Koi Nazm Aysee Likhoon Kabhi
Teri Baat Baat Ki Roshni
Merey Harf Harf Main Bhar Sakey
Tere Lams Ki Yeh Shaguftagi
Merey Jism O Jaan Main Utar Sakey
Koi Chandani Kisi Gehrey Rang Key Raaz Ki
MereY RastooN Main Bikhar Sakey
Teri Guftagu Se Banaoun Main
Koi DastaaN Koi KehkashaaN
HoN MuhabbatoN Ki Tamazatey Bhi Kamaal Tarha Sey MeherbaaN
Terey BazouN Bahaar Main
Kabhi Jhultey Howe GaoN Main
Teri Justaju Ke Chiraag Ko Sar-e-Shaam Dil Main JalaoN Main
Isi Jhilmilati Si Shaam Main
LikhoN Nazm JO Tera Rup Ho
KahiN Sakht JaroN Main Ek Dum Jo Chamak Uthey
Koi Khusgawaar Si Dhoop Ho
Jo Wafa Ki Taal Key Raqs Ka
Koi Jeeta Jaagta Aqs Ho
Koi Nazm Aysee LikhoN Kabhi
Key Har Lafz Key Hath Main
Tere Naam Key
Tere Harf taza Kalaam Key
Kaiy Raaz HoN
Jinhain Munkashif Bhi KaroN Agar
To Jahan-E-Sheir Key Baab Main
merey Dil Pey Rakhi Kitaab Main
TereY Chashm O Lab Bhi Chamak UthaiN
Mujhey Roshni Ki FizaoN Main KahiN Ghair LaiN
Koi Nazm Aysee LikhoN Kabhi