Tuesday, October 18, 2011

" mera noha inhiiN galiyoN ki hawa likkhe gii "

maiN ke is shahar ka sIImaab-sifat shaayar hooN
meriI takhliiq mere fikr ki pehchaan bhi hai
mere harfoN, mere lafzoN mein hai chehra mera
mera fan ab mera mazahab, mera iimaan bhi hai
meer-o-ghalib na sahii phir bhi ghaneemat jaano
mere yaaroN ke sarahaane mera deewaan bhi hai

mujh'se poochho ke shikast-e-dil-o-jaaN se pahale
mere ehsaas pe guzarii hai qayaamat kya-kya
saaya-e-daar-o-shab-e-gham ki sakhaawat se alag
main ne sochii qad-o-gesu kii alaamat kya-kya
mere toote hue khwaboN ke kharaaboN se pare
mere bikhre hue jazbe the salaamat kya-kya

tanz-e-aghyaar se ehabaab ke ikhlaas talak
main ne har nemat-e-uzma ka libaada pahana
dast-e-qaatil ki kashish aap gawaahi de gi
main ne har zakhm qaba se bhi zyaada pahana
meri aankhoN mein kharaashein theeN dhanak ki lekin
meri tasveer ne malboos to saada pahana

zarbat-e-sang-e-malaamat mere seene pe saji
tamgha-e-jurrat-o-ezaaz-e-hukoomat ki tarha
khul ke barsi meri sochoN pe adaawat ki ghata
aasmaanoN se utarti huii daulat ki tarha
qarya-qarya huii ruswa mere fan ki chaahat
kone-kone mein bikharti huii shohrat ki tarha

mujh pe karhki hain kamaanein mere gham-khwaroN ki
mere ashkoN ka tamaasha sar-e-baazaar huaa
mere aangan mein hawaadis ki sawaari utri
mera dil wajh-e-azaab-e-dar-o-deewaar huaa
ishq mein izzat-e-sa'adaat bhula kar aksar
meer saahab ki tarha main bhi gunahgaar huaa

apni ujrhii huii aankhoN se shuaayeiN le kar
main'ne bujhatii huii sochoN ko jawaanii dii hai
apnii ghazloN ke sukhan-taab sitaare chun kar
saNgreizoN ko bhi aashufta-bayaanii dii hai
husn-e-khaak-e-rah-e-yaaraaN se mohabbat kar k
main'ne har morh ko ik taaza kahaanii dii hai

mujhse roothe hain mere apne qabeele waale
mere seene mein har ik teer-e-sitam toota hai
lafz-o-ma'nii ke taqaazoN se ulajh kar aksar
mere haathoN mera majrooh qalam toota hai
karb-e-na-qadri-e-yaaraaN ke bhanvar mein ghir kar
baar-ha dil ki tarha shauq ka dam toota hai

main ke is shahar ka seemaab-sifat shaayar hoon
main ne is shahar ki chaahat se sharf paaya hai
mere a'ada ka ghazab abr-e-karam hai mujh ko
mere ehabaab ki nafrat mera sarmaaya hai
meri bikharii huii rusawaai hai shoharat meri
mere seharaa ki tamaazat mera sarmaaya hai

mutma'in hoon ke mujhe yaad rakhe gii duniya
jab bhii is shahar ki tareekh-e-wafa likhe gii
mere ghar ke dar-o-deewaar mujhe sochein ge
vus'at-e-dasht mujhe aabla-pa likhe gi
mera maatam isii chup-chaap fiza mein hoga
mera noha inhiiN galiyoN ki hawa likhe gii...