Saturday, December 31, 2011

sab log thay manzil ko rawan dawan....

sab log thay manzil ko rawan dawan
aur main tha keh kinaray ko na chu saka
mare chashm nam hoen bi gar
mujhay khumar-e-qalb na puhncha saka
mare khwahishon ke amartain,
veraan bastion main sutoon milay
mare aik aik jo dewaar the,
usay phir say tameer na kar saka
meray chaman main jo khizaan aye,
usay moj-e-bahar na dila saka
meray dast badast main jo dhul the
usay aik he aah nay ura dia
mare ainay mein jo tasveer the
usay rooh-e-imaan na dila saka
mare nao thi keh mojon mein rawan dawan
aur main tha keh kinaray ko na chu saka

Akhri Din....

DECEMBER k maheenay ka 
wo shayed akhri din tha...
Guzray bras kahin mein ne.....
Muhabbat lafz likha tha...
Kisi kaghaz k tukray pr....
Achanak yaad aya hai....
guzray baras kahin mujh ko...
Kisi se baat krni thi....
Usay kehna tha jaan e jaan....
Mujhe tum se muhabbat hai....
Mgar mein keh nhin paya....
Wo kaghaz aaj tk lipta pra hai dhool main lekin.....
kisi ko dey nhin paya...
DECEMBER phir k aaya hai....
DECEMBER phir se ja rha hai....
mgar!dobara chah kr bhi mein...
MUHABBAT kr nhin paya..

Chand jalta raha....

Meri aankhon main aansou pighalta raha
Chand jalta raha
Teri yadoon ka suraj nikalta raha
Chand jalta raha
Koi bister pey shabnam lipetey huwe
Khawab dekha kiya
Koi yadoon main karwat badalta raha
Chand jalta raha
Meri aankhon main kampes ki sab saiteen
Jaagti hain abhi
Nehir par tuh merey sath chalta raha
Chand jalta raha
Main to yeh janta houn k jis shab mujhey
Choor kar tum gaye
Aasman se sholah nikalta raha
Chand jalta raha
Raat ai toh kia kia tamashey huwe
Tuj ko maloom hay ?
Teri yadoon ka suraj ubalta raha
Chand jalta raha
Raat bhar meri palkon ki dhaliz par
Khawab gertey rahey
Dil tarapta raha,haath malta raha
Chand jalta raha
Yeh december k jis main kari dhuop bhi
Mithi lagne lage
Tum naheen to december sulagta raha
Chand jalta raha
Aaj bhi woh taqadas bhari raat mehki
Huyi hay "Wasi"
Main kisi main, koy muj main dhalta raha
Chand jalta raha

Tuh hay kahan....?

Tuh hay kahan ?
Sham hay yahan
Aaa ja mere liye
A jaaa

Tuj se yeh kahna hay
Mil kar hi rahna hay
Rukna kaheen naheen

Rasmon ko toor k
Sapnon ko joor k
A jaaa mere liyee
Mere liye mere liye

Mousam bhi pouchey ga
Rasta bhi roke ga
Rukna kaheen naheen

Tuh mera sapna hay
Main tera apna houn
Aaaa ja merey liye
Mere liye
Mere liye

Pal bhar ki baat hay
Jiwan ka sath hay
Rukna kaheen naheen
jhukna kaheen naheen
Jitney bhi rang hain
Sab tere sang hain
Aaaa ja mere liye
Mere liye
Mere liye

Roag...

Duniya ki lambi raahon par,
Hum youn to chalte jate hain,

Kuch aisay loog bi milte hain,
Jo yaad hamesha ate hain,

Wo raah badalte hain apni,
aur murr kar hath hilate hain,

Lekin dilon ki yaadon ko,
Khushboo ban kar mehkate hain,

Aisay hi safar karte karte,
Ek shakhs mila hum ko bi kahin,

Duniya mai achay loog bohat,
Lekin uski si baat nahi,

Thi laag na uskay bolon mai,
Ki baat na koi Lagawat ki,

Uskay Fiqray tootay tootay,
uski aankhain khoi khoi,

Keh kar hi na jaye jo hum chahain,
Socha hi kare bethe bethe,

Par dekhe aisay narmi se,
Ek baar to ho jaye dhoka,

Goo sath hamara khwaab raha,
Usko na hoi pehchan bohat,

Gar bhooj le dil ki baat kabhi,
Ho jata tha Hairaan bohat,

Aur hum uski Hairani par,
Sharminda ho kar reh jate,

Kuch aur hamara Matlab tha,
Phir dair talak usko samjhate,

Ab Chehra uska ho Ujjla,
Ya Aankhain uski hon Gehri,

Ya uskay pyaray honton ki,
Har baat lagay thehri thehri,

Kuch loog jo achay hote hain,
Aur raahon mai mil jate hain,

Hain unko apne kaam bohat,
Kab apna waqt ganwate hain,

KAB PYASE PYASE REHTE HAIN,
KAB JEE KO ROOG LAGATE HAIN...

Tum Hansti Achi Lagti ho...

Tum waaqeyi achhi larki ho
ya muj ko achhi lagti ho
chehrey ki udaasi door karo
kyooN ji apna ranjoor karo
woh wa'adey wafa nebhaney ky
tum bhool gayeeN mujee yaad rahey
kya shaan tumhari ghatt jati
jo efaa karney aa jateeN
ab kin batooN meiN khooyi ho
ab kin sochooN meiN doobi ho
chehrey ko zara uthaoo to
aankheeN bhi chaar kar dekhoo
ghum chhorhoo, dil ki baat karoo
tum hansti achhi lagti ho
chehrey ki udaasi door karoo
woh khat jo tumhara aaya tha
woh khat tha ya afsana tha
gar peet hamari chahye thi
jhooli ko zara phelana tha
jab ham ny kaha tha, mat jawo
our chhorh ky ham ko mat jawo
tom sunti theeN chup rehti theeN
chehrey pe liye udaasi si
tum bekal bekal rehti theeN
jab ham ny kaha tha, ghum chhorho
ghum chhorho dil ki baat karo
Tum hansti achhi lagti ho
chehrey ki udaasi door karoo
HaaN Eid to aati rehti he
par deed to baqi rehti he
gar Eid pe tum hi aa jateeN
our deed tumhari ho jati
yeh moqaa achha moqaa tha
tum aateeN galey sy lag jateeN
woh baat to aani jani thi
par ban gayi ik kahani si
ab is ka qissa pak karo
Tum hansti achhi lagti ho
Chehrey ki udaasi door karo..........

Jab Yunhi Kabhi...


Jab Yunhi Kabhi Baithay Baithay
Kuch Yaad Achanak Aa ja Ay

Her Baat Say Dil Bayzar Sa Ho
Her Cheez Say Dil Ghabra JaAy

Karna Bhi Mujhay Kuch Aur He Ho
Kuch Aur He Mujh Say Ho JaAy

Kuch Aur He Sochoon Mein Dil Mein
Kuch Aur He Hontoon Per Aa Ay

Aisay He Kisee Aik Lamhay Mein
Chupkay Say Kabhi Khamoshi Mein

Kuch Phool Achanak Khil Ja Ain
Kuch Betay Lamhay Yaad Aa Ain

Us Waqt Terey Yaad Aatee Hai
Jab Chandni Dil Kay Aangan Mein

Kuch Kehnay Mujh Say Aa jaAy
Ik Khwabedaa Se Chote Koi

Ehsaas Pay Meray Chaa jaAy
Jab Zulf Parayshaan Chehray Per

Kuch Aur Parayshaan Ho JaAy
Kuch Dard Bhi Dil Mein Honay Lagay

Aur Saans Bhi Bojhal Ho jaAy
Aisay He Kisee Aik Lamhay Mein

Chupkay Say Kabhi Khamoshi Mein
Kuch Phool Achanak Khil JaAin

Us Waqt Terey Yaad Aatee Hai
Jab Shaam Dhalay Chaltay Chaltay

Manzil Ka Na Koi Naam Milay
Hansta Hua Ik Aaghaz Milay
Rota Hua Ik Anjaam Milay

Palkoon Kay Laraztay Ashkoon Say
Is Dil Ko Koi Paygham Milay

Aur Sari Wafaoon Kay Badlay
Mujh Ko He Koi Ilzaam Milay

Aisay He Kisee Aik Lamhay Mein
Chupkay Say Kabhi Khamoshi Mein

Kuch Phool Achanak Khil JaAin
Kuch Beetay Lamhay Yaad AaAin

Us Waqt Terey Yaad Aatee Hai
Shidat Say Terey Yaad Aatee Hai

Larkiyan Adhoori Baatein Hi Kehti Achi Lagti Hain...!!

