Tuesday, January 24, 2012

Acha hay...

Yun Dil Na Lagy Na Dard Uthy,
Mat Roz Milo To Acha Hai

Na Piyar Barhy Na Jaghra Ho,
Tm Door Baso To Acha Hai

Kisi Phool Se Milty Chehry Ko,
Meri Dunya Daikhna Chahy Gi

Jo Pas Tmhary Kuch B Nhi,
Pardy me Raho To Acha Hai

Is Piyar Ki Sundar Bahoon Me,
Ab Bahain Dal K So B Chuko

Yun G G K Ab Marny Se,
Mar Mar K Geo To Acha Hai

Le Kr Zanjiren Hathon Me,
Kuch Log Tmhari Taak Me Hain

Aay Ishq Hmari Gliyon Main,
Na 0r Phiro To Acha Hai

Kya hota hay...??

¤Chand ki simt nazr Jae to Kya hota hy?
Raat kuch Yunhi Guzr Jae to Kya hota hy?
Kitni masoom Adaa se wo mujhe pochta hy,
Jb koi Dil me utar Jie to Kya hota hy?
Mery dost Tu faqt itna bata de mujh ko,
Aadmi Jeete jee Mar Jae to Kya hota hy?
Kisi anjaan musafir ka kisi pichle Pehar,
Aks Aankhon main thehar Jae to kya hota hy?
Dard de K wo mujhe hansta raha Aur bola
Dard jab had se Guzr Jae to Kya hota hy..

Thursday, January 19, 2012

"Waada" Karo Meri Qabar Pe Aaya Karo Gay Tum...

Jab Yaad-E-Maazi Kar Ke Roya Karo Gay Tum
Na Neend Aaye Gi Na Soya Karo Gay Tum
Us Waqat Meri Yaad Tumhen Bohat Sataye Gi
Jab Kisi Se Aankh Milaya Karo Gay Tum
Tarpay "Dil" Our Aah Bhi Na Nikle Zaban Se
Chup Chup Aansoun Ko Bahaya Karo Gay Tum
Jazbat Mein Aa Kar Jala De Meri Sari "Yaadien"
Ab Kis Tarha Gi Ko Behlaya Karo Gay Tum
"Muot" To Barhaq Hai "Juda" Kar Ke He Choray Gi
"Waada" Karo Meri Qabar Pe Aaya Karo Gay Tum

Aana meri qabar per....

"Aana meri qabar per do phool chadha jana
Rona na aye muskur ke chale jana 
meri qabar pe ek baar zaroor ana
Mager shart hai ansoo na bahana
Taklif hogì rooh ko bhi aansoo jo aapke niklenge
Rooh royegi meri rooh ko na tadpaya karna
Tere khuwabon mein aya karunga zaroor 
kabhi yaad karke meri mohabat ko aazmaya karna
Meri qabar pe phool na chadhana ansoovon ke
Bas aakar qabar pe apni mohabat ka saya karna
Meri dua hai tera ghar khushboo se bhara rahe
Tun khushi ki har mehfil mein jaya karna
Meri yaad mein na khona kabhi udaas hokar
Apne humsafar ki agosh mein sojaya karna
Kabhi roker mat pukarna mujhae
Main whan se wapis nahi avunga.

Tuesday, January 17, 2012

Tumharay Bin Adhoray Hain...(♥♥)

Kaisay Kahain Tum Ko,

Suno!!
Kaisay Kahain Tum Ko,
Tumharay
Bin Adhoray Hain,

Na Koi Pyas Hai Baqi,
Na Koi Dard Uthta
hai,

Haan Magar Ehsaas Hai Baqi,
K Tumharay Bin
Adhoray Hain,

Koi Aisa Lafz Hota Jo,
Zuban Say Hum Adaa
Kartay,

Tumharay Dil Pe Ja Girta,
Dukh Say Kanp Uthti Rooh,
Trap K Tum Bhi Yeh Kehtay,

Tumharay Bin Adhoray Hain...

Sunday, January 15, 2012

Bikhri Bikhri Sochain...

Zindagi k pur sakoon
Ufaq per ya'ak-bay'ak
Uthaeen kuch asi aandiya'an
K bikhar k reh gaye
Arzou’on k wajood
Jin say roshan thi hayat
Wo deep saray bhooj gaye
Lashay wafaon k
Bay-kafan hi uth gaye
R kuch haseen log
Jo thy meray humsafar
Chor ker tanha mujy
Taraptay r sisktay
Ujli ujli rahon pay
Baybasi ki bahon main
Janay kahan kho gaye
Door muj say ho gaye
R main k un ki yad
Na aj tak bhula saki
Un k ba’ad zindagi hi
Bs ujar k reh gai.

Usay Mujh say Muhabbat hai....

Wohi Takraar Lafzon ki
Wohi Andaishay furqat kay
Wohi Anjaan si Dastak
Wohi harr Baat pay Ranjish
Wohi harr Baat pay Larna
Wohi likhna hamaray Naam ko Be-Reham Maujon par
Hamaray saamnay Kacchay Gharoanday torr kar hansna
Wohi apni Kitaabon main Ghulaabi Tittliyaan rakhna
Wohi Be-Maani Baaton main hamaraa Zikr lay aana
Hamain Parday say chupp karr daikhnaa aur Muskura daina
Wohi Muskaan dheemi si
Wohi kuch Bolti Aankhain
Wohi Chup Chaap saa Lehjaa
Wohi Be-Chain si Halchal
Wohi Sakkhiyon say katrana
Wohi kehnay say kucch darna
Wohi Saa'ay say ghabrana
Wohi Be-Wajha ithlana
Sabhi Aasaar kehtay hain
Usay Mujh say Muhabbat hai

Kon hon Main...???

