ik roz yunhi mein aa nikla
us khwab nagar k paar kahin
ik chaand mila tanhai mein
kuch aankhon se samjhata tha
per mein anjaan tha basti mein
mein uski baat ko paa na saka
mein beth k usko takne laga
phir uski shabnami aankhon se
kuch teer chaley mere hont hile
mein apne labon ki junbish ko
kuch kehne se na rok saka
kuch ulte sidhey fiqre the
wo hansne laga mein hansne laga
wo aur hansa mein seham gya
phir ik chanchal si shokh hansi
jab us k labon per Phail gai
wo apni zulf k jhatke se
utha aur uth k kehne laga
aey saad!abhi tum bache ho
jo chaand se khela karte ho