Adhoori Baaton Ki Fiza Main
Adhoori Baaton Ka Maza
Chaley Tu Kabhi Aab-e-Hayat Jesa, Kabhi Khak Jesa
Kabhi Khawabon Main Azab Jesa, Kabhi Azab Main Sawab Jesa
Kabhi Barishon Main Khiltey Gulab Jesa
Kabhi Khawahishon Key Behtey Sarab Jesa
Phir Bhi Larkiyan Adhoori Baatein Kehti Hi Achi Lagti Hain
Aankhein Kholein Tu Lafz Na Kholein
Dil Kholein Tu Khayal Na Kholein
Weswason Key Anjan Jazeeron Main
Kabhi Rul Jaein Tu Dair Talak Na Bolein
Adhoori Baatein, Bey Wajah Baatein, Bey Kheyal Baatein
Jo Shorow Ho Ker Kabhi Khatam Na Hoon
Aankh Macholi Khelein, Gum Na Hoon
Ek Mosalsal Keyfiut Chaley, Kam Na Hoon
Diye Taiz Hawa Main Bhi Rahein, Madhem Na Hoon
Adhoori Bey Naam Baatein, Bey Qarar Baatein, Bey Shumar Baatein
Hamesha Bey Naam Nahi Hotin, Gumnaam Nahi Hotin
Sukh Ki Chader Main Lipti Larkiyan Hamesha Sukh Ki Neend Nahi Sotin
Khawahishon Ki Moonh Band Kaliyan Monafqut Ki Sarzameen Per
Chup Chup Rotin, Akser Khul Nahi Paatin
Adhoori Baaton Main Dorhti, Chupti Adhoori Khawahishein
Mager Adhoori Baatein Sun'na Hamesha Achi Lagti Hain
Jo Aankhein Dair Tak Nahi Sotin, Subha Jalti Hain
Imkaan Key Beech Ek Makaan Bana Ker Iss Main Rehtey
Larkiyan Pal Pal Main Sadiyon Key Anokhey Dukh Jhailtey Hain
Phir Bhi......
Larkiyan Adhoori Baatein Hi Kehti Achi Lagti Hain...!!
__________________

Kitne baras lage.....??

Kitne baras lage
ye janne main
k mere ander tera hona kia hai
aisa hona bhi chahiye tha
shaam hote hi
chaand main roshni nahi aajati
raat hote hi
raat ki rani mehak nahin utth'ti
shaam our khushboo k beech
aik aisa lamha hota hai
jis ka humari zameen se koi taa'lluq nahin hota
us aasmaani lamhe ne
ab humain choo liya hai ...!!

Poetess : Perveen Shakir

Aey mere dil.....!

Aey mere dil!
Tou jo kahe tou tujh say ek baat kahun
Kbhi aa mere tou robaro
K tujh say mujhe yeh hai pochna
Tou hain kon mujhe faqt yeh bata
Teri hasraton ka hai shumar kya
Teri khuwahishon ki hai hadood kya
Tere junoon ko hai Qarar kahan
Tujh main Pinipti nafraton ki hai rook kya
Teri mohabton ki intiha ki hai hadh_e_nazar kahan
Kabhi aa jo mere robaro
Mujhe tujh say faqt hai yeh pochna

WAQT

Sath sath waqt kay
Chahatein badalti hain
Jane kitni khuwashain
Hasraton main dhalti hain
Din jane kan kata
Jane kab dhali wo shab
Chahaton ki khuwahish pay
Jane kab pari thi baraf
Jane sare walwalay
Kaise bhaap ho gaye
Mere sare khuwab kion
Abdi neend so gaye
Ghulab jo hansi k thay
Ansoon main dhal gaye
Jab teri nigah k
zaaviey bdal gaye….

Wisaal-O-Hijr Mein....

Wisaal-O-Hijr Mein
Ya Khwab Se Mahroom Aankhon Mein
Kisi Ahd-E-Rifaqat Mein
Ke Tanhai Ke Jangal Mein
Khyal-E-Khal-O-Khad Ki Roshani Ke Gahre Baadal Mein
Chamkti Dhoop Me Ya Phir
Kisi Be Abr Saye Mein
Kahin Baarish Me Bhige Jism-O-Jaan Ke Nasrparon Mein
Kahin Hoton Pe Shairon Ki Mahaktie Aabsharon Mein
Chiraghon Se Saji Shaamon Mein
Ya Benoor Raaton Mein
Sahr Ho Runuma Jaise Kahin Baaton Hi Baaton Mein
Koi Lipta Hua Ho Jis Tarah
Sandal Ki Khushboo Mein
Kahin Pe Titliyon Ke Rang Tasweeren Bana Te Hon
Kahin Pe Jugnuon Ki Muthiyon Me Roshani Khud Ko Chupati Ho
Kahin Kaisa Hi Manzar Ho
Kahin Kaisa Hi Mausam Ho
Tere Saare Hawalon Ho
Teri Saari Misalon Ko
Mohabbat Yaad Rakhti Hai...

Sab tumharay liye.....

Jaan-e-jaan yeh jahaan, yeh zameen aasmaan.
yeh mere raat din khaak main tere bin.
yeh meri zindgi, dosti , dushmani.
rastay , wastay sab tumharay liye.
tum jo dekho to mere shab-o-roz ko
koi matlab millay.
tum jo poocho to mere har ik harf ko.
koi rutba millay koi munsib millay.
tum jo socho mere wastay kuch bhi.
main sitaaroon ko muthi main bhar laoon ga.
tum agar aik mujh ko awaz do.
main jahan per bhi hoon laot kar aaooon ga.
yeh mere jism-o-jaan mere sheir-o-sakhan.
meri tanhayiaan bazam araayiaan
ab tumharay liye
SAB tumharay Liye
(Amjad Islam Amjad)

Naya Saal Puranay Khowab.....

Naya Saal Puranay Khowab
Ye Mah o Saal Tu Guzartay Chalay Jatay Hain
HUm Har Naye Saal Ki Aamad Per
Yeh Socha Karay Gay
Ab Kay Baras Judaii Ka Taweel Mousam Khatam Ho Jaye Ga
Shayed
Lakin Har Guzartay Baras Ki Tarah
Mousam -e- Hijar Humaray Darwaza Per
Dastak Day Ga
Hum Hanstay Aansoon Kay Saath
Ak Baar Phir
Roti Hoii Baharon Ko
Khush Aamdaid Kahain Gay

Chupke chupke jal jaatay hain...

Chupke chupke jal jaatay hain
Log mohabbat kaarnay walay
Purwaa sang nikal jaatay hain
Log mohabbat karnay walay

Ankhon ankhon chal partay hain

Taaron ki Qandeel liye
Chaand k saath hi dhal jaatay hain
Log mohabbat karnay walay
Dil main phool khila detay hain
Aag main raag jaga detay hain
Paani beech batashay soorat
Khud tu ghultay rehtay hain
Ghum ko shehad bana detay hain
Log mohabbat karnay walay

Titli titli lehratay hain
Phoolon ki umeed liye
Aik din khushboo ban jaatay hain
Log mohabbat karnay walay!

