Tuesday, November 22, 2011

Khushboo Ki Poshaak....

Khushboo Ki Poshaak Pehn Kar
Kon Gali Mai Aaya Hai!
Kaisa Yeh Pegham-Rasan Hai
Kiya Kiya Khabrein Laya Hai
Khirki Ke Bahir Dekho
Mosam Mere Dil Ki Baatein
Tum Se Kehne Aaya Hai

(Amjad Islam Amjad)

Mohabbat Ke Mosam ...

Mohabbat Ke Mosam
Zamaane Ke Sab Mosamon Se Niraaley
Bahar-O-Khizaan In Ki Sab Se Judaa
Alag In Ka Sookha, Alag Hai Ghataa
Mohabbat Ke Khitte Ki Aab-O-Hawa
Mawra, In Anasir Se Jo
Mosamon Ke Taghaiyur Ki Bunyaad Hain
Yeh Zaman-O-Makaan Ke Kam-O-Besh Se
Aese Aazad Hain
Jese Subh-E-Azal
Jese Shaam-E-Fanaa
Shab-O-Roz-E-Aalam Ke Ahkaam Ko
Yeh Mohabbat Ke Mosam Nahi Maante!
Zindagi Ki Musafat Ke Anjaam Ko
Yeh Mohabbat Ke Mosam Nahi Maante!
Rifaaqat Ki Khushboo Se Khali Ho Jo
Yeh Koi Aesa Manzar Nahi Dekhte,
Wafa Ke Alawa Kisi Kaam Ko
Yeh Mohabbat Ke Mosam Nahi Maante!

(Amjad Islam Amjad)

Mohabbat Aesa Dariya Hai....

Mohabbat Aesa Dariya Hai
Ke Barish Rooth Bhi Jaye
To Paani Kam Nahi Hota

(Amjad Islam Amjad)

Tu Kiyu Hai Udaas....???

Tu Kiyu Hai Udaas, Muskuraa De
Kiyu Tujh Ko Gham-E-Wafa Ne Ghera
Zangaar-E-Alam Se Dor Hi Reh
Aiena Sifat Jamal Tera
Kitni Hi Siyah Shab Ho Lekin
Kab Chaand Par Cha Saka Hai Andhera
Kab Moja-E-Roshni Thami Hai
Dariyaaon Pe Dhool Kab Jami Hai
Mai Kaise Hansun Ke Dard-E-Hasti
Hai Mere Shaoor Ka Taqaza
Halaat Ki Dhoop Meri Qismat
Aalaam Ki Raig Meri Duniya
Mai Saaya-E-Nakhl Ko Bhi Tarsun
Sehra Ki Tarah Wajood Mera
Sehraaon Mai Phool Kab Khiley Hain
Hum Dono Mai Kitne Faasley Hain

(Ahmed Faraz)

Maseeha...

Meri Afsurdagi Se Pareshan Na Ho
Tu Meri Talkhiyon Ka Sabab To Nahi
Teri Aankhen To Meri Hi Dam-Saaz Hain
Theen Kabhi Ajnabi Lekin Ab To Nahi
Tujh Ko Meri Musarrat Muqaddam Sahi
Tera Gham Mujh Ko Wajah-E-Tarab To Nahi
Tera Ahsaan Hai Tu Ne Mere Liye
Apni Palkon Se Raahon Ke Kaante Chuney
Khud Kari Dhoop Mai Reh Ke Mere Liye
Tu Ne Zulfon Ke Shadaab Saaye Buney
Meri Khatir Zamaane Ko Pagal Kaha
Meri Khatir Zamaane Ke Taaney Sune
Tu Meri Zindagi Hai Magar Jaan-E-Mann!
Ab Wo Ishq-O-Mohabbat Ki Rasmein Nahi
Mere Dil Mai Kaii Ghao Aese Bhi Hain
Jin Ka Darmaan Teri Dastaras Mai Nahi
Ek Gham Jis Ki Shiddat Hama-Geer Hai
Tere Bas Mai Nahi, Mere Bas Mai Nahi

(Ahmed Faraz)

Ahtisaab....

Soch Maflooj Hai Halaat Ke Zindaanon Mai
Aqal Par Talkh Hawaadis Ke Giraan Talay Hain
Aagahi Sard-O-Khamosh
Munjamid Shola-E-Hosh
Zehn Par Bhoole Fasanon Ke Ghaney Jaaley Hain
Koi Aahat Bhi Nahi Dil Ke Siyah-Khaanon Mai
Qehqahey Waqt Ke Khush-Rang Shabistaanon Mai
Kitni Dil’doz-O-Ghameen Aahon Ke Rakhwaaley Hain
Aarzoo Jaam Talab
Aabroo Zehr Ba-Lab
Kitne Hi Naag Khazaanon Ne Yahan Paaley Hain
Kitne Paikar Hain Jo Dhal Jaate Hain Awanon Mai
Zindagi Rengti Hai Maut Ke Weeraanon Mai
Inqalaabat Ne Andaaz Badal Daaley Hain
Raat Din Shaam-O-Sehr
Kis Ko Jurrat Ho Magar
Naag Khud Hi To Khazaanon Ne Yahan Paaley Hain
Aag Phoolon Ne Bakheri Hai Gulistaanon Mai

(Ahmed Faraz)

Aag...

Muflison! Apne Muqaddar Se Shikayat Na Karo
Is Se Insaan Ke Emaan Mai Farq Aata Hai
Hum To Na-Cheez Se Bande Hain Hamen Kiya Maloom
Kon Si Baat Mai Kiya Maslihat-E-Yazdaan Hai
Kitna Gumraah-O-Gunah Gaar Hue Jaate Hain
Kiya Kaha? “Khanumaan Barbaad Hue Jaate Hain
Dam Ba Dam Aag Ke Be-Rehm Lapakte Sholey
Apne Boseeda Makaan Raakh Kiye Dete Hain
Khaak Hi Khaak Hui Jati Hai Duniya Apni
Aur Is Aatish-O-Zulmaat Ke Sailaab Mai Bhi
Marmar-O-Aahan-O-Seemaan Ki Imaaraat-E-Buland
Issi Pindaar Issi Shaan Se Asteeda Hain
Kiya Khuda Sirf Ghareebon Pe Sitm Dhaata Hai”
Theek Kehte Ho Magar Khaam Aqaaid Walo
Hum To Taqdeer Ke Bande Hain Hamen Kiya Maloom
Kon Si Baat Mai Kya Maslihat-E-Yazdaan Hai
Aur Phir Apni Shikayat Se Bhi Kya Hota Hai
Wohi Hota Hai Jo Manzoor-E-Khuda Hota Hai
(Ahmed Faraz)

Tumhara Kehna Hai....

Tumhara Kehna Hai
Tum Mujhe Be-Panah Shiddat Se Chahte Ho
Tumhari Chahat
Wisaal Ki Akhri Hadon Tak
Mere Faqat Mere Naam Hogi
Mujhe Yaqeen Hai
Mujhe Yaqeen Hai
Magar Qasm Khane Wale Larke!
Tumhari Aankhon Mai Ek Til Hai!

(Parveen Shakir)

Tanhaai Ki Pehli Dehleez...

Raat Abhi Tanhaai Ki Pehli Dehleez Pe Hai
Aur Meri Janib Apne Haath Barhaati Hai
Soch Rahi Hun
In Ko Thaamon
Zeena Zeena Sannaton Ke The-Khanon Mai Utroon
Ya Apne Kamre Mai Thehroon
Chaand Meri Khirki Pe Dastak Deta Hai!

(Parveen Shakir)

Bol Ke Lab Aazaad Hain Tere...

Bol Ke Lab Aazaad Hain Tere,
Bol Zubaan Ab Tak Teri Hai,
Tera Sutawaan Jism Hai Tera,
Bol Ke Jaan Ab Tak Teri Hai,
Dekh Ke Aahangar Ki Dukaan Mai,
Tund Hain Sholey Surkh Hai Aahan,
Khulne Lage Quffalon Ke Dahaane,
Phela Har Ek Zanjeer Ka Daaman,
Bol Yeh Thora Waqt Bohot Hai,
Jism-O-Zabaan Ki Maut Se Pehle,
Bol Ke Sach Zinda Hai Ab Tak,
Bol Jo Kuch Kehna Hai Keh Le!

(Faiz Ahmed Faiz)

Teri Yaad...

Raat Ka Pichla Pehr Hai
Maatmi Malboos Orhe
Dard Ki In Waadiyon Se
Wehshaton Ke Raaste Se
Larkharaati
Dagmagaati
Baal Khole
Bain Karti
Chandni Ko Sath Le Kar
Meri Janib Chal Pari Hai
Aa Rahi Hai
Teri Yaad

(Wasi Shah)

Last Call.....!!!

