Thursday, November 15, 2012

Aaj ki shab to kisi tau guzar jayegi

Aaj ki shab to kisi tau guzar jayegi
Raat gehri hai
magar
chaand chamakta hai abhi
Mere maathe pe tera pyar
damakta hai abhi
Meri saanson mein, tera
lums mahekta hai abhi
Mere seene mein tera
naam dharakta hai abhi
Zeest karne ko, mere paas
bahot kuchh hai abhi
Teri aawaz ka jaadu hai
abhi mere liye
Tere malboos ki, khushbu
hai abhi mere liye
Teri baahein tera
pehlu hai abhi mere liye
Sab se barhkar, meri jaan
tu hai abhi mere liye
Zeest karne ko mere paas
bahot kuchh hai abhi
Aaj ki shab to kisi taur
guzar jaayegi
Aaj ke baad magar rang e wafaa kya hoga
Ishq hairaan hai sare
shaher e saba kya hoga
Mere qaatil tera andaaz e
jafaa kya hoga
Aaj ki shab to bahot kuchh hai magar kal ke
liye Ek andesha e benaam hai aur kuchh bhi nahin
Dekhna ye hai ke kal tujh se mulaqaat ke baad
Rang e ummeed khilega
ke bikhar jaayega
Waqt parwaaz karega ke thaher jaayega
Jeet ho jaayegi ya khel bigar jaayega
Khwaab ka shaher rahega
ke ujar jaayega...

Monday, September 24, 2012

Bohat Takleef Deta Hai ....

Bohat Takleef Deta Hai 
Kisi Ko "Alvida Kehna"
Dikhaye Kuch Nahi Deta
Sunaye Kuch Nahi Deta
Faqat Kuch Kap`Kapatey Lafz
Jo Hontho Par Thy`Har Jayein
Ubhar`ti Doub`ti Saansay
Usay Awaaz Deti Hain
Koi Apna Ke Jis Ka Naam
Apney Dil Pe Likha ho
Ke jis Ke Waastey Dil say
Duaaein Hi Nikalti ho
Bohat Takleef Deta Hai
Usi Ko "Alvida Kehna"
Jisay Dil Me Basaya ho
Barey Hi Maan say
Jisay Apna Banaya Ho
Bohat Takleef Deta Hai Usi Ko
"Alvida Kehna"

Kia Tum Bhi Meri Tarha ....

Kia Tum Bhi Meri Tarha 

Chalti Hawaon Ko Choney Ki

Koshish Karti Ho 

In Fizaon Main Jesey Main

Tumhari Mehak Mehsos Karta Hoon

Wesay hi Mujh ko Kia Tum Bhi

Apney Gird Youn Pati Ho 

Kia Tum Bhi Shabb Ki Tanhai Main

Meri Tarha Jaagti Rehti Ho

Aur Jesey Main Tumhari Yaad Ke

Diye Se Roshni Bakhairta Rehta Hoon

ussi Tarha Kia Tum Bhi...

Apney Andheron Ko Roshan Karti Ho 

Batao Kiya tum bhi............

Ae Musawir Mere Mehboob Ki Tasvir Bana...

Ae Musawir Mere Mehboob Ki Tasvir Bana,

Tuj se ban jaye to bigri hui taqdir bana,

Zulf A C ho k barsat bhi pani mange,

Surkh honton se her ek phool jawani mange,

Jheel c ankhon main kajal k wohi teer bana,

Ae Musawir Mere Mehboob Ki Tasvir Bana,

Main tuje Hussan k andaz sikhaon k se,

Apni aankhen tere chehre tere chehray pe lagaon k se,

Tera dar chor kar jaon to jaon k se,

Jis main ulja rahoon din raat, wo zanjeer bana,

Ae Musawir Mere Mehboob Ki Tasvir Bana

Wednesday, July 11, 2012

Sachi Baat Kahi Thi Maine....

Sachi Baat Kahi Thi Maine

Logon Ne Sooli Pe Chadhaya
Mujh Ko Zahr Ka Jam Pilaya
Phir Bhi Un Ko Chain Na Aaya

Sachchi Baat Kahi Thi Maine
Le Ke Jahan Bhi, Waqt Gaya Hai
Zulm Mila Hai, Zulm Ssaha Hai
Sach Ka Ye Inaam Mila Hai

Sachchi Baat Kahi Thi Maine
Sab Se Behtar Kabhi Na Ban Na
Jag Ke Rahbar Kabhi Na Ban Na
Peer Payambar Kabhi Na Ban Na

Chup Rah Kar Hi Waqt Guzaro
Sach Kahnepe Jaan Mat Waro
Kuch To Seekho Mujh Se Yaro

Sachchi Baat Kahi Thi Maine

Yeh Ik Piyara Sa Jo Rishta Hai...

Yeh Ik Piyara Sa Jo Rishta Hai
Kuch Mera Hai, Kuch Tera Hai
Kahen Likha Nahi, Kahen Parha Nahi
Kahen Dekha Nahi, Kahen Suna Nahi
Phir Bhi Jana Pehchana Hai
Kuch Mera Hai, Kuch Tera Hai

Kuch Masum Sa, Kuch Ulbela
Kuch Appna Sa, Kuch Begana
Kuch Chunchul Sa, Kuch Shurmila
Kuch Sukh Sa, Kuch Sunjida
Kuch Uljha Howa, Kuch Suljha Suljha
Kuch Masti Bhura, Kuch Khafa Khafa

Kuch Mera Hai Kuch Tera Hai
Yeh Piyara Sa Jo Rishta Hai

Kabhi Kari Dhoop Main Saya Hai
Kabhi Undheri Raat Main Jugnu Hai
Kabhi Bin Badul Barsat Hai
Kabhi Bhutkay Howo’n Ka Rah-Bur Hai
Kabhi Rusta Hai, Kabhi Munzil Hai

Kuch Mera Hai, Kuch Tera Hai
Yeh Ik Piyara Sa Jo Rishta Hai

Kabhi Dhagay Say Isay Bandha Nahi
Kabhi Ehad-O-Paiyma’n Main Jukra Nahi
Kabhi Haq Bhi To Appna Jutaya Nahi
Phir Bhi Yeh Kitna Piyara Hai
Jisay Hum Nay Sachey Moti Ki Turha
Dil Ki Sipi Main Qaid Kiya
Sub Ki Nazro’n Say Dhanp Liya
Kabhi Maan Diya, Kabi Aitbar Kiya
Sub Kuch Hi Is Par Var Diya

Yeh Jo Piyara Sa Rishta Hai
Kuch Mera Hai, Kuch Tera Hai

Ye Zindagi....

Ye Zindagi
Aaj Jo Tumhare
Badan Kii Chhotii-Badii Nason Men
Machal Rahi Hai
Tumhare Pairon Se Chal Rahi Hai
Tumhari Aavaz Men Gale Se Nikal Rahi Hai
Tumhare Lafzon Men Dhal Rahi Hai
Ye Zindagi
Jaane Kitni Sadiyon Se
Yuun Hi Shaklen
Badal Rahi Hai
Badalti Shaklon
Badalte Jismon Men
Chalta-Phirta Ye Ik Sharara
Jo Is Ghadii
Naam Hai Tumhara
Isi Se Saari Chahal-Pahal Hai
Isi Se Roshan Hai Har Nazara
Sitaare Todo Ya Ghar Basao
Qalam Uthaao Yaa Sar Jhukao
Tumhari Aankhon Ki Roshni Tak
Hai Khel Sara

Ye Khel Hoga Nahin Dubara
Ye Khel Hoga Nahin Dubara

Ye Un Dinon Ki Baat....