Koi tum say poochay kon hoon main
tum keh dena "koi khaas nahi"
ek dost hay kaccha paka sa
ek jhoot hay aadha sacha sa
jazbaat ko dhaanpay ek parda
Bus ek bahana accha sa
jeevan ka aisa sathi hay
jo door naa ho k pass nahi
koi tum say poochay kon hoon main
tum keh dena koi khaas nahi

Kasak....

Judai Ki Kask Liye
Teri Yad Se Jura Ansu
Her Shub Ki Ankh Se Tapka Hai
Guzray Kal Ki Tarha
Aaj Ka Din Bhi
Tum Bin Udas Guzra Hai..!!

Buhat masroof rehtey ho...

Buhat masroof rehtey ho
Sehar se Shaam hone tak
koi lamha nahi milta
koi bey naam si fursat
koi gumnaam c saa,at
kabhi bethey howe tanha
kaheen jo shaam ho jaye
toh meri iltaja yeh hy
koi lamha chura lena
jo mere naam ho jaye
k hum jese aseeroon ka
Koi toh kaam ho jaye

Woh chal parha, aahista aahista....

Woh chal parha, aahista aahista
or waqt urhnay lag gaya
bohat taizi say, raasta chauta tha
aarzu lambi thi
hamsafri mukhtasir
musaafat bohat taweel
qadam qadam par wehshat-e-jaan ki yalghaar
qadam qadam par
iztiraab ka ik naya qaafla hamraah hojata tha
uski sama'at kareeb kareeb bund hogai thi
aas paas ki awazain usey bohat door sunai dey rahi theen
woh sirf apnay dil ki dharkan sun raha tha
jo har taraf har soo goonj rahi thi
or ik shaur
beychaini or iztiraab ka shaur
khamoshi ka shaur
bohat kuch kehnay ki khuwahish or na keh paaney ka shaur
usnay socha
main usay kahoon
main to hamesha tumharey saath hota hoon
kub main nay tumhain akaila honey dia
us waqt bhi tumharey saath hota hoon
jab tum dhoop main nikalti ho
tum kabhi apnay andar jhanko
dehaktey, sulagtey suraj k neechay
woh jo tumharey andar
aik narm or thanda ehsaas lehrain maarta hay
woh main hee to hota hoon
tareek or andheray raastoun main
woh jo aik roshan charaagh
tumharey andar jagmagata hay
woh main hee to hota hoon
buray or kharaab mausamoun main
woh jo aik chaadar si tumharey sar pay tann jaati hay
woh jo aik hifaazati hisaar sa
tumhaarey gird qayam hojata hay
woh main hee to hota hoon
bhala main nay tumhain kub akailey chaurha hay
tum jaagti ho
to aik pausheeda aitmaad ki soorat
tumhaarey andar rehta hoon
or sojaati ho
to khuwaboun ka pasmanzar ban k
tumhaari hifazat karta hoon...~!!

Barish ki hansi...

Wohi Mosam hay
Barish ki hansi
Pairon mein chan chan gungti hay

Hari shakhian
sanhri phool kay zewer pehan ker
Tasawwur mein kisi kay muskurati hain

Hawa kee orrhni ka rang phir halka gulabi hay
Shanasa baagh ko jata hua khushbu bhara rastaa
Hamaari rah takta hay
Talu-e-Mah kee Saa'at
Hamaari munt'zir hay

Na Mila Karo Sar-E-Sham Mujhay...

Na Mila Karo Sar-E-Sham Mujhay
Main TaNha TaNha Theek Hoon
Mujhay Chahton Se Dar Lagta Hay
Main Nafraton Mein Theek Hoon
Mujhay Rastoon Mein Chor Do
Mujhay Justuju-E-Manzil Nahi
Na Dekhao Mujhay Raasta
Main Bhatka Hua He Theek Hoon
Meray Dosto Mujhay Chor Do
Na Suljhao Meri Uljhanain
Mujhay Adavatain He Pasand Hain
Main Dushmanon Mein Theek Hoon
Mujhay Khushi Ki Koi Talab nahi
Mujhay Apna Ghum Bhi Nawaz Do
Mujhay Ansu Peena Pasand Hay
Mujhay Aansoun Mein He Chor Do

Sochtha hooN k bohot sada o masoom he woh...

sochtha hooN k bohot sada o masoom he woh
maiN abhi oss ko shaNasa_e_mohabat Na kerooN
rooh ko aser_e_gham_e_olfat Na kerooN
oss ko roswa Na kerooN wakf_e_mosebat Na kerooN
sochtha hooN abhi raNj se aazad he
wakaf_e_dard Nahi khogar al_aam Nahi he
sehr_e_esh meiN oss ki asar_e_sham Nahi he
ziNdagi oss k leyeh zehr bhara jam Nahi he
sochtha hooN mohabat he jawaNi ki KhizaaN
oss Ne dekha Nahi doNya meiN baharooN k siwa
Nighat_o_Nor se labrez NizarooN k siwa
saba_zarooN k siwa or sitarooN k siwa
sochtha hooN gham_e_dil Na soNaooN oss ko
samNe oss k kabhi raaz ko aryaaN Na kerooN
khalish_e_dil se osse dast_e_giribaN Na kerooN
oss k jazbat ko maiN shola_e_bad'amaN Na kerooN
sochtha hooN jala de gi mohabat oss ko
woh mohabat ki bhala taab kahaN lae ga
khod to atish_e_jazbat meiN jal jae ga
or doNya ko ess iNjam pe tapae ga
sochtha hooN k bohot sada o masoom he woh
abhi oss ko wakaf_e_olfat Na kerooN