Kal hamesha ki tarah us ne kaha yeh phone par
Mai bohot masroof hun, mujh ko bohot se kaam hain
Is liye tum aao milne, mai to aa sakti nahi
Har riwayat torr kar is baar mai ne keh diya
Tum jo ho masroof to mai bhi bohot masroof hun
Tum jo ho mashoor to mai bhi bohot maroof hun
Tum agar ghamgeen ho, mai bhi bohot ranjoor hun
Tum thakan se choor to mai bhi thakan se choor hun
Jaan-e-man hai waqt mera bhi bohot hi qeemti
Kuch puraane doston ne milne aana hai abhi
Mai bhi ab farigh nahi, mujh ko bhi laakhon kaam hain
Warna kehne ko to sab lamhe tumhare naam hain
Meri ankhen bhi bohot bojhal hain, sona hai mujhe
Ratjagon ke baa dab nendon mai khona hai mujhe
Mai lahoo apni anaa’on ka baha sakta nahi
Tum nahi aateen to milne mai bhi aa sakta nahi
Us ko yeh keh ke WASI mai ne receiver rakh diya
Aur phir apni anaa ke paoon pe sar rakh diya…!!

(Wasi shah)

Tum Hi Ko Yaad Karna Hai ...

Mujhe Har Kaam Se Pehle
Sehr Se, Sham Se Pehle
Yahi Ek Kaam Karna Hai
Tumhara Naam Lena Hai
Tum Hi Ko Yaad Karna Hai
Ke Jab Bhi Dard Peena Hai
Ke Jab Bhi Zakhm Seena Hai
Gham-E-Duniya Se Ghabra Kar
Mujhe Jab Jaam Lena Hai
Tumhara Naam Lena Hai
Tum Hi Ko Yaad Karna Hai
Tumhari Yaad Hai Dil Mai
Ke Ik Sayyaad Hai Dil Mai
Koi Barbaad Hai Dil Mai
Usay Abad Karna Hai
Tumhara Naam Lena Hai
Tum Hi Ko Yaad Karna Hai

(Wasi Shah)

Adhuri baaten hi zindagi hain...

Adhuri baaten hi zindagi hain
Wo guzri baaten hi zindagi hain
Agarcha dil ki udaas ujri hui raaton mai
Bikhar gai hain
Kai zamanon se saari baaten
Wo guzri baaten
Sulagti shaamon ke jalte bujhte alaao hi mai
Pighal gai hain
Aduri baaten…….
Zaroori baaten
Yeh khushk hoti hui raggon ki siyah qabron mai neem-murda
Dasi hui khuwahishon ke hamrah
Goundhi hui hain
Yeh aankh ki putliyon mai thak ke
Khatakti palkon pe so gai hain
Tamaam baaten durust janaa
Tamaam khadshe baja hain lekin
Har aik imkaan zindagi mai
Ragon mai aur rooh ki zindagi mai
Inhi ki yaaden bhatak rahi hain
Inhi ke dum se zaeef jazbon, thitharte lafzon
Bujhi tamannaon mai ramaq hai
Adhuri baaten hi zindagi hain
Wo guzri baaten hi zindagi hain
Khayal rakhna………..!
Adhuri baaten bhula na dena
Wo guzri baaten bhula na dena
Khayal rakhna
Khayal rakhna………..!!

(Wasi shah)

Diya Jalana….!

Mai janta hun ke ab chaton par
Diye jalane ki rasam baqi nahi rahi hai
Magar tumhe meri yaad aye
To yaad rakho….!
Tum apni aankhon se
Aansuoon ke chamakte moti na girne dena
Bas itna karna
Ke apni chat par
Meri mohabbat ki nazm gaa kar
Meri rafaqat ko yaad kar ke
Diya jalana
Tum apni chat par
kisi bhi kone mai beth kar
Ik diya jalana…….!

(Wasi Shah)

Tum Ne Dekha Hai Mujhe..!!

Tum Ne Murjhaaye Hue Phool Kabhi Dekhe Hain
Dil Ki Qabron Pe Pare......
Hijr Ki Laash Ki Aankhon Pe Dhare
Tum Ne Uktaaye Hue Khuwab Kabhi Dekhe Hain
Dard Ki Palkon Se Lipte Hue
Ghabraaye Hue
Tum Ne Be-Chain Duaaen Kabhi Dekhi Hain
Mohabbat Ke Kinaaron Pe Bhatakti Phirti
Tum Ne Dekha Hai Mujhe
Kiya Kabhi Dekha Hai Mujhe

(Farhat Abbas Shah)

Shiddatein...!!

Be-Tahasha Hai Tujhe Yaad Kiya
Aur Bhulaaya Bhi Bohot Hai Tujh Ko
Sari Ronaq Hi Tere Dum Se Hai
Aur Tere Bikhre Hue Gham Se Hai
Jis Qadar
Mai Ne Ta’aluq Tera Mehsoos Kiya
Itni Gehraai To Roohon Mai Hua Karti Hai
Itni Yaktaai Kahan Milti Hai
Faasley Wuqat’ten Kho Bethe Hain
Doorian Pheeki Pareen
Itni Shiddat Se Tujhe Socha Hai
Itni Shiddat Se Tujhe Chaha Hai
Shiddatein Ishq Ki Meraaj Hua Karti Hain

(Farhat Abbas Shah)

Mohabbat Kam Nahi Hogi....

Mohabbat Kam Nahi Hogi
Tumhari Talkhiyon Se
Aur Tumhare Na-Tarashida Rawayyon Se
Tumhari Choti Choti Ranjishon Se
Aur Bari Narazgi Se Bhi
Mohabbat Kam Nahi Hogi
Tumhare Shehr Bhar Se Dil Laga Lene Ki Aadat Se
Tumhari Be-Wafai Se
Tumhari Be-Hisi Se Bhi
Mohabbat Kam Nahi Hogi
Anaa Ka Darmiyan Aa Kar
Kai Be-Saakhta Jazbey Achanak Maar Jane Se
Dilon Ko Zaat Par Se Waar Jane Se
Kisi Basti Mai Jaa Basne
Kisi Sehra Mai Rasta Bhool Jane
Ya Samandar Paar Jane Se
Mohabbat Kam Nahi Hogi
Kisi Ke Jeet Jane Se
Kisi Ke Haar Jane Se
Mohabbat Kam Nahi Hogi

(Farhat Abbas Shah)

Mohabbat Zaat Hoti Hai...

Mohabbat Zaat Hoti Hai
Mohabbat Zaat Ki Takmeel Hoti Hai
Koi Jungle Mai Jaa Thehrey
Kisi Basti Mai Bas Jaye
Mohabbat Saath Hoti Hai
Mohabbat Khushbooun Ki Ley
Mohabbat Mosamon Ka Dhan
Mohabbat Aabshaaron Ke Nikharte Paaniyon Ka Mann
Mohabbat Jungalon Mai Raqs Karti Morni Ka Tan
Mohabbat Barf Parti Sardiyon Mai Dhoop Banti Hai
Mohabbat Chilchilaatey Garm Sehraaon Mai Thandi Chaaon Ki Manind
Mohabbat Ajnabi Duniya Mai Apne Gaon Ki Manind
Mohabbat Dil
Mohabbat Jaan
Mohabbat Rooh Ka Darmaan
Mohabbat Moorti Hai
Aur Kabhi Jo Dil Ke Mandir Mai Kahin Per Toot Jaye To
Mohabbat Kaanch Ki Guriya
Fizaaon Mai Kisi Ke Haath Se Gar Choot Jaye To
Mohabbat Aabla Hai Karb Ka
Aur Phoot Jaye To
Mohabbat Rogg Hoti Hai
Mohabbat Sogg Hoti Hai
Mohabbat Shaam Hoti Hai
Mohabbat Raat Hoti Hai
Mohabbat Jhilmilaati Aankh Mai Barsaat Hoti Hai
Mohabbat Nend Ki Rut Mai Haseen Khuwabon Ke Raston Par
Sulagtey, Jaan Ko Aate, Rat’jagon Ki Ghaat Hoti Hai
Mohabbat Jeet Hoti Hai
Mohabbat Maat Hoti Hai
Mohabbat Zaat Hoti Hai

(Farhat Abbas Shah)

Ek Din Chaand Se Bicharna Hai...