Friday, December 30, 2011

Hum Nazuk Nazuk Dil Wale...

Hum Nazuk Nazuk Dil Wale
bus kuch aise hi tho hote hain
Kabhe Hanste Hain Kabhe Rotay Hain
Kabhe Dil Main Khuwab Pirotay Hain
Kabhe Mehfil Mehfil Phirtay Hain
Kabhe Zaat Main Tanha Hotay Hain
Kabhe Chup Ki Muhar Sajatay Hain
kabhi geet labon par late hain
kabhi sub ka dil bahlate hain
kabhi khud main tanha hote hain
Kabhe Shab Bhar Jaagtay Rehtay Hain
Kabhe Lambi Taan K Sotay Hain
Hum Nazuk Nazuk Dil Wale
Bas Apne Aap Main Rehtay Hain
Hum Kab Kisi K Hotay Hain.....

~*Tere Binaa *~

Tere binaa yun ghariyaan biteen
jaise sadiyaan beet gayeen
Khud manzil ko thukraya hay majbori k saye hain
Tarikhi main hum ne apne dil k dag jalye hain
Haar gaye do pyaar bhare dil
Zalim rasmeen jeet gayeen
Luut liya halaat ne hum ko
Tera jahan abaad rahe
Kaash humeen tu bhuul hi jaye
pyaar na tuj ko yaad rahe
patjhar hi anjaam tha jin ka
Ab woh bahareen beet gayeen!!!

Teray Ho Bhi Nahi Saktay....

Naa Tujhay Chhor Saktay Hain,
Teray Ho Bhi Nahi Saktay
Ye kaise Be-Basayi Hay
Aaj Hum Ro Bhi Nahi Saktay

Yea Kaisa Dard Hai
Pal Pal Humay Tarpayee Rakhta Hai
Tumhare Yad Aate Hi
To Phir So Bhi Nahi Saktay

Chhupa Saktay Hain Aur Naa Hum
Deekha Saktay Hain Logoo Ko
Kuch Aisay Daagh Hain Dil Per
Jo Hum Dho Bhi Nahi Saktay

Kaha Tha Chhor Dengay Yea Nagar
Phir Ruk Gaye Laikin
Tumhay Paa To Nahi Saktay
Magar Kho Bhi Nahi Saktay

Humara Aik Hona Bhi
Mumkin Nahi Raha Aab To
Jeeayen Kaise Kay Tum Say Door Aab Ho Bhi Nahi Saktay

Ghum Mila Toh Ro Na Sakhey...

Ghum Mila Toh Ro Na Sakhey,
khushi Mili To Hans Na Sakhey,
Yeh kaisa Raaz Hey Zindegi Ka,
Ham Samaj Na Sakhey,
jis ko chaha,Apna Na bana Sakhey...

Aap chale Gayen,
Phir Bhi Dil se Nikhaal Na Sakhey,
Par jab Aap The,
Pass Bhi Na Aa Sakhey,
Ab Aapki Yaadon ko
Seene Se Lagaake Phirthey Hain,
Saamne Aap ko Paa kar Bhi
Gale Na Lagaa Sakhey,
Yeh kaisa Raaz Hai Zindagi ka,
Ham na Samaj Sakhey,
jis Ko Chaha Aapna Na Bana Sakhey...
Ab Palko ko Band karke ,
Pal Mein Apke pass Hote Hein,
Magar jab Ankhon ke Samne Thay,
jee Bhar ke Dekh Bhi Na Sakhey,
Dil Dard se Bharaa Huaa Tha
Lekin Ro Na Sakhey,
Yeh kaise Raaz Zindegi ka,
Ham Na Samaj Sakhey,
Na Chup Rah Sakhe Na Pyar jataa Sakhey...
Ab Aap K Saath ke Liyeh
Har Pal Tarapte Hein,
Magar jab Aap Tarap Rahey the,
To Saath Na Desakhey,
Dil To Rotaa Rahey Par
Ankhon Se Ansoo Na Bahein!!
Pyaar K is Riwaj ko Na Samaj Sakhey...
Dil itni *** Khakar Bhi
Aap Hee ko Chhahta kyon Hai,
Hum Samaj Na Sakhey,
Aap ke Laakh inkaaron K Baad Bhi....
Aap Hamarey Nahin Hein!
Ye, Dil ko Samjha Na Sakhey,
Laakh Chaaha Humne..
Phir Bhi Aapko Bhula Na Sakhey...
Aap Humein Bhool Gaey,
Magar Hum Na Bhoola Sakhey..
Jaise Khuwaab Zindagi,
Aur Zindagi khuwaab Na Ho Sakhey,
Waise Aap Hamare Na Ho Sakthey,
Aur.....
Hum kisee Aur ke Na Ho Sakhhe...

Meri mohabat .....

Meri mohabat seepion ki manand bekimat perhi hai
Kabhi barish ka pehla katrah ban ker to dekho

Mujhy meri mohabat mily gi zaroor !
Isi yakeen ka bharam rakh ker to dekho

Mery saber ka imtihan aur na lo
Bas aik! aik bar mery samny a ker to dekho

Milain gay tujhy wafaon k naghmy
Mery dil ki dharkan ban ker to dekho

Main tujhy door asmano pe chand ki manand chamakta dekhti hun
Kabhi asman se meri dil ki zamin pe uter ker to dekho

Ye wadhain wafaian ,ye khushian ye ansoon, tarap ye kasak!
Mohabbat ka mafhoom samajh ker to dekho

Main apni mohabbat ki sachaion ka yakeen dilaon to kaise?
Kabhi khuda se meri mohabat k bary main poch ker to dekho

Dear kia karu duniya hi asi hai...

Dear kia karu duniya hi asi hai

"tum jaa to rahe ho par itna to bata do
is dil se kya karun ise kaise samjaun
is ke totne ki awaz to na ayee tumhe
par uske tukdon ko le kar mai kahan jaoon

tum jaa to rahe ho par itna to bata do
un yaadon ka mai kya karun
tumhare likhe khaton ko main kahan jalaun
kessey baar baar sataoon kisey manaoon

tum jaa to rahe ho par itna to bata do
meri siskiyon mein bhi tumhara hi naam hai
in ashkon ko mai kahan chhupaun
tum shumaar ho abhi tak pardanasheeno mein

log sabab puchenge to bolo mai kya bataun
tum jaa to rahe ho par itna to bata do
tujhe bhulaane ke kaunse tareeke apnaoon
meri dhadkan, har saans ki rawangi ho tum
tujhe bhoolane ki koshish mein kahin mar na jaoon

Yeh khayal.....

Yeh khayal
Yeh tumhara intezaar
Yeh ruki ruki baatein
Yeh thori thori chahatein
Yeh majboori
Yeh doori
Yeh dillagi
Yeh dilkashi
Yeh dewanapan
Yeh akelapan
Yeh sochna
Yeh samajhna
Yeh dekhna
Yeh chehrey ka sharma jana
Yeh ankhon ka bher jana
Yeh mousam ka chala jana
Yeh dherkano ka ruk jana
Yeh batoun ka badal jaana
Yeh sansoun ka tehar jaana
Yeh thama huwa samaan
Yeh saara sansaar
Yeh tumhari saans
Yeh mera ehsaas
Kaash tum yahan hote, mere nahin to mere liye kuch to hote..
Aur ab...
Yeh Khamoshi...

Muhabat maosam nahi...