Ek Duje Pe Martye The Hum Pyaar Ki Baatein Karte The
Khwaabon Mein Khoye Rehte The Baahon Mein Soye Rehte The
Hum Aashiq The Deewane The Is Duniya Se Begaane Se
Ye Un Dinon Ki Baat Hain Jab Hum Paagal Paagal Firte The
Ye Un Dinon Ki Baat Hain Jab Hum Paagal Paagal Firte The

Kehte The Kuch Sunte The Hum Phool Wafa Ke Chunte The
Kabhi Haste The Kabhi Rote The Hum Yaar Juda Jab Hote The
Hume Sab Kuch Achcha Lagta Tha Afsana Sachcha Lagta Tha
Ye Un Dinon Ki Baat Hain Jab Hum Paagal Paagal Firte The
Ye Un Dinon Ki Baat Hain Jab Hum Paagal Paagal Firte The

Tanhaayi Mein Jab Milte The Dil Mein Hulchul Si Hoti Thi
Hum Dono Jaagte Rehte The Jab Saari Duniya Soti Thi
Jab Yaad Tumhari Aati Thi Chaahat Ke Nagme Gaatey The
Bechain Deewani Dhadkan Ko Behlate The Sum Jaate The
Ye Un Dinon Ki Baat Hain Jab Hum Paagal Paagal Firte The

Ek Duje Pe Martye The Hum Pyaar Ki Baatein Karte The
Khwaabon Mein Khoye Rehte The Baahon Mein Soye Rehte The
Hum Aashiq The Deewane The Is Duniya Se Begaane Se
Ye Un Dinon Ki Baat Hain Jab Hum Paagal Paagal Firte The
Ye Un Dinon Ki Baat Hain Jab Hum Paagal Paagal Firte The
Ye Un Dinon Ki Baat Hain Jab Hum Paagal Paagal Firte The

Ye Sham Phr Nai Aye Gi...


Ye Sham Phr Nai Aye Gi
Is Sham Ko Aoo Hum Amar Kardain
Aik Dujay Kay Hojain Hum Dono
Aik Dojay Main Samajain Hum Dono
Aik Dujay Ki Sanson Main Bass Jain Hum Dono
Aik Dujay Kay Khiylon Main Samajin Hum Dono
Aik Dujay Kay Dil Main Samajin Hum Dono
Aik Dujay Ka Saath Nibhin Hum Dono
Kyn Kay Ye Sham Phir Nai Ayegi
Is Pal Ko Aao Ji Bhar Kay Ji Lain Hum Dono

Mein Ne Kaha Wo Ajnabi Hai.
Dil Ne Kaha Ye Dil Ke Lagi Hai.
Mein Ne Kaha Wo Sapna Hai.
Dil Ne Kaha Phir Bhe To Apna Hai
Mein Ne Kaha Wo Meh Khana Hai.
Dil Ne Kaha Ye Pre Khana Hai.
Mein Ne Kaha Wo Ghari Bher Ki Mulaqat Hai
Dil Ne Kaha Ye Sadyuon Ka Saath Hai.
Mein Ne Kaha Wo Meri Haar Hai.
Dil Ne Kaha Yehi To Pyaar Hai.

Tumhain Jana Ijazat Hay....

Kay In Tareeq Rahoon Main Thakan Si Khud Main Pao To
Andheeron Say Kabhi Dil Dol Jay
Thak Si Jao To Mairay Jaltay Huway Lamhoon
Mairay Kangal Hathoon Say Chura Kay Apnay Hathoon KO
Fiza Ki Naghmagi Say Tum Nay Geeton KO Chun Laina
Haseen Palkoon Ki Nokoon Par Nay Kuch Khuwab Bun Laina
Koi Gar Pooch Lay Maira To Us Say Zikr Mat Karna
Mairay Jeewan Ki Jalti Dopahar Say Bagharz Ho Kar
Tum Apni Chandni Ratoon Main Jugnoo Pati Rahna
Mairi Tanhayoon Ki Wahshatoon Ki Fikr Mat Karna
Tumhain Is Ki Ijazat Hay Mairay Sab Khat Jala Daina
Mairay Tohfoon KO Dariya Main Baha Daina, Daba Daina
Mairi Har Yad KO Dil Say Khurachna Or Mita Daina
Tumhain Bilkul Ijazat Hay Kay Jab Chaho, Bhula Daina
Magar…….!
Itni Guzarish Hay Kay Aisa Na Ho Jana!
To Acha Hay
Tumhain Jana Ijazat Hay.

Jab Tairi Dhun Main Jia Kartay Thay...

Jab Tairi Dhun Main Jia Kartay Thay
Ham Bhi Chup Chap Phira Kartay Thay

Aankhon Main Piyas Huwa Karti Thi
Dil Main Tofan Utha Kartay Thay

Log Aatay Thay Ghazal Sunnay KO
Ham Tairi Bat KIA Kartay Thay

Sach Samajhtay Thay Tairay Wadoon KO
Rat Din Ghar Main Raha Kartay Thay

Kissi Wiranay Main Tujh Say Mil Kar
Dil Main KIA Phool Khila Kartay Thay

Ghar Ki Deewar Sajanay Ki Khatir
Ham Tiara Nam Likha Kartay Thay

Woh Bhi KIA Din Thay Tujhay Bhula Kar
Ham Tujhay Yad KIA Kartay Thay

Kal Tujhay Dekh Kar Yad Aaya
Ham Bhi Kabhi MOHABBAT KIA Kartay Thay

Rukhsat Hua To ....

Rukhsat Hua To Meeri Baat Maan Ker Gaaya
Jo Is K Paas Thaa Wooh Mujhay Daaan Ker Gaya

Bichra Kuch Ius Aada Say K Rut Hi Badal Gyee
Aaik Shaks Saaray Shaher Ko Viraan Ker Gaaya

Dilchasp Waaqia Hai K Kal Aik Aaziz Dost
Apnay Mafaad Per Mujhay Qurbaan Ker Gaya

Kitnii Sudher Gyee Hai Judaai Main Zindagi
Haan Wooh Jifa Say Mujh Pay To Aahsaan Ker Gaya

Azher Main Baat Baat Per Kehtaa Thaa Jis Ko Jaan
Wooh Shaks Aakhir Mujhay Bayjaan Ker Gaya

Mere Dill Main....

Mere Dill Main
Hia Ik Tamana
Meri Aankhon Main
Bhi Hai Sapna
Mere Man Main
Kya Kya Hai
Koi Nahi Hai
Jo Yeh Jaane
Jaan Ker Phir
Mujh Ko Batae
Mujh Ko Bhi
Ik Aas Lagi Hai
Koi Aa Ker
Mujh Ko Jaane
Mujh Ko Samjhe
Meri Aankhain
Taras Rahi Hain
Aisa Chehra
Dhoond Rahi Hain
Jis Per Mile
Sachi Rangat
Pyaar Khaloos Ka
Pakeeza Jazba

Mujhe Tasleem Hai Hamdam...

Mujhe Tasleem Hai Hamdam
Yanhan Jeewan K Rastay Pe
Jawani Jab Bhi Khilti Hai
To Ik Selaab Ki Surat
Kai Jazbay Machalte Hain
Tasawwur Mein Har Ik Janib Hazaroon Phool Khilte Hain
Kisi Ko Chahne Ki Hasrat Dil Mein Jaag Uthti Hai
Hazaroon Saal Se Soi Hui Murawwat Jaag Uthti Hai
Phir Ase Mein Tabiat Par Ajab Mahool Hota Hai
Magar Zahir Iraadon Par Ana Ka Khool Hota Hai
Kabhi Mehfil Mein Bethay Hi Kisi Sapnay Mein Khoo Jana
Kabhi Apne Khayaloon Mein Kisi Ka Khud Se Ho Jana
Kisi Ki God Mein Yun Rakh K Sar Khamosh Ho Jana
Magar Hamdam Hamesha Yaad Rakhna
Faqat Ik Chahne Se Kuch Nahi Milta
Muhabbat Naam Ka Yeh Phool Yak Tarfa Nahi Khilta
Dunya E Ulfat Ki Yeh Derina Riwayat Hai
K Chahat Rakhne Waloon Par Hazaroon Gham Baraste Hain
Aur Ase Mein Woh Jeewan Ki Musarrat Ko Taraste Hain
Mere Hamdam Jo Kabhi Apne Jeewan Mein
Muhabbat Ka Irada Ho To Mera Mashwara Yeh Hai
K Is Pur Pech Rastay Par Sada Halaat Se Darna
Aur Is Ka Sab Se Behtar Hal Yeh Hi Hai K
Muhabbat Jab Bhi Karni Ho
To Apne Aap Se Karna

Musaffir...

