EIk lamhe ko Thahar, maiN tujhe patthar laa duuN
maiN tere saamane ambaar lagaa duuN lekin
kaun se rang kaa patthar tere kaam aayegaa
surKh patthar jise dil kahatii hai bedil duniyaa
yaa vo patthraa’ii hu’ii aaNkh kaa niilaa patthar
jis meN sadiiyoN ke tahayyur ke paRe hoN Dore
kyaa tujhe ruuh ke patthar kii zaruurat hogii
jis pe haq baat bhii patthar kii tarah girtii hai
ik vo patthar hai jise kahte haiN tahziib-e-safed
us ke mar-mar meN siyah Khuun jhalak jaataa hai
ik insaaf kaa patthar bhii to hotaa hai magar
haath meN teshaa-e-zar ho to vo haath aataa hai
jitne mayyaar haiN is daur ke sab patthar haiN
sher bhii raqs bhii tasviir-o-Ghinaa bhii patthar
mere ilhaam teraa zahn-e-rasaa bhii patthar
is zamaane meN har fan kaa nishaaN patthar hai
haath patthar haiN tere merii zubaaN patthar hai
ret se but na banaa ai mere achchhe fankaar. . .