Muhabat maosam nahi
apni mudat pury kare
aor rukhsat ho jae

Muhabat sawan nahi
toot k barse
aor tham jae

Muhabat aag nahi
sulge , bharke
aor bujh jae

Mmuhabat aaftab nahi
ubre , chamke
aor dhal jae

Muhabat to chand ki manind he
jo ubharta he ,
gat ta he ,
chupta he ,
magar
kabi fana nahi hota

Tum Yaad Aatey Ho.....

Jab Kabhi Choudhwen Ka Chand Dekhon
Tum Yaad Aatey Ho.....
Jab Kabhi Subha Ki Pehli Kiran Dekhon
To Tumhari Muskurahat Yaad Aati Hai....
Jab Kabhi Souraj Ko Dhalta Dekhon
To Tumharey Gham Yaad Aatey Hain...
Jab Kabhi Parindon Ki Chechahat sunoo
To Tumhari Madham Madhosh Awaz Sunai Day
Jab Kabhi Gulab Ko Khilta Dekhon
To Tumharey Labb Yaad aaye......
Jab Kabhi Barstey Badal dekhon
To Tumhari Yaad Main Doobi...Woh Shaam Yaad aaye
Jab Kabhi Ghazal Main Tumhara Tazkara Karon
To Tumharey Khushboo Main Bassey Khat Yaad aaye
Jab Kabhi Barish Main Moti Ki Manind Chamkti Boond Ko dekhon
To Tumhari piyasi Ankhin Yaad Aaye
Jab Kabhi Koi Prem Katha Perhon
To Tumhara Bepanah-wa-Bechain Piyar Yaad Aaye
Jab Kabhi Andheri Raat Main Chamktey Sitaron Ko Dekhon
To Tumhari Nazroon Ki Shirarat Yaad Aaye
To Tumhari Woh...Mulaqaat Yaad Aaye
Jab Kabhi Chand ko,
Phool Ko,
Barastey Badlon Ko Dekhon
To Tumhari Yaad Aaye
Buss...Jab Jab Main Saans Loon
To Tum Yaad Aatey Ho...!!!

AGER WO HOTA TO YEH KASH NA HOTA

Kash aaj aissa bhi hota, main teri tu mera hota
Jitni kareeb thi main tere Kash tu bhi utna hi kareeb hota
Tu mujhe iss doobti kashti pai chor kar Kash kissi or ka na hota

Tu to saaf hi keh gaya jate jate Kash main tere naseeb main hota
ye sun kar main bhi Dabaa kar keh gayi Kash ye naseeb mera hota

Ek humdard ne pouch hi lia akhir iss kash ka matlab
Maine muskura kar keh dia, Kash mere pas iss kash ka jawab hota. . . !!!

Kaash. . .

Kash dil ki Sadda pe Woh Ruk jataa
Yeh Soona Angaan khushion se bhaar jata
Hum to mit gaye Hai us ke lie
Kash mere larazte Honton ki Muskan ban jata

Kaash . . .

Kash iss dosti ki shuruwaat hi na hoti
Mere dil me tere aane ki aas hi na hoti
Kioun apna banaya jab chor kar jana hi tha mujhe!!!
Kash meri ye dosti mohobaat mein gumrah hi na hoti

AGER TO HOTA TO YEH KASH NA HOTA

Ager tu hota to yeh kash na hota,
Mere ird gird ghumon ka seraab na hota,
Main chahte huve bhi tujhe rok na payi,
Tujhe bhi maloom tha sehraaon mein gulaab nahi hotas

·.·´¯`·.·• sub muhabbat ka ik pehar hai •·.·´¯`·.·•

Yeh jo palkon peh rim jhim sitaron ka maila sa hai
Yeh jo teray bina koi itna akaila sa hai
Zindagi teri yaadon say mehka howa shehar hai
sub muhabbat ka ik pehar hai

Sahilon peh gharonday banaye they hum nay, tumhain yaad hai?
Rang barish main kaisay urraaye they hum nay, tumhain yaad hai?
Janay kis kailiye ghar sajaaye they hum nay, tumhain yaad hai?

Koii khushboo ka jhonka idher aa nikalta kahiin
Gum hai niindon key sehra main khwabon ka rasta kahiin

Her khushi aatay jaatay howay waqt ki lehar hai
Sub muhabbat ka ik pehar hai

Zindagi dhoop chaoon ka ik khail hai, bheerr chat'tii nahin
Aur issi khail main din guzarta nahin, raat kat'ti nahin
pyar kartay howay aadmi ki kabhi, umer ghat'ti nahin

Dil ki dehleez per aks-e-roshan teray naam say
Rat jagay aaiinon main khilay hian kahin shaam say

Aik darya hai chaaron taraf darmyaan lehar hai
sub muhabbat ka ik pehar hai

Yeh jo palkon peh rim jhim sitaron ka maila sa hai
Yeh jo teray bina koi itna akaila sa hai
Zindagi teri yaadon say mehka howa shehar hai
sub muhabbat ka ik pehar hai..........!!

Chale jo do kadam saath woh....

Chale jo do kadam saath woh,
To unke saath se Pyaar ho jaye,

Thaame jo Pyaar se mera haath woh,
To apne hi haath se Pyaar ho jaye,

Jis raat aaye khawaabon mein woh,
Us suhaani raat se Pyaar ho jaye,

Jis baat mein aaye zikar unka,
To ussi baat se Pyaar ho jaye,

Jab pukaare Pyaar se mera naam,
Too apne hi naam se Pyaar ho jaaye,

Hota hai agar itna khoobsurat yeh Pyaar agar,
To aye Khuda unhe bhi mere Pyaar se Pyaar ho jaye..!!!

Tuesday, December 27, 2011

Mohabat khubsurat hai…..

Wo kehti thi

Mery dil ko mohabat bojh lagti hai
K
Is ki band nagri say
Mujhay kuch khof aata hai
Har ek lamha darata hai
Mujay kuch aisa lagta hai
K is ki naram khamoshi
Meri saansain chura lay gee
Mujay be-bas bana day gee
Mujhay azaad rehna hai
Faqat itna hi kehna hai

Sun k us ki sab batain

Main bus ye bol pata tha

Mohabat qaid rakhti hai
Magar is qaid main reh kar
Jo khushiyan dil ko milti hain
Kahin say mil nahi saktin
K is ki narm zanjeerain
Kabi ghayal nahi kartin
Mohabat aisi manzil hai
K jis k saray raston pay
Wafa ka dars milta hai
Nibah ka dars milta hai
Dilon pay raaj karnay ki adaa ka dars milta hai
Ye her dil ki zrurat hai
Mohabat khubsurat hai…..

Pal Main Doori Ho Jaati Hai...

Pal Main Doori Ho Jaati Hai
Zaat Aadhoori Ho Jaati Hai
Aankhon Main Neend Aati Nahin
Raat Puri Ho Jaati Hai
Pehlay Tu Hoti Hai Chahat
Phir Majboori Ho Jaati Hai
Tanhai Jab Bool Paray Tu
Baat Zaroori Ho Jaati Hai
Kuch Logon Ki Lahma Bhar Main
Khaahish Puri Ho Jaati Hai
Had Say Pyaar Ghuzar Jaye Tu
Aksar Doori Ho Jaati Hai

Barish.....


Aanchal teri yaadon ka bhigo deiti hay barish
Sochon p gami gard ko dho deiti hay barish
hans hans key sunati hay jahan bhr key fasaney
poochoon teray baarey main to ro deiti hay barish
lagtey hain paraeye meri aankhon ko manazir
heirat meray ehsaas ko wo deiti hay barish
yaadon ki mehak ho k teray hijar key taaney
chup chaap main rkh leita hoon jo deiti hay barish
mujh per jo krti hay so krti hay inaayat
moti teray baalon main piro deiti hay barish

December Ki Baarish May.....

