Kal hamesha ki tarah us ne kaha yeh phone par
Mai bohot masroof hun, mujh ko bohot se kaam hain
Is liye tum aao milne, mai to aa sakti nahi
Har riwayat torr kar is baar mai ne keh diya
Tum jo ho masroof to mai bhi bohot masroof hun
Tum jo ho mashoor to mai bhi bohot maroof hun
Tum agar ghamgeen ho, mai bhi bohot ranjoor hun
Tum thakan se choor to mai bhi thakan se choor hun
Jaan-e-man hai waqt mera bhi bohot hi qeemti
Kuch puraane doston ne milne aana hai abhi
Mai bhi ab farigh nahi, mujh ko bhi laakhon kaam hain
Warna kehne ko to sab lamhe tumhare naam hain
Meri ankhen bhi bohot bojhal hain, sona hai mujhe
Ratjagon ke baa dab nendon mai khona hai mujhe
Mai lahoo apni anaa’on ka baha sakta nahi
Tum nahi aateen to milne mai bhi aa sakta nahi
Us ko yeh keh ke WASI mai ne receiver rakh diya
Aur phir apni anaa ke paoon pe sar rakh diya…!!
(Wasi shah)