Monday, October 24, 2011

Mohabat Ke Mayne ...

Do pyase dil aik huwe hain aise
Bichare ge ab kaise
Tum pyaar mujhye karte hi rahna
Sari umar tum aise
Ek douje main kho jate hain
Nadiya sagar jaise
Tuj se hay yeh zindgani
Tuj se hay jiwan kahani
Tuj se hay sanj aur sawera
Sathi kabhi tu na ruthe
Rasmon ki diwaar tutye
Tutye na bahoon ka ghira
Mere sanam teri kasam
Tuj se hay wahda yeh mera
Aise raheen ge
nain aur nindea jaise
Qadmon tale har khushi hay
Kitni haseen zindagi hay
Jiwan yunhi beet jaye
Aankhon k tu roeberoe hay
Dekhon jidhar tu hi tu hay
Tuj bin nazar kuch na aye
Hay zindagi humain kabhi
Zamana judaa kar na paye
Aise raheen ge
phool aur khushbo jaise

Kbhi Raat Bhar...

Kbhi Raat Bhar K Jhagry,
Kbhi Chahaton Ki Baten,
Wohi Ap Hi k Qissay,
Wohi Ap Hi Ki Baten,
…Wo Mila Hy Mujh Ko Aksr Sar-e-Raah Chalty Chalty,
Wohi Ajnabi Nigahen,
Wohi Berukhi Ki Baten,
Na Smajh Ska Jahan Me,
Koi Mera Dard Yaro,
Mery Gham Ko Log Samjhy,
Meri Shairi Ki Baten,
Koi Hum Ko Ye Batae Ye Junoon Nhi To Kia Hy?
Miley Jab B Hum kisi Sy Kren Ap Hi Ki Baten,
Mery Haal Par Wo Yunhi Kuch Aisay Muskraye,
Hm Suna Rhy Hon Jesy Kisi Ajnabi Ki Baten.

Tere shaher...

Tere shaher teri soch se nikal jaaon gi
Kisi udaas sham main dhal jaaon gi

Tu Jo muker gaya hay her baat se apni
Dekh lena aik din main bhi badal jaon gi

Mat dikha mujh ko apna pashemaan chehra
Jab k tu janta hay main pighal jaaon gi

Chahe lakh terpoon tere intzaar mein
Mat lout k ana main sambhal jaaon gi

Tera hona itna zaroori tou nahin hay
Main tou yaadon k khilonon se behal jaon gi.

Aisa kertay hein...

Aaj aisa kertay hein
Be sadda lafzon main
Wajh-e-zindagi keh ke
Wasl ki zaroorat par
Phir se zoor detay hein
Aaj aisa kertay hein
Zikr wohi kertay hein
Naam aur detay hein
Zabt ke kinaaron se
Dard aan lipta hai
Toot-tay kinaaray ab
Dard aur detay hein
Aaj aisa kertay hein
Dard se ulajhtay hein
Zabt choor detay hein
Taar Taar daaman ko
Khaar khaar raahon main
Ranjishein bhula ke hum
Aa ke joor detay hein
Aaj aisa kertay hein
Khud nahin palat-tay hein
Raah moor detay hein
Sabz sabz mausam main
Laal laal aankhon ke
Khwaab ki ragoon se hum
Khoon nichor detay hein
Aaj aisa kertay hein
Ye bhi kar guzartay hein
Khwaab toor detay hein
Aa keh ab duaaon ko
Maatami ridaaon main
Phir se kar ke alwidaa
Mauqa aur detay hein
Aaj aisa kertay hein
Darya main utartay hein
Rabb pe chor detay hein…!!

Jab Yunhi Kabhi...

Jab Yunhi Kabhi Baithay Baithay
Kuch Yaad Achanak Aa ja Ay

Her Baat Say Dil Bayzar Sa Ho
Her Cheez Say Dil Ghabra JaAy

Karna Bhi Mujhay Kuch Aur He Ho
Kuch Aur He Mujh Say Ho JaAy

Kuch Aur He Sochoon Mein Dil Mein
Kuch Aur He Hontoon Per Aa Ay

Aisay He Kisee Aik Lamhay Mein
Chupkay Say Kabhi Khamoshi Mein

Kuch Phool Achanak Khil Ja Ain
Kuch Betay Lamhay Yaad Aa Ain

Us Waqt Terey Yaad Aatee Hai
Jab Chandni Dil Kay Aangan Mein

Kuch Kehnay Mujh Say Aa jaAy
Ik Khwabedaa Se Chote Koi

Ehsaas Pay Meray Chaa jaAy
Jab Zulf Parayshaan Chehray Per

Kuch Aur Parayshaan Ho JaAy
Kuch Dard Bhi Dil Mein Honay Lagay

Aur Saans Bhi Bojhal Ho jaAy
Aisay He Kisee Aik Lamhay Mein

Chupkay Say Kabhi Khamoshi Mein
Kuch Phool Achanak Khil JaAin

Us Waqt Terey Yaad Aatee Hai
Jab Shaam Dhalay Chaltay Chaltay

Manzil Ka Na Koi Naam Milay
Hansta Hua Ik Aaghaz Milay
Rota Hua Ik Anjaam Milay

Palkoon Kay Laraztay Ashkoon Say
Is Dil Ko Koi Paygham Milay

Aur Sari Wafaoon Kay Badlay
Mujh Ko He Koi Ilzaam Milay

Aisay He Kisee Aik Lamhay Mein
Chupkay Say Kabhi Khamoshi Mein

Kuch Phool Achanak Khil JaAin
Kuch Beetay Lamhay Yaad AaAin

Us Waqt Terey Yaad Aatee Hai
Shidat Say Terey Yaad Aatee Hai

Matt Chhor Ke Jao...

Suno!
Tum Azm Walay Ho
Bala Ka Zabt Rakhtay Ho
Tumhain Kuch Bhi Nahi Hoga
…Magar Dekho
……Jisay Tum Chhoray Jatay Ho
Usay Tou Theek Se Shayad
Bichharna Bhi Nahi Aata
Suno!
Tum Azam Walay Ho
Usay Matt Chhor Ke Jao..

Kamosh Zabaan Ke Lafzon Mein...

Kamosh Zabaan Ke Lafzon Mein
Kuch Posheeda Si Baatein Hai
In Posheeda Si Baaton Mein
Kuch Chahat Ki Barsaatein Hain
In Baaton Ko Hum Muddat Se
Seenay Mein Chhupaye Bethey Hain
Kuch Paaye Bina Kuch Kho Dena
Ye Piyaar Mein Ham Ne Seekha Hai
Sooraj Mein, Chand Sitaron Mein
Har Shai Main Tumhi Ko Dekha Hai
Dharkan Mein Bhi Naghma Ban Kar
Saagar Ki Tarah Tum Behtey Ho
Ye Piyaar Nahi To Tumhi Kaho?
Phir Piyaar Kisey Tum Kehtey Ho?

Pyari Aankhain...

Bhool Sakta Hai Bhala Koun Yeh Pyari Aankhain ,
Rang Mein Doobi Hui Neend Say Bhari Aankhain ,
Meri Her Saans Ne Her Sooch Ne Chaha Hai Tumhain ,
Jab Se Dekha Hai Tumhain, Tab Se Saraha Hai Tumhain ,
Bas Gai Hain Meri Aankhon Mein Tumhari Aankhain ,
Tumjo Nazron Ko Uthao To Sitare Jhuk Jaain ,
Tumjo Palkon Ko Jhukao To Zamane Ruk Jaain ,
Kyun Na Banjain In Aankhon Ki Pujari Aankhain ,
Jaagti Raaton Ko Sapnon Ka Khazana Mil Jaye ,
Tumjo Miljao Jeene Ka Bahana Mil Jaye ,
Apni Qismat Pe Kerain Naaz Hamari Aankhain.