December Ki Baarish May
Bheegtay Pairoo'n Say Pocho
AkelaPan Kya Hai...????
Tanhai Kisey Kehtay Hain?
Seh-Peher Ki Dhoop Ko Tarashna
Aur Barish May Bheegtay Rehna
Jangal Ki Raaho'n May Akelay Chalna
Aur Barish May Bheegtay Rehna..
December Ki Barish May
Leher-dar-Leher Mehekti Hawa Say Pochoo
Khushbo Sa Khayal Rakhne Wale
Tanha Kaise Rehte Hain??
Bheegti hain sard Raatein
December Ki Barish Say Kaho !
Kabhi Jungle K Us Paar Miley
Dhaltay Hui Sham K Saaye main
To Unn Aankhon Say Milay..!!
December Ki Barish Say Kahoo..

Ek Dil waloun ki basti thi....

Ek Dil waloun ki basti thi
Ek Dil waloun ki basti thi
jahan ChaanD aur SuraJ rahty thay
kuch suraj mann ka pagal tha
kuch channd bhi shokh chanchal tha
basti basti phirty thay
har pal hansty rahty thay
pir ek din dono rooth gaye
aur saare sapny toot gaye
ab ChaanD bhi us waqt ata hai
SuraJ jab so jata hai
Baadal Shab say kahty hain
SuraJ uljhaa sa rahta hai
ChaanD k saath Sitaray hain par
SuraJ tanha rahta hai.

Sunday, December 25, 2011

Meri zindagi ek katray ki manind hai....

Meri zindagi ek katray ki manind hai
Key jiski keemat janta hai sehra ,, or koi nahi
Tujh Say Judai Key Ek Faislay Key Bad
Mai Khud Bhi Apnay Sath Kabhi Phir Raha Nahi
Aaj Tuk Rooh Mai Kanta Sa Chubhta Hai
Itna Kuch Keh Ker Bhi Kehney Ki Tamana Hi Rahi
Hayee!! woh Zakham Jo Lafzon Mai Paraoye Na Gaye
Ufffff!!! Woh Aansoo Jinhay Behney Ki Tamanna hi Rahi
Ker Gaye Daman Ko Taar, Phir Aaj Ashq
Mainay Behney Say Inhay Roka Bohat...
Mill Na Paya Apna Koi Bhi Nishaa'n
Khud Ko Apni Zaat Mai Dhonda Buhat...
Azmaon Main Bhi Ab Tujh Ko Zara
Zindagi Tu Nay Mujhay Jancha Bohat...

Ek din ek udas lamhey ne....

Ek din ek udas lamhey ne
muskurate huye jo dekh liya
jaane kya dil main soch liya
raasta mera hans ke rook liya
aur seeney se lag gaya aisey
jaisey bichra hua koi apna
ek muddat ke baad milta hai
tab se woh mere paas rehta hai
isliye dil udaas rehta hai.

Suno....

Suno....
Hum toot jain gay...
k dori seh na pain gay
JUDAI MAR DALAY GI

Suno....
Ya ankhain bojhal hain
Inhain kis tarha behlain

Suno....
Hum so na pain gay
Kabhi khush ho na pain gay
JUDAI MAR DALAY GI

Suno....
Ya DIL tumhara hay
Na tum bin ab guzara hay

Suno....
Kuch wakt do hum ko
Bana lain dost is gham ko
Hamain maloom hay akhir
JUDAI MAR DALAY GI

Suntay ho na?
Samujhtay ho na?
JUDAI MAR DALAY GI

Ay Kaash Wo Wapis Aa Jaye...

Kuch Raat Ki Aankhain Bheegi Thi
Or Chaand Bhi Rootha Rootha Tha
Kuch Yaadain Us Ki Baki Thi
Or DIL Bhi Toota Toota Tha
Kis Morr Pay Bichray Yaad Nahi
Honton Pay Koii Faryaad Nahi
Us Waaday Ki Bhi Khabar Nahi
Wo Sacha Tha Ya Jhoota Tha
Har Lamha Aahain Bhartay Hain
Or Ak Hi Dua Hum Kartay Hain
Ay Kaash Wo Wapis Aa Jaye
Ay Kaash Wo Wapis Aa Jaye

Main usay dekh k hairaan howa phirta hon....

Main usay dekh k hairaan howa phirta hon,
Wahi gaati hoi aankhen wahi andaaz_e_kalaam,
Wahi gulnaar tabassum se mahekta chehra,
Wahi khush-rang kharaam,
Narm lehje me tarannum ki wahi gul-kaari,
Jese wo kal ki gayi aaj chali aai ho,

Meri shab jaag k kati hoi kaali raaten,
Sard kamre me thutharti hoi sochen yaaden,
Raat-bhar roi hoi aankh se bheege takiye,
Aur taalu se chimte hoye karrwe lamhe,
Mere behke hoye khwabon k tarasheeda thay,

Main ne soocha tha guzarte hoye karrwe lamhe,
Us k taalu se bhi chimte hon ge,
Us k takyoun pe bhi meri yaadeen,
Ashk ban ban k tapakti hon gi,
Sard raatoon me sim_e_tanhai,
Us ki neendon ko bhi khaata ho ga,

Us ki aankhon me magar dard ka saaya bhi na tha,
Jese wo guzre hoye waqt se guzri he na thi,
Jese us ne mujhe chaha he na tha,

Youn mujhe samne pa ker wo haraasan na hoi,
Mere be-rabt sawalon se pareshan na hoi,
Apne manoos tabassum me tarannum bhar ker,
Mujh se chaltay hoye boli,
Hello!!!....
Shayar_e_waqt! Kaho, kese Ho???...

Main usay dekh k hairaan howa phirta hon...!!!

Mohabbat paak hey aesi.... !

Mohabbat paak hey
aesi !

K jaisy seep me
moti !

Faqt tum se ye
kehna hai !

Agr tum ko koi
gham ho !

Udasi tumko
ghairey !

Kabi jo chand
tarpaey !

Sataey tumko
tanhai !

Sahara b na ho
koi !

Muje awaz de lena !

K tum mujko rag-e-jan se !

Bohat nazdeek pao
gay.....

Zameen-zaade chalo baaten karen shaher_e_tamanna ki,...

Zameen-zaade chalo baaten karen shaher_e_tamanna ki,
Yahan to shaam se pehle he sooraj doob jaata hai,
Yahan her khwab se pehle he neenden chonk uthti hain,
Bahaaren youn guzarti hain k jese waqt se un ki koi azli adawat ho,
Koi baadal nahi rukta hawayen be-murawwat hain,
Hoi sadyaan k aankhon main koi sooraj nahi chamka,
Koi shabnam nahi utri, koi mouti nahi damka,
Chalo ye to humare kum-nigaahi ki saza thehri,
Magar hum khwab na dekhen to neenden be-samar apni,
Samat be-khabar apni, saza na-moattabar apni,

Zameen-zaade chalo baaten karen shaher_e_tamanna ki,
Ye baaten jo sulagti hain magar kirnen nahi banti,
Inhen roushan ager ker paao to kitne sakhi thehro,
Magar kia ker sako ge tum? Magar kia ker saken ge hum?
K hum is shaher main be-khwab raaton k hawale hain,
Zameen-zaade zameen pe basne wale thakne waale hain...!!!

Kabhi kabhi youn bhi hota hai....