Saturday, January 14, 2012

*** udas aankhein ***

Ek Din
Baaton Hi Baaton Mein
Uss Ne Chand Lamhay Mujhay BaGhor Dekhtay Hue Kaha
" Tumharii Aankhein Bohat Achi Hain "
Jab Tum Roye Hue Hotay Ho
To Soojhi Soojhi Si Bojhal Aankhein
Bohat Achi Lagti Hain
Aur Uss Din Pehli Baar
Main Ne Tanhayii Mein BaGhor Apni Aankhein Dekhi
Yun Laga Kisi Ne Qareeb Se Sargoshi Ki Ho
" Tumharii Aankhein Bohat Achi Hain "
Aur Main Yeh Soch Kar Dheema Sa Muskura Diya
k Jis Ki Khushii Aur Ana
Mujhay Apni Zaat Ki Tarah Aziiz Hay
Uss Mehruban Ko
Agar Mera Kuch Aziiz Hay
To Faqat Merii Aankhein
Aur Vo b
Royii Huii...!!!

Sheher-E-Khamosha'n....

Hawaei'n...!! Meri Terha Mayoos Lagti Ho..!!
Bohot Khamosh Aur Chup Chap Ho Kab Se.....
Tumhe Bhi Mil Nahi Payie'n Na Khushbu Bantne Wale..??
Tumhare Haath Bhi Meri Terha Se Aaj Khali Hai...!!!
Sawali Hai.....??
Hawa Meri Terha Tooti Si Lagti Ho..!!
Tumhare Haath Bhi Meri Terha Se Dard Aya Hai....!!
Gulaabi Mousamo'n K Naam Per, Hisse Mein Barg-E-zard Aya Hai..!!
Tumhein Bhi Raigaa'n Sari Musafat Yaad Aati Hain....!!!
Satati Hain................ ....
Hawa Meri terha Tum Bhi Larza'n Ho....??
Bohot Hi Sard Lagti Ho...........!!!
Tumhe Bhi Baraf Lehjo'n Ne Chatakhti Dard Deti.......
Sard Aaho'n Mein Badal Dala..!!!!!
Tumhe Bhi Zindagi Ke Wo Khuda Jaise Rawaiye Yaad Aate Hain....????
Rulaate Hain..???
Hawa Piyari !... Zara Sa Farq Baqi Reh Gaya Hum Mein...!!!!
Issi Ek Farq Ne Tum Ko Kaha Sansei'n.....!!
Mujhe Madfon Likha Hai.....!!!
Yehi Ek Farq Hai Hum Mein.....!!!
Tumhe Khushbu Kisi Din Khud Pukare Gi.........!!!
Ra'aunat Se Bharey Lehje.......
Sulagta Habs Mousam Seh Na Payei'n Ge....!!!
Dua Ka Roop Le Ker....!!
Sirf Tum Se Qurb Chahein Ge...!!
Mager Ik Farq Hai.......!!
Sheher-E-Khamosha'n Azan-E-Goyai Ko Tarse Ga...!!!!!!!!!!!

Mohabbat Bakhsh Deti Hai...

Mohabbat Bakhsh Deti Hai
Kabhi Ra'anayiaan Aisi
Ke Jaisey Dhoop Ke Hotay
Kabhi Badal Baras Jaye
Ke Jaisey Bin Kahay Koi
Kahin Dil Mein Utar Jaye
Kahi Pariyoun Ki Waadi Mein
Barray Se Takht Per Bethay
Koi Phooloun Ke Daman Se
Koi Rungoun Ke Aanchal Se
Sarr-o Per Saibaan Ker De

Mohabbat Bakhsh Deti Hai
Kabhi Tanhaiyaan Aisi
Ke Jaisey Aag Si Barsay
Jo Sara Tunn Jala Dalay
Ke Jaisey Raastey Mein Hi
Koi Raahi Bhattak Jaye
Ke Jaisey Moun Ke Andar Kuch
Chanak Se Toot Sa Jaye
Ke Jaisey Dil PighaL Jaye

Mohabbat Kya Hai Phir Socho !
Ra'anai ? Ya Tanhai ?

Dosra Aasman......

Dhondhta phr raha hon jahan dar jahan
dosra aasman
hy kahan? hy kahan?
dosra aasman
be amaan phir rahay hein dilasay kai
sahilon pe bhi rehtay hein piyaasay kai
ik yaqeen kr aqab mein hein laakhon gumaan
dosra aasman
phool ki aankh mein bheyd shabnam ka hy
zindagi aik dheyr resham ka hy
kholtay kholtay thak gaien ungliyan
dosra aasman
koi manzil hy apni na koi hadaf
dhop si waswason ki hy chaaron taraf
dor tak koi badil hy na saeyban dosra aasman
hy kahan?hy kahan?????????????????????

Saray jhagray Ana kay hotay hain...

Qurb kay na Wafa kay hotay hain
Saray jhagray Ana kay hotay hain

Bat Niyat ki hay sirf Warna
Waqt saray Dua kay hotay hain

Bhol jatay hain mat bura kahna
Log Putlay Khata kay hotay hain

Wo Bazahir jo kuch nai lagtay
Un se Rishtay Bala kay hotay hain

Wo Hamara hay is tarah se Faiz....
Jaise banday KHUDA kay hotay hain...

Thursday, January 12, 2012

Zard Rang....

Zard rang
dukh denay wala hota hai
jesay dubta suraj!
jesay pat jharh ki rut!
jesay khizan raseeda berg!
jesay pyasi rait!
jesay taiz dhoop!
jesay bohat purana kaghaz!
mujh se doorr janey walay !!!!
tumhari "mohabbat" bhi zard rang ki ho gayi hai .....