Ek Din Chaand Se Bicharna Hai
Aankh, Taqdeer Aur Ta’aluq Jo
Jaane Kis Doosre Ke Bas Mai Hain
Saanp Ban Ban Ke Daste Rehte Hain
Apni Saanson Mai Dobte Dil Ko
Chaand Jis Tarz Ka Musafir Hai
Hijr Hi Hai Ke Jo Paraao Mai Hai
Bas Judaai Ko Hai Thehr Jana
Hum To Shikwa Bhi Kar Nahi Sakte
Aur Tanhaaiyon Se Shikwa Kiya
Chaand Be-Chainiyon Ka Mosam Hai
Beet Jane Pe Bhi Hamesha Hi
Apne Aasaar Chor Jata Hai
Yeh Meri Aankh Ke Sulagte Hue
Zard-Ro Aeinon Ki Nam-Naaki
Sab Issi Dard Ki Nishaani Hai
Yeh Mera Be-Sabab Hi Khush Rehna
Sab Issi Gham Ki Azmaish Hai
Ek Khuwahish Hai Jis Ko Marna Hai
Ek Jeewan Jise Ujarna Hai
Ek Din Chaand Se Bicharna Hai

(Farhat Abbas Shah)

Us k bina....

Zindagi ab
us k bina
guzarti he nahi...

Udas aur bohat udas
Sham tanha kisi sorat
Kat'ti he nahi...

Mujhe tum yaad aate ho...!!!

Humen muddat hoi bichrre
Tumhen arsa howa bhoole
Magar baarish k mousam main
Hawaa jub gungunaati hai
Main apne ghar ki chhat per se
Chamakte chaand ko chhupte
Ghataa ki oat main dekhon
Mujhe tum yaad aate ho...!!!

Zindagi magar tanha.....!!!

Aarzo bhe
hasrat bhe
dard bhe
tamana bhe.....
senkron hain hangamey,
zindagi magar tanha.....!!!

Ishq krna bht zaroori tha...?

Raakh hota huwa badan mera
Mujh sy thak kr,
sawal krta hy
Ishq krna bht zaroori tha...?

Tujhko Yaad Rakhnay Mein..!!

Abhi Masrooof Hoon
Kafi....!!!!
Kabhi Fursat Mein,
Sochon Gi...
K...
Tujhko Yaad Rakhnay Mein..!!
Mein Kiya Kiya Bhool Jaati Hoon...!!!

Mera dil lahoo lahoo hai...!!!

Ye afsana-E-muhabbat. . .
ye kahaniyan
wafa ki. . .
koi aur baat chairo. . .
mera dil lahoo lahoo hai...!!!

Zara jhoota sa lagta hai ...!!!

Mujhe fursat hi fursat hai...
Sawery jald uthna hia...
Na shab ko dair say sona...
Kahin bahir nahin jana..
Kisi say bhi nahin milna
Na koi fikr baqi hai
Na koi yaad baqi hai
Magar ye aakhri misrah.!
Zara jhoota sa lagta hai ...!!!

Mujhe bedaar mat karna....

suno!!!!!
aik baat kehni thii
zara tum dhiyan se dekho
meri bekhwab ankhon mein
tumhara khwab sota hai
mujhe bedaar mat karna
usey tabiir hone tak...!!!

AziyatoOo K TamaM Nashtar...


AziyatoOo K TamaM Nashtar
Meri Ragoon Mein
Uttaaaar Kar
Wohh
Bariii Muhabbat Say Pochta Hai
Tumhari AnkhoN Ko Kya Hua Hai !!!

Sirf TUM...

Pehle Chand Taare
Badal Phool
Hawa or Khushboo
achey lagtey they
ab sirf
~Tum~

Ye Barishon K Mausam....

Ye Barishon K Mausam,
Bas Tumhe Se Hain Wabasta,

K Muhabbaton Main Barish,
Barri Lazmi Si Shai Hai,

Chahy Asman Se Barse,,
Chahy Chashm-e-Nam Se Barse...!!!

Yadasht...

Kaha tha na...
Mohabat main shakook itnay nahi palo...
Agar shub'hat berh jain tou phir aksar...
Tabiat bhar he jati hay...
Mohabat marr he jati hay...

Ishtiaq Zain

Chahat...

Admi, Pair aur makan
Saaf neela aasman
Sangraizay aur gulab
Sub k sub achay lagay
Us k ghar jatay howay...

Parveen Shakir

Sabab....

Aik Pashemani Si Rehti Hai
Uljhan Aur Giraani Bhi
Aao Phir Say Larh Kar Dekhain Shayad
Is Say Behtar Koi Aur Sabab Miljaye Hum Ko
Phir Say Alag Hojanay Ka

Wohi Doorie...

Kal Raat Chaand
Hu-Ba-Hu Tum Jesa Tha
Wohi Husn
Wohi Gharoor
Aur
Wohi Doorie!!!

Zindagi Hai Kahan ???

Qafas-e-Hijr Mein
Saanson Ka Amal
Jaari To Hai Magar
Zindagi Hai Kahan
Dhoond Raha Hoon

Musaafat...

Na Jaanay Dil-e-Naatwan Kay Liye
Konsa Safar Hai Yeh
Kay
Raasta Khatam Honay Par Bhi
Musaafat Khatam Nahi Hoti

Bas Itna Yaad Rakh Mujhay...

Bas Itna Yaad Rakh Mujhay
Jesay Kisi Kitaab Mein
Beetay Dino Kay Dost Ka
Aik Khatt Parha Hua Milay
Lafz Mitay Mitay Sahi
Rang Urha Urha Sahi
Lekin Woh Ajnabi Na Ho

Monday, November 21, 2011

Fursat...

kis ko fursat ke mujh se behas kare
aur sabit kare ke mera wajood
zindagi ke liye zaroori hai

Jaun Elia

Agar Tum Aa'ena Dekhoo....!!

Agar Tum Aa'ena Dekhoo....!!
Toa Apnay Aap Say Nazrein Chura Lena...!!
Keh Akser Be-Wafa Logon Ko.....!!
Jab Woh Aa'ena Dekhein .....Toa..!!!
Akhein Choor Lagti Hein .....!!!!

Mohsin Naqvi

Impact...

Bheegi Aankhon wali Larki
Meri taraf jab Dekhti hai to
Mann mein Jal Thal kar jati hai
Mujh ko Pagal kar jati hai ...!!

(Wasi Shah)

Jaana ...........!!!

Jaana ...........!!!
Tumhari Yaad Ajaye Toa...!!
Mujhay.....
Saans lainey ka Amal
Asaan lagtaa hai!!!

(Saeed Wasiq)

Phir wahi pagal hawa ...

Raat darwaze pe
Kitni dastakon k
Zakhm the Mohsin....
Phir wahi pagal hawa
Phir mujhe dhoka huwa....!!!

Bas Tumharay Liye ...!!!

Chandni Gungunanay lagi kis liye
Taaray Aangan mein Aanay lagay kis liye
Kis liye Rung Mehandi ka Khilnay laga
Phool Hum ko Sataanay lagay
Bas Tumharayliye
Bas Tumharay liye ...!!!

(Wasi Shah)

Cahahton ka SilSila....

Ye kesa Cahahton ka SilSila Hy,
Na us Se ShikaYat Hy Na Kud Se Gila Hy,
Zindgi Kis Mor pe Lai hy"$ÄGÄR"
Na usko Pany ke HimAt hy
Na Khony Ka HosLa hy ...!!!

C-L-I

Ab Mera Fone Kiyun Uthaogay Tum ?
Ab Mera Tum ko Ehtraam nahi
Ab tumhain Muj se koi Kaam nahi ...!

(Wasi Shah)

Mujrim...

Tumhain Maloom Hai Jaanaan !
K Tum bhi aik Qaatil ho
Merey andar ka ik Hansta huwa Insaan
Tum ne Maar Dala hai ...!

(Wasi Shah)

Kasak...

Muj se Woh aksar kehti thi
Meri bas itni khuwahish hai
Kuch aisi Pehchani jaon
Aap k naam se jaani jaon ...!

(Wasi Shah)

Kia mila mohabbat se???

Khawab ki musafat se
Wasal ki tamazat se
Roz-o-Shab riyazat se
Kia mila mohabbat se???
Ik hijar ka sehra
Ik shaam yadon ki
Ik thaka hua aansoo...!!!

Aadha Chaand Aur Pura Dukh...

Jab se Tum Bichrray ho Tab se
Aadha Chaand agar dekhoon to
Meri Aankhain Bhar aati hain ...

(Wasi Shah)

Itna he yaad rakh mujhe...

Itna he yaad rakh mujhe
Jesay kisi kitaab mein
Beetay dino k dost ka
Aik khat parha hua mile
Lafz mitey mitey sahi
Rung urha urha sahi
Lekin wo ajnabi na ho...!!!!

Koi Tumsa ho...

