dard itna tha ke uss raat dil-e-wehshi ne
her rug-e-jaan se ulajhna chaha
her bun-e-moo se tapakna chaha
aur kahin door tere sehn mein goya
patta patta mere afsurda laho mein dhul ker
husn-e-mahtaab se aazurda nazar aanay laga
mere veeraana-e-tan mein goya
saaray dukhtay hove raeshoon ki tanabein khul ker
silsala'waar pata dene laggein
rukhsat-e-qaafla-e-shoq ki tayyaari ka
aur jab yaad ki bujhti hoi shammooN mein nazar aaya kahin
eik pal aakhri lamha teri dildaari ka
dard itna tha ke uss se bi guzarna chaha
hum ne chaha bi, magar dil na thehrna chaha