Kabhi kabhi youn bhi hota hai
Mohabbat ki rah mein chalte chalte
Qadam ruk bhi jate hain
Ana ki dewar rasta rok leti hai
Dil mein mohabbat ki jagga
Nafrat le bhi leti hai
Khushboaon ke asmaan per
Dukh ke badal chaate hain
Pachtave ke ansoo
Ankho se behte hain
Phir bhi hum rukte nahi
Chalte jate hain
Kabhi kabhi youn bhi hota hai
Mohabbat ki rah mein chalte chalte
Qadam ruk bhi jate hain

Ik roz yunhi mein aa nikla...

ik roz yunhi mein aa nikla
us khwab nagar k paar kahin
ik chaand mila tanhai mein
kuch aankhon se samjhata tha
per mein anjaan tha basti mein
mein uski baat ko paa na saka
mein beth k usko takne laga
phir uski shabnami aankhon se
kuch teer chaley mere hont hile
mein apne labon ki junbish ko
kuch kehne se na rok saka
kuch ulte sidhey fiqre the
wo hansne laga mein hansne laga
wo aur hansa mein seham gya
phir ik chanchal si shokh hansi
jab us k labon per Phail gai
wo apni zulf k jhatke se
utha aur uth k kehne laga
aey saad!abhi tum bache ho
jo chaand se khela karte ho

ROshni MizajOun Ka Kya Ajab mUQaddar hAi....

ROshni MizajOun Ka Kya Ajab mUQaddar hAi
Zindgii Key RaStey Mein BiChney Walley KaantOun kO
Rah Sey Hattaney Mein
Aik Aik Tinkey Sey AaShiyaan Bananey Mein
KhUSbOoien PaKarney Mein gUliStaan Sajaney Mein
Umar Kaat dAitey hAin
Aur Apney HiSsey Key PhOol Baant Daitey hAin


Kaisi Kaisi KhwaahiSh kO Qatl Kartey jAtey hAin
Dar-gUzar Key gUlShan Mein Abar Ban Key Rehtey hAin
Sabr Key SamanDar Mein KaShtiyaa Chalatey hAin
Yeh Nahi K In kO Is ROz o Shab Ki KhaahiSh Ka
KUch Silla Nahi Milta
Marney Walli AaSOun Ka
KhOon Baha Nahi Milta


ZinDgii Key Daman Mein Jis Qadar Bhi KhUShiyaan hAin
Sab Hi Haath Aati hAin
Sab Hii Mil Bhi jAtii hAin
WaQt Par Nahi Miltien , WaQt Par Nahi Aatien
Ya'anii In Ko Mehnat Ka
Ajar Mil tO jAtta hAi
Lekin Is Trah jAisey
Qarz Kii RaQam kOii Qist Qist Ho jAye
Asal jO Ibaarat ho Pas e Nawisht Ho jAye


Fasl e gUll Key Aakhir Mein PhOol In Key Khiltey hAin
In Key Sehan Mein SOoraj dAir Sey Nikaltey hAin

Koi Nazm Aysee Likhoon Kabhi....

Koi Nazm Aysee Likhoon Kabhi
Teri Baat Baat Ki Roshni
Merey Harf Harf Main Bhar Sakey
Tere Lams Ki Yeh Shaguftagi
Merey Jism O Jaan Main Utar Sakey
Koi Chandani Kisi Gehrey Rang Key Raaz Ki
MereY RastooN Main Bikhar Sakey

Teri Guftagu Se Banaoun Main
Koi DastaaN Koi KehkashaaN
HoN MuhabbatoN Ki Tamazatey Bhi Kamaal Tarha Sey MeherbaaN
Terey BazouN Bahaar Main
Kabhi Jhultey Howe GaoN Main
Teri Justaju Ke Chiraag Ko Sar-e-Shaam Dil Main JalaoN Main
Isi Jhilmilati Si Shaam Main
LikhoN Nazm JO Tera Rup Ho
KahiN Sakht JaroN Main Ek Dum Jo Chamak Uthey
Koi Khusgawaar Si Dhoop Ho
Jo Wafa Ki Taal Key Raqs Ka
Koi Jeeta Jaagta Aqs Ho

Koi Nazm Aysee LikhoN Kabhi
Key Har Lafz Key Hath Main
Tere Naam Key
Tere Harf taza Kalaam Key
Kaiy Raaz HoN
Jinhain Munkashif Bhi KaroN Agar
To Jahan-E-Sheir Key Baab Main
merey Dil Pey Rakhi Kitaab Main
TereY Chashm O Lab Bhi Chamak UthaiN
Mujhey Roshni Ki FizaoN Main KahiN Ghair LaiN
Koi Nazm Aysee LikhoN Kabhi

Ta'luq mar bhi jate hain...!!!

Usey yeh kon samjhaye????
Wo dasht-e-khamoshi mein
Ungliyon mein sipiyan pehne
Kisi sookhe samander ki
Adhoori pyas ki batein
Bohat chup chap sunta hai
Bohat khamosh rehta hai
Usey yeh kon samjhaye????
Khushi k aik aansoo se
Samander bhar bhi jate hain
Bohat khamosh rehne se
Ta'luq mar bhi jate hain...!!!

Ae Dost.....

Ay dost suno faryad meri
kabi dunya thi abad meri,
main prem nagar ka basi tha,
or piyar ka itna aadi tha,
k sans b piyar se chalti thi,
dharkan b geet sunati thi,
na khana pina ishq siva,
na chalna phirna ishq bina,
jeevan main har su rang hi rang
har pal main jeenay ki trung,
pher sapna mera toot gea,
wo dais b mujsay jhot gea,
ab mara mara ghomta hun jeenay ka sahara dhondta hun,
ay dost agar tum sath chalo kisi morh pay mujsay aan milo,
is banjar zameen ko shadab karain,
wo dais yahen abad karain

Tum jao ham se door....

Tum jao ham se door
To ek kaam kar jana
Kuch pal apney
Hamarey naam kar jana
Agar aa jaye mout hamein
Teray aanay se pehlay
To aa ker meray janazay ka
Ehtraam kar jaana
Na rona is qadar k takleef ho hamein
Mout ko bhi mazakh samajh kar anjam kar jana
Mein ek din so jaon ga sada k lyie
Phir mujhe "Bewafa" keh k badnam kar jana
Jo guzro meri qabar se to nazrein na pherna
Mehman hi ban kar "Dua Salam" kar jana

Toote khawab....

Toote khwab
Benaam hasrat
Zard chehra
Shikasta muskurahat
Bara dard
Ajab rafaqat hai Maula
Shikwa nahin
Bas mujhe hausla dena....

Agar wo badshah hota....

Agar wo badshah hota
to koi baat bhi hoti
suna hai badshahon ko
dain aisa koi nazrana
jo sab cheezon se barh kar ho
to apni badshahat hi tak luta dete hain wo aksar
mohabbat hai hamare pas
magar wo badshah kab hai....!

Aik wahem tha dil main...

Aik wahem tha dil main
Shayad kabhi milo tum
kuch dair ruk ker poocho
beetay dinoon ka moosam
aawaz main ho larzish
aankhoon main ho tajassus
Mazay ka koi lamha
shayad atak gaya ho
sab bhool ker bhi shayad
kuch yaad agaya ho
phir main tumhain bataoon
apni khushi ki baatain
har dukh ko chupa ker dil main
aasoodgi ki baatain
wo chand chudhween ka
taroon bhari wo aankhain
dilkash haseen shamain
maasoom wardatain
wo piyaar ka tasawwor
wo bandagi ki batain
Wo rooz rooz marna
Aur zindagi ki baatain
Tum dukh say muskurao
Dheeray say muskurao
Dheeray say paas aao
Sar ko jhuka kay apnay
Chup chaap loot jao
Phir main bhi muskuraon
Maan kay diyay jalaon
Duhraon apnay dil main
Taa'luq say haqeeqat
Aik khuwab zindagi ka
Haan umer bhar jo daikha
Kabhi ho saka na pora
Younhi rah gaya adhoora
Aik khuwab-e-zindagi ka

Os ne Kaha....Sun..!