Musaffir K Rasstey Badltey Rahey
Muqader Main Chalna Tha Chaltey Rahey
Koi Phool Sa Haath Kandhey Pay Tha
Meray Paaon Sholon Pay Chaltey Rahey
Main Rasttey Main Uljha Raha
Diyey Uski Rahoon Main Jaltey Rahey
Woh Kiya Tha Jissey Hum Ney Thukra Diya
Mager Umer Bher Haath Maltey Rahey
Mohabbat,Adavar,Wafa,Bayrukhi
Kiraye K Gher Thay Badltey Rahey
Suna Hai Unhin Bhi Hawa Lug Gai Hai
Hawaon K Jo Rukh Badlatey Rahey
Lipat K Chiraghoon Sey Hum So Gaey “Khurram”
Hum To Pholon Main Carvan Badltey Rahey

Mein Kuch Lamhey Aur Tera Saath Chahta Tha...

Mein Kuch Lamhey Aur Tera Saath Chahta Tha,
Aankhoun Mein Jo Tham Gai Woh Barsaat Chahta Tha,
Jo Guzar Rahi Thi Mujhey Tarsatey Huey,
Aisi Haseen Aik Aur Raat Chahta Tha,
Is Key Siwa To Aur Kuch Na Maanga Tujhsey,
Sirf Aankhoun Mein Teri Apna Pyaar Chahta Tha,
Suna Hey Mujhey Bohat Chahti Hey Woh Magar,
Mein Uski Zubaan Sey Aik Baar Izhaar Chahta Tha,
Woh Mujh Per Nazre Karam Kare Mein Is Qabil Kahaan,
Is Key Chahney Waaloun Mein Apna Shumaar Chahta Tha,
Jo Zindagi Tak Haar Dey Meri Mohabbat Mein ,
Mein To Fakat Aisa Aik Bimaar Chahta Tha.

Koi Awaz Aati Hai ...



Koi Aawaz Aati Hai 
Mere Dewwane Dil Se
Jab Main Sochti Hoon
Teri Batoon Ko Ae Jaana
Khushi Se Dhurd Uthati Hai
Hansi Se Phot Pardti Hai
Mere Huntoon Ke Konoo Main
Koi Aahat Se Hoti Hai
Dar-E-Dil Khol Deti Hoon
Tere Sapnoo Main Khoti Hoon
Na Jagti Hoon Na Soti Hoon
Khayaloon Main Meri Jaana
Main Tere Pass Hoti Hoon
Jahaan Dil Main Mere
Teri Muhabbat Ki Fasal
Charoon Taraf Lhelahati Haai
Piyar Ki Ek Laher Dhurd Jati Hai
Muje Teri Janab Bulati Hai
Satati Hai Rulati Hai
Ek Ye Awaz Aati Hai
Muje Tum Se Muhabbat Hai
Koi Awaz Aati Hai 
Mere Dewane Dil Se

Monday, June 25, 2012

Koi Apna Nahi Banta

Koi apna nahin banta!!!
labon pay naam rakhnay say
dilon main yaad karnay say
har ik dharkan, har ik tarpan
kisi ke naam karnay say
koi apna nahin banta
tamam umar ki khushiyan
mohabbat ki sabhi ghariyan
kisi ko daan karnay say
ke ...us pay maan karnay say
koi apna nahin banta
woh pehlay piyar ki batain
rafaqat ki sabhi ratain
woh chahat ki sabhi rasmain
mohabbat ki sabhi qasmain
humaisha yaad rakhnay say
koi apna nahin banta
kisi tanha akaili raah guzar par
puranay say kisi boorhay shajar par
patthar say koi dil bananay say
aur
usmain apna or kisi ka naam sajanay say
koi apna nahin banta
ke jab......aankhain hi marr ja`ain
to phir sapna nahin banta
yeh jeewan daaan kar ja`ain
to bhi apna nahin banta
koi apna nahin banta...
koi apna nahin banta.........

Mujhay tum say muhabbat hay!

Tumhein kitna yeh bola tha
K meri zindage mein is terha shamil nahin hona

Jub aankhein subha ko kholoon pukaroon naam mein tera
Kabhi jub aaeina dekhoon
Tumhara aqks meri aankh ki putlee mein jum jae
Khushi mujh ko milay koi
Tumhara saath mein dhoondoon
Dukhoon mein bhi yehi chahoon k meray pass bus tum ho
Tumhein kitna yeh bola tha
Mujhay baadal say, barish say muhabbat hay humesha say
Maggar tum nay muhabbat ko junoon mein kiun badul dala
Mein ab barish k mousam mein tum hi ko dhoondta kiun hoon?
Inhee soochoon mein bheega hoon mein tunha bheegta kiun hoon?
Tumhein kitna yeh bola tha
Meri aadat nahin badlo
Meri khatir nahin badlo
Maggar tum nay badul dala
Mera sub kuch badul dala
Mein ab jo khud ko tukta hoon mujhay tum yaad aati ho
Tumhein kitna yeh bola tha mujhay tum yaad mat ana
K tum ko bhoolna waisay hi meray bus say baahir hay
Mujhay jub yaad aati ho to yeh mehsoos hota hay
Mujhay tum yaad kerti ho
Tumhein kitna yeh bola tha mujhay tum yaad mat kerna
Mujhay tum yaad mat ana
Meri is zindage mein is terha shamil nahin hona
Tumhein kitna yeh bola tha
Wo rungoon mein dhalli lerki
Kabhi jub baat kerti hay
To us k lafz khushbu ki terha mehsoos hotay hein
Wo hansti hay to jaisay sara aalum us haansi mein doob jata hay
Wo lub us k wo aankhein aur wo chehray ki shadaabi
K jaisay apsaraa koi
Wo mera naam laiti hay to meri rooh mein jaisay nasha uterta hay
Mera mun jhoom uthta hay
Wo rungoon mein dhalli lerki
Jhukaae apni palkoon ko kabhi woh mujh say jo kehti hay
Mujhay tum say muhabbat hay
To is ka shermageen lehja yaqeen mujh ko dilata hay k dunya khubsorat hay
Wo rungoon mein dhalli lerki
Udaasi k saayoon ko jub bhi oorh laiti hay
Mera dil khoon roota hay
Mein us ki sharbatti aankhoon ki num say bheeg jata hoon
Wo rungoon mein dhalli lerki
Jissay mujh say muhabbat hay
Mera izhaar sunnti hay to sub bhool jati hay
Jhukaae apni palkoon ko wo aisay mukurati hay
k jaisay apsara koi
Wo rungoon mein dhallli lerki
Meray lafzoon mein rehti hay
mujhay aksar yeh kehti hay
Mujhay tum say muhabbat hay!

Us ko kho kr To Mere Pas Raha Kuch Bhi Nahi...

Ab To Hathon Se Lakerein Bhi Miti Jati Hain,
Us ko kho kr To Mere Pas Raha Kuch Bhi Nahi,

Kal Bicharna Hai To Phir Ehad-e-Wafa Soch K Bandh,
Abi Aagaz-e-Muhabbat Hai Gea Kuch Bhi Nahi,

Me To Is Waste Chup Ho K Tamasha Na Bane,
Tu Samajta Hai Muje Tujh Se Gila Kuch Bhi Nahi.


Sochta Ho K Wo Kitne Masoom Thay,
Kya Se Kya Ho Gaye Dekhte Dekhte,
Me Ne Pathar Se Jin Ko Banaya Sanam,
Woh Khuda Ho Gaye Dekhte Dekhte.

Jin Pathron Ko Hum Ne Atta Ki Dharkanein,
Woh Bolne Lage To Hum Hi Par Baras Pare.

Mere Hathon Se Tarashe Howe Pathar K Sanam,
Mere Hi Samne Bagwan Bane Bethe Hain.

Hashar Hai Wo Hashart e Dil Ki Aawargi,
Hum Se Pocho Muhabbat Ki Dewangi,
Jo Pata Pochte Thay Kisi Ka Kabi,
La-Pata Ho Gaye Dekhte Dekhte.

Hum Se Ye Soch Kar Koi Wada Karo,
Aek Wade Par Umrain Guzar Jayein Gi,
Ye Hai Duniya Yaha Kitne Ehad-e-Wafa,
Bewafa Ho Gaye Dekhte Dekhte.

