki soorat phir
ye waapis lout jaatey hain
phir un ko laakh bulwaao
kiye apney peh pachtaao
mager yeh roothney waley
kabhi waapis nahin aatey
khayalon ke safer main yeh
sada pehchaan letey hain
sabhi kuch jaan letey hain
khata ko bhool janey ki
dilon main thaan letey hain
mager waapis nahin aatey
mager waapis nahin aatey