Sunday, July 17, 2011

Phir nain to saawan bante hain

jab pyaar ki rut badal jaaye
aur mohabbat rog main dhal jaaye
phir nain to saawan bante hain
jab dil ka nazuk sheesha chupke se
seene ke ander toot jaaye
aur is ki kirchiyan saare wajood ko
dheere dheere ghayel karain
phir nain to saawan bante hain
jab sheh're tamanna main
hum dil ka derd chupaaye
gali gali nagar nagar
ik teri khoj main bhatkain aur
phir tu bhi hamain na mil paaye
phir nain to saawan bante hain
jab hamare dehshat zada kamre main
teri yaadon ka ik hujoom ho
saans laine main bhi dushwari ho
sirf maat hi maat hamaari ho
neend bhi rukhsat ho
aur khuwab bhi kho jaaein
phir nain to saawan bante hain