Din Chup Geya Soraj Ka Kahi Naam Nahi Hai,
O Wada Shikan Ab Bhi Teri Sham Nahi Hai.

Kal Se Be-Kal Hon, Bhala Khak Muje Kal Aaye,
Kal Ka Wada Tha, Na Wo Kal Aaye Na Aaj Aaye.

Roz Ka Intazar Kon Kare?
Aap Ka Etabar Kon Kare?

Ho Chuka Wada k Kab Aayiye Ga,
Dekhiye Ab Na Bhol Jayiye Ga.

Bhala Koi Wada Khilafi Ki Had Hai,
Hisab Apne Dil Par laga kar To Socho,
Qayamat Ka Din Aa Geya Rafta Rafta,
Mulaqat Ka Din Badalte Badalte.

Gair Ki Baat Tasleem Kya Kijiye,
Ab To Khud Par Bhi Hum Ko Bharosa Nahi,
Apna Saya Samajte Thay Jin Ko Kabhi,
Woh Juda Ho Gaye Dekhte Dekhte..!!

Thursday, May 31, 2012

Mohabat jeet hoti hai...

Mohabat jeet hoti ha
Magar ye har jati ha
kabi dil soaz lamhe se
kabi bekar rasmon se
kabi takdeer walo se
kabi majbor ksmon se
kbi ye khawb hoti ha
kabi betaab hoti ha
kabi ye maar jati ha
kabi masroor karti ha
kabi ya soag deti ha
kisi ka chain hoti ha
kisi ko rog deti ha
kisi ki ankh main hum dam
kahan ik bar jati ha
jahan tazleel ho is ki
wahan har bar jati ha
kisi k paon ma reh kar
falak k paar jati ha
MOHABAT jeet hoti ha
magar yeh haar jati ha.

Tuesday, May 8, 2012

Tujhy naaz hai k main husn hun...

Tujhy naaz hai k main husn hun
mery gulsitan ko zawal kya?
mujhy fikr hai k main ishq hun
jo jala na doon tu kamal kya?
mujhy zindagi ki dua na dy
mujhy zindagi ki talab nahin
meri mout ko jo taal dy
iss zindagi ki majal kya?
mujhy manzilon ki khbar nahin
mujhy rahguzar ki talash hai
iss rahguzar py jo chal pary
tu urooj kiya or zawal kya?
thi jo ik ada-e-dilbari
sari umr uss py he waar di
teri yad mein sab guzar gya
shb-o-roz kya , mah-o-saal kya

Bohat farsuda lagty hain....

Bohat farsuda lagty hain
mujhy ab yar k qissy
gul-o- gulzar ki baatein
lab-o-rukhsar k qissay
yahan sab k muqaddar mein
faqat zakhm-e-judai hai
sabhi jhoty fasanay hain
wisal-e-yar k qissay
bhala ishq-o-muhabbat sy
kisi ka pait bharta hai
suno tum ko sun ata hun
main karobar k qissay
mery ehbab kehty hain
yahi ik aib hai mujh mein
sar-e-deewar likhta hun
pas-e-deewar k qissay
main aksar isliye logon se ja kr
khud nahin milta
wohi bekar ki baatein
wohi bekaar k qissay...

suno logo!!!!

suno logo!!!!
meri ankhen khareedo gy?
buhat majboor halat mein
mujhy neelam krni hain,
koi mujh sy naqad ly ly,
mein thory daam ly lon ga,
jo dy day pehli boli tu,
usi k naam kr don ga,
mujhy bazar waly keh rhy hain kam aqal tajir,

suno logo!!!!

main nahin hon hirs ka khwahan
nafa nuqsan ki shatranj nahin main khelny aya,
koi mujh ko kahy na man-chala sa by-hunr tajir,
bta paon tunhain kesy k
kis tashveesh mein hon main,

suno logo!!!

bri mahboob hain mujh ko,
ye meri neem tar ankhen,
magar ab b aichta hon k,,
mujhy ik khwab ka tawan bharna hai..
INHEN NEELAAM KARNA HAI.......

Monday, April 23, 2012

Khamoshi Say Bikharna Aa Gia Hay....

Khamoshi Say Bikharna Aa Gia Hay,
hamin Ab Khud Ujarna Aa Gia Hay,
kisi Ko Baywafa Kehtay Nahi Hum,
hamin Bhi Ab Badalna Aa Gia Hay,
kisi Ki Yad Main Rotay Nahi Hain,
hamin Chupchaap Jalna Aa Gia Hay,
gulaboon Ko Tum Apnay Pass Rakho,
hamin Kaanton Pay chalna Aa gia Hay.

Hum Jo Toote To Is Tarah Toote...

Hum Jo Toote To Is Tarah Toote
Jaise Hathon Se Girr K Pathar Pe
Koi Shafaaf Aaiina Toote
Jaise Palkon Se Toot Tha Aansoo
Jaise Seene Main Ik Kamaan Toote
Jaise Umeed Ki Nazuk Daali
Barg Mosam Main Na Gahaan Toote
Jaise Aankhon Main Khwab Ki Doori
Waqt E Takmeel Se Ulajh Jaye
Jaise Pairon Tale Zameeen Nikle
Jaise Sar Par Yeh Aasmaan Toote
Jaise Ik Shaakh Pe Bharosa Kia
Is Pe Jitne Thay Aashiyaan Toote
Jaise Wehshat Se Hosh Aa Jaye
Jaise Ta Dair Main Dheyaan Toote
Ab Jo Raiza Howay To Sochte Hain
Kis Nay Dekha Tha Tootna Apna
Hum Jo Toote To Raayegaan Toote

Tumhin kis nay kaha pagli...

Tumhin kis nay kaha pagli
mujhay tum yaad aati ho
bohat khush faham ho tum bhi
tumharai khush gumani hai
meeri ankhon ki surkhi main
tumhari yaad ka matlab???????
meeray shab bhar kay jagnay main
tumharay khwaab ka matlab???
yah ankhien to hameesha say hi
meri surkh rehti hain
tumhin malom hi hoga
is shahar ki faza kitni aloda hai
tu yah sozish,,ussi fizza kay bayes hai
tumhin kis nay kaha pagli
ka main shab bhar nhin sota
mujhay is nokri kay sab jhameelon say
kabhi fursat milay to tab hai na
meeri baaton main larzash hai???
main aksar kho sa jata hon??
tumhin kis nay kaha pagli
mohabbat kay ilawa aur bhi to dard hotay hain
fikar-e-muaash,sukh ki tlaash,
aisay aur bhi gham hain
aur tum
un sab ghamon kay baad aati ho
tumhin kis nay kaha pagali
mujhay tum yaad aati ho
yah dunya walay pagal hain
zara si baat ko yah to afsaana samjhtay hain
mujhay ab bhi yah pagal tera dewana samjhaty hain
tumhin kis nay kaha pagli!!!
magar shyed!!!!!!!
magar shyed main jhhota hon
main raiza raiza toota hon

Sab log ye mujh say kehte hain....

Sab log ye mujh say kehte hain
nazmo say ishq khuda jesa
ghazlo main kaif udhaasi ka
kis dost nay tum ko sonpa hai
mera ik jawab hamesha say
ik shakhs shehar mai aea tha
kuch roz woh mere sath raha
mughe lehje kay amrat ras main
is nay kuch esa rang dia
har nazuk dil moh lene ka
mere lafzo ko ahang dia
phir soch kay tane bane main
uljha kar mugh ko chor ghia
kuch din say us ki yaad yunhi
is dil par dastak deti hai
aur pao main zanjeer pari
kab hum ko jane deti hai
kabh dil main us ki aas nehi
ye baat alag woh pas nehi

Barishon ke mosum mai....

Barishon ke mosum mai
Dil buhat machalta hai
Tere sang chalny ko
Tuj se baat karny ko
Teri baat sunany ko
Dil buhat machalta hai
Dil ko kaisy samjain
hum ko zindagi bhar ab
Barishoon ke mausam main
bheegna bhi hai tanha
Aur tanha chalna hia
Dil ko kaisy samjain
Barishoon ke mausam mian
Tuj ko yaad karna hai

Mujhay acha sa lagta hai...