WOH MUJH SE POOCHA KARTI THI......

WOH MUJH SE POOCHA KARTI THI......

"ye jo tum lafz likhte ho
ye jo tum harf buntay ho
youn he benaam jazboon ko
haseen ik rang dete ho
teh'hai dil main chupi batein
jisse tum youn sunate ho
yeh kiss k naam karte ho?
bhala woh koun hai janaa?
jo youn neendain churati hai?
ragg-o-jan main utar'ti hai
tumhare dil main basti hai
bhala wo husn ka paikar
zara humko bhi batlao
bhala wo koun hai humdam...... ...?
bhala wo koun hai humdam...... ...?"


MAIN SUN KAR SABHI YE BATEIN

bohat dhere se hansta tha
ussay bechain karta tha
main usko youn satata tha
main kehta tha.......

"main bataoon ga
jab uska waqt aaye ga
abhi kuch dair baki hai"



WO KEHTI THI

"mujhe ye khauf hai janaa....... .
kahin tum dair na kardo!"

MUJHE YE MAAN THA KHUD PER
k behte waqk ka dhara
main uss muthi main bhar loon ga


!!!!!!MAGAR SHAYAD!!!!!!

ussay janay ki jaldi thi
k iqraare wafa k din
wo chanchal shokh si larki
aur uske jhilmilate nain
manno matti main ja soye.......


MAIN USKO DHOONDHTA HOON AB

main khud ko roolta hoon ab
assay kaisay bataoon sab
k main jo lafz likhta tha
k main jo harf bunta tha
ussi k naam karta tha

MAIN KAISE KAHON YE AB

k haan janaa......!
tumhain jo khauf la'hak tha
wo to ho giya mujhse
meri khali hai muthi ab
haan maine dair kar di hai.........
bohat he dair kar di hai.....

Ab uss say bhi yehe kahay ga...

bichartay lamhon me
uss nay mujh say kaha tha
dekho
hamare rahain juda juda hain
magar hamain aik dosray ka
khayal rakhna hai zindagi bhar
kisi bhi lamha udasyon ki
faseel hayal na honay dena
hawa k hathon pe likhtay rehna
judaiyon k tamam qissay
qadam qadam pe jo paish ayn
wo sanahay bhi nazar me rakhna
me jab bhi lauta to
apnay honton ki tazgi ko
tumhare risti hui ankhon me laa rakhonga
jo mere apni hain, sirf mere
bichartay lamhon main uss nay mujh say
na janay kia kuch kaha suna tha
aur
ab uss say bhi yehe kahay ga
wo jiss k hathon me hath dalay
nayay safar pe nikal para hai

Tuesday, January 10, 2012

Aanchal Mera Lehraey ...

Khushbo si koi aey to lagta hay k tum ho
Shisha kaheen takraey to lagta hay k tum ho
Ahsaas_e_ mohabbat se kisi gosha_e_dil main
Jab choot ubhar aey to lagta hay k tum ho
Porkaif hawa main jo kisi pair k nichey
Aanchal mera lehraey to lagta hay k tum ho
Chouney se kbhi baad_e_saba se merey tan main
Ek barq se lehraey to lagta hay k tum ho
Sar rakh k jo pathar pey kabhi rah_e_alam main
Kuch neend si aaa jaey to lagta hay k tum ho
Jab sham_e_ mulakaat parosi k makan se
Awaaz koi aey to lagta hay k tum ho

Sunday, January 8, 2012

Chandni December Ki...

Raat Us Ne Poocha Tha
Tum Ko Kaisi Lagti Hai
Chandni December ki
Main Ne Kehna Chaha Tha
Saal-o-Maah K Baarey Mein
Guftagu K Kya Maani?
Chahey Koi Manzir Ho
Dasht Ho, Samnadar Ho
June ho, December ho
DhaRkanon ka Har Naghma
Manzaron Pe Bhaari Hai
Saath Jab Tumhara Ho
Dil Ko Ik Sahara Ho
Aisa Lagta hai Jaise
Ik Nasha Sa Taari Hai
Lakin Us Ki Qurbat mein
Kuch Nahi Kaha Main Ne
Takti Reh Gayi Mujh Ko
Chandni December Ki

Aitebaar Sajid

Rukhsati....


Wo Jo Keh Raha Tha Tum Se
Meri Laadli Si Behna
Zara Hausley Se Rehna
Tumhein Ham Se Door Ja kar
Koi Dukh Ho Koi Gham Ho
Usay Khush'dili Se Sehna
Koi Aisa Din Na Aaye
Ke Tumhari Aankh Num Ho
Tumhein Yaad Bhi Na Ho'ga
Meri Chand Jaisi Behna
Ke Yeh Baat Kehtey Kehtey
Koi Khud Bhi Ro Raha Tha

Aitebaar Sajid

Harjaaii....

Tum Ne Hi Majboor Kiya Hai
Mujh Ko Raah Badalney Par
Jeewan K Be'Ant Safar Mein
Ghair Ka Ho Kar Chalney Par

Main Ne Tumhari Aashaaon ka
Har Har Roop Saraaha Tha
Main Ne Apna Aap Bhula Kar
Tum Ko Toot Ke Chaha Tha

Um'r Ki Ujli Deewaron Par
Qismat Ka Andhyaara Tha
Aur Bohat They Sooraj Lekin
Tum Sa Charaagh Hi Pyaara Tha

Laikin Tum Hi Merey Maseeha
Nafrat K Saanchey Mein Dhal Kar
Ik Din Merey Saamney Aa Gaye
Qaatil Ka Behroop Badal Kar

Ab kya Shikwa, Kaisi Shikaayet
Chaahat K Sab Rishtey Kachey
Main Bhi Aur Tum Bhi Harjaaii
Main bhi Theek Aur Tum Bhi Sachey

Aitebaar Sajid

Shaakh Ki Hatheli Par....


