Adhuri baaten hi zindagi hain
Wo guzri baaten hi zindagi hain
Agarcha dil ki udaas ujri hui raaton mai
Bikhar gai hain
Kai zamanon se saari baaten
Wo guzri baaten
Sulagti shaamon ke jalte bujhte alaao hi mai
Pighal gai hain
Aduri baaten…….
Zaroori baaten
Yeh khushk hoti hui raggon ki siyah qabron mai neem-murda
Dasi hui khuwahishon ke hamrah
Goundhi hui hain
Yeh aankh ki putliyon mai thak ke
Khatakti palkon pe so gai hain
Tamaam baaten durust janaa
Tamaam khadshe baja hain lekin
Har aik imkaan zindagi mai
Ragon mai aur rooh ki zindagi mai
Inhi ki yaaden bhatak rahi hain
Inhi ke dum se zaeef jazbon, thitharte lafzon
Bujhi tamannaon mai ramaq hai
Adhuri baaten hi zindagi hain
Wo guzri baaten hi zindagi hain
Khayal rakhna………..!
Adhuri baaten bhula na dena
Wo guzri baaten bhula na dena
Khayal rakhna
Khayal rakhna………..!!
(Wasi shah)