Farz karo ham ahl-e-wafa hon, farz karo deewaane hon,
Farz karo yeh dono baatain jhooti hon, afsaane hon
Farz karo yeh nain tumhare, sach much ke meh-khane hon,
Farz karo tumhen khush karne ke dhoondhe ham ne bahane hon
Farz karo yeh jee ki bipta jee se jor sunai ho
Farz karo abhi aur ho itni, aadhi ham ne chupai ho
Farz karo yeh jog be-jog ka, dhong hi ham ne rachaya ho,
Farz karo bas yahi haqeeqat, baqi sab kuch maya ho
Farz karo yeh rog ho jhoota, jhooti peet hamari ho,
Farz karo is peet ke rog mai saans bhi ham pe bhari ho.
(Ibn-e-Insha)