Zameen-zaade chalo baaten karen shaher_e_tamanna ki,
Yahan to shaam se pehle he sooraj doob jaata hai,
Yahan her khwab se pehle he neenden chonk uthti hain,
Bahaaren youn guzarti hain k jese waqt se un ki koi azli adawat ho,
Koi baadal nahi rukta hawayen be-murawwat hain,
Hoi sadyaan k aankhon main koi sooraj nahi chamka,
Koi shabnam nahi utri, koi mouti nahi damka,
Chalo ye to humare kum-nigaahi ki saza thehri,
Magar hum khwab na dekhen to neenden be-samar apni,
Samat be-khabar apni, saza na-moattabar apni,
Zameen-zaade chalo baaten karen shaher_e_tamanna ki,
Ye baaten jo sulagti hain magar kirnen nahi banti,
Inhen roushan ager ker paao to kitne sakhi thehro,
Magar kia ker sako ge tum? Magar kia ker saken ge hum?
K hum is shaher main be-khwab raaton k hawale hain,
Zameen-zaade zameen pe basne wale thakne waale hain...!!!