Mohabbat Ke Mosam
Zamaane Ke Sab Mosamon Se Niraaley
Bahar-O-Khizaan In Ki Sab Se Judaa
Alag In Ka Sookha, Alag Hai Ghataa
Mohabbat Ke Khitte Ki Aab-O-Hawa
Mawra, In Anasir Se Jo
Mosamon Ke Taghaiyur Ki Bunyaad Hain
Yeh Zaman-O-Makaan Ke Kam-O-Besh Se
Aese Aazad Hain
Jese Subh-E-Azal
Jese Shaam-E-Fanaa
Shab-O-Roz-E-Aalam Ke Ahkaam Ko
Yeh Mohabbat Ke Mosam Nahi Maante!
Zindagi Ki Musafat Ke Anjaam Ko
Yeh Mohabbat Ke Mosam Nahi Maante!
Rifaaqat Ki Khushboo Se Khali Ho Jo
Yeh Koi Aesa Manzar Nahi Dekhte,
Wafa Ke Alawa Kisi Kaam Ko
Yeh Mohabbat Ke Mosam Nahi Maante!
(Amjad Islam Amjad)