Maum ka ghar...

Wo bhi ro de ga usay haal
sunaye’n kese

Maum ka ghar hy chirago’n
ko jalaye’n kese

Duur hota tou usay dhoond
bhi lete ‘Faraz’

Rooh main chup k jo betha hy
usay paaye’n kese …

Suno....

Suno...!
Hamain likh ker kisi lamhay
Kahin mehfooz ker lo TUM
Tumhari yaad se dekho
Nikaltay ja rahay hain HUM...!!!

Ghairat-E-Jazbat...

Ishq Mein Ghairat-E-Jazbat Ne Roney Na Diya
Warna Kya Baat Thi Jis Baat Ne Roney Na Diya
Aap Kehtey Thay K Roney Se Na Badlen Gey Naseeb
Umar Bhar Aap Ki 1 Baat Ne Roney Na Diya
Roney Waalon Se Kaho Unka Bhi Rona Ro Len
Jin Ko Majboori-E Halaat Ne Roney Na Diya
Tujh Se Mil Kar Humein Rona Tha
Bohat Rona Tha
Tangi-E-Waqt-E- Mulaqaat Ne Roney Na Diya
Ik Do Roz Ka Sadma Ho To Ro Lain Farhat
Ham Ko Har Roz K Sadmaat Ne Roney Na Diya.

Mohabbat seekh ker karna...

Mohabbat seekh ker karna
Kay bin seekhey mohabbat ka safar dushwar hota hai
Gareeban tar hota hai
Kabhi inkar hota hai, kabhi iqrar hota hai
kay bin seekhe mohabbat to sarabon ki kahani hai
Dukhon ki raaj dhani hai
Jo kal ban jaye ga badal
Yeh wo dariya ka pani hai…!!!

Mohabbat seekh ker karna
Kay bin seekhey mohabbat to azab-e-zindagi thehri
Sarab-e-zindagi thehri
Na ho takmeel jis ki woh
Kitab-e-zindagi thehri…!!!

Tera maqam...

Wo jo dil mein tera maqam hai
Kisi aur ko wo dya nahi
Wo jo rishta tujhe se ban gaya
Kisi aur se wo bana nahi
Wo jo pyar tujhe se ho gaya
…Kisi aur se wo howa nahi
Wo jo raaz tujhe se hai kah dya
Kisi aur se wo kaha nahi
Wo jo sukh mila teri zaat se
Kisi aur se wo mila nahi
Tu basa hai aankhon mein jis tarah
Koi aur aise basa nahi
Tu howa hai jitna qareeb tar
Koi aur itna howa nahi
Tera naam dil mein hai jis tarah
Koi naam aise likha nahi

Mohabat khubsurat hai…..

Wo kehti thi
Mery dil ko mohabat bojh lagti hai
K
Is ki band nagri say
Mujhay kuch khof aata hai
Har ek lamha darata hai
Mujay kuch aisa lagta hai
K is ki naram khamoshi
Meri saansain chura lay gee
Mujay be-bas bana day gee
Mujhay azaad rehna hai
Faqat itna hi kehna hai

Sun k us ki sab batain

Main bus ye bol pata tha

Mohabat qaid rakhti hai
Magar is qaid main reh kar
Jo khushiyan dil ko milti hain
Kahin say mil nahi saktin
K is kin arm zanjeerain
Kabi ghayal nahi kartin
Mohabat aisi manzil hai
K jis k saray raston pay
Wafa ka dars milta hai
Nibah ka dars milta hai
Dilon pay raaj karnay ki adaa ka dars milta hai
Ye her dil ki zrurat hai
Mohabat khubsurat hai…..

Mera jurm hai meri saadgi...

ye jo dard hai ishq ka
mujay is say koi gila nahi
ye to zindagi ka usool hai
kabi apna koi huwa nahi
ye jo silsila hai ek dard ka
ye tohfa yunhi mila nahi
tu jisay jaan kar b anjaan hai
wo raaz mai nay kaha nahi
mujay apni khabar to hai magar
teri soch ka kuch pata nahi
ye jo aansu hain meri aankh main
baysabab ye bahay nahi
ye sada si jo hai gunjti
wo lafz tu nay kaha nahi
mera jurm hai meri sadgi
meri or koi khata nahi...

Wo Kehti Hay...

Wo Kehti Hay……
Batao Be Sabab Kion Rooth Jatay Ho?
Main Kehta Hoon…
Zara Mujh Ko Manaao…… .Acha Lagtaa Hay

……Wo Kehti Hay
Mera Dil Tum Se Aakhir Kion Nahi Bhartaa?
Main Kehta Hoon….
Mohabat Ki Koi Hadd Hi Nahii Hotii….!

Wo Kehti Hay….
Batao…Main Tumhain Kion Bhaa Gayi Itna?
Main Kehta Hoon…
Merii jaan Hadsay To Ho Hii Jatay Hain!

Wo Kehti Hay…
Achanak Main Tumhain Yoon Hii Rulaa Doon Tu?
Main Kehta Hoon…
Mujhay Darr Hay K Tu Bhii Bheeg jaaye Gi…!

Wo Kehti Hay…
Batao..Baarishon Ki kiya Haqeeqat Hay?
Main Kehta Hoon…
K Yeh To Baadalon Ki Aankh Rotii Hay…!

Wo Kehti Hay…
Tumhaaray Khwaab Saaray Kion Adhooray Hain?
Main Kehta Hoon…
Merii Jaan Tum Inhain Takmeel De Do Na..

Zara si ranjish...

Ik zara si ranjish say
Shak ki zard tehni per ph00l badgumani k
Is tarah say khiltay hain
Zindagi say piyary bhi
Ajnbi say lagtay hain
……Ghair ban k miltay hain
D0st dar lehj0n mein
Salvatain si perti hain
Umr bher ki chahat ka kuch sila nahee milta
Dasht e be-yaqeeni mein aasra nahee milta
Wahm0n k saaye say umr bher ki mehnat k0
Pal mein tour jatay hain
Bheer mein zamany ki
Saath ch00t jatay hain
Ik zara si ranjish say
Haath ch00t jatay hain
Khawb t00t jatay hain!!!!!

WAFA SE RABTA RAKHNA ...

Mei ye tasleem krta hon,
Mjhy ulfat k rasty pr,
Wafa ki haq prasti pr,
Barda hie naaz hai jana,
Mei jitney khwab bonta hon,
Mei jitney lafz likhta hon,
Meri tahreer main shamail,
Mery jazbon ki akasi,
Meri khuddari ye hr pal,
Mjhy youn dars deity hei,
Agr tm haar bhi jao,
Tu itna hosla rakhna,
Wafa se rabta rakhna,
Muhbt k safar mei tu,
Wafa hie shart-i-awal hai,
Wafa hie harf-i-aakhir hai.

Chalo khuch dair hanstey hain...

Chalo Khuch Dair hanstey hain
Usi ko yaad kartey hain
Jisey hum zeest kehtay thy
Ke laina sans bhi jis ke bina
Humain ik jurm lagta tha
Ke sang jiss k har ik lamha
Khush-o-khuram lagta tha
Jisey hum zindagi kehtey
Jisey the shayari kehtey
Ghazal ka qafia tha jo
Nazm ka jo ke unwan tha
Woh lehja jab badalta tha
Qayamat khaiz lagta tha
Waqt se agay chalta tha
Bala ka teez lagta tha
Jo saya ban ke rehta tha
Juda ab uss ke rastay hain
Chalo khuch dair hanstey hain
Usi ko yaad kartey hain!!!

Meri tehreer k ansu….!!