Mujhay acha sa lagta hai
Tumharay sung sung chalna
Wafa ki aag main jalna
Tumhain naraz kar daina
Kabhi khud bhi roth jana
Tumhari berukhi pe bhi
Tumhari aarzoo karna
Khud apnay dil ki dharkan say
Tumhari guftugo karna
Mujhay acha sa lagta hai
Bohat acha sa lagta hai
Tum hi ko daikhtay rehna
Tum he ki sochtay rehna
Bohat gehray khayalon main
Jawabon main sawalon main
Mohabbat kay hawalon main
Tumhara naam aa jana
Mujhay acha sa lagta hai…

kuch yaden hen un lamhon ki....

kuch yaden hen un lamhon ki
jin lamhon men hum sath rahey
khushion sey bharey jazbaat rahey
ek umar guzari hai hum ney
jahan roothey hue b hanstey thy
kuch kehtey thy kuch suntey thy
hum roz subha jab miltey thy
tau sab k chehrey khiltey thy
pur lutaf wo manzar hota tha
sab mil k baten kartey thy
hum soch k kitna hanstey thy
wo goonj hamarey hansney ki
ab ek purani yaad bani
ye baten hen un lamhon ki
jin lamhon men hum sath rahey ...

Kabhi waqat miley tau aa jao...

Kabhi waqat miley tau aa jao
hum jheel kinarey ja bethen
tum apney sukh ki baat karo
hum apney dukh ki baat karen
aur un lamhon ki baat karen
jo sung tumharey beet gae
aur ehdey khizaan ki nazar huey
in sabaz ruton k daman men
hum piyaar ki khushboo mehkaain
in bikhrey sabz nazaron ko
hm ankhon men tasveer karen
phir apney piyar k jadoo sey
hum lamhon ko jageer karen
kabhi waqat miley tau aajao
hum jheel kinarey ja bethen

Aankhon Main Baaqi Reh Gaye....

Aankhon Main Baaqi Reh Gaye, Ab Teray Khad-o-Khaal Se
Lub Pe Hain Kuch Sawal Se, Dil Main Hain Kuch Malaal Se
Tu Jo Gaya To Yuun Laga, Tanha Hoon Kainaat Main
Raatain Thaki Thaki Meri, Din Bhi Meray Nidhaal Se
Itne Qareeb Hoon Teray, Rasta Na Wehem Ko Milay
So‘un Teray Hisaar Main, Jagoon Teray Jamal Se
Mujh Ko Hain Kaam Aur Bhi, Kuch To Karo Mera Khayal
Aatay Ho Jab Khayal Main, Jatay Nahi Khayal Se
Tujh Si Hasee‘n Ghazal Koi, Mujh Sa Ghazal Sara Koi
Dunia Main Ho Ager Kaheen, Waazeh Karo Misaal Se
Uss Se Gila Ay Dosto, Itna Sa Hai Ke Wo Mujhe
Samjha Nahi Hai Aaj Tak, Ghaafil Hai Meray Haal Se .

Ek to teri awaaz yaad aayegi....

Ek to teri awaaz yaad aayegi,
Teri kahi hui har baat yaad aayegi,
Din dhal jaayega raat yaad aayegi,
Har lamha pehli mulaqaat yaad aayegi,
Kabhi hansti, kabhi roti, kabhi muskurati,
Yeh zindgi tere bin bhi kat jaayegi,
Par kuchh kami is mein bhi to reh jayegi,
Dil ko tadpaayegi kabhi tarssayegi,
Har lamha teri yaad aa jayegi.

Mujhay maujazoN pay yaqeeN nahiN...

Mujhay maujazoN pay yaqeeN nahiN
magar aarzoo hay kay jab qaza
mujhay bazm-e-dehr say lay chalay
to phir aik baar ye izn day
kay lehad say laut kay aa sakooN
teray dar pay aa kay sada karooN
tujhay ghumgusar ki ho talab
to teray huzoor maiN aa rahooN
ye na ho to soo-e-adum maiN
phir aik baar rawana hooN

Judai ke Mosam mein....

Judai ke Mosam mein
Utarti Sham se Pehlay
Meri Yak-Basta Aankho'n mein
Khamoshi Raqs krti hai
To Os ki Yad ki PayiL
Youn mere Kaam mein aa ker
Musal-sal Chan-chana-tti hai
To phir Yak-Dam Khamoshi ka
Tasal-sul Toot jata hai
Phir.... Aisey mein koi Koyal
Barey hee Qarb se KooKay
To Youn Mehsoos hota hai
Keh...
Jaisey Be-sabab koi
Kisi ko Yad krta hai......!!!

Is waqt to yoon lagta hai.....

Is waqt to yoon lagta hai ke kuch bhi nahin hai
mehtaab na sooraj na andhera na sawera
ankhon me dareechon main kisi husn ki jhalkan
aur dil ki panahon main ksii dard ka dera
mumkin hai koi weham ho mumkin hai suna ho
galion main kisi chaap ka ik akhri phhera
shakhon main khayalon ke ghane per ke shyaad
ab aake karega na koi khawab basera
ik mehar na ik bair na ik rabt na rishta
tera koi apna na paraya koi mera
manaa ke ye sunsan ghari sakht bari hai
lekin mere dil ye to faqat aik ghari hai
himmat karo jeene ko abhi umr pari hai..!!

Agar tum paas hotey...

Agar tum paas hotey
karam ki inteha kartey
tumhen palkom pe rakhtey
tumhen dil mein basatey
agar tum rooth jatey
tumhen kitna manatey
tumhari laghzishon ko bhi
hansi mein hum urra daitey
agar apni khata hoti
tau khud ko hi saza detey
magar ye sab tabhi hota
agar tum paas hotey ! ! !

Saaz-e-khamoosh...

Tu ne phir cher diya aaj mera saaz-e-khamoosh
Tu hi ab thaam ke dilkhla mera betaab kharosh
Tu ne phir yaad dilaya mera derd mujhe
Tu ne phir ker diya majboor sa majboor mujhe
Tu ne phir yaad dilayin meri batein mujhko
Meri sohbatein ,meri shamein,meri ratein mujhko
Mein ke thi khwaab,mujhe khwaab se be-khwaab kiya
Mein ke thi aab-e-sukun,aab se seemaab kiya

Mein ne khai thi qasam toot na sakne ke liye
Jaam aankhon ke bhare they na chalakne ke liye
Mein kab aati thi khayalon mein ijazat ke baghair
Mein ne socha ke mein ji loongi mohabbat ke baghair
Mein na daalungi teri raahguzar per daire
Khwah giriya karein ,kosein mujhe arman mere
Mein ne khai thi qasam tujh se gureza houngi
Teri taskeen ka ,aaram ka saman houngi
Uzn-e-hungama na doongi dil-e-mastoor ko mein
Rehne doongi dil-e-majboor hi majboor ko mein
Mein ne khai thi qasam tu ne mager yaad aaker
Saaz-e-pur derd bana daala mujhe tardpa ker
Haaye kyun yaad na kerne pe bhi tu yaad aaya
Meri aankhon se tapakne dil-e-barbaad aaya

Tu ne phir cherd diya aaj mera saaz-e-khamoosh
Tu hi ab thaam ke dikhla mera betaab kharoosh.....!!

Mohabat jheel jaisi hai....

Mohabat jheel jaisi hai
Najanay kitni gehri hai
Satah-e-aab par is ki
Talatum hai wafaon ka
Shorida lehro mai pinha
Kasak meethi judai ki
Bahut sadio say thehri hai
Mohabat jheel jaisi hai
Najanay kitni gehri hai
Mohabat dard meetha hai
Shajar rug rug mai phaila hai
Jawan rut mai umangon ka
Narm ehsaas phaila hai
Mohabat barg ki manind
Barasti hai makanon par
Maakan b wo jinhay
Zindan banaya hai zamanay nay
Mohabat kaif ban kar phir
Utarti hai rag-o-pay mai
Tu dil takrar karta hai
Yehi ik rut sunehri hai
Mohabat jheel jaisi hai
Najanay kitni gehri hai

Zindagi k safar main....