Kitne log hain ....
Mere milne wale...
Mere chahne wale...
Mere sung hunsune wale...
Mere dukh mein ronay wale...
Phir bhi janay kun khawish hai...
Koi....
Tum Sa ho....!!!!

Tum bin.....

Judai ki kasak liye
Tumhari yaad se jurha aansoo
Her shab ki aankh se tapka hai ...
Guzre kal ki tarah aaj ka din bhi
Tum bin
Udas guzra hai ...!!!

Guzarish.....

Mein tum se kuch nahin kehta
Faqat itni guzarish hai
k...
Utni baar Mil jao
K....
Jitna Yaad aate ho..!!!

Dua....

aik jumle mein kahon?
wo shakhs mere liye kya hai!
dua hai!!
wo shakhs...
mere liye wo dua hai
ke jis ke heele se main ne
sab kuch mangna seekha hai!!!

Ye Chahaton ki Karri Mushaqat...

Woh nafraton ke sawal kar ke
mohabaton ke jawab maange
ye chaahton ki karri mushaqat
chalen hain tanha
shikast khurda
koi to mera bhi dard jaane
koi to uss se hisaab maange!!!!

Karb...

Jafa se teri seekha hai
Muhabbat kuch nahi hoti

Sawaye

Karb k Jana'an..!!

Mere sabr ka na le imtiha'n...

Mere sabr ka na le imtiha'n
meri khamoshiyon ko sada na de,
Jo tere bagher ji na sake'
use zindagi ki dua na de,
Tu aziz dilo nazr se hai'
tu Qareeb rago ja se hai,
Mere jismo ja ka ye fasla'
kahain waqt or barha na de,
Tuje bhol k b na bhola sakon'
tuje chah k b na pa sakon,
Meri hsraton ko shumar kr'
meri chahaton ka sila na de,
Wo tarp jo shola-e ja mai thi'
mere tan badn se leept ga'i,
Jo bojha sake to bojha ise'
na bojha sake to hawa na de

Mujhey yaad hey....

Mujhey yaad hey – mujhey yaad hey
wo kalaam ke jo na dhal sakaa
kisi lafz meiN
ye jo harf, harf parrha gaya
kisi aur baat ke zikr meiN!
kisi aur cheez ke dhiyaan meiN!
wo kitaab jo ke likhi gai
teri khaamshi ki zubaan meiN
mujhey yaad hey sar-e-raah-e-jaaN
wo chiraagh sa kisi aas ka
jisey aaNdhiyaaN na bujha sakeeN
ke wo roshni ki asaas tha
wo jo pehley pehley wisaal par
teri chashm-e-khush meiN rawaaN huwa
tery hijr ki shab-e-taar meiN
wohi jugnu’oN sa qaafla
mery raastoN ka shareek hey
wo jo harf tu ney ataa keeye
meri zindagi ki kitaab ko
ye tamaam rabt unhi sey hey
unhi mosamoN ki tarang ka hey jamaal ye
jo bahaar merey sukhan meiN hey
unhi sohbatoN ki umang ka hey kamaal ye
ke jo hoslaa sa thakan meiN hey…

pagal aankhon wali larki...!

pagal aankhon wali larki!
itnay mehangay khawab na dekho -
thak jao gi !!
kanch say nazuk khawab tumharay
toot gaye to
pachtao gi !!
soch ka sara ujla kundan
zabt ki rakh main ghol jaye ga
kachchay pakkay rishto.n ki khooshboo ka resham
khul jaye ga!
tum kiya jano ?
khawab , safar ki dhoop kay teeshay
khawab , adhoori raat ka dozakh
khawab , khayalo.n ka pachtawa
khawabo.n ki manzil ruswai !
khawabo.n ka hasil tanhai !!
tum kiya jano?
mehangay khawab khareedna ho.n to
aankahein baichna parti hain ya
rishtay bhoolnay partay hain
andesho.n ki rait na phanko
piyas ki oat sarab na dekho
itnay mehangay khawab na dekho !!
thak jao gi !!
pagal aankhonn wali larki
itnay mahangay khwab na daikho....

WoOooo...

Wo
ab idhr nahi aata
jo guzara tha
inhi raston se kabhi
jin
raston pe
us kliye
hum
kbhi phool bichaya krty the
pehron
uska intezar kia krte the
diwanon ki tarhan
khud ko bhool jaya krte the...!!!

Ek bariSsh Or Ek Tum...

BarisShoOn main bheEg kar
wO aksar kaha karTa Tha

mujhE dO chEezen
bOhuT piyaari laGti hain

Ek bariSsh
Or Ek Tum

bariSsh mujhE is LiyE piyaari LagTi hai
Q k bariSsh Tumhari yaad lE kar AaTi hai

Tum mujhE is LiyE
piyaari LagTi hO

Q k Tumharii yaadEn
bariSsh kO Or Bhi piYaara bana dETi hain

aaj bariSsh main
akEle bheEg kar

janE Q....

mEra diL mujh sE baar baar kEh raha hai
k main bariSsh ki har Ek bOondh sE pOchoOn

kia us sE bariSshEn
Aaj bhi pasand hain

Tumhen Farq Nahi Partha...!

Tumhen Farq Nahi Partha!

main tum se routh jaon tu!
Tumhare pas na aawon tu!

... ... Phir tumsen Door Jakar Main
Kabhi wafas na aawon tu!

Tuhmari yaad main gum sum
Kabhi Aanson bahaon tu!

Tumhen Farq nahi partha!

Tumhare pyaar mein aksar
Khud ko bhool jawon tu!

Main Teri deed mein tanha
Kabhi Khud Ko methawon tu!

Main tum se door reh kar phir
Akele marr bhi jaaon tu!

Tumhen Farq Nahi Partha!

Dil zod-e-ranj hai....

Dil zod-e-ranj hai
Aankh hairaan hai
Ye kaisa malaal hai
Kaisee dil-shikastagii hai
Baat tu sirf itnii sii hai
Usse khoya hai
Jo kabhii mera na tha!!!

Kal raat jaane kia hua !

Kal raat jaane kia hua !
Kuch dair pehle neend se
Kuch ashk milne aagaye
Kuch khuaab bhi tootey huye
Kuch log bhi bhooley huye

Kuch gard mein lipti hui
Kuch be-panah pheli hui
Kuch khol mein simti hui
Bey-rabt si sochein kai ..
Bhooli hui baatein kai ..
Ik shaks ki yaadein kai ..

Phir dair tak jaagey rahe
Sochon mein gum bethey rahe
Ungli se thandey farsh per ..
Ik naam bus likhtey rahe ..

Kal raat bhi wo raat thi
Kuch dair pehle neend se
Ham dair tak rotey rahe ...!!!

Tum kia jano sazain kia hoti hain?

Tum kia jano sazain kia hoti hain?
Tumhary liye to yeh ik faqat lafaz hai
Tum kia jano sazain kia hoti hain?
Dil ko chutkiuon se koi maslta ho jaisy
Rooh ko tumhri apny qadmon talay rondta hon jaisy
Khauwabon ko reza reza karta ho jaisy
Tum kia jano sazain kia hoti hain?
Koi shararti bacha tumhra khilona tor de jaisy
Koi ajnabi tumhara rait ka ghronda tor de jaisy
Koi meharban yakdum na meharban ho jy jaisy
Koi chat bhi tumhry sir per na rahy jaisy
Koi khuwab bhi tumhri neend main na ubhary jaisy
Koi jazba bhi dil main jagah na pa saky
Tum kia jano sazain kia hoti hain
Qaid main koi parinda sir takrata ho jaisy
Bulbul koi andhery se ghabrata ho jaisy
Bacha koi apni Maa se bichar jata ho jaisy
Dhood ka bhi feeder gir kar toot jata ho jaisy
Tum kia jano sazain kia hoti hain ?
Rooh ko khushk paton ki mananid urha dain
Wo sard hawain kia hoti hain?
Tum kia jano sazain kia hoti hain ?

Tumhari yaad aai...

Ye Zabt choo'ut gaya tou
Tumhari yaad aai...

Main thak k toot gaya tou
Tumhari yaad aai...

Tumhare baad na tha koi mera
Dil k siwa...

Ye Dil bhi roth gaya tou
Tumhari yaad aai...

Mere dil mere musafir....

Mere dil mere musafir
Hua phir se hukm sadir
Ke vatan badar hon ham tum
Dein gali gali sadayen
Karen rukh nagar nagar ka
Ke surag koi payen
Kisi yar-e-namabar ka
Bar ek ajnabi se puchen
Jo pata tha apne ghar ka
Sar-e-ku-e-nashanayan
Hamain din se rat karna
Kabhi is se bat karna
Kabhi us se bat karna
Tumhen kya kahun k kya hai
Shab-e-gam buri bala hai
Hamain ye bhi tha ganimat
Jo koi shumar hota
Hamain kya bura tha marna
Agar ek bar hota...!!!