Suna ho ga bohat tum ne.
kaheen ankho ki rim jhim.
kaheen palkon ki shabnam.
parha ho ga bohat tum ne.
kaheen lehjey ki barish.
kaheen sagar k ansu.
magar tum ne kabhi humdum.
kaheen dekhey? kaheen parkhey?
kisi tehreer k ansu.
mujhe teri judai ne.
yehe mehraj bakhshi hai.
k main jo lafz likhta hon.
wo sarey lafz rotey hain.
k main jo hurf bunta hon.
wo sarey ben kartey hain.
mere sang iss judai main.
mere alfaz rotey hain.
subhe tahreef kartey hain.
meri tehreer ki lakin.
kabhi koi nahi sunta.
mere alfaz ki saski.
falak b jo hila daley.
mere lafzon main hain shamil.
ussi taseer k ansu.
kabhi dekho mere humdum.
meri tehreer k ansu….!!~~♥♥

Muhabbat is tarah jaise gulabi titliyon k pr...

Muhabbat is tarah jaise gulabi titliyon k pr,
Mohabat zindgani ki jabeen-e-naz ka jhoomr,
Muhabbat arzoo ki seep ka anmol sa gohar,
Mohabat aas ki dhoop me umeed ki chaadar,
Mohabat hi tery gesu,
teri palken,
teri ankhen,
Mohabat he teri baaten,
Mohabat he tmhary hijar ki or wisl ki raaten,
Mohabat he teri dharkan,
Mohabat he teri saansen,
Mohabat tmhari baat jesi he,
Mohabat ko agar samjho, to tmhari zaat jesi he…!

Koi tehreer hoti he....

koi tehreer hoti he
Lahu se dil k kaghaz pr koi tehreer hoti he
To ahl-e-dil smjhty hain yahi taqdeer hoti he
Tujhy khwabon me aksar log mjhse cheen lete hain
Suna he sare khawbon ki ult taabir hoti he
Yahi chahat ksi ko taaj ki surat nazar aaye
Yhi chaht ksi k paon ki zanjeer hoti he
Wafa ki jung talwaron se jeeti ja nhi skti
K Sachai or mohabbat se wafa ki jeet hoti he
Suno ghazlen be- sabab likhi nahi jati
K shaayer k tassavur me koi tasveer hoti he…!

Ijazat hai...

Tumhain Janan Ijazat Hai K in Tareek Rahon Par
Thakan Si Khud Mein Pao to Andheron Se Kabhi Dil Dol Jae
Thak Si Jao To Mere Jalte Hue Lamhon
Mere Bekangal Hathon Se ChOra K Apne Hathon Ko

…Fiza Ki Naghmagi Se tum Nae Geeton Ko Chun Lena
Haseen Palkon Ki Nokon Par Nae Khawab Bun Lena

Koi Gar Pooche Mera To Usse Zikar Mat Karna
Mere Jeevan Ki Jalti Dopahar Se Begharz Ho Kar
Tum Apni Chandni Raton Mein Jugnoo Palti Rehna
Meri Tanhaiyon Ki Wehshaton Ki Fikar Mat Karna

Tumhein Is Ki Ijazat Hai

Mere Sab Khat Jala Dena Mere Tehfoon Ko Darya Mein Baha Dena
Meri Har Yad Ko Dil Se Khurachna Or Mita Dena

Tumhain Bilkul Ijazat hai

K Jab Chaho Bhula Dena Magar Itni Guzarish Hai
Agar Aisa Na ho Janan To Acha Hai Na………

Ik zara si ranjish se...

Ik zara si ranjish se
Khawab toot jatay hain
bheer mein zamanay ki
haath chooet jatay hain
dost daar lehjay mein
……silwatein si parti hain
ik zara si ranjish se
shak ki zard tehni per
phool badgumani k is tarha se khiltay hain
zindagi se pyaray bhi ajnabi se lagtay hain
ghair ban k miltay hain
umer bhar ki chahat ko,
aasra nahi milta
khaamoshi k waqfon mein,
baat toot jati hai
aur sira nahi milta
phool rang waadon k,
khawab toot jatay hain
manzilein sukarti hain,
raah murnay lagti hai
be rukhi k gaaray se,
be dili ki mitti se
faaslon ki eenton se,
eent jurnay lagti hai
khaak urnay lagti hai
khawab toot jatay hain,
waahmon k saaey se
umer bhar ki mehnat ko,
pal mein loot jatay hain
ik zara si ranjish se
saath toot jatay hain..!!

Aaj ki shab to kisi toor guzar jaye gi...

Aaj ki shab to kisi toor guzar jaye gi
Raat ghari hay magar chand chmakta hay abi
Mere mathe pe tera piyar dhmakta hay abhi
Meri sansoon main tera lms mahekta hay abhi
Mere sene main tera naam dharakta hay abhi
Teri aawaz ka jado hay abhi mere liye
Teri baheen tera pahlo hay abhi mere liye
Aaj k baad magar rang_e_ wafa kiya ho ga
Mere katel ! tera andaz_e_jafa kiya ho ga
Aaj ki shab to bohot kuch hay,magar kal k liye
Ek andesha benaam hay or kuch bi naheen
Dekhna yeh hay k kal tuj se mulaqat k baad
Rang_e_umeed khile ga k bikhar jaye ga
Waqt parwaaz kare ga k thher jaye ga
Jeet ho jae gi ya kheel bigar jaye ga
Khawab ka shehar rahe ga k ujhar jae ga

Saturday, October 22, 2011

Khuda kary..

Khuda kary..
ye saaniha kabhi na ho..
k main namaaz-e-hijar parh sakun..
aor aankh ba'a wazoo na ho..

Eik BaraS k ArsaY mEin. . .


Eik BaraS k ArSay mEin. . .
Chaar chhay mUlaaQatain. . .
shAAm ki HawEli mEin. . .
sUbha k mEhEknaY ki,
Bay yaQeen C bAAtain. . .

kUch Azaab mAAzi k. . .
gUftUgU kA mOuzOO thAy. . .
kUch Sawaal khwaboOn k. . .
kUch JawAAb, AnkhOn k,
mUshtArik sE jAwAAbOn k. . .
AainO mEin DaikhaY thY. . .
AainEy tOo sUchy Thy. . .
Or wOh mUlaaQaatEin. . .
Chaar chAy mUlaaQaatEin. . . !!!

Jin mEin tEri, BaatOn ki. . .
BaarishOn k mOusam nE. . .
JitnaY jhOot bOolay thY. . .
ShaaM ki Hawaili mEin . .
JitnaY zEhEr ghOlay thY. . .
tEra Bay-wafa lEhja. . .
DhiyAAn mEin jAb aata hAi. . .
tAb Sawaal kErti hAin. . .
mEri UmEr ki RaatEin. . .


Eik BaraS k ArsaY mEin. . .
Chaar Chhay mUlaaQaatEin. . . ???

Na janaY kin ghUm k jUgnOon kO. . .

Na janaY kin ghUm k jUgnOon kO. . .
chhUpayE phirti hAi. . .
mUthhiyOon mEin. . .
Kai dinOn sE Udaas rEhti hAi. . .
Eik lArki. . .
SahailiyOon mEin. . . !!!

Kabhi tOo yOon hO. . .
mOhabatOn ki MithaaS. . .
lEhjOon mEin ghOol Daikhain. . .
gUzErti jAAti hAi UmEr. . .
UdaaS baatOon ki. . .
tAlkhiyOon mEin. . . !!!

hUmari khUahish k RaastOon mEin. . .
mEhEk rAhi hAi. . .
Wafa ki khUshbOo. . .
mOhabatOon nE. . .
BaDal diyE hain. . .
Tamaam manzEr. . .
UdaasiyOon mEin. . . !!!

hUmain khAbAr hAi haWa mUkhalif. . .
rOoshni k pYaambEr ki. . .
Chiraagh phir bhi. . .
JalayE rakhtaY hAin. . .
hUm mOhabbat ki AandhiyOon mEin. . . !!!

