Mein Teray Shaher Say Guzra Toa Kuch Ajab Sa Laga..!!
Har Eik Morr Peh Naqaam Hasratoon Ka Hajoom..!!
Har Eik Raah Mein Maqrooz Khuwahi'shoon Ki Qataar..!!
Har Ek Qadam Peh Shikasta Nidama'ton Kay Mazaar..!!
Har Eik Aankh Mein Marg-e-Ta'luqaat Ka Soog..!!
Har Ek Rawish Peh Rawaan Justoju-e-Rizq Mein Log..!!
Tamam Log Wohi Log Thay Kay Jin Say Kabhi..!!
Nazar Chura K Guzarta Tha Mein Hawa Ki Tarah..!!
Tamam Sa'yee Meri Aankh Mein Bikhartey Rahey..!!
Kisi Kareeb Ki Basti Kay Aash'na Ki Tarah..!!
Mein Teray Shaher Say Guzra Toa Kuch Ajab Sa Laga..!!
Keh Jaisay Shaher Wohi Hay, Wohi Nahe Hay Magar..!!
Koi Gali , Koi Manzer, Kisi Rawish Ka Mizaaj..!!
Jabeen-e-Khaak Mein Pai'west Hein Firaaq Kay Daagh..!!
Fazaa-e-Zard kay Sa'ye Mein Ehtiyaat Kay Saath..!!
Ujaar Baam Mein Chalta Howa ........... Udaas Chiragh..!!
Hawa Say Pooch Raha Tha...... Ek Ajnabi Ki Tarah..!!
Meray Safar Ka Sabab.....Teray Hamsafar Ka Suraag..!!
Har Ek Sawal Muje Kitna Be-Sabab Sa Laga...!!
Mein Teray Shaher Say Guzra Toa Kuch Ajab Sa Laga...!!
Mohsin Naqvi
Book: Tuloo-e-Ashk