Suno ! Tum Laut Aao !

Jaha Tum Ho Wo Duniya Kab Tumhari Hai
Keh Suraj Dhal Gaya Hai,,
Hasseen Shaam Utri Hai
Wo Dekho Chand Nikhal Hai ,, Sitaray Jagmagaty Hain,
Hamari Muntazir Ankhien,,
Duaen Mangti Aankhein ,
Tumhay Socthi Aankhein,,
Tumhe Dhondti Aankhein ,,,
Tumhe Wapis Bulati Hein,
Ye Dil Jab Bhi Dharakta Hai Tumhare Naam Laita Hai ,
Ye Ansoo Jab Bhi Behtay Hain ,
Tumharay Dukh Mein Behtay Hain
Kay Barish Jab Bhi Hoti Hai
Tumhe Hi Yaad Yaad Karti Hai ,
Khushi Koe Bhi Jo Aye
Tumhary Bin Adhuri Hai,
Suno Tum Laut Aao

Hoon na pagli !

Hoon na pagli !

main us se keh rahi thi

be wafao k liye roya nahi kartey

ye kehtey sath hi

khud ro pari ...!!!

Barish ki ye pehli boondain...

Barish ki ye pehli boondain
Kesa jadu kartee hain
Dil say khoon k katray lay kar
Meri ankhain bhartee hain
Barish k is deebachay say
Kitnay manzar khultay hain
Khwab sa Alum, Lehja Madham,
Aankhain Nam Nam, Bheega Mausam,
Pehli barish,pehli khuwahish,
Pehla jazba, pehla waada,
Pehli khushbu, pehla aansoo,
Chup chup rehna
Soch main parna
Jo bhee kehna tashna kehna
Toota fuqra, aadha jumlaa,
Jaltee sansain, thandi aahian,
Bojhal palkain, saahir aankhain
Dhani Jora, sabz dupatta,
Lambay gaisoo, qatil khushboo
Ik pehar main
Ik jag beeta
Main nay tera bazoo thama
Wasal ki is pehlee barish main
Kiya kuch khoya, kiya kuch paya
Barish ki ye pehli boondain
Kesa jadu kartee hain
Dil say khoon k katray lay kar
meri ankhain bhartee hain
Barish k is deebachay say
Kitnay manzar khultay hain...!!!!!

Suno Ay chand si Larki!

Abhi Tum keh rahi thi na!
tmhein mujh se Muhabat ho nhi skti
chalo mana k Ye sach hai
magr Ay chand si Larki
mujhe itna btaao tm
k jb mosam badalte hain
Gullon mein rang bharte hain
to phir kyun muztrib ho kr
akele pan se ghabra kr
Hawa ko raaz deti ho
mujhe awaz deti ho


Suno Ay chand si Larki
tumhare saamne koi
mera jb naam leta hai
to phir kyun chonkk jati ho
chalo maana k tmhein
mujh se Muhabat ho nhi skti
magr itna samjh lo tum
Jahan chahat nhi hoti
wahan nafrat k hone ka
koi imkaan nhi hota
magr Daawa hai chahat mein
jahan nafrat nhi hoti
wahan aksar ye dekha hay
agar kuch waqt kut jaye
samay ki dhool chat jaye
tu wehshat bhaag jati hay
muhubat jaag jati hay....

Suno Larki?

Suno Larki?
Abhi Tum Ishq Mat Karna
Abhi Guriya Se Khelo Tum
Tumhari Umar Hi Kya Hai
Faqt Athran Baras Ki Ho
Abhi Masoom Bachi Ho
Nahin Maloom Abhi Tum Ko
K Jab Yeh Ishq Hota Hai
To Insaan Kitna Rota Hai
Sitaray Toot Jatay Hain
Saharay Choot Jatay Hain
Abhi Tum Nay Nahin Dekha
K Jab Sathi Bichartay Hain
Tu Kitna Dard Milta Hai
K Har Furqat K Mousam Main
Hazaron Ghum Ubhartay Hain
Hazaron Zakhm Khultay Hain
?
Suno Larki? …..
~?Meri Mano?~
Parhai Par Tawajo Do
Kitaabon Main Gulabon Ko
Kabhi Bhoolay Say Mat Rakhna
Kitabain Jab Bhi Kholo Gi
Yeh Kanton Ki Tarhan Dil Main
Chubhain Gay Khoon Bahayen Ge
Tumhain Pehron Satayen Ge
Kisi Ko Khat Nahin Likhna
Likhai Pakri Jati Hai
Bari Ruswai Hoti Hai
Kisi Ko Phone Mat Karna
Sadayen Dil Dukhati Hain
Woh Awazain Satati Hain
Meri Nazmain Nahin Parhna
Yeh Mehshar Utha Dein Gi
Tumhain Pagal Bana Dein Gi
?
Suno Larki? …..
?
~ Meri Mano?~
Apni Taqdeer Say Tum
Khul K Mat Larna
Abhi Guriya Se Khelo Tum
Abhi Tum Ishq Mat Karna

Tuesday, November 15, 2011

Na gila kiya Na Khafa howe...

Na gila kiya Na Khafa howe,
Yunhi Rasty mei Juda howe,
Na Wo Bewafa Na Main Bewafa,
Jo Guzr gya so Guzr gya!
Wo Ghazal ki ek Kitab tha,
Wo Gulon mei ek Gulab tha,
Zara Dair ka koi Khawab tha,
Jo Guzr gya so Guzr gya!
Wo Udas Dhoop Samait kar,
Kahein Waadion mei Utar gya,
Usy ab Na de Mere Dil Sada,
Jo Guzr gya so Guzr gya!
Ye Safar Bi kitna Taveel hai,
Yahan Waqt kitna Qaleel hai,
Kahan Lout kar koi Aaye ga,
Jo Guzr gya so Guzr gya.

Saturday, November 12, 2011

Tab.! Mere Pas Chale Aana

Jab Joban Tera Dhal Jaye
Jab Pyar Ki Umer Niakl Jaye
Jab Chor De Tujh Ko Husn Tera
Jab Chehra Pur Ho Jhurion Se
Jab Zulf Ke Kham Na Baqi Hun
Jab Rangat Na ho Galon Mein
Jab Chandni Utare Balon Me
Jab Ankh Ki Masti Toot Chuke
Jab Hont Bhi Surkhi Kho Jaein
Jab chor Dein Tujh Ko Sub Sathi
Jab Koi Na Tujh Ko Apnaye
Tab.!
Mere Pas Chale Aana
"Basti" Ki Suni Galion Main
Ek Betha Ho Ga Deewana
Jo Pyar Ka Paras Pathar Hai
Jo Tujh Ko Sona Ker De ga.!
Tere Joban Ko Woh Kia Jane?
Teri Umer Se Us Ka Kia Matlab?
Tere Jism Se Us Ka Kia Rishta?
Jisay Kehte Ho Tum Harjayi
Hai Tere Naam Ka wo Shedayi..

Khirki Chand Kitaab Or Main

Khirki Chand Kitaab Or Main
Muddat Se Ik Baab Or Main
Shab Bhar Khelen Apas Main
Do Ankhen, Ik Khuab Or Main
Mauj Or Kashti Sahil Per
Darya Main Gardaab Or Main
Sham, Udaasi, Khamoshi
Kuch Kankar Talaab Or Main
Har Shab Pakre Jaate Hain
Gehri Neend, Kitaab Or Main

Muhabbat Thehar Jaati Hai

Hum aksar ye samajhte hain
Jise hum pyar karte hain
Usse hum chor sakte hain
Magar! Aisa nahi hota
Muhabbat Daimi such hai
Muhabbat tehar jaati hai
Hamari baat k ander
Hamari zaat k ander
Magar ye kam nahi hoti
Kisi b dukh ki soorat main
Kabhi koi zarorat main
Kabhi anjaan se gham main
Hamari ankh k ander
Kabhi aab-e-rawaan ban kar
Kabhi qatre ki soorat main
Muhabbat thehar jaati hai
Ye hargiz kam nahi hoti

Friday, November 11, 2011

Kaha tha na...Hamain aik khawab rehnay do...

Kaha tha na...Hamain aik khawab rehnay do...
Kaha tha naa...? Humen aik khwab rehne do...
Bohat he shoq tha tum ko
Humara dil dukhane ka
Musalsal chott ki zad per
Humen taqseem karne ka
Humen mitti bana ker rait main
Tajseem karne ka...!
Chalo khush ho gaye na ab...?