Kabhi Kabhi tOo mOhabatOon k yaQeen. . .
lEhjaY mEin gUftUgU hO. . .
KahEEn tOo mEra bhi Naam ayEE. . .
tEri Wafa ki. . .
KahaniyOon mEin. . . !!!

pAthhar. . . !!!

EIk lamhe ko Thahar, maiN tujhe patthar laa duuN
maiN tere saamane ambaar lagaa duuN lekin
kaun se rang kaa patthar tere kaam aayegaa
surKh patthar jise dil kahatii hai bedil duniyaa
yaa vo patthraa’ii hu’ii aaNkh kaa niilaa patthar
jis meN sadiiyoN ke tahayyur ke paRe hoN Dore

kyaa tujhe ruuh ke patthar kii zaruurat hogii
jis pe haq baat bhii patthar kii tarah girtii hai
ik vo patthar hai jise kahte haiN tahziib-e-safed
us ke mar-mar meN siyah Khuun jhalak jaataa hai
ik insaaf kaa patthar bhii to hotaa hai magar
haath meN teshaa-e-zar ho to vo haath aataa hai



jitne mayyaar haiN is daur ke sab patthar haiN
sher bhii raqs bhii tasviir-o-Ghinaa bhii patthar
mere ilhaam teraa zahn-e-rasaa bhii patthar
is zamaane meN har fan kaa nishaaN patthar hai
haath patthar haiN tere merii zubaaN patthar hai
ret se but na banaa ai mere achchhe fankaar. . .

ishQ. . . !!!

Dasht parta hai miyan ishq mein ghar se pehle. . .
chal diye uth k su-e-shahar-e-wafa ku-e-habib
puch lena tha kisi khak basar se pehle. . . !!!

Ishq pehle bhi kiya. . .
hijr ka gam bhi dekha. . .
itne tarpe hain na ghabraye na tarse pehle. . . !!!

ji bahalta hi nahin. . .
ab koi saat koi pal. . .
rat dhalti hi nahin char pahar se pehle. . . !!!

Chand se ankh mili. . .
ji ka ujala jaga. . .
ham ko so bar hui subah sahar se pehle. . . !!!

SarD shAAm Or khAt. . . !!!


Aisi hi sard sham thi vo bhi
jab vo mahndi rachaye hathon main
apni ahat k khauf se larazan
surkh anchal main munh chipaye hue
apne khat mujh se lene ai thi
us ki sahmi hui nigahon main
kitni khamosh iltijayen thin
us k chehre ki zard rangat main
kitni majaburiyon k saye the
mere hathon se khat pakarte hi
jane kya soch kar achanak vo
mera shana pakar kar roi thi
us k yaqut rang honthon k
kapkapate hue kinaron par
saikaron ankahe fasane the
sard shamon main der tak aksar
jab ye manzar dikhai deta hai
ek lamha hinai hathon se
mujh ko apani taraf bulata hai
hamnashin ruth kar na ja mujh se
aisi hi sard sham thi vo bhi. . . !!!

mOhabbat. . . Eik lAfZ !!!


Mohabbat ki tabiyat main
ye kaisa bachpana qudarat ne rakha hai

k jitni purani jitni bhi mazbut ho jaye
ise taid-e-taza ki zarurat phir bhi rahti hai
yaqin ki aKhiri had tak dilon main lahlahati ho
nigahon se tapakti ho lahu main jagmagati ho
hazaron tarah se dilkash hasin hale banati ho
use izhar k lafzon ki hajat phir bhi rahti hai

mohabbat mangati hai yun gavahi apane hone ki
k jaise tifl-e-sada sham ko ik bij boye
aur shab main baura uthe
zamin ko khod kar dekhe
k paudha ab kahan tak hai

mohabbat ki tabiyat main ajab takrar ki Khu hai
k ye iqrar k lafzon ko sunane se nahi thakati
bicharne ki ghari ho ya koi milane ki sa'at ho
ise bas ek hi dhun hai
kaho mujh se mohabbat hai
kaho mujh se mohabbat hai

kuch aisi besakuni hai vafa ki sarzaminon main
k jo ahal-e-mohabbat ko sada bechain rakhti hai
k jaise phul main Khsuhbu k jaise hath main tara
k jaise sham ka tara
mohabbat karne valon ki sahar raton main rahti hai
gumanam k shakhchon main ashiyan banata hai ulfat ka
ye ain visal main bhi hijr k khadshon main rahti hai

mohabbat k musafir zindagi jab kat chukte hain
thakan ki karachiyan chunte vafa ki ajarakn pahne
samay ki rahguzar ki aKhiri sarhad pe rukte hain
to koi dubati sanson ki dori tham kr
dhire se kahta hai
k ye sach hai na
hamari zindagi ik dusare k nam likhi thi
dhundhalaka sa jo ankhon k qarib-o-dur phaila hai
isi ka nam chahat hai
tumhen mujh se mohabbat thi
tumhen mujh se mohabbat hai

mohabbat ki tabiyat main
ye kaisa bachpana qudarat ne rakkha hai. . . !!!

AainA. . . !!!


Aaina kyun na dun. . .
k tamasha kahen jise. . .
aisa kahan se laun k tujhsa kahen jise. . . !!!

hasrat ne la rakha. . .
teri bazm-e-khayal mein. . .
guldasta-e-nigah suweda kahen jise. . . !!!

phunka hai kisne. . .
goshe muhabbat mein ai Khuda. . .
afsun-e-intazar tamanna kahen jise. . . !!!

Hai chashm-e-tar mein. . .
hasrat-e-didar se nihan. . .
shauq-e-inan gusekhta dariya kahen jise. . . !!!

"Ghalib" bura na man. . .
jo waiz bura kahe. . .
Aisa bhi koi hai k sab acha kahen jise. . . !!!

Tum is dard sey guzrey ho na . . ??

Wo rut jis mei jal jati hain ankhein
Tum per bhi guzri hai . . .
Wo shab jo mahtaab se tapkey
anso anso shabnam shabnam
Woh shab mujh per bhi utri hai . .

Woh din jab ghariyan so jayein,
lamhey pathar ke ho jayein.
Wo din tum ney bhi kata hai.
Wo din meiney bhi kata hai.
Tum is dard sey guzrey ho na?

Dono key jism-o-ruuh mein
yaksan dard ka sannata hai.
Tum is dard se guzre ho na?

Phir kyon mujh se pochtey ho
Meri palkein kyon purnam hain?
Akhir mujh ko kon say ghum hain?

Tum is dard sey guzrey ho na . . ??

Tum is dard sey guzrey ho na . . ??

mOhabbat. . . !!!


Sitare jo damakate hain
kisi ki chashm-e-hairan main
mulaqaten jo hoti hain
jamal-e-abr-o-baran main

ye na abad vaqton main
dil-e-nashad main hogi
muhabbat ab nahi hogi
ye kuch din bad main hogi

guzar jayenge jab ye din
ye un ki yad main hogi. . . !!!

Ehal-E-wAfA. . . !!!

kUch aise ghao bhi hote hain
jinhen zakhmi ap nahi dhote
bin roye huye ansuon ki tarah
sine main chupa k rakhte hain
aur sari umr nahi rote

ninden bhi muhaiya hoti hain
sapne bhi dur nahi hote
kyun phir bhi jagte rahte hain
kyun sari rat nahi sote

ab kis se kahen ai jan-e-vafa
ye Ehal-e-vafa kis ag main jalte rahte hain
kyun bujh k rakh nahi hote. . . !!!

Akhiri bAAt. . . !!!