Kisi KhiRki Se Ho Kar
Aik Shaakh e Sabz
Kamrey Tak Gaii Hai
Kisi Ne Aik Patt Khola Hai KhiRki Ka
Koi Roshan Sa Chehra Jagmagaya Hai
Koi KhiRki Mein Yoon
Chupkey Se Aaya Hai
K Jaise Shaakh Ki Khaali Hatheli Par
Gulaabi Phool Roshan Hai

Aitebaar Sajid

Agar Tum Mujh Ko Mil Jaatey....

Bohat Mumkin Tha
Merey Paaon, Meri Zeest K
Kaantey Nikal Jaatey
Bohat Mumkin Tha
Meri Raah K Pathar Pighal Jaatey
Jo Deewaarein Merey Raste Mein Haayel Thein
Merey Aagey Se Hatt Jaatein
Agar Tum Aankh Utha Kar Dekh Letey
Kohsaaron Ki Taraf Aik Pal
Chataanein Ik Tumhari Junbash-e-Abroo Se Katt Jatein
Bohat Munkin Tha Angaaron Bhari Iss Zindegaani Mein
Tumhaarey Paaon K Ujley Kanwal Khiltey
Rafaaqat ki Sunehri Jheel Mein
Dono ke Aks-e-Zofishaa'n Hiltey
Bus Ik Khaab-e-Musalsal ki Faza Rehti
Hamari Rooh Kab Ham Se Khafa Rehti ?
Yeh Sab Kuch Ain Mumkin Tha
Agar Tum Mujh Ko Mil Jaatey

Aitebaar Sajid

Majboori...

Tujhey Main Bhool to Jata
Magar Terey Ta'alluq se
Jo Chehrey Saamney Aaye
Jo rastey Saamney Aaye
Jo Lamhey Saamney Aaye
Jo Rishtey Saamney Aaye
Unhein Kaise Bhulata Main
Tujhey Kaise Bhualata Main

Aitebaar Sajid

Pehli Mohabbat Yaad Aati Hai...

Door Ufaq ki Taareeki Mein
Bijli Jab Bhi Lehraati hai
Shama Jalaatey Lamhey Aksar
Kamrey K Ghup Andhiyarey Mein
Pehli Mohabbat Yaad Aati Hai
Auto-Graph Talab Karney Jab
Koi Haseena Ghar Aati Hai
Bari bari Aankhon Se jab Woh
Dekh K Mujh Ko Sharmaati Hai
Mazi Mein Kho Jata hoon Main
Pehli Mohabbat Yaad Aati hai
Shaam e Khizan Jab Tanha Tanha
Baagh Mein Sair Ko Jaata hoon
Kisi Udaas Si LaRki Ko Jab
Bench Pe Tanha Pata Hon
Janey Kyun Yaad Aa Jata Hai
Aik Khizan ki Shaam Ka Manzar
Jab Ham Dono Judaa Huye They

Aitebaar Sajid

Ik Roz Koi To Sochey Ga....

Farzaanon Ki Is Basti Mein
Ik Shakhs Tha Pagal Pagal Sa
Par Baatein Theek Hi Kehta Tha
Barish Ki Tarah Pur'Shor Na Tha
Darya Ki tarah Chup Rehta Tha
Jin Se Pyaar Ussey Bala Ka tha
Taaney Bhi Unhin K Sunta Tha
Ik Shakhs Tha Pagal Pagal Sa
Par Baatein Theek Hi Kehta Tha
Ik Roz Koi To Sochey Ga

Dunya Ne Ussey Kuch Bhi Na Diya
Par Us Ne Jagg Ko Pyaar Diya
Jaan Rotey Rotey Kho Baitha
Dil Hanstey Hanstey Haar Diya
Jo Nazm Likhi Bharpoor Likhi
Jo Shair Diya Shahkaar Diya
Kyun Jeetey Jeetey Dargoar Hua
Kis Chah Pe Tan Man Waar Diya
Tha Dushman Kon Becharey Ka
Kis Ranj Ne Us ko Maar Diya
Ik Roz Koi To Sochey Ga
Aur Pehron Baith K Roye Ga

Aitebaar Sajid

Saturday, January 7, 2012

Bahar Rutt Tak’ka kro gy to Ro paro gy...

Bahar Rutt Tak’ka kro gy to Ro paro gy
Kisi se milny ko jab bhi Mohsin,
Sajja karo gy to Ro paro gy
Tumhare wadon ne yar muj ko,
Tabah kiya hy kuch is trha se
K zindgi me jo phir kisi se,
Dagha karo gy to Ro paro gy
Main janta hon meri muhabbt,
Ujar dy gi tumhe bhi aise
K chand raton me ab kisi se,
Mila kro gy to Ro paro gy
Barasti barish me yad rakhna,
Tumhe stayein gi meri ankhen
Kisi Wali k mazar par jab
Dua karo gy to Ro paro gy…….

Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein...

Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein
Zaroor Mujh ko us Ney Socha ho ga

Khuvabon aur Khyaalon Mein
Mera hi Chehra Tarasha Ho ga

Raah Chaltey jo us ko
Mera khyaal Aaya Ho ga

Aik Nazar Ruk ke Asmaan Pe Chand ko Dekha Ho ga
Jab Saath They to Roz hi larti Thi Mujh sey

Ab Din Mein so Baar khud peh Bigarti Ho gi
Mail Box Kholtey hi Naam mera Dhondti Ho gi

Aur na Pa ke Mujhey

Aap hi Aap Mujh sey Roth ti Ho gi
Zaror Masrof Hon buhat ya koi Test hai Mera

Tawelein Ghurr ke khud hi Behal ti Ho gi
Tanha Sard Raat Mein

Yuon hi Sarak peh Tehaltey Huvey
Khyaalon hi Khyaalon Mein

Haath us ney Mera Thama Ho ga

Phir Kisi Pool ke Nechey Ruk kar
Aankhon Mein Mere us ney Jhaanka Ho ga

kisi say rishta gehra na kerna..,

kisi say rishta gehra na kerna..,
bhool ker bhi adhoore sapnay na sajana..
zindagi mein kisi say dil na lagana ?
kyon k
gehre rishtay?
adhore sapnay?
or Dil..
Akser toot jatay hein..!!

Dosri zubanon ki poetry urdu tarjumay k saath.....

1

hawaa, ek khullay din
ek khullay din
chameli ki khushboo se bhara
hawaa ka ek jhonka
meri ruuh ko kehnay laga:
"mujhay tum apni ghulab ki khusboo day do,
is k badlay main apni chameli ki kushboo day doon gi."
"meray pass gulab ke phool nahin hain.
meray bageechay k sub phool mar chukay hain."
"chalo theek hai, main murjaee pankhrion ko,
peelay patton ko aur fauwaaray k paani ko
hi lay loon gi."
hawaa chaali gayi. main ro para. aur khud ko
khenay laga:
"kyaa kar dala hai tunay
us bageechoo ko
jo tumaaray hawaalay thaa?"
-tr. Ravi Kopra
from Robert Bly's English version of a Spanish poem
by Antonio Machado.

***
The Wind, One Brilliant Day
The wind, one brilliant day, called
to my soul with an odor of jasmine.
"in reurn for the odor of my jasmine,
I'd like all the odor of your roses."
"I have no roses; all the flowers
in my garden are dead."
"Well then, I'll take the withered petals
and the yellow leaves and the waters of the fountain."
The wind left. And I wept. And I said to myself:
"What have you done with the garden that was entrusted to you?"
_________________________________________________
2
Samandar
mujhay kuch aisa lag raha hai
k meri kishti ab sagar ki gheraarion main
us badi cheez k saath lag gayii hai.
aur ab kuch bi nahin ho raha!
Kuch bhi nahin....sub khaamosi hai... sub lehrain hain...
- kuch bhi nahin ho raha? ya sub kuch ho chuka
hai
aur ab hum kharay hain, shaanti main, ek neyay jeewan main?
-tr. Ravi Kopra
from Robert Bly's English version of
a Spanish poem by Juan Ramon Jimenez.

***
Oceans

I have a feeling that my boat
has struck, down there in the depths,
against a great thing.
And nothing
happens! Nothing...Silence...Waves...
-Nothing happens? Or has everything hap-
pened,
and are we standing now, quietly, in new life?
_________________________________________________
3
mera pchaaswaan saal
mera pchaaswaan janam din guzar gaya thaa.
main aklea London main ek bheer walaay
cafe main baitha thaa.
ek khuli kitab aur
khalli pyaala meray saamnay
ek sangmarmar k mez par.
jaisy hi main dukaan or galli ko dekh raha thaa,
achanak hi meray jism main ek lahak lagi,
aur takreeban bees minute tak itni khushi aayee
aur yeh laga k nemat mujhay mil chuki hai
aur logon ki bhi day sakta hoon.
-tr. Ravi Kopra The orginal poem is, My Fiftieth Year by W.B. Yeats.
My fiftieth year had come and gone,
I sat, a solitary man,
In a crowded London shop,
An open book and empty cup
On the marble table-top.
While on the shop and the street I gazed
My body of a sudden blazed;
And twentuy monutes more or less
It seemed, so great my happiness,
That I was blessed and could bless.
_________________________________________________
4
bad rau safed ghaas
yahan bahar kharray huey,
apnay aap main khoay huey,
main nay kafi der tak,
makki k kheton aur
bad rau safed ghaas k door,
us chotay se ghar ko dekha hoga.
safed dewaarain, ghaain ghallay-gudaam main jaati hueen.
ab main udhar dekhta hoon
sab kuch badal chka hai.
main jis ko kho chuka hoon
jis k liyay rota hoon
wo ek wiraan narm dil ki
choti si kaali ankhon waali cheez thee
jisnay mujhay chchupay-chchupay pyaar kiya thaa.
yahaan par hi hawaa,
meray haath k choonay se,
kisi aur jahaan ki naazuk jaan se,
bhari - bhari aati hai.
-tr. Ravi Kopra

***
Milkweed

While I stood here, in the open, lost in myself,
I must have looked a long time
Down the corn rows, beyond grass,
The small house,
Whit walls, animals lumbering toward the barn.
I look down now. It is all changed.
Whatever it was I lost, whatever I wept for
Was a wild, gentle thing, the small dark eyes
Loving me in secret.
It is here. At a touch of my hand,
The air fills with delicate creatures
From the other world.
- James Wright
_________________________________________________
5

POOR little heart! (Emily Dickinson)

chhotay say bechaaray dil!
kyaa log tumay bhool gayey?
kuch khyaal na kiya! kuch khyaal na kiya!
chhotay say garroori dil!
kyaa log tumay chor gayey?
khush raho! khush raho!
chhotay say dublay dil!
main tumain na toroongee.
mera aihsaan logay? mera aihsaan logay?
chhotay say khushi kay dil!
subah ki pyaari azmat.
tum mujrah jaaogay! tum mujrah jaaogay!
-tr. Ravi Kopra
_________________________________________________
6
meray dil, hum usko bhool jaaengay!

meray dil, hum usko bhool jaaengay!
tu aur main dono is raat ko!
tum uska pyaar bhool jaao gay,
main uskee roshni.

jab tum usay bhool chukay,

to mujhay zara bataa dena,
ta kay main bhi bhool jaaon.

jaldi karo!
dar lagta hai k tumhari der main
kahin usko main yaad karnaa
fir shuroo na kar doon.

