Mujhey yaad hey – mujhey yaad hey
wo kalaam ke jo na dhal sakaa
kisi lafz meiN
ye jo harf, harf parrha gaya
kisi aur baat ke zikr meiN!
kisi aur cheez ke dhiyaan meiN!
wo kitaab jo ke likhi gai
teri khaamshi ki zubaan meiN
mujhey yaad hey sar-e-raah-e-jaaN
wo chiraagh sa kisi aas ka
jisey aaNdhiyaaN na bujha sakeeN
ke wo roshni ki asaas tha
wo jo pehley pehley wisaal par
teri chashm-e-khush meiN rawaaN huwa
tery hijr ki shab-e-taar meiN
wohi jugnu’oN sa qaafla
mery raastoN ka shareek hey
wo jo harf tu ney ataa keeye
meri zindagi ki kitaab ko
ye tamaam rabt unhi sey hey
unhi mosamoN ki tarang ka hey jamaal ye
jo bahaar merey sukhan meiN hey
unhi sohbatoN ki umang ka hey kamaal ye
ke jo hoslaa sa thakan meiN hey…