Tulu-e-shams-e-mufaraqat hai
purani kirnen naye makanon k anganon main laraz rahi hain
fasil-e-shahar-e-vafa k rozan chamakte zarron se bhar gai hain
gaye dinon k aziz baten nigar subahen gulab raten
bisat-e-dil bhi ajib shay hai hazar jiten hazar maten
judaiyon ki havayen lamhon ki Khush matti ura rahi hain

gai ruton ka malal kab tak
chalo k shakhen to tutati hain
chalo k qabron pe khun rone se
apni ankhen hi phutti hain
ye mor vo hai jahan se mere tumhare raste badal gaye hain
purani rahon ko lautana bhi hamari taQdir main nahi
k raste bhi hamare qadamon k sath age nikal gaye hain

tulu-e-shams-e-mufaraqat hai
tum apani ankhon main jhilmilate huye sitaron ko maut de do
gai ruton k tamam phulon tamam kharon ko maut de do
naye safar ko hayat bakhsho
k pichli rahon pe sabt jitne nuqush-e-pa hain
vo bar honge
hava uraye k tum uraO. . . !!!

ROoh bEdaar hOi jAti hAi. . . !!!

zist azar hui jati hai
sans talwar hui jati hai

jism bekar hua jata hai
ruh bedar hui jati hai

kan se dil main utarati nahi bat
aur guftar hui jati hai

dhal ke nikli hai haqiqat jab se
kuch purasrar hui jati hai

ab to har zakhm ki munband kali
lab-e-izhar hui jati hai

phul hi phul hain har simt. . .
rah dushwar hui jati hai. . . !!!

Ab ke tajdeed-e-wafa ka. . .

Ab ke tajdeed-e-wafa ka. . .
nahi imkaan Janaan. . .
Yaad kia tujhko dilayein. . .
tera paimaan Janaan !!!

Yunhi mausam ki adaa. . .
dekh ke yaad aya hai. . .
Kis qadar jald. . .
badal jatey hain insaan Janaan. . . !!!

Zindagi teri ataa thi. . .
so teray naam kee hai. . .
Hum ne jaise bhi . . .
basar ki tera ehsaan Janaan. . . !!!


Hum bhi kya saada thay. . .
ham ne bhi samajh rakha tha. . .
Gham-e-doraan se judaa hai. . .
gham-e-Janaan, Janaan. . . !!!

Ab tera zikar bhi. . .
shayed he ghazal mein aaye. . .
Aur se aur huey hein dard ke unwaan Janaan. . . !!!

Tuu kisii aur kii jaagiir hai ai jaan-e-Gazal

tuu kisii aur kii jaagiir hai ai jaan-e-Gazal
log tuufaan uThaa de.nge mere saath na chal

pahale haq thaa terii chaahat ke chaman par meraa
pahale haq thaa terii Khushbuu-e-badan par meraa
ab meraa pyaar tere pyaar kaa haq_daar nahii.n
mai.n tere gesuu-o-ruKhsaar kaa haq_daar nahii.n
ab kisii aur ke shaano.n pe hai teraa aa.Nchal

mai.n tere pyaar se ghar apanaa basaa_uu.N kaise
mai.n terii maa.Ng sitaaro.n se sajaa_uu.N kaise
merii qismat me.n nahii.n pyaar kii Khushbuu shaayad
mere haatho.n kii lakiiro.n me.n nahii.n tuu shaayad
apanii taqdiir banaa meraa muqaddar na badal

mujh se kahatii hai.n ye Khaamosh nigaahe.n terii
merii paravaaz se uu.Nchii hai.n panaahe.n terii
aur Gairat-e-ehasaas pe sharmindaa huu.N
ab kisii aur kii baaho.n me.n hai.n baahe.n terii
ab kahaa.N meraa Thikaanaa hai kahaa.N teraa mahal

Ye dil thora sa tou dukhta...

Bahut taakheer say lakin
Khula ye bhaid khud par bhi
Kay mai ab tak
Mohabbat jan kar jis
Jazbay-e-dereena ko apney lahoo say seenchti ayi
Wo jis ki saat-e-sad meherbaan hi zindagi ki shart tehri thi
Faqat aik shayba hi tha mohabbat ka
Yunhi aadat thi har rastey pay us k saath chalney ki
Wagarna tarq-e-khuaahish par
Ye dil thora sa to dukhta
Zara si aankh nam hoti

mEry Bin rEh lOugEy tUm. . . ?

“Main Sochti Hoon k Jis Din
Mout k Saaye Mere Ird gird Mandlaen Ge
Mere Dost, Aziz, Sathi Sab Mere Pas Jama Ho Jaen Ge
Suno Ge Jab Tum Mere Marne ki khabar
Urenge Hosh Tere Aur Pair Larkhraen Ge

Mujhe Yaqeen Hai Aakhri Baar Dekhne k LiyE
Tere Qadam Tujhe Mere Ghar khench Laen Ge
Mere Sarhane Logo ka Rush Hoga
Unka Rona Dar-O-Dewar ko Hilaen Ge
Mere khulus ki Jab Dastan Aam Hogi
Ye Tazkaray Tere Ehsas ko Jalaen Ge

Tujhe Wo Wada Reh Reh k Yaad Aaye Ga
K Sath Jiyen Ge Sath Mar Jaen Ge
Wo Din B Tere Zehen Pe Dastak Dega
kabhi Na Haalaat k Aage Sir Jhukaen Ge
Meri Yaadein Tujhe Tor Dengi Par
Aansu Teri Aankhon Se Nikal Na Paen Ge
Aur Jab Chal k Aaoge Meri Laash k Pas
Aur Tujhey Mere Aziz Mera Chehra Dikhaen Ge
Bejan Jism ko Dekh k kya Seh lo Ge TuM…?
Socho Kya Mere Bin Reh Lo Ge TuM…?

"Mujhe Tum se Mohabbat Hai".!!

Bahut c Besabab Baatain !
Faqt Tamheed Hoti Hain
Jo Aksar Tumse Kehta Hun !
"Suno !
Aur Kaisi Ho ..?
"Suno !
Sardi Bahut Hai Na ..?
"Naya Mosam To Acha Hai ..?
"Chalo Acha ! Main Chalta Hun
"Dubara Phir Mil Lun Ga" !
Ye Saari Besabab Batain ...
Faqat Tamheed Hoti Hain ..
Aur Ic Tamheed Main Jana !
Guzzar Jaate Hain Sab
Lamhe !
Guzar Jaate Hain Jab
Lamhe !!
To Phir Main Sochta Hun
K
Zara C Baat Hi To Hai
Tumhain Jaldi Se Keh Dun Ga !
"Mujhe Tum se Mohabbat Hai".!!

Pyar...

Abr-e-bahaar ne
phuul kaa chehra

apane banafshi haath men lekar..
aise chumaa

phul ke saare dukh..
Khushbuu ban kar beh nikale hain....

Mujhay Teri Muhabbat Ne Bohat Buzdil Bana Dala ..!

Haqiqat Aashna Meray,
Tujhay Shaid Khabar Hogi
,
Mujhay Teri Mohabbat Ne
Bohat Buzdil Bana Dala
,
Main Her Us Shay Se Darta Hoon,
Tujhay jo Cheen Sakti Hay
,
Main Un Lamhon Se Darta Hoon,
Judai Jin Mein Rehti Hay
,
Main Un Ashkon Se Darta Hoon,
Jo Ban kar Yaad Behtay Hain
,
Main Un Lafzon Se Darta Hoon,
Jo Khamoshi Mein Rehtay Hain
,
Bicharnay Ki Meray Humdum,
Main Her Surat Se Darta Hoon,
,
Tujhay Shaid khabar Hogi,
,
Mujhay Teri Muhabbat Ne
Bohat Buzdil Bana Dala ..!

TUME KUCH FARQ NAI PARTA...