Tumhen apna samajhne ki
Jo ghalti hum ne ki thi na...
Bohot hai ab.....
Bohot takleef di hai duniya walon ne
Bohot he chott khai hai zamane se...!

Magar hum bhi ajab thay na...?
Kisi k chain ki khatir
Sukoon apna luta bethe
Kisi ki khwahishon ko ahem hum ne
Itna jaana k
Ghuroor apna mita bethe
Bohot nadan thay na hum...?

Chalo achha howa khush-fehmion ka
Silsila toota,
Thakan jo hai guzarte waqt k sang
Dhal he jaye gi...

Magar hum bhi ajab thay na...?
K hum to waqt k sang
Toot jaate hain magar
Torra nahi kerte
K hum ne bad-dua dena nahi seekha
Dua ye hai k tera samna na ho
Kisi k saath bhi mujh sa bura na ho...!

Bohot masoom thay na hum...?
Kaha tha na...?
Humen aik khwab rehne do...!!!

Tum mujhay yaad naa aaya karo!!

Suno!
mujhay yaad naa aaya karo
jub main apnay dostoun k darmiyaan baitha bol raha hota hoon
kisi imtihaan ki tayyari main masroof nazar aaoon
ya kisi masroof sarhak par drive kar raha houn
mausam acha ho or main akaila
ya khaas taur par aisey waqt
jub kisi ko khat likh raha houn
ya kisi bohat hee piyaarey shakhs ki yaadoun main gum
dunya-o-maafeeha say beykhabar ho jaoon
Tum mujhay yaad naa aaya karo!!

Konse dukh ki baat karain ???

Konse dukh ki baat karain
Tum to buss aik hi dukh poochte ho
Konse dukh ki baat karain baat zara ye to bata
Mosamon , serd hawaon ki maseehai ka dukh
Raah ki dhool main bikhri huee beenai ka dukh
Sang ke sheher main khud dukh se shanasaee ka dukh
Ya kisi bheegti bersaat main tanhai ka dukh
Kon se dukh ki karain baat ke dil ka derya
Itni tughyaani ki zad per hai ke kuch yaad nahin
Kab hamain bhool gaya kon se herjaai ka dukh
Tum to buss aik hi dukh ka poochte ho

( Farhat Abbas Shah)

Barishon ka moasam hay

Barishon ka moasam hay
roOh ki fizaOn main
Ghamzada hawaOn main
be-sabab udasi hay
is ajeeb moasam main
be-Qarar raton ki
be-shumaar batain hain
un-Ginat fasanay hayn
jo bohat khamoshi se
dil pe sehtay phirtay hain
aur be-amar majboori
sab se kehtay phirtay hain
aaj moasam acha hay
aaj hum bohat khush hayn

FarHat AbBas sHaH

Monday, November 7, 2011

Jo chal sako to koi aisi chaal chal jana....

Jo chal sako to koi aisi chaal chal jana
Mujhay gumaaN bhi na ho aur tum badal jana

Ye sholagi ho badan ki to kya kia ja'ay
So laazmi tha tery pairhan ka jal jaana

Tumhi karo koi darmaaN, ye waqt aa pohancha
K ab to chaara garoN ko bhi haath mal jana

Abhi abhi to judaai ki shaam aayi thee
HumaiN ajeeb laga zindagi ka dhal jana

Saji sajaai hui maut zindagi to nahiN
Mu'arrakhoN ny muqaabir ko bhi mehal jana

Har aik ishq k baad aur is k ishq k baad
FARAZ itna bhi aasaaN na tha sambhal jana

Shaahar-e-dil ke gailiyoon main....!!!

Chaand kay tamanaee
Shahar-e-dil ke galiyoon main
Shaam say bhatak'tay hain
Chaand kay taman'nai
Bay'qaraar sodaai'ee
Dil gudaaz tareekee
Jan gudaaz tunhai
Rooh-o-jaan ko dastee hai
Rooh-o-jaan mein bastee hai
Shahar-e-dil ke galiyoon main
Taak shab ke bailoon par
Shabnameen sarkashoon kee
Bay qaraar logoon nay
Bay shumaar logoon nay
Yaad'gaar choori hai
Itni baat thoori hai ??
Sud hazaar batain theen
heelaaa-e-shakeebayai
Sourtoon ke zay'bayee
Qamtoon ke ra'nayee
In sayaah ratoon main
Ik bhi na yaad aye
Ja baja bhataktay hain
Kis ke raah taktay hain
Chaand kay tamanayee
Yeh nagar kabhi pehlay
Iss qadar na vairaan tha
Kehnay wallay kehtay hain
Qaryaa nagaraan thaa
Khair apnay jeenay kaa
Yeh bhi aik samaan tha
Aaj dil mein vairaani
Aabr ban kay ghir aye..
Aaj dil ko kaya kahiyeah
Be wafa na har jayee
Phir bhee loug divaanaay
Aa gai hain samjhanay
Apni wahshaat-e-dil kay
Bun liyeah hain afsaanay
Khush khayaal duniyaa nay
Garmiyaan tu jaati hain
Woh rutaain bhi aati hain
Jab malool ratoon main
Dostoon ke batoon main
Jee na chain paye ga
Aur aoob jaye ga
A'ahatoon say gounjay gee
Shahar e dil ke punhayee
Aur chaand ratoon main
Chandini kay shaydayee
Har bahanay nikllain gay
A'azmanay niklaain gai
Dhoondhnay ko ruswayee
Sard sard ratoon ko
Zard chaand bakhshay ga
Bey hisaab tunhaii
Bey hijaaab tunhaii
Shaahar-e-dil ke gailiyoon main....!!!

Kahin Milay To Ussay Kehna K ...

Kahin Milay To Ussay Kehna k...
kahin mile to usse kehna
ke tanha sawan bita chuka hoon
main saare armaan jala chuka hoon
jo sholay bharke the khuahishon ke
woh aansuon se bhuja chuka hoon..
kahin mile to usay yeh kehna k
bagair uske udaas hoon main
badalti rut ka qiyas hoon main
bhujade apni mohabbaton se
sulagti sadion ki piyas hoon main
kahin mile to usay yeh kehna k
dia jo nafrat ka zehar usne
samajh ke amrit peeraha hoon
k bari mushkil se jeeraha hoon
kahin mile to ussay yeh kehna k
woh mere jazbe kuchal gaee hai
na badle mausam bhi itna jaldi
woh jitni jaldi badal gai hai
kahin mile to ussay yeh kehna k
fasl-e-nafrat gera raha hoon
gaye dino ko bhula raha hoon
woh apne vaade se phir gai
main apne vaade nibha raha hoon
kahin mile to usay yeh kehna k
na dil main koi malaal rakhe
hamesha apna khayal rakhe
apne saare gham mujh ko dede
tamam khushian sambhal rakhe
kahi mile to usay yeh kehna.......

Ussay Kahna....

Ussay Kahna....
Mukammal kuch nahin hota
Milan bhi na-mukkamal hai
Judaee bhi adhoree hai
Yahan ik mout pooree hai


Ussay Kahna.....
udasee jab ragoon mein
Khoon ki manind utartee hai
Bohat Nuqsaan kartee hai


Ussay Kahna......
Bisat-e-Ishq Par jab maat hotee hai
Dukhon k shehar mein jab raat hotee hai
Mukammal buss Khuda ki zaat hotee hai

Suna hay...

suna hay aaj kal woh pareshan rehta hay
usay kehna befikar hum bhi nahe hain
suna hay woh gumsum rehta hay
usay kehna hosh main hum bhi nahe hain
suna hay woh ratoon ko jaga karta hay
usay kehna sotay hum bhi nahe hain
suna hay woh chup chup k rota hay
usay kehna hanstay hum b nahe hain
suna hay woh mujhy yaad bohat karta hay
usay kehna bhoolay hum b nahe hain
suna hay usnay wafa ka daawa kia hay
usay kehna be wafa hum bhi nahe hain

Lafzoon Se Kya Byaan Karun Main...?

Lafzoon Se Kya Byaan Karun Main
Geeli palkein kah jaati hain
Tanha akeli raaton ko
Dhoondti aisa humdum ho jo
Rok dai inn barsaaton ko
Dil ki dhadhkan kahti hai aa
Thaam lei soone haathon ko
Ankhon ki zubaani sun lei
Ishq ki saari baaton ko
Lafzon se kya byaan karun main
Iss dil ke jazbaaton ko

Sunday, November 6, 2011

Shiddatein...