Zindagi k safar main koi
rasta nhi deta....
zameen vakif nhi banti.,
falak saaya nhi deta.......
udaasi jin ki kismat ho
usse ki neend urtihai....
kisi ko apni ankhon sy koi sapna nhi deta...........
uthana khud hi parta hai
thaka hara badan apna
k jab tak saans chalti hai
koi kandha nhi deta............

Aankh ka sara dhoka hai...

Phir shab e tanhai mein
dil ka koocha
yaad se abad hua hai
rastoon ki dhool aaj
qadmoon se mere lipti hai
aankh mein kuch
benaam sa paani tahra hai
aag k shooloon mein
narsaai ki tamaash pahli
zehan k aaine mein
dhudla sa naksh ubrah hai
haath ki lakeeroon mein
kuch tabdeeli lagti hai
ya phir…………..
aankh ka sara dhoka hai

Monday, March 26, 2012

Alvida...

Na tujh pay jafa ka koi ilzaam
Ma maiN apni ulfat pay sharamsaar
Tagaful na peshaymaani na koi shiqayat
Bus zindagi ko dekha apnay apnay andaz say humnay

MaiN ishq ko samjhta hooN zindgi ka muqaddar
Tunay muqaddar ko bus zindagi samjha
MaiN jin zulmatoN pay uthata raha barbat-i-baghaawat
Tunay unhiN aqaayud ko raushani samjha

MaiN banaataa hi rahaa haseeN khwaaboN kay gronday
Mujhko na tha pata ki tera guzar inmaiN kahaaN
Tu to dhooNdti phirti thi ik qafas sandli
Meray tas_svur maiN tha teray liyay ik azaad jahaaN

Main to chaahaa tha ki tum humkadam ho kay chalo
Tumnay virsay maiN magar paya hai aqeedat ka bharam
Meri ulfat to thi baraabar ki dosti
Teri ulfat rahi meri mohtaaj-i-karam

Meri tamanna thi ki tu mujhay "tu" ho kar kay milay
Tunay khudi ko apni magar biknay kay liayay paalaa tha
Meri hasrat ki tu isay apnay ahsaas maiN rakh kar kay jiyay
Toonay parstish kay liyay jisay ab talak saMbhaalaa tha

Na tujh say thi mujhay parstish ki aarzoo
Na kud mujhay tha shauq-i-aqeedat
MaiN tujh maiN dhooNdta phirta tha ik khud_dar mehboob
Aur tumko piyaari thiN apnay purkhoN ki viraasat

♥ sach to ye hai ke kasoor to apna hai ♥

jane kis ki talash unki ankhon mein thi
arzoo ke musafir bhatakte rahe
jitne bhi wo chale
utne hi bich gaye rah mein fasle
khuwab mazil the or manzilen khuwab thi
raston se nikalte rahe raste
jane kis waste arzo ke musafir bhatakte rahe
koi purani yad mera rasta roke mujse ye kehti hai
itni jalti dhoop mein yun kab tak ghomo ge
ao chal ke beete dino ki chaon mein baithen
us lamhe ki baat karen
k jis mein koi phool khila tha
us lamhe ki baat karen k jis mein kisi awaz ki chandi khanak uthi thi
us lamhe ki baat karen k jis mein kisi ki nazroon ke moti barse the
koi purani yaad mera rasta roke mujse ye kehti hai itni jaldhoop mein yun kab tak ghumo ge
sach to ye hai ke kusoor apna hai
chand ko chune ki tamanna ki
asman ko zameen par manga
phool chaha ke patharoon par khile
khuwab jo dekha chaha sach hojaye
iski hum ko saza to milni thi
sach to ye hai ke kasoor to apna hai

Shayad....

Wo ek masoom si chahat
Wo ek benam si ulfat

Wo meri zaat ka hissa
Wo meri zeest ka qissa

Mujhe mehsus hota hy
Wo mery pas hy ab b

Wo jub jub yad ata hy
Nigahon may samata hy

Zuban khamosh hoti hy
Magr ye ankh roti hy

Mein khud se poch leta hon
Jise mein yad krta hon

Usay kya pyar tha mujh se
Jwab “HAAN” soch leta hon

Usay b pyar tha Shayad

Isi “Shayad” se wabasta hy ab to hr khushi meri
Yahi ek lafz “Shayad” ban gya hy zindagi meri...

Sunday, March 18, 2012

Akhri Khatt...

Ik muddat k bad
Us k ghar say
Aye howay
Khatt k konay per
Haldi ki kuch cheen'tain hain
Main hon
Bheegi palkain hain

Mohsin Bhoopali

Saturday, March 17, 2012

Meri ajab hay zindagi...

Meri ajab hay zindagi...
Kisi say kia gillah karain...

Taqdeer rooth jaye tou...
Meray Khuda main kia karon...

Haalat nay, Naseeb nay...
Ghum bhar diye hain is qadr...

Na mazilon ki kuch khabar...
Main karwan ko kia karon..........???

Mil jaye dobnay pe he...
Akhir ko aik sahil kahin....

Tofan ki hay aarzoo....
Tofan ki DUA karo......

Manzil ki thi talash tou...
Gard e safar mili mujhay...

Ankhain baras pari meri...
Kali ghatta ko kia karon...???

dedicated to Momi

Thursday, March 1, 2012

Meri Banjar Si Aankhon Say....

Meri Banjar Si Aankhon Say
Koi Dhoka Nahi Khaao
Kay Tum Kab Dekh Sakte Ho...?
Mere Dil Mein Chupay Ghaao
Aey Mere Kam-Sukhan Saathi...!
Tumhain Shayad Khabar Ho Gi...?
Mohabbat Mein Jo Behtay Hain
Woh Aansoo Khushk Hotay Hain...!!!

Faqat Mere Hi Ho jao......!!

Suno! Aik Baat Kehni Hai
Guzarish Hi Samajh Lena
Hansi Mein Mat Ganwa Dena
Mujhe Aik Khof Lahaq Hai
Jo Mujhe Jeenay Nahi Deta
Sabhi Ka Hum-Nasheen Hona
Tumhain Taqseem Kar Dey Ga
Faqat Mere Hi Ho jao......!!
Faqat Mere Hi Ho jao......!!

Muntazir....

NahiiN ab to koi malaal bhii
kisi wapsi ka khayal bhii
gham-e-be'kasii ne mita diiya
mere dil tha agar koii
tujhe kya khabar k raat bhar
tujhe dekh paane ko ek nazar
raha saath chaand k muntazir
teri khirkiyoN k idher koii .. !!!

Ajeeb Shart.....

Suno Jana..!
Wafa ka Haath barhaney se pehleY..
Bus Itna Jaan Lena k..
Jisey men bhooLna Chahun..
Usey men bhooL jata hun..!

Wo mera poochna tujh se...

Wo mera poochna tujh se..
Tumhen Kia Piyaar hai Mujh se..??
Wo tera Muskura dena..
Nigahon ko Jhuka Lena..
Merey Kaandhay per Sar rakh k..
Nafi mein sar HiLa dena..!

"Teri Yaadain"

Teri Yaadain Kisi Muflis Ki Ponji Si...
Jinhain Hum Pass Rakhty Hain...
Jinhay Mahfooz Rakhty Hain...
...
Jinhay Sub Say Chupatay Hain...
Jinhay Hum Roz Gintay Hain...!!

Mohabbat ki taaeed....

MOHABBAT ki tabiyat main
yeh kesa bachpana qudrat nay rakhaa hai.....
K jitni puraani jitni mazboot hojaaye,,,
Usay taaeed taaza ki zaroort phir bhi rahti hai...
Yaqeen ki aakhri had tak dilo main lehlaati ho,,,
Nigaahon say tapkti ho,,,
Lahu main jagmagaati ho,,,
Hazaaron tarah k dilkash haseen haalay banaati ho,,,
Usay izhaar k lafzon ki haajt phir bhi rahti hai.....
MOHABBAT maangti hai,,,
Yoon gawaahi apne honay ki,,,
k....
Jesy tifil saada shaam ko ek beej boye
or shab main baarha uthay k beejh sy konpal nikli ya nahi...
Yon MOHABBT GAWAHI MANGTI HAI.....