Mere rooth jane se..
YA..
Mere door jane se..
Haan..
Ye jan liya maine..
K..
Meri Dosti ka..
Zara ehsas nai tum ko..
Mere ashk bahane se..
Yunhi g ko jalane se..
TUME KUCH FARQ NAI PARTA..

K muj se guftago k tum..
Nai rahe kbi shoqeen..
Meri yadon mein kho k tum..
Nai rahe kbi ghamgeen..
Bus isi liye jaana..
Kiya hai ye faisla maine..
Tum se door jane ka..
K mere door jane se..
TUMHE KUCH FARQ NAI PRTA.

Pyar ki Mathematics....

jma'a o tafreek k is musalsl amal mein..
jo lamha b guzry plat'ta nahi
waqt k aainy mein koi aks b
aik pal say ziada tehrta nahi..
umar ki jis dahai ki sarhad py main hun wahan zamanay...
bhatkty huye tir jaisy zmanay
bs aik pal ko ruktay hain..
aaps mein miltay hain..
aik dusry ki taraf dekhty hain
mgr is sy pehly k kuch bol paayen..
mulaqat ka waqt yak nafs kahatam hota hai..
or zindagi jail k waardon ki trha in zmanon ko
phr bairkon k andhere mein le jati hai,
waqt ki bairkain..
jin mein maazi b hai or aainda b..
haal koi nahi..
aik pul ki trha umar k smandar pe tehra hua koi lamha nahi..
koi saal nahi..
abhi kuch donon mein
meri umer ki ye dahaai b guzri hui dahaaion ki trha..
ferda sy ubhray gi..
or khaak ho jaaye gi..
waqt k dasht e hairat mein kho jaye gi..

Abhi kuch dinoon mein..!!!

Umar k uljhye huwe raston par...

Umar k uljhye huwe raston par
Raat kali thi bohot
Hum tere dhayan main gum the
Aur phir har taraf phali huy
Bekhayali thi bohot
Aik sehmi huy umeed humari janib
Tere bare main sawali thi bohot
Hum ne bhi apni tamana ek ek
Teri janib hi uchali thi bohot
Aur jab louti to khali thi bohot
Umar k uljhye huwe raston par
Raat kali thi bohot
__________________

Thursday, October 20, 2011

~*Tue Hay Pahlu Main*~

Tuj se mil kar mujhye aksar
Yeh gumaan hota hay
Khawab jasi kaheen apni
Yeh mulaqaat na ho
Tue hay pahlu main magar
Phir bhi laga hay dharka
Meri dharkan se tera pyaar
Koi cheen na ley
Dil main rimjhim si huwa karti hay
Jis ki laye se teri jhajan ki woh
Jhankaar koi cheen na ley
Gair k hath main ek din
Yeh tera hath na ho
Jis qader naaz karon khud pe main
Utna kam hay
Mehrbaan muj pe bohot aaj hain
Baheen teri
Muj ko dar hay k wafa k kisi doraey par
Akhir_e_kar badal jayeen na raheen teri
Jeet kar bhi mujhye duniya se
Kaheen maat na ho

~*Ulfat Ki Rahoon Main*~

Hum ne tum se pyaar kiya hay
Ulfat ka ikraar kiya hay

Meri manzil meri rahain tuj ko dhundain tuj ko chahain
Tu hay mere pyaar ki janat karta rahon ga tuj se mohabbat
Chahat ka izhaar kiya hay

Dil main basa k pyaar ki surat aaj banayeen esi murat
Jis pe khizan ane na paey taajmahal jis se sharmaey
wahda meri jaan kiya hay

Ulfat ki rahhon main sathi saya ban k sath rahain gey
Bade saba k sath urein gey kali ghata k sath chalain gey
pyaar kiya tha pyaar kiya hay

Ae Dil e ishq Zadda...

Ae Dil e ishq Zadda
Raat kiss dard ki dewaar main chup chap basar ker aye

Ae Dil e Hijar Zadda
Dard Dahleez Nahin hai kah Guzer aiin Qadam Dherty huye
jab chaahain!!

Dard Dewar hai
kah dewar jis main her Rooz
Rooh chun deta hai Muddat se bichra hua koi

Raat kis Dard ke Sahra main bitta aye ho

Ae Dil e Dhoop Zadda
Dard bass Rait nahin hai kah ussy Roond ker agay Guzer jain

Dard Sehra hai
Dehkta hua Zalim Sehra
Paaon Perh Jaye Jo ik Baar to Jewan Jal Jaye

Raat kis Beety huye Ishq ki Yadoon main Guzar aye Hoo

“KASH MAIN TERA DIL HOTA“

Teri yadon teri sochon pe mushtamil hota
Tere sath
Main lamha lamha dharkta rehta
Khud se mujh Ko juda na tu Kr pata
Teri zindgi KA daar-o-madaar main hota
Mere baghair tera jeena boht mushKil hota
KASh main tera dil hota
Main agr Khush hota to Hasaata tujh Ko
Jo Kbi rota to sath rulata tujh Ko
Tere sang jeeta sang hi marta
Teri tamam chahaton KA Mehwar hota
KASh!
AYE KASh
K main is Qabil hotaKASH MAIN TERA DIL HOTA..

Mat Tor Woh Taluk Jo Teri Zaat Se Hai...

Mat Tor Woh Taluk Jo Teri Zaat Se Hai,
Tu khafa meri kis bat se hy?
Tu b na uljha kr mujh se is tarha
Jab tu achi tarha wakif mere jazbat se hy.
Mein kaisy ji loon tum se rooth kr,
Meri hr saans wäbasta teri yaad se hy.
Mera taluk jura hy kuch is tarha tum se
Jaisy insan ka rishta khud apny ap se hy.

Wo jo dil main tera maqam hai...

Wo jo dil main tera maqam hai,
Kisi or ko wo dia nahi,
Wo jo rishta tujh se hai ban gaya,
Kisi or se wo bana nahi,
Wo jo pyar tujh se ho gaya,
Kisi or se wo hua nhi,
Wo jo raaz tujh se hai kehdia,
Kisi or se wo kaha nhi,
Tu basa hai ankhon mey jis trha,
Koi or aise basa nhi,
Tu hua hai jitna qareebtar,
Koi or itna hua nhi,
Tera naam dil mey hai jistrha,
Koi naam aise likha nhi. “

Dua...

Raatoon ko uth kr
khyaloon sy ho kr
khwaboon mae kho kr
tmhe kia khbr hy
mae apny KHUDA sy
kia maangta hun

veeraanoon mae ja kr
daman phela kr
aansoo baha kr
tmhe kia khbr hy
mae apny KHUDA sy
kia maangta hun

tm to kaho gy
sanam maangta hun
ghnm maangta hun

tm to kaho gy
kisi dilruba ki
kisi dilnasheen ki
wafa maangta huna

ye b ghlt hy
wo b ghlt hy

mae apny KHUDA sy

ADAM k bety ki aankhun sy jaati hya maangta hun
HAWA ki beti k sir sy utrti RIDA maangta hun

Humay tum saath pao gay...

Mujhe bas itna kehna hai
Kabhi main yaad aaoon to
Kabhi tanhai ki raatain
Tumhain ziada sataein to
Kabhi titli na bolay to
Aur jugnoo lout jaye to
Kabhi jab dil bhi bhar jaye
Koi jab sunn na paye to
Agar sab dost sathi bhi
Jo tum se rooth jaaein to
Kabhi jab khud se lar lar kar
Thakan se choor ho jao
Kabhi chahtay huay bhi khud akelay
Ro na paao to
Apni aankhon ko band karna
Mujhay aawaz de dena
Aur phir meray tasawur se
Jo chaho batain keh dena
Meray kandhay pe sir rakh kar
Tum jitna chaho ro lena
Phir khud main jab loat jao to
Us he duniya me chalay jana
Magar bas itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khushiyon main
Humay dil se pukaro gay
Humay tum saath pao gay

itna Hi yaad Rakh Mujhe...

itna Hi yaad Rakh Mujhe
Jaise kisi kitaab Mein
Beetey Dinon ke Dost ka
Khat ik Para Huwa Miley

Lafz Mitey Mitey se Hon
Rang Uraa Uraa sahi
Lekin wo Ajnabi na Ho
Uth kar Tere Galey lage
Bhoole Huwe Tamaam Dukh
Guzrey Huwe Tamaam Sukh
Beetey Dinon ki kathaa
Tujh se kahe Aur Ro Pare

itna Hi yaad Rakh Mujhe
Beetey Dinon ke Dost ka
Jaise koi khat Hoon main
Rakha Huwa kitaab mein...

