Tuesday, November 22, 2011

Aag...

Muflison! Apne Muqaddar Se Shikayat Na Karo
Is Se Insaan Ke Emaan Mai Farq Aata Hai
Hum To Na-Cheez Se Bande Hain Hamen Kiya Maloom
Kon Si Baat Mai Kiya Maslihat-E-Yazdaan Hai
Kitna Gumraah-O-Gunah Gaar Hue Jaate Hain
Kiya Kaha? “Khanumaan Barbaad Hue Jaate Hain
Dam Ba Dam Aag Ke Be-Rehm Lapakte Sholey
Apne Boseeda Makaan Raakh Kiye Dete Hain
Khaak Hi Khaak Hui Jati Hai Duniya Apni
Aur Is Aatish-O-Zulmaat Ke Sailaab Mai Bhi
Marmar-O-Aahan-O-Seemaan Ki Imaaraat-E-Buland
Issi Pindaar Issi Shaan Se Asteeda Hain
Kiya Khuda Sirf Ghareebon Pe Sitm Dhaata Hai”
Theek Kehte Ho Magar Khaam Aqaaid Walo
Hum To Taqdeer Ke Bande Hain Hamen Kiya Maloom
Kon Si Baat Mai Kya Maslihat-E-Yazdaan Hai
Aur Phir Apni Shikayat Se Bhi Kya Hota Hai
Wohi Hota Hai Jo Manzoor-E-Khuda Hota Hai
(Ahmed Faraz)