-tr. Ravi Kopra

***
HEART, we will forget him!

Heart, we will forget him!
You and I, to-night!
You may forget the warmth he gave,
I will forget the light.
When you have done, pray tell me,
That I my thoughts may dim;
Haste! lest while you’re lagging,
I may remember him!
- Emily Dickinson (1830–86)
_________________________________________________
7
ek shaks hotay huey
meray marnay par
koee nahin aayaga
afsos karnay
meri kabar par
jab tak main zinda hoon
main aapnay aak ko
yeh keh loon -
haey, yeh kya hua!
badi buri baat huee -
baday taras ki baat huee!
main mar gayee!
-tr. Ravi Kopra
from the following English translation by
Steven D. Carter
Being a person
whom no one will mourn when gone,
I shuld perhaps
say for myself while still alive here -
"Ah, the pity, the pity."
- Lady Izumi Shikibu ( c. 970-1050)
_________________________________________________
8
main waisay hi subah subah
main waisay hi subah subah
jab phiikaa sa ghulaabi suraj
nikal raha thaa uth baithi.
main nay mur kar dekha
tum meri chchaati k saath
laggay uth rehay thay
meray dil main yeh aaya k
k saansain bharta aadmi (chup, bolna nahin!)
khuda se bhi zyaada khoobsoorat hota hai.
-tr. Ravi Kopra
from the English version

***
Waking Intuitively
Waking Intuitively in the rosegray light of rising sun
I turned, saw you arise sleepwarm from my heart's side.
And knew( plain Calvinistic conscience, hold your tongue!)
that man, here, breathing, is more beautiful than God.
- Q. Lutatius Catulus ( c. 102 B.C.)
translated by Janet Lembke from Latin
_________________________________________________
9
main sachhay dil se kehti hoon, meri jaan,
main sachhay dil se kehti hoon, meri jaan,
main tum se pyaar karti hoon
aur chahti hoon tumain
aur pyaaar bhi karoon
tumaray ghar ki raani banoon
teri baahon mein main rahoon
dukh lagta hai dekh k
tumari phiri hooee aankhain ko.
main apnay dil ko kehti hoon -
tera yaar ab door challa giya hai
raat ko mujhay akelay chor kar
kahin door challa giya hai.
mujhay ek kabar bana giya hai.
Aur main soch main par jaati hoon -
jab tum wapis aaoo gay to kya
tum mujh ko achchay lago gay?
bilkul achhay lago gay?
dukh lagata hai soch kar kis ki
aankhon nay tumari aankhon ko fislaa liya
main yeh sachhay dil se kehti hoon
na jaanay vo kis kis ko dekhain
agar meri taraf dekhain gi
to meray main jaan aa jaayey gi.
-tr. Ravi Kopra
from the following English version.

***
Egypt k 3500 se 2100 saal puraanay
mohabbat main par jaanay waalay gaanay
With candour I confess my love
With candour I confess my love;
I love you,yes, and wish to love you closer;
A mistress of your house,
Your arm placed over mine.
Alas your eyes are loose.
I tell my heart: " My lord
has moved away. During
The night moved away
And left me. I am like a tomb."
And I wonder: Is there no sensation
Left, when you come to me?
Nothing at all?
Alas those eyes which led you astray,
Forever on the loose.
And yet I confess with candour
That no matter where lese they roam
If they roam toward me
I enter into life.
- Anon (c. 1567 - 1085 B.C.)
tr. by Ezra Pound and Noel Stock
_________________________________________________
10
socho k hum ek jail main hain
takreeban 50 saal k hain
aur 18 saal aur bachay hain
jab lohay k darwaazay khulain gay.
fir bhi hum zinda rehatay hai
bahar ki har cheez hamaray saath rehti hai -
sun log-baag, sub jaanwar, unki sub kash-makash, aur hawaa -
mera maksad hai duniya ka in dewaaron k bahar.
man kehtahoon k hum aisay bhi hon jahaan bhi hon
hamain aisa zinda rehna chahiyay k
maut say hamesha door hain
-tr. Ravi Kopra
from the following English version:
Let's say we're in prison
and close to fifty,
and have eighteen more years, say,
before the iron gates will open.
We'll still live with the outside,
with its people and animals, struggle and wind -
I mean with the outside beyond the walls.
I mean, however and wherever we are,
we must live as if we will never die.
- Nazim Hikmet, " On Living"
The original is in Turkish
_________________________________________________

Wednesday, January 4, 2012

Aakhri Chand Din December ke....