Tuesday, October 18, 2011

Ay Zindagi Tujhy Kia Mila...

Ay Zindagi Tujhy Kia Mila,
Yun Khyl K Mujh Sy BIlawaja,

Meri Husraton, Meri CHahaton,
Mery Khwabon Ko Jhinjhorh Kur,

Tu Ny Di Hy Jo Mujhy Saza
Wohi Ub Bana Naseeb Mera,

Meri Naadaniyon Ka Diya Jo SIla,
Ye Nadaniyaan Bhi Tu Hyn Tera Hi Ek Hissa,

Meri Zindagi Mujhy Ye Bata,
Usy To Hona Hi Nahin Tha Mera,

Phir Tu Ny Kyun Usy Mujh Sy Abhi Sy Juda Kiya,
Myn Maanti Hoon Nahin Myn Us Ki Aur Na Hi Who Mera,

Pur Kesy Bhool Jaoon K Who Hy Ab Mery Rom Rom Myn Basa,
Meri Zindagi Mujhy Ye Bata,

Mery Dil Ko Torh K Tujhy Kia Mila,
Gur Dyni Hi Hyn Yun Thokaryn,

To Torh Ly Meri Saanson Ka Ye Tujh Sy Rishta,
Meri Zindagi Mujhy Bata

Mery Jism o Jaan Myn Hy Kaun Basa,
Us Ki Mujh Myn Mojoodgi Sy, HY Tu To Khoob Aashna,

Hui Thi Mujh Sy Kiya Khata,
Meri Zindagi Mujhy Bata. . .

Mujhe ToOti Hui ChEEzOn Say Ik Be'nAAm Ulfat Hai. . . !!!

Kisi Bhi Morr Ya Aglay Parrao Par. . .
Juda Hi Hum ko Hona Hai To Aao Phir. . .
Yaheen Apnay Asaason Ko Alag kar lein. . .
Yeh Jitnay Zakhm Dil Par Hain. . .
Idhar Meri Taraf kar Do. . .
K Tum Aksar Ye kehtay Thay. . .
YeH Sab Meri Badolat Hain. . .

Magr Thehro. . .!
Zara Thehro. . .!
Yahan kuch khuwaab B Hongay. . .
Jo Mil K Hum Nay Dekhay Thay. . .
Suhaanay khuwaab Tum Rakh Lo. . .
AdhoOray Sab Mujhe Day Do. . .
K Meri Yoon B Aadat Hai. . .
Mujhe ToOti Hui ChEEzOn Say Ik Be'nAAm Ulfat Hai. . . !!!

~ Apne Paraye ~

Bol Hawa, Us Paar Zamany Kese Hain..?
Ujrray Shehar Me Yaar Purany Kese Hain?
Chand Utarta Hai Ab Kis Kis Aangan Me?
Kirnon Se Mehroom Gharany Kese Hain?
Lab'Basta Darwazon Pr Kya Beet Gai?
Galiyon Se Mansoob Afsany Kese Hain?
Jin K JhurMat Me Shaamain Dam Torr Gaeen
Wo Pyary, Pagal, Parwany Kese Hain?
MOHSIN Hum To Khair Khabar Se B Guzry
Apne Roothy Yaar Na Jany Kese Hain.!!!

Main Roee Tu Nahi Hoon

Na Janay Kyun Mera Kajal
Jab Bhi Daalo Aankhoon Main
Ab Akser Phail Jata Hai
Main Roee Tu Nahi Hoon

Tum Tu Jantay Ho In Dino
Bohat He Thand Hoti Hai
Tab He Hai Surkh Meri Naak
Main Roee Tu Nahi Hoon

Kaha Tu Hai Kay Yunhi Bus
Bheega Hai Aanchal Ka Kona
Choro Tum Fikar Mat Karo
Main Roee Tu Nahi Hoon

Nahi, Udaas Kab Hoon Main
Ziyada Kaam Kay Baes
Thakawat Ho He Jati Hai
Main Roee Tu Nain Hoon

Bahaar Aae Hai, Woh Ab Bhi
Nahi Aata Tu Na Aaye
Ab Us Ke Yaad Main Dekho
Main Roee Tu Nahi Hoon

Bata Dena Us Ko Ja Kar
Koee Khush Fehmi Na Paalay
Waisay Hi Surkh Hain Aankhain
Main Roee Tu Nahi Hoon...!!!

Tum Tu Jantay Ho In Dino
Bohat He Thand Hoti Hai

Dekhanaa hai vo mujh par meharabaan kitanaa hai..?

Dekhanaa hai vo mujh par meharabaan kitanaa hai
asaliyat kahaa.N tak hai aur gumaan kitanaa hai

kyaa panaah detii hai aur ye zamii.n mujh ko
aur abhii mere sar par aasamaan kitanaa hai

kuchh Khabar nahii.n aatii kis ravish pe hai tuufaa.N
aur kaTaa phaTaa baaqii baadabaan kitanaa hai

to.D pho.D karatii hai.n roz Khvaahishe.n dil me.n
tang in makaano.n se ye makaan kitanaa hai

kyaa uThaaye phirataa hai baar-e-aashiqii sar par
aur dekhane me.n vo dhaan-paan kitanaa hai

harf-e-aarazuu sun kar jaa.nchane lagaa yaanii
is me.n baat kitanii hai aur byaan kitanaa hai

phir udaas kar degii sarsarii jhalak us kii
bhuul kar ye dil us ko shaadamaan kitanaa hai

Tu koi raah, na dildaar, na khushboo koi..

Ab na aansoo hain, na aaina kaheen meray qareeb
Na wo mehfil hai mohabbat ki

Na wo manzar hai kaheen
Dil e betaab ko jo wajah tasalli ban jaye

Saaye ki tarah larazta hai, magar milta nahi
Dil khizan ka hai koi phool keh jo khilta nahi

Ik safar manzil e benaam ki khatir ker kay
Janay kis mor pe hum aaj rukay hain phir se

Ik safar manzil e benaam ki khatir ker kay
Janay kis mor pe hum aaye keh mur ker dekhain

Tu koi raah, na dildaar, na khushboo koi.
Aik sannatay ki aawaz musalsal goonjay

Uthti hai dil se meray lau dhuwain ki tarah
Ik dhundalkay main chupa leti hai manzar saray..

Mein Terey Shaher Say Guzra Toa..!!!