Be-Tahasha Hai Tujhe Yaad Kiya
Aur Bhulaaya Bhi Bohot Hai Tujh Ko
Sari Ronaq Hi Tere Dum Se Hai
Aur Tere Bikhre Hue Gham Se Hai
Jis Qadar
Mai Ne Ta’aluq Tera Mehsoos Kiya
Itni Gehraai To Roohon Mai Hua Karti Hai
Itni Yaktaai Kahan Milti Hai
Faasley Wuqat’ten Kho Bethe Hain
Doorian Pheeki Pareen
Itni Shiddat Se Tujhe Socha Hai
Itni Shiddat Se Tujhe Chaha Hai
Shiddatein Ishq Ki Meraaj Hua Karti Hain
(Farhat Abbas Shah)

Tum Ne Dekha Hai Mujhe....?

Tum Ne Murjhaaye Hue Phool Kabhi Dekhe Hain
Dil Ki Qabron Pe Pare......
Hijr Ki Laash Ki Aankhon Pe Dhare
Tum Ne Uktaaye Hue Khuwab Kabhi Dekhe Hain
Dard Ki Palkon Se Lipte Hue
Ghabraaye Hue
Tum Ne Be-Chain Duaaen Kabhi Dekhi Hain
Mohabbat Ke Kinaaron Pe Bhatakti Phirti
Tum Ne Dekha Hai Mujhe
Kiya Kabhi Dekha Hai Mujhe
(Farhat Abbas Shah)

Farz Karo....

Farz karo ham ahl-e-wafa hon, farz karo deewaane hon,
Farz karo yeh dono baatain jhooti hon, afsaane hon
Farz karo yeh nain tumhare, sach much ke meh-khane hon,
Farz karo tumhen khush karne ke dhoondhe ham ne bahane hon
Farz karo yeh jee ki bipta jee se jor sunai ho
Farz karo abhi aur ho itni, aadhi ham ne chupai ho
Farz karo yeh jog be-jog ka, dhong hi ham ne rachaya ho,
Farz karo bas yahi haqeeqat, baqi sab kuch maya ho
Farz karo yeh rog ho jhoota, jhooti peet hamari ho,
Farz karo is peet ke rog mai saans bhi ham pe bhari ho.
(Ibn-e-Insha)

Aaj Wo Muddat Baad Aai Bhi...

Aaj Wo Muddat Baad Aai Bhi
Bas Yeh Kehne
Janaa!
Mere Saare Khat Lauta Do
Sab Tasweeren, Qalam, Kitaaben
Wapis Kar Do Saare Tohfay
Mujh Se Sab Kuch Maangne Wali
Jate Jate
Mere Kamrey Ki Chokhat Par
Chor Gai Hai
“Apna Aap”
(Wasi Shah)

Diya Jalana….!

Mai janta hun ke ab chaton par
Diye jalane ki rasam baqi nahi rahi hai
Magar tumhe meri yaad aye
To yaad rakho….!
Tum apni aankhon se
Aansuoon ke chamakte moti na girne dena
Bas itna karna
Ke apni chat par
Meri mohabbat ki nazm gaa kar
Meri rafaqat ko yaad kar ke
Diya jalana
Tum apni chat par kisi bhi kone mai beth kar
Ik diya jalana…….!
(Wasi Shah)

Jo Meri Aankhon Se Khuwab Dekho...

Jo meri aankhon se khuwab dekho
To ek shab bhi na so sako ge
Ke laakh chaho na hans sako ge
Hazar chaho na ro sako ge
Ke khuwab kiya hain azaab hain yeh
Mere dukhon ki kitaab hain yeh
Rifaaqaten in mai chot’ti hain
Mohabbaten in mai roothti hain
Panapti hain in mai wehshaten si
Azeeayaten in mai phoot’ti hain
Inhi ke dar se khizaan hain jazbe
Inhi se shaakhen si toot’ti hain
Ghamon ki bandish hain khuwab mere
Dukhon ki barish hain khuwab mere
Ubal raha hai dukhon ka laawa
Raheen-e-aatish hain khuwab mere
Khayal saare jhulas gaye hain
Sulagti khuwahish hain khuwab mere
Ukharti saansen hain zindagi ki
Lahoo ki saazish hain khuwab mere
Jo meri aankhon se khuwab dekho
To ek shab bhi na so sako ge
(Wasi shah)

Kangan...Motu ki favt poetry :P

Kash Mai Tere Haseen Hath Ka Kangan Hota
Tu Bare Pyaar Se, Chao Se, Bare Maan Ke Saath
Apni Nazuk Si Kalaii Mai Charhaati Mujh Ko
Aur Be-Taabi Se Furqat Ke Khizaan Lamhon Mai
Tu Kisi Soch Mai Doobi Jo Ghumati Mujh Ko
Mai Tere Haath Ki Khushboo Se Mehek Sa Jata
Jab Kabhi Mood Mai Aa Kar Mujhe Chuma Karti
Tere Honton Ki Mai Hiddat Se Dehek Sa Jata
Raat Ko Jab Bhi Tu Nendon Ke Safar Par Jati
Marmareen Haath Ka Ik Takiya Banaya Karti
Mai Tere Kaan Se Lag Kar Kai Baaten Karta
Teri Zulfon Ko Tere Gaal Ko Chuma Karta
Jab Bhi Tu Band Qiba Kholne Lagti Janaa
Apni Ankhon Ko Tere Husn Se Kheera Karta
Mujh Ko Be-Taab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha
Mai Teri Rooh Ke Gulshan Mai Mehekta Rehta
Mai Tere Jism Ke Aangan Mai Khanakta Rehta
Kuch Nahi To Yahi Be-Naam Sa Bandhan Hota
Kash Mai Tere Haseen Hath Ka Kangan Hota
(Wasi shah)

Kasak...

Mujh Se Wo Aksar Kehti Thi
Meri Bas Itni Khuahish Hai
Kuch Aese Pehchani Jaaon
Aap Ke Naam Se Jani Jaaon!
(Wasi Shah)

Khayal rakhna...

Adhuri baaten hi zindagi hain
Wo guzri baaten hi zindagi hain
Agarcha dil ki udaas ujri hui raaton mai
Bikhar gai hain
Kai zamanon se saari baaten
Wo guzri baaten
Sulagti shaamon ke jalte bujhte alaao hi mai
Pighal gai hain
Aduri baaten…….
Zaroori baaten
Yeh khushk hoti hui raggon ki siyah qabron mai neem-murda
Dasi hui khuwahishon ke hamrah
Goundhi hui hain
Yeh aankh ki putliyon mai thak ke
Khatakti palkon pe so gai hain
Tamaam baaten durust janaa
Tamaam khadshe baja hain lekin
Har aik imkaan zindagi mai
Ragon mai aur rooh ki zindagi mai
Inhi ki yaaden bhatak rahi hain
Inhi ke dum se zaeef jazbon, thitharte lafzon
Bujhi tamannaon mai ramaq hai
Adhuri baaten hi zindagi hain
Wo guzri baaten hi zindagi hain
Khayal rakhna………..!
Adhuri baaten bhula na dena
Wo guzri baaten bhula na dena
Khayal rakhna
Khayal rakhna………..!!
(Wasi shah)

Khuwab Aur Khushboo...

Khuwab Aur Khushboo
Dono Hi Azada-Ro Hain
Dono Hi Qaid Nahi Ho Sakte
Mere Khuwab
Tumhari Khushboo……!
(Wasi Shah)

Last Call....

Kal hamesha ki tarah us ne kaha yeh phone par
Mai bohot masroof hun, mujh ko bohot se kaam hain
Is liye tum aao milne, mai to aa sakti nahi
Har riwayat torr kar is baar mai ne keh diya
Tum jo ho masroof to mai bhi bohot masroof hun
Tum jo ho mashoor to mai bhi bohot maroof hun
Tum agar ghamgeen ho, mai bhi bohot ranjoor hun
Tum thakan se choor to mai bhi thakan se choor hun
Jaan-e-man hai waqt mera bhi bohot hi qeemti
Kuch puraane doston ne milne aana hai abhi
Mai bhi ab farigh nahi, mujh ko bhi laakhon kaam hain
Warna kehne ko to sab lamhe tumhare naam hain
Meri ankhen bhi bohot bojhal hain, sona hai mujhe
Ratjagon ke baa dab nendon mai khona hai mujhe
Mai lahoo apni anaa’on ka baha sakta nahi
Tum nahi aateen to milne mai bhi aa sakta nahi
Us ko yeh keh ke WASI mai ne receiver rakh diya
Aur phir apni anaa ke paoon pe sar rakh diya…!!
(Wasi shah)

Mujhe Har Kaam Se Pehle....

Mujhe Har Kaam Se Pehle
Sehr Se, Sham Se Pehle
Yahi Ek Kaam Karna Hai
Tumhara Naam Lena Hai
Tum Hi Ko Yaad Karna Hai
Ke Jab Bhi Dard Peena Hai
Ke Jab Bhi Zakhm Seena Hai
Gham-E-Duniya Se Ghabra Kar
Mujhe Jab Jaam Lena Hai
Tumhara Naam Lena Hai
Tum Hi Ko Yaad Karna Hai
Tumhari Yaad Hai Dil Mai
Ke Ik Sayyaad Hai Dil Mai
Koi Barbaad Hai Dil Mai
Usay Abad Karna Hai
Tumhara Naam Lena Hai
Tum Hi Ko Yaad Karna Hai
(Wasi Shah)

Pagal Larki...

Pehle Mere Khat Ke Us Ne
Ik Anjaane Khauf Se Dar Kar
Tukrye Tukrey Kar Daley
Ab
Ek Haseen Ahsaas Ke Taabay
Jis Ka Koi Naam Nahi
Pichle Kitne Hi Ghanton Se
Darwaaze Ki Ott Mai Chup Kar
Tukrey Jorr Rahi Hai…………Pagal
(Wasi Shah)

Tumhe Janaa Ijazat Hai...

Tumhe Janaa Ijazat Hai
Ke In Taareek Raahon Par
Thakan Si Khud Mai Pao To
Andheron Se Kabhi Dil Dol Jaye
Thak Si Jao To
Mere Jalte Hue Lamhon
Mere Kangaal Hathon Se Chura Ke Apne Hathon Ko
Fiza Ki Naghmagi Se Tum Naye Geeton Ko Chun Lena
Haseen Palkon Ki Nokon Par Naye Kuch Khuwab Bun Lena
Koi Gar Pooch Le Mera To Us Se Zikr Mat Karna
Mere Jeewan Ki Tapti Dopehr Se Be-Gharz Ho Kar
Tum Apni Chandni Raaton Mai Jugnoo Paalti Rehna
Meri Tanhaaiyon Ki Wehshaton Ki Fikr Mat Karna
Tumhen Is Ki Ijazat Hai
Mere Sab Khat Jala Dena
Mere Tohfon Ko Dariya Mai Bahana Ya Daba Dena
Meri Har Yaad Ko Dil Se Khurachna Aur Mita Dena
Tumhen Bilkul Ijazat Hai
Ke Jab Chaho Bhula Dena
Magar Itni Guzarish Hai
Agar Aesa Na Ho Janaa
To acha hai……..!
(Wasi shah)

Welcome...

Raat Ka Pichla Pehr Hai
Maatmi Malboos Orhe
Dard Ki In Waadiyon Se
Wehshaton Ke Raaste Se
Larkharaati
Dagmagaati
Baal Khole
Bain Karti
Chandni Ko Sath Le Kar
Meri Janib Chal Pari Hai
Aa Rahi Hai
Teri Yaad
(Wasi Shah)

Bol Ke Lab Aazad Hain Tere...

Bol Ke Lab Aazaad Hain Tere,
Bol Zubaan Ab Tak Teri Hai,
Tera Sutawaan Jism Hai Tera,
Bol Ke Jaan Ab Tak Teri Hai,
Dekh Ke Aahangar Ki Dukaan Mai,
Tund Hain Sholey Surkh Hai Aahan,
Khulne Lage Quffalon Ke Dahaane,
Phela Har Ek Zanjeer Ka Daaman,
Bol Yeh Thora Waqt Bohot Hai,
Jism-O-Zabaan Ki Maut Se Pehle,
Bol Ke Sach Zinda Hai Ab Tak,
Bol Jo Kuch Kehna Hai Keh Le!
(Faiz Ahmed Faiz)

Dasht-E-Tanhaaii Mai...

Dasht-E-Tanhaaii Mai,
Ae Jaan-E-Jahan Larzaan Hain
Teri Awaaz Ke Saaye,
Tere Honton Ke Saraab
Dasht-E-Tanhaaii Mai Doorii Ke Khass-O-Khaak Talay,
Khil Rahe Hain Tere Pehlu Ke Saman Aur Gulaab
Uth Rahi Hai Kahin Qurbat Se,
Teri Saans Ki Aanch,
Apni Khushboo Mai Sulagtii Hui,
Madham Madham
Door Ufaq Paar Chamakti Hui,
Qatra Qatra,
Gir Rahi Hai Teri Dil-Daar Nazar Ki Shabnam
Iss Qadar Piyar Se,
Ae Jaan-E-Jahan Rakha Hai,
Dil Ke Rukhsaar Pe Iss Waqt,
Teri Yaad Ne Haath
Yun Gumaan Hota Hai,
Garchay Hai Abhi Subh-E-Firaaq,
Dhal Gaya Hijr Ka Din,
Aa Hi Gaii, Wasl Ki Raat
(Faiz Ahmed Faiz)

Kuch Ishq Kiya, Kuch Kaam Kiya....

Woh Log Bohot Khush-Qismat The
Jo Ishq Ko Kaam Samajhte The
Ya Kaam Se Aashiqi Karte The
Hum Jeete Jee Masroof Rahe
Kuch Ishq Kiya, Kuch Kaam Kiya
Kaam Ishq Ke Aarey Aata Raha
Aur Ishq Se Kaam Ulajhta Raha
Phir Aakhir Tang Aa Kar Hum Ne
Dono Ko Adhoora Chor Diya
(Faiz Ahmed Faiz)

Mere Dil Mere Musaafir...

Mere Dil Mere Musaafir
Hua Phir Se Hukm Saadir
Ke Watan-Badar Hon Hum Tum
Den Gali Gali Sadaaen
Karen Rukh Nagar Nagar Ka
Ke Suragh Koi Paayen
Kisi Yaar-E-Naamabar Ka
Har Ik Ajnabi Se Poochen
Jo Pata Tha Apne Ghar Ka
Sar-E-Koo-E-Nashanayaan
Hamen Din Se Raat Karna
Kabhi Is Se Baat Karna
Kabhi Us Se Baat Karna
Tumhen Kiya Kahun Ke Kiya Hai
Shab-E-Gham Buri Balaa Hai
Hamen Ye Bhi Tha Ghaneemat
Jo Koi Shumaar Hota
Hamen Kiya Bura Tha Marna
Agar Ek Baar Hota!
(Faiz Ahmed Faiz)

Kangan Baile Ka...

Us Ne Mere Haath Mai Baandha
Ujla Kangan Baile Ka
Pehle Pyaar Se Thami Kalaai
Baad Us Ke Holey Holey Pehnaaya
Gehna Phoolon Ka
Phir Jhuk Kar Haath Ko Choom Liya!
Phool To Aakhir Phool Hi The
Murjhaa Hi Gaye
Lekin Meri Raatein Un Ki Khushboo Se Ab Tak Roshan Hain
Baanhon Par Wo Lams Abhi Tak Taza Hai
(Shaakh-E-Sanobar Par Ik Chand Damakta Hai!)
Phool Ka Gehna
Prem Ka Kangan
Pyaar Ka Bandhan
Ab Tak Mere Yaad Ke Haath Lipta Hua Hai!
(Parveen Shakir)

Kiya Kiya Dukh Dil Ne Paaye....

Kiya Kiya Dukh Dil Ne Paaye
Nanhi Si Khushi Ke Badle
Haan Kon Se Zakhm Na Khaaye
Thori Si Hansi Ke Badle
Zakhmon Ka Kon Shumaar Kare
Yaadon Ka Kaise Hisaar Kare
Aur Jeena Phir Se Azaab Kare
Us Waqt Ka Kon Hisaab Kare
Wo Waqt Jo Tujh Bin Beet Gaya!
(Parveen Shakir)

Peshkash...

Itne Ache Mosam Mai
Roothna Nahi Acha
Haar Jeet Ki Baatein
Kal Pe Hum Uthaa Rakhen
Aaj Dosti Kar Len!
(Parveen Shakir)

Uljhan...

Raat Abhi Tanhaai Ki Pehli Dehleez Pe Hai
Aur Meri Janib Apne Haath Barhaati Hai
Soch Rahi Hun
In Ko Thaamon
Zeena Zeena Sannaton Ke The-Khanon Mai Utroon
Ya Apne Kamre Mai Thehroon
Chaand Meri Khirki Pe Dastak Deta Hai!
(Parveen Shakir)

Waahima...

Tumhara Kehna Hai
Tum Mujhe Be-Panah Shiddat Se Chahte Ho
Tumhari Chahat
Wisaal Ki Akhri Hadon Tak
Mere Faqat Mere Naam Hogi
Mujhe Yaqeen Hai
Mujhe Yaqeen Hai
Magar Qasm Khane Wale Larke!
Tumhari Aankhon Mai Ek Til Hai!
(Parveen Shakir)