Sunday, December 25, 2011

Main usay dekh k hairaan howa phirta hon....

Main usay dekh k hairaan howa phirta hon,
Wahi gaati hoi aankhen wahi andaaz_e_kalaam,
Wahi gulnaar tabassum se mahekta chehra,
Wahi khush-rang kharaam,
Narm lehje me tarannum ki wahi gul-kaari,
Jese wo kal ki gayi aaj chali aai ho,

Meri shab jaag k kati hoi kaali raaten,
Sard kamre me thutharti hoi sochen yaaden,
Raat-bhar roi hoi aankh se bheege takiye,
Aur taalu se chimte hoye karrwe lamhe,
Mere behke hoye khwabon k tarasheeda thay,

Main ne soocha tha guzarte hoye karrwe lamhe,
Us k taalu se bhi chimte hon ge,
Us k takyoun pe bhi meri yaadeen,
Ashk ban ban k tapakti hon gi,
Sard raatoon me sim_e_tanhai,
Us ki neendon ko bhi khaata ho ga,

Us ki aankhon me magar dard ka saaya bhi na tha,
Jese wo guzre hoye waqt se guzri he na thi,
Jese us ne mujhe chaha he na tha,

Youn mujhe samne pa ker wo haraasan na hoi,
Mere be-rabt sawalon se pareshan na hoi,
Apne manoos tabassum me tarannum bhar ker,
Mujh se chaltay hoye boli,
Hello!!!....
Shayar_e_waqt! Kaho, kese Ho???...

Main usay dekh k hairaan howa phirta hon...!!!