Mein Teray Shaher Say Guzra Toa Kuch Ajab Sa Laga..!!
Har Eik Morr Peh Naqaam Hasratoon Ka Hajoom..!!
Har Eik Raah Mein Maqrooz Khuwahi'shoon Ki Qataar..!!
Har Ek Qadam Peh Shikasta Nidama'ton Kay Mazaar..!!
Har Eik Aankh Mein Marg-e-Ta'luqaat Ka Soog..!!
Har Ek Rawish Peh Rawaan Justoju-e-Rizq Mein Log..!!
Tamam Log Wohi Log Thay Kay Jin Say Kabhi..!!
Nazar Chura K Guzarta Tha Mein Hawa Ki Tarah..!!
Tamam Sa'yee Meri Aankh Mein Bikhartey Rahey..!!
Kisi Kareeb Ki Basti Kay Aash'na Ki Tarah..!!
Mein Teray Shaher Say Guzra Toa Kuch Ajab Sa Laga..!!
Keh Jaisay Shaher Wohi Hay, Wohi Nahe Hay Magar..!!
Koi Gali , Koi Manzer, Kisi Rawish Ka Mizaaj..!!
Jabeen-e-Khaak Mein Pai'west Hein Firaaq Kay Daagh..!!
Fazaa-e-Zard kay Sa'ye Mein Ehtiyaat Kay Saath..!!
Ujaar Baam Mein Chalta Howa ........... Udaas Chiragh..!!
Hawa Say Pooch Raha Tha...... Ek Ajnabi Ki Tarah..!!
Meray Safar Ka Sabab.....Teray Hamsafar Ka Suraag..!!
Har Ek Sawal Muje Kitna Be-Sabab Sa Laga...!!
Mein Teray Shaher Say Guzra Toa Kuch Ajab Sa Laga...!!

Mohsin Naqvi
Book: Tuloo-e-Ashk

" mera noha inhiiN galiyoN ki hawa likkhe gii "

maiN ke is shahar ka sIImaab-sifat shaayar hooN
meriI takhliiq mere fikr ki pehchaan bhi hai
mere harfoN, mere lafzoN mein hai chehra mera
mera fan ab mera mazahab, mera iimaan bhi hai
meer-o-ghalib na sahii phir bhi ghaneemat jaano
mere yaaroN ke sarahaane mera deewaan bhi hai

mujh'se poochho ke shikast-e-dil-o-jaaN se pahale
mere ehsaas pe guzarii hai qayaamat kya-kya
saaya-e-daar-o-shab-e-gham ki sakhaawat se alag
main ne sochii qad-o-gesu kii alaamat kya-kya
mere toote hue khwaboN ke kharaaboN se pare
mere bikhre hue jazbe the salaamat kya-kya

tanz-e-aghyaar se ehabaab ke ikhlaas talak
main ne har nemat-e-uzma ka libaada pahana
dast-e-qaatil ki kashish aap gawaahi de gi
main ne har zakhm qaba se bhi zyaada pahana
meri aankhoN mein kharaashein theeN dhanak ki lekin
meri tasveer ne malboos to saada pahana

zarbat-e-sang-e-malaamat mere seene pe saji
tamgha-e-jurrat-o-ezaaz-e-hukoomat ki tarha
khul ke barsi meri sochoN pe adaawat ki ghata
aasmaanoN se utarti huii daulat ki tarha
qarya-qarya huii ruswa mere fan ki chaahat
kone-kone mein bikharti huii shohrat ki tarha

mujh pe karhki hain kamaanein mere gham-khwaroN ki
mere ashkoN ka tamaasha sar-e-baazaar huaa
mere aangan mein hawaadis ki sawaari utri
mera dil wajh-e-azaab-e-dar-o-deewaar huaa
ishq mein izzat-e-sa'adaat bhula kar aksar
meer saahab ki tarha main bhi gunahgaar huaa

apni ujrhii huii aankhoN se shuaayeiN le kar
main'ne bujhatii huii sochoN ko jawaanii dii hai
apnii ghazloN ke sukhan-taab sitaare chun kar
saNgreizoN ko bhi aashufta-bayaanii dii hai
husn-e-khaak-e-rah-e-yaaraaN se mohabbat kar k
main'ne har morh ko ik taaza kahaanii dii hai

mujhse roothe hain mere apne qabeele waale
mere seene mein har ik teer-e-sitam toota hai
lafz-o-ma'nii ke taqaazoN se ulajh kar aksar
mere haathoN mera majrooh qalam toota hai
karb-e-na-qadri-e-yaaraaN ke bhanvar mein ghir kar
baar-ha dil ki tarha shauq ka dam toota hai

main ke is shahar ka seemaab-sifat shaayar hoon
main ne is shahar ki chaahat se sharf paaya hai
mere a'ada ka ghazab abr-e-karam hai mujh ko
mere ehabaab ki nafrat mera sarmaaya hai
meri bikharii huii rusawaai hai shoharat meri
mere seharaa ki tamaazat mera sarmaaya hai

mutma'in hoon ke mujhe yaad rakhe gii duniya
jab bhii is shahar ki tareekh-e-wafa likhe gii
mere ghar ke dar-o-deewaar mujhe sochein ge
vus'at-e-dasht mujhe aabla-pa likhe gi
mera maatam isii chup-chaap fiza mein hoga
mera noha inhiiN galiyoN ki hawa likhe gii...

Manzil...

Ajnabi si rahon ka...
Ajnabi musafir ak...
Mujh se poch betha he...
Rasta bata do gay...
Ajnabi si rahon k...
Ajnabi musafir sun...
Rasta koi bi ho...
Wasta koi be ho...
Manzilain nahi milti...
Manzilein tu dhoka hain...
Manzilain agar mil be jayen...
Tu justajoo nahi rehti...
Zindgi ko jeney ki arzoo nahi rehti.

~ Ishq ~

Tairi khushbu mjh main aisay
jaisay til main tail
mjh sy lipti koi to daikhay
tairay ishq ki bail...!!

Izzaton say barh ker tou aur kuch nahee hota

Izzaton say barh ker tou aur kuch nahee hota
Chahton ki dori bhi,
Torna hi parti hay
Manzilon ki kashti bhi,
Morna hi parti hay
Bhoolna hi parta hay,
Khud say piyaray logon ko
Aur dil kay aangan mein,
Naqsh un ki tasweerain
Kuch haseen lafzon ki,
Kuch haseen tehreerain
Paaoon jin mein jukrain hon,
Kholna hi parti hain
Khoobrurat aankhon mein basnay walay khawbon ko
Nochna hi parta hay
Dil say milta her rishta torna hi parta hay……
kiun keh……
Izzaton say barh ker tou aur kuch nahee hota!!!

MAIN NY ESY BHI KHWAB DEKHY HEIN........

Tu meri justju k jangal mein...
Mehv-e-takreeb-e-abla payi...
Orh kar khal-o-khad pe tanhai...
Apni ankhon mein dopehr ko gholy...
Unglion par lpait kar lamhy...
Dhalti chaon mein kaakulein kholy...
Surkh anchal mein bandh kar khushbu...
Band hathon mein sham ki mehndi...
Garm sanson mein hanpty ghungru...
Narm honton pe rut ki raanayi...
Hamrah-o-moaja-e-shanasaayi...
Ghar sy be-asra nikal ayi...
Tu ny shakhon sy cheen kar jugnu...
Patty patty pe khwahishen rakheen...
Cheel kar chaal sabz pairon ki...
Apny ashkon ki roshnayi sy...
Choob-e-shaffaf par b'sad-e-hasrat...
Mudaton mera naam likha hy...
Hijar k be-knar sehra mein...
Tery honton ki pyas ny aksar...
Meri khatir sarab dekhy hein...
MAIN NY ESY BHI KHWAB DEKHY HEIN........

Baab bohat he acha tha...

uss man gharhat kahani ka ik baab bohot hi achha tha,

kahani thi ya afsana tha pr unwaan bohot hi achha tha,

her ik lafz ko parha main ne barey hi armanoon se,

khoon-e-dil ki sayyahi se likhha pyaar ka wo iqraar bohot hi achha tha,

janey wala chala gya mera dil ussi k saath gya,

pr jatey howey uss ka wo aakhri slam bohot hi achha tha,

laal gulabi chehrey pr achha sa ik chashma tha,

main her ik se kehta hoon mera dildaar bohot hi achha tha,

main pagal dewana hoon pagal hi naam mera,

uss k liyey mera yeh naam bohot hi achha tha