Os ne Kaha....Sun..!
Ehad, Nibhaaney ki Khatir mat Ana
Ehad Nibhaane wale aksar Majboori Ya...
Majboori ki Thakkan se Laota krtey hen..
Tum Jao...Aur...Dariya Dariya Peyas Bujhao
Jin Aankho'n me Doobo
Jis Dil mein be Utro
Meri Talab Awaz na de gi
Lekan... Jab meri Chahat aur Meri Khawish ki Lau
Itni Tez aur Itni Oonchi ho jaye
Jab Dil Ro Dey
Tab Loat Ana...!!!

Mai her us shey sy darti hon....(D)

Mai her us shey sy darti hon
tujhy jo cheen sakti hy,

me un lamhon sy darti hon
judai jin me rehti hy,

Mai un ashkon sy darti hon
jo ban kar yaad behty hen,

Mai un lafzon sy darti hon
jo khamoshi me rehty hen,

Bicharny ki mery hamdam
me har surat sy darti hon,

Tujhy shayad khabar ho gi
mujhy teri mohabbat ny,

bohot buzdil bana dala...

Tumhara khat mila jana...!!

Tumhara khat mila jana!!
Wo jis mein tum ne poocha hai
k aab halaat kaise hain
Mere din raat kaise hain
Mehrbani tumhari hai k
tum ne is tarhan mujhe se
Mere halat pooche hain
Mere din raat pooche hain
Tumhien sab kuch bta don ga
Mujhe itna bta do k
Kabhi sagar kinare per
Kisi machali ko dekha hai
k jis ko lehrain pani ki
kinare tak to lati hain
Magr phir chorr jati hain'
Mere halat asey hain
Mere din raat asey hain

Wo Roya Tou Bohat .....

Wo Roya Tou Bohat Magar Mujh Se Moon Mor K Roya,
Koi Majboori Ho Gi Us Ki Jo Dil Tor K Roya,
Merey Samne Kar Diye Meri Tasveer k Tukrey,
Pata Laga Merey Pichey Wo Un Ko Jor K Roya,
Jo Muskuraya Tha Meri Mot Ki Khabar Sun Kar,
...Laash Daikh Kar Meri Wo Jaan Tor K Roya,
Huwa Jab Usey Ehsas Apni Sangeen Ghalti Ka,
suna Hai Qabar Meri Pe Wo Haath Jor K Roya.

Kya aah bharay koi....?

Kya aah bharay koi
Jab aah nahin jati
Dil say bhi zara gehri
Aur arsh say kuch oonchi

Kya nazm likhay koi
Jab khwab ki qeemat mein
Aadarsh ki soorat mein
Kashkoal gada'ei ka
Shaa'ir ko diya jaey
Aur roak liya jaey
Jab shair utarnay say
Badal say zara oopar
Taaron say zara neechay

Kya khaak likhay koi
Jab khaak kay medaan par
Ungli ko hilanay say
Toofan nahin uth'ta
Jab shakh pay imkan ki
Is dasht-e-tamanna mein
Ik phool nahin khilta
Rahbar nahin ruktay
Mohoam si manzil par
Aankhon kay isharay say
Aur noor ki boondon ki
Bochhar nahin hoti

Ik neelay sitaray say

Heart Attack....

dard itna tha ke uss raat dil-e-wehshi ne
her rug-e-jaan se ulajhna chaha
her bun-e-moo se tapakna chaha
aur kahin door tere sehn mein goya
patta patta mere afsurda laho mein dhul ker
husn-e-mahtaab se aazurda nazar aanay laga
mere veeraana-e-tan mein goya
saaray dukhtay hove raeshoon ki tanabein khul ker
silsala'waar pata dene laggein
rukhsat-e-qaafla-e-shoq ki tayyaari ka
aur jab yaad ki bujhti hoi shammooN mein nazar aaya kahin
eik pal aakhri lamha teri dildaari ka
dard itna tha ke uss se bi guzarna chaha
hum ne chaha bi, magar dil na thehrna chaha

Tuesday, December 20, 2011

Hai Teray Naam Ka wo Shaidaai...

Jab Joban Tera Dhal Jaye
Jab Pyar Ki Umr Niakl Jaye
Jab ChHor DeY Tujh Ko Husn Tera
Jab Chehra Pur Ho JhuriYon SeY
Jab Zulf KAY Kham Na Baqi Hun
Jab Rangat Na ho GaAlon Mein
Jab Chandni UtareY BAalon MeN
Jab AAnkh Ki Masti Toot Chukay
Jab Hont Bhi Surkhi Kho Jaayen
Jab chhor Dein Tujh Ko Sub Sathi
Jab Koi Na Tujh Ko Apnaye
Tab.!
Meray Pas Chali Aana
"Basti" Ki Sooni Galiyon Men
Ek Betha Ho Ga Deewana
Jo Pyar Ka Paaras Pathar Hai
Jo Tujh Ko Sona Ker Day ga.!
Teray Joban Ko Woh Kaya Jaanay?
Teri Umr Sey Us Ka Kaya Matlab?
Teray Jism Sey Us Ka Kaya Rishta?
Jisay Kehtay Ho Tum Harjaayi
Hai Teray Naam Ka wo Shaidaai..

Murr kay dekha hum nay pathar ho gaey...

kitnay jaadui say manzar ho gaey
murr kay dekha hum nay pathar ho gaey

tum jo b'dlay to najanay kis terha
phool jitnay thay woh khanjar ho gaey

kesi yeh barish hui ab kay baras
khawahishon kay khait banjar ho gaey

sukh to jesay qarz thay us kar magar
dukh hamaray thay muqaddar ho gaey

shabnami lehja yeh kis ka sun liya
jitnay sehra thay samandar ho gaey

tum say mil kay kitnay arsa baad phir
yun laga khud ko mayyasar ho gaey

Pyar...

Abr-e-bahaar ney
phuul kaa chehra

apaney banafshi haath men lay kar..
aisey chuumaa

phuul k saarey dukh..
Khushbuu ban kar beh nikaley hain....

Monday, December 19, 2011

Kabhi tarrap utha meri aah se...

kabhi tarrap utha meri aah se
Kabhi ashk se na pighal saka
Sar e rah mila wo agar kabhi
To nazar jhuka k guzar gya
Wo uter gya meri aankh se
Meray dil se kyun na uter saka
Wo chala gya jahan chorr k
Main waha se phir na palat ska
Wo sanbhal gya tha mgar
Main bikhar k phir na simat saka

Q Tumhara Khat Aya .... ??

Shaam Hasraton ki
Raat Thi Judaii Ki
Subha Subha Harkara
Daak Say Havai Ki
Nama-e-Vafa Laya

Phir Tumhara Khat Aya ..

Phir Kabhi Na AaO Gee
Mauj-e-Saba Ho Tum
Sakht Be-Vafa Ho Tum
Sub Ko Bhool jaaO gi
Dushmanon Nay Farmaya
Doston Nay Samjhaya

Phir Tumhara Khat Aya ..

Hum To Jaan Baithay They
Hum To Maan Baithay They
Tera Deeed Ka Vaada
Teri Zulf Ki Khush-bu
Dasht-e-door K Aahoo
Sub Faraib Sub Maya

Phir Tumhara Khat Aya ..

SatVain Samandar Sey
SahiLon Say Q Tum Ney !!
Phir Mujhay Sadaa di .. ?
Davat-e-Vafa di .. !!
Teray IshQ Men Jani ....
Aur Hum Ney Kaya Paya .. ??
"Dard Ki Dava Payi ..."
Dard-e-La daVa paya ... "

Phir Tumhara Khat Aya ....
Q Tumhara Khat Aya .... ??

Tujh se mil kr bhi kuch kafa hain hum...