Aakhri Chand Din December ke
Har Baras Hi Garaan Guzartay Hain
Khuwahishoon k Nigar Khanay Se
Kaisy Kaisy Gumaan Guzartay Hain
Raftigaan k Bikhray Sayoo Ki
Ik Mehfil Si Dil Mein Sajti Hay
Phone Ki Diary k Safhoon Se
Kitny Number Pukarty Hain Mujhy
Jin Se Marboot Be-Nawa Ghantii
Ab Faqat Mere Dil Mein Bajti Hay
Kis Qadar Pyary Pyary Namoon Par
Reengti Bad-Numa Lakeerein Si
Meri Aankhon Mein Phail Jati Hain
Naam Jo Kat Gaye Hain
Un k Harf
Aisy Kaghaz Par Phail Jatay Hain
Hadsay k Muqam Par Jaisy
Khoon k Sookhay Nishanoon Par
Chaak Se Liney Lagaty Hain
Phir December k Aakhri Din Hain
Har Baras Ki Tarah Ab k bhi
Diary Ik Sawal Karti Hay
Kya Khabar Iss Baras k Akhir Tak
Mere In Be-Charagh Safhoon Se
Kitnay Number Bikhar Kar Rastoon Mein
Gard Mazi Se Att Gaye Hon Ge
Khaak k Dhairoon k Daman Mein
Kitnay Toofan Simat Gaye Hon Ge
Har December Mein Sochta Hoon
Rung Ko Roshnee Mein Khona Hay
Ik Din Iss Tarah bhi Hona Hay
Apnay Apnay Gharoon Mein Rakhi Hoyi
Diary Dost Dekhty Hon Ge
Un Ki Aankhoon k Khaak-Danoo Mein
Ek Sehra Sa Phailta Hoga
Aur Kuch Be Nishan Safhoon Se
Naam Mera bhi Katt Gaya Ho Ga…!!!

MaiN ye soch kar....

MaiN ye soch kar us ke dar se uThaa thaa
ke vo rok legii manaa legii mujhko
qadam aise andaaz se uTh rahe the
ke vo aavaaz de kar bulaa legii mujh ko
havaaoN meN lahraataa aataa thaa daaman
ke daaman pakaR kar biThaa legii mujhko

magar us ne rokaa, na mujhko manayaa
na aavaaz hii dii, na vaapis bulaayaa
na daaman hii pakRaa, na mujh ko biThaayaa
maiN aahistaa aahistaa baRhtaa hii aayaa
yahaaN tak ke us se judaa ho gayaa maiN

Kaifi Azmi

Suno ke raigzaar-e-umr ka yeh aakhri zarra...

suno ke raigzaar-e-umr ka yeh aakhri zarra
meri be- jaaN hathaili sey…phisalta ja raha hey ab
meri guzri musafat ki thakan ab ood aai hey
merey qasid…suno..janay say pehlay itna kehna hey
mere ujary shehar ke un gali koochoN maiN jao tou
jahaN bachpan bitaya tha…jahaN sab kuch ganwaya tha
tou us weeran khandar ko..payaam-e-aakhri daina
waheeN aangan maiN dayeN hath pe…ik pairr daikho gay
usi boorhay shajar ke… sin raseeda say badan par tum
mere bay rang hathoN ki lakeeroN ki tarha…ik jaal daikho gay
usi peepal ki chaaooN maiN…
kisi masoom ke dil ne..kaii sapnay sajaye thay
kisi ki aankh ke aansu…kisi dil ne bahaaye thay
kisi ki jheel ankhoN ney…kaii saagar lutaye thay
bohat narmi say us peepal ko chuh kar..itna keh daina
ke ab aankhoN ke yeh darya…kahiN saagar nahiN rotay
muqaddar jinka sota hai….kabhi phir woh nahiN sotay
usay kehna mere qasid..!
jinhoN ne umr sari teri chaooN maiN basar kar di
woh aakhir pal tumharay pas aa kar..kuch na keh paye
lipat kar tum say ro laiN gay..agar duniya maiN reh paaye
suno qaasid..!!
wahaN say chand qadam ke faslay par…aik chokhat hey
wuhi chokhat hey yeh piyaray…
jahaN sajday kiye hum ney…jahaN par zindagi haari
jahaN kuch pal jiye hum ney….jahaN par jaan yeh waari
jawaaN margi pe meri shehr yeh maatam kunaaN hoga
magar…us aik chokhat par…ajab sa hi samaaN hoga..
wahaN raqsaaN sabhi chehroN pe kuch ra’aniyaaN hoNgi
wahaN bajti chaharoN su…bohat shehnaiyaN hoNgi
wahaN jiski nazar maiN jeet janay ki thakawat ho
magar…us dil nasheeN chehray pe..gehri muskurahat ho
samajh laina mere qaasid…yehi qatil mera thehra..!
meri aankhaiN yeh lay jao…mera yeh kaam kar daina
usay ji bhar ke takna tum….meri ankhoN maiN bhar laina
usay chupke say keh daina
“tumhari jeet ki khatir…yeh baazi jis ne haari hey….
nahiN tum ho sakay uske….woh mar kar bhi tumhari hey…
“nahiN…balkay…mere qaasid…
usay tum kuch nahiN kehna

Bohat masroof rehte ho...

Bohat masroof rehte ho
Sehar se shaam hone tak
Koi lamha nahin milta
Koi be naam si fursat
Kabhi bethe hue tanha
Kahin jo shaam ho jaye
To meri iltija hai yeh
Koi lamha chura lena
Jo mere Naam Ho Jaye.....!!!

Kaha us ne ....

kaha us ne ke shaakhon se,
judaa phoolon ko karne ki,
hawaaon ki jo saazish hai ,
use achchi nahi lagti.
faqat ik pal ko ji chaaha,
use itna to keh doon aaj,
mohabbat phool ki in pattiyon se 
barrh ke naazuk thi,
jise qadmon tale tum ne
kabhi ka rond daala hai

Kia Tum "MERE HO!!!.......

Mujhe Dar Lagta
Hy
Har Udas Sham
Se
Yadon K Kohram
...Se
Wafa K Ilzam
Se
Waqt Ki Chaal
Se
Bichrne K Kheyal
Se

Or

Apne Hi Ek Sawaal
Se
K
Kia Tum "MERE HO!!!.......

Mohabbat kar nahi payi...

December ke maheeney ka
Wo shayