Meri Afsurdagi Se Pareshan Na Ho
Tu Meri Talkhiyon Ka Sabab To Nahi
Teri Aankhen To Meri Hi Dam-Saaz Hain
Theen Kabhi Ajnabi Lekin Ab To Nahi
Tujh Ko Meri Musarrat Muqaddam Sahi
Tera Gham Mujh Ko Wajah-E-Tarab To Nahi
Tera Ahsaan Hai Tu Ne Mere Liye
Apni Palkon Se Raahon Ke Kaante Chuney
Khud Kari Dhoop Mai Reh Ke Mere Liye
Tu Ne Zulfon Ke Shadaab Saaye Buney
Meri Khatir Zamaane Ko Pagal Kaha
Meri Khatir Zamaane Ke Taaney Sune
Tu Meri Zindagi Hai Magar Jaan-E-Mann!
Ab Wo Ishq-O-Mohabbat Ki Rasmein Nahi
Mere Dil Mai Kaii Ghao Aese Bhi Hain
Jin Ka Darmaan Teri Dastaras Mai Nahi
Ek Gham Jis Ki Shiddat Hama-Geer Hai
Tere Bas Mai Nahi, Mere Bas Mai Nahi
(Ahmed Faraz)