Tere siwa !!

Mere hamsafar mere hamnasheen…
Maine rab se manga tou kuch nahin...
Maine jab b mangi koi duaa...!!
Nahi manga kuch b tere siwa…!!
...
Ye talb kiya…
Ke mere khuda...!!
Sabhi rahatien...
Sabhi chahatain...
Woh ata karay tujay manzalien…
...
Yeh talb kiya ke mere khuda...!!
Tujat takht de...
Tujay taaj de...
Tujay bakht de...
...
Mere hamsafar mere charagar...
Yehi dosti ka hai khatan safar…
Mere saath chalna zara soch kar...
Zara dekh tou mera hosla…
Mere pass jo b woh hai tera…
Nahi aur kuch b tere siwa…
...
Meri dosti...
Meri zindagi...
Meri khamoshi...
Meri bebasi...
Mera ilm bhi...
Mera naam bhi...
Ke meri subha bhi...
Meri shaam bhi...
Ke jo mil sakien mere dam bhi...
Woh sabhi kuch tujay atta karay…
Mere chahraar tou yakeem tou kar...
Mujhy mangna tou na a saka…
Maine phr bhi mangi yehi duaa...!!
...
Ke gawahi de ga mera khuda...!!
Maine jab b us se talb kiya...
...
Nahi kuch b manga tere siwa…!!

Jhoot....

 Suno!!
Mujhay Fursat Hi Fursat Hai,,,
Sawairay Jald Uthna Hai,,,
Na Shab Ko Dair Say Sona,,,
Kahee'n Baahir Nahee'n Jaana,,,
Kisi Say Bhi Nahee'n Milna,,,
Naa Koi Fikar Laa'Haq Hai,,,
Na Koi Yaad Aata Hai,,,
Magar!!
Yeh Aakhiri Misra'a,,,
Zara Sa Jhoot Lagta Hai...

Meri rooh aazaadi chahti hey...!!!

jism ka zindaan tang hota ja raha hey
her suu rasmoo’n ki dewaarein uuth rahi hein!
lehza ba lehza!!!

yaa’n maayusi ka ghata toup andhera…
khud gharzi ki badboo daar fiza hey,

kaheen nafs ki aadam khour bailein uug rahi hein…
aur kaheen hawas ki daldal …
baa’nhein kholey bethhi hey,

khawhishein!!!
aur khawhishoo’n ki khawhish mey saazishein!!
khud rou poudoo’n ki maanind panap rahein hein,

zindagi bhi maut key pareshani mey dikhti hey
aur din ka uujalaa raat key libaadey mey aata hey,

nafratoo’n key aatish daa’n bhadak rahey hein…
chahat ka her phool jis mey jal raha hey,

aur ab!!!
bas Kaatib-e-taqdeer sey ik aur berbaadi chahti hey..

meray jism k zindaan sey…
meri rooh aazaadi chahti hey!!!

''Uss se milne hamein nahi jana''

Apni tanhaiyon se poocha hai
Shab-e-hijran se baat ker li hai
Mere andar ki sehmi khamoshi
Mere bahir ka hansta chehra bhi
Raat ke sansanate lamhe bhi
Din ka dasta huwa ujala bhi
Zabt ka toot’ta yeh bandhan bhi
Sabar ka choot’ta yeh daman bhi
Uss ki yaadein bhi kuch isharon mein
Mujh ko majboor ker rehe hein sab…
Aao uss ke paas chalte hein
Uss se kehte hein kuch dawa ker dey
Apni fitrat ko chor ker ek pal
Koi wada tau woh wafa ker dey
In ki baaton se kuch nahi ho ga
Aakhri faisla tau dil ka hai
Dil yeh kehta hai…uss se milne se
Apni tanhaiyan he acchi hein
Ab akele mein lag gya hai dil
Uss se milne hamein nahi jana
Uss ki baatein udas ker dein gi

Tuesday, February 28, 2012

Mausamon ki adat hai !!

Barishon k mausam main...
Waqt kay andheron main...
Main ne us se pucha tha...
CHOR TO NA JAO Gy...?
...
Hath tham kr usne...
Kaan main ye bola tha...
Kese chor sakta hoon...
...
TUM TO JAAN HO MERI...!!
...
...
Aur aaj aisa hai...
...
Waqt ki tamazat main...
Wehshaton k mousam mein...
...
Main ne us se pucha hai...
...
CHOR KAR HI JANA THA...?
Tou...
...
...
Aas kyun dilai thi...?
Pyaas kyun jagai thi...?
...
Mere in sawalon per...
Chalte chalte wo bola...
Mousamon ki aadat hai...
...
...
WAQT PER BADAL JANA....!!

Kon hain hum....

Log poochtay kon hain hum.??
Hum woh log hain jo,,
Naa kisi k dast e shumaar main hain,,
Na kisi ki nigaah kay hisaar main hain...
Youn jesay koi sadiyon kaa bay ant safar,,
Sehraa sehra phirtaa koi khaak basar.....
Kya poochtay ho k...!!!
Kon hain hum.???
Hum to jugnu bhi nahin hain,,
k kisi k aankh main chamktay...
Kisi ko sanwaartay........
Hum to ansu ki tarah hain,,
Aankh se tapkay aur doob gaye..

Mohabbat ki aass main,,
Gar say niklay aur bay simt musaaft main,,
Darbadar phirte hoye,,
Kisi bay nam shaam ki nazar hoye.......!!!!

Zindegi ...Taiz Bohat Taiz Hawa Ka Jhonka

Zindegi ...Taiz Bohat Taiz Hawa Ka Jhonka
Jalti Bhujti Hoi Shamai'n Mai Mah-o-Saal Meray
Dhalta Soraj Meray Mazi Ki Lehad Ka Katba
Rag-e-Sehra Ki Lakeerain Hain Khod-o-Khaal Meray

Chaand Meray Tan-e-Majrooh Pay Sang-e-Aizaz
Dhoop Chaoo'n Meray Sad-e-Chaak Libadahy Ka Kihraj
SUb Sitaray Meri Pooshaak Kay Paiwand-e-Naheef
Meray Ansoo'n Mera Virsa Meri Ankhoo'n Ka Mizaaj

Mera Cherah Meray Maqtool Huner Ki Tarigh
Meri Ankhai'n Meri Dukhti Hoi Ankhoo'n Kay Chiraagh
Meray Hontoo'n Pay Meri Piyaas Kay Nohoo'n Ka Hajoom
Meray Seenay Pay Darakhshan Meri Toheen Kay Dagh

Ajj Ki Sham Kay, Kay Her Saal Isi Shaam Kay Sath
Meri Ukhri Hoi Sansoo'n Mai Grirah Lagti Hai
Aasmaa'n Waqat Kay Anchal Ki Dhanak Bunta Hai
Sari Dharti Tan-e-Uryaa'n Ki Zirra Lagti Hai

Ajj Ki Shaam Kay Her Saal Meray Gham Nawaz
Muskuraatay Howay Kuch Phool Atta Kartay Hain
Kuch Maseeha Meri Khatir Mera Dil Rakhnay Ko
Khat Mai Jeenay Ki Duaa Behj Dia kartay Hain

Saal-ha-Saal Guzernay Pay Bhi Aai Dil-e-Zidgaa'n
Ajj Ki Shaam Manatay Howay Dar Lagta Hai
Muskuraatay Howay Chehroon Kay Bhanwar Hain Lakin
Akhri Shamma Jalatay Howay Dar Lagta Hai

Dil Dharakta Hai Kay Jalti Hoi Shammo'n Ka Dhowaa'n
Shula-e-Karab Mai Tehleel Na Ho Jai Kaheen
Ji Larrazta Hau Manzer Kay Adhiray Pan Ki
Ajj Ki Shaam Takmeel Na Ho Jai Kaheen...!!!

Aao Kuch Dair Ko Hum Zakhum Shumari Kar Lain
Orr Kuch Dair Mai Her Shamma Pighal Jai Gi
Ajj Ki Bazam Mai Kho Jain, Kaheen So Jain
Ajj Ki Shaam Bhi Kuch Dair Mai Dhal Jai Gi
Jalti Bhujti Shamoo'n Ka Bharosa Kaisa?
Zindegi Taiz Bohat Taiz Hawa Ka Jhonka....!!!

Qaidee....

Wafa ki jel say bhaga hoa majboor Qaidee hon
Agar dil ki adalat main, tumhen mera khayal aye
To, yad k dhundlay katahray main talab karna
Mere lafzon meri baton ko Dli hi Dil mian duhrana
Kay shayad tumhen koi purana naqsh mil jaye
Jo meri begunahi ki adalat main gawahi de
Tum mere deriina sathi ho tumhen to ye khabar hogi
Kay main apni safai main kabhi bhi kuch nahi kehta
Agar phir bhi main kisi pehlo say, Mujrim nazar aon
To, wafa ki raah main Nadan samajh kar darguzar karna

Ikhte-tam e safer ye raha.....

Kuch kehna tha, usy bhi aur mujhe bhi
Us ne ye chaha mien kuch kahon,
meri yeh zid ke baat wo kare.
Yehi sochty sochty zamane beet gaye,
Na us ki ana tooti, Aur na meri zid
Us ki ana faseel thi, toh meri bhi chattan,
Ana aur zid ke issi tazad mein,
Safer-E-Zindgi youn hi rawa raha.
Waqt kat-ta raha, dard barhta raha,
Aur safer ikhte-tam ko ponhcha
Ikhte-tam e safer ye raha.
“Meri ankhon mein halki si nami ,
Aur shayed us ki zindgi mein thori si kami.
Us ki ana shikast khurda,
Aur meri zid reza reza....!!!!

Main aisi mohabbat karti hon !!

tum jab bhi ghar par aatay ho...
aur sab say batain kartay ho...
main aut say parday ki janan...
bus tum ko dekhti rehti hoon...
ik tum ko dekhnay ki khatir...
main kitni pagal hoti hoon...
...
main aisi mohabat karti hoon...
tum kaisi mohabbat kartay ho...
...
Jab darwazay par dastak ho...
ya ghanti phone ki bajti ho...
main chor k sab kuch bhagti hoon...
aur tum ko jo na paoon tou...
ji bhar k ronay lagti hoon...
...
main aisi mohabbat karti hoon...
tum kaisi mohabbat kartay ho...
...
mehfil main kaheen bhi jana ho...
kapron ka selection karna ho...
rang bahut say samnay bikhray hoon...
us rang pe dil aa jata hai...
jo rang k tum ko bhata hai...
...
main aisi mohabbat karti hoon...
tum kaisi mohabbat kartay ho...
...
rozana apnay college main...
kisi aur ka lecture suntay hoay...
ya break k khali ghantay main...
sakhyoon say batain kartay hoay...
meray dhiyan main tum aa jatay ho...
main, main nahin rehti phir...
janan main tum main gum ho jati hoon...
bus khuwabon main kho jati hoon...
un aankhon main kho jati hoon...
...
main aisi mohabbat karti hoon...
tum kaisi mohabbat kartay ho...
...
jis chehray par bhi nigha paray...
her chehra tum sa lagta hai...
wo sham ho ya ke dhop samay...
sab kitna bhala sa lagta hai...
janay ye kaisa nasha hai...
garmi ka tapta mosam bhi...
Jaray ka maheena lagta hai...
...
main aisi mohabbat karti hoon...
tum kaisi mohabbat kartay ho...
...
tum jab bhi samnay aatay ho...
main tum say sunn na chahti hoon...
kash kabhi tum ye keh do...
tum mujh say mohabbat kartay ho...
lekin janay tum kyun chup ho...
yeh soch k dil ghabrata hai...
aisa to nahin hai na jana...
sirf meri nazar ka dhoka ho...
tum nay mujh ko chaha hi na ho...
koi aur hi dil main rehta ho...
main tum say poochna chahti hoon...
main tum say kehna chahti hoon...
lekin kuch pooch nahin sakti...
mana ke mohabbat hai phir bhi...
lab apnay khol nahin sakti...
main larki hoon kaisay keh doon...
...
...
main kaisi mohabat karti hoon...
main tum say ye kaisay pochoon...
...
tum kaisi mohabbat kartay ho...??
chup chap see main...ho jati hoon
phir dil main apnay kehti hoon
main aisi mohabbat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho

Raaston ki marzi hai !!

Bay qaraar logon ko...
Bay qaraar aankhon ko...
Badnaseeb qadmon ko...
Jis taraf bhi lay jain...
RAASTON KI MERZI HAI...
...
Bay nishan jazeeron par... bad gumaan shehron main...
Jis taraf bhi bhatka dain...
RAASTON KI MERZI HAI...
...
Ajnabi koi laa ker...
hamsafer bana dalen...
sath chalnay walon ki... Raakh bhi ura dalen...
Ya musafaten sari...
khaak main mila dalen...
RAASTON KI ERZI HAI...
...
Rauk lain ya berhnay den...
thaam len ya girnay den... wisal ki lakeeron ko...
Taur dain ya milnay den...
...
RAASTON KI MERZI HAI…!!

Mohabbat hamsafar meri !!

Kathan hay zindagi kitni...
Safar dushwaar kitna hay...
Kabhi paaoo’n naheen chaltay...
Kabhi rasta naheen milta...
Hamaara saath day paaye
Koi aisa naheen milta... Ager main yon guzaaron tou...
Yeh shab-o-roz naheen kat’tay...
Mager aye mairay maalik...
...
Mujhay shikwah naheen tujh say...
...
Main jaan pay khail sakta hoon...
...
Main har dukh jhail sakta hon...
Ager...
...
Tu aaj hi ker day...
...
...
Mohabbat hum safar mairi...!!

Kabhi rootha nahi kartay !!

Main sun k uski sub batain...
Faqat itna hi kehta tha...
Khafa hona mana laina...
Yeh sadiyon say riwayat hay...
Gilay shikway karo mujh say...
Tumhain janan ijazat hay...
Magar ik baat meri bhi...
Tum yaad rakh laina...
...
Kabhi aisa bhi hota hay...
Hawa’ain rukh badalti hain...
Khata’ain ho hi jati hain...
Khafa hona bhi mumkin hay...
Khata hona bhi mumkin hay...
Hamaisha yaad rakhna tum...
...
Ta’aluq toot janay say...
...
Kabhi toota nahin kertay…!!

Mohabbat kam nahi hogi !!

Tumhari Talkhiyon Se...
Aur...
Tumhare Na-Tarashida Rawayyon Se...
Tumhari Choti Choti Ranjishon Se...
Aur...
Bari Narazgi Se Bhi...
Mohabbat Kam Nahi Hogi...
...
Tumhare Shehr Bhar Se Dil Laga Lene Ki Aadat Se...
Tumhari Be-Wafai Se...
Tumhari Be-Hisi Se Bhi...
Mohabbat Kam Nahi Hogi...
...
Anaa Ka Darmiyan Aa Kar...
Kai Be-Saakhta Jazbey...
Achanak Maar Jane Se...
Dilon Ko Zaat Par Se Waar Jane Se...
Kisi Basti Mai Jaa Basne...
Kisi Sehra Mai Rasta Bhool Jane...
Ya...
Samandar Paar Jane Se...
Mohabbat Kam Nahi Hogi...
...
Kisi Ke Jeet Jane Se...
Kisi Ke Haar Jane Se...
...
...
Mohabbat Kam Nahi Hogi...!!
(Farhat Abbas Shah)

Mujhay aawaz day lena !!

Mujhe aawaz de lena...
...
Kabhi jab ankh chalkay tou...
Kabhi jab dil na sambhlay to...
Mujhe aawaz de lena...
...
Kabhi jab door ho koi...
Bahut majboor ho koi...
Koi aawaz na de to...
Mujhe aawaz de lena...
...
Koi ansoo na ponchay tou...
Koi hansnay se rokay tou...
Koi tum ko sataye tou...
Mujhe aawaz de lena...
...
Kabhi jab din na guzray tou...
Kabhi jab raat tarpaye tou...
Kabhi din main andhera ho...
Mujhe aawaz de lena...
...
Main tere pass hota hoon...
Main tere sath rehta hoon...
Magar phir bhi guzarish hai...
...
...
Mujhe aawaz de lena...!!