Tujh se mil kr bhi kuch kafa hain hum
Be murawat nhi to aur kia hain hum

Hum gam-e-karwan mein behte thy
log samjhe k shikasta paa hain hum

Eis tarah se hamein raqeeb miley
jaise muddat k aashna hain hum

Rakh hain hum agr ye aag bhujhe
Juz dard-o-gam k aur kia hain hum

Khud KO sunte hain is tarah jaise
Waqt ki aakhari saada haain hum

Q Zamaney KO ilzaam dein FARAZ
WO NHI hain to be wafa hian hum

Zindagi Tujhko Bhala Kya Apna Banayein Hum...

Zindagi Tujhko Bhala Kya Apna Banayein Hum,
Maut Se Khud Baithe Hai Dil Lagaye Hum,

Kadmon Ki Aahat Ho To Lagta Hai Wo Aaye,
Rakhte Hai Khud Apna Kafan Sajaye Hum,

Koi Aayega Aur Phir Kahega Bewafa Hamein,
Baithe Hai Dekho Apna Sar Jhukaye Hum,

Likh De Koi Kahani Meri Chahe Adhuri Sahi,
Phirte Hai Haath Mein Kora Kaagaz Uthaye Hum,

Har Shakhs Ke Do Chehre Nazar Aate Hai Hamein,
Ab Kisko Dein Dua Aur Kise Baddua Hum...

Roshni mizajon ka kiya ajab muqadder hai

Roshni mizajon ka kiya ajab muqadder hai
Zindagi k rastey main bichney waley kanton ko
Rah sey hataney main
Aik aik tinkey sey ashiaaaan bananey main
Khushboain pakerney main
Gulistan sajaney main
Umer kat detain hain
Or apney hisey k phool bant detain hain
Kaisi kaisi khwaishon ko qatal kertey jatey hain
Derguzer k gulshan main aber ban k rehtein hain
Saber k samunder main kashtian chalatey hain




Yeh nahin k in ko roz-o-shab ki kawish ka
Kuch sila nahin milta
Merney wali ahon ka khoon baha nahin milta
Zindagi k daman main jis qadar bhi khushian hain
Sab hi hath atin hai
Sab hi mil bhi jati hain
Waqt per nahin miltin
Waqt per nahin atin
Yani un ko mehnat ka ajer mil to jata hai
Lakin is tarah jaisey
Qerz ki koi reqm qist qist ho jaey
Asal jo ibarat ho pass-e-nawisht ho jaey
Fasl-e-gul k akhir main phool un k khiltey hain
Jin k sehn main soorej dair sey nikaltey hain

Tuesday, December 13, 2011

December......!!!!

December Mein Aksar Raat Main Tanha Akele Main
Tumhi Ko Yaad Karta Hoon
Tumhari Jheel Si Sharmati Aankhoon Ko
Jo Mujh Ko Deekh Kar Ek Pal Haya Ke Lal Pardon Main
Simat Si Jati Theen
Tumhare Haanth Ke Thande Paseene
Jo Tanha Deekh Kar Mujh Ko Bari Chahat Se Aatee Thay
Mein Joon Hi Haanth Main Apne Tumhara Haath Leeta Tha
Mere Haanthoon Ki Garmi Se
Paseene Bhap Ban Ke Iss Fiza Mein Kho Se Jate Thay
Unhi Ko Yaad Karta Hoon
Wo Jab Thak Kar Tumhari Goud Mein Sar Rukh Ke Soota Tha
Tum Apni Zulf Ki Thandi Hawaoon Ke
Hazaroon Qaflee Le Kar Mere Chehre Pe Jhukti Theen
Baree Hi Pyar Se Jab Mujh Ko Takti Theen
Aur Kehti Theen
Apni Aankhoon Ko Band Rukhna
Mujhay Bus Dekhne Dena
Aur Dheeree Se Mere Maathay Ko Apne Hoontoon Se Choo Kar
Tum Apne Pyaree Hanthoon Se
Chupanee Ke Liye Khud Ko Meri Aankhoon Ko Dhakti Theen
Wo Lamhee Yaad Karta Hoon
Mein Ab Tanha Hoon
Bohut Masroof Rehta Hoon
Subha Se Shaam Tak Iss Dhoop Main Khud Ko Ragarta Hoon
Thakan Se Choor Hokee Loot Ke Jab Ghar Ko Aata Hoon
Udasi Ke Ghanee Badal Mere Dil Pe Baraste Hain
Unhi Badal Se Buchne Ko
Laga Ke Shoola Hoontoon Se Mein Chuth Pe Bhaag Jata Hoon
Tehelta Hoon, Bohut Beechen Hota Hoon
Tumhi Ko Yaad Karta Hoon
Ke Tum Hoteen Tu Yee Hota, Ke Tum Hoteen Tu Wo Hota !!!

Ankhain...

MEIN ny dekhi hein jheel si bari gehri aankhein
kai rang khwaab ky chahat ky jin mein roshan hein
meri her soch ka dareecha unhi se khulta hy
her nai baat ka aghaaz wo piyari aankhein
wo hein saif ul malook si
wo hein aab-e-hayaat si
kabhi jo khul na paay wo
haseen saada sa raaz hein
wo ik roshan sa baab hein
kabhi lagti hein chaon 'dhoop mein saaya fagan ankhein
wo neely aasmanon ki tarah shafaaf si aankhein
chiraghon si jo roshan hein
kinary jin ky sahil hein
meri chahat chupi jin mein
wo aisa seep sa dill hein
haya parwar bari masoom si aankhein
mujhay lagti hein raat si wo haseen khwaab si ankhein
mein ny dekhi hein khamoshi mein bario bolti ankhein

Meray Humsafar

Meray Humsafar.....
Woh jo aik rishta-e-dard tha!!
Meray naam ka teray naam say
Mare subhoo'n ka teri sham say.......
Sar-e- raah guzar hai para hua,wohi khawab-e-jaan

Issi rekht-e-gham ko sameetay
Issi khawab-e-jaan ko sambhaltey
Meray rastey kaee rastoon main ulajh gaye
Kissi or manzil-e-bee-neshan k ghubar-e- raah main khoo gaye
Meray humsafar.......

Tujhay kya khabar!!
Jo waqt hai kissi dhoop chaoon k khail sa
Issey dekhtey, issey jheeltey
Meri ankh gard say att gaye.......
Meray bey-khabar teray naam per
Woh jo phool khiltey they hont per
Woh nahi rahay.....
Woh nahi rahay k jo aik rabta tha darmiya'N
Woh baikar gaya....

Meray humsafar....
Hai wohi safar
Mager aik moor k faark say
Teray hath say meray hath tak........
Woh jo hath bhar ka tha fasila
Kaee Mousamoo'n main badel gaya
Issey naaptey, issey kattey
Mera saara waqt nikal gaya.....

Meray Humsafar........

Raat Kii Raani Ka Jaadoo

Raat Kii Raani Ka Jaadoo
Chandni Kaa Lams
Aapas Me GhuLe Jaate Hein
Meri Rooh Me TahLeeL Hote Jaa Rahe Hein!
Ye Sapna JaL Chuka Thaa
Bas Us Kii Raakh Meri Rooh Me Aksar Urda Karti Hai
Magar KaL Shab Mahtab Thii
Aur Aasmaa'n Tak Noor Kii Seerdhii Bani Thii
Sitaaro'n Se Bhara AanchaL Tha Mera
Mere Ik Haath Me HaLke GuLabi PhooL ThaY
Aur Doosra Ik Ajnabi Ke Haath Me Thaa
Jis Kaa Har Andaaz Tujh Se MukhtaLif Thaa
Magar Uss Aankh Me Jo JaG.Magahat Thii
Meri Daikhi Hui Thii
Aur Uss Lab Par Jo DiL'Kash Muskurahat Thii
Meri Choomi Hui Thii.........

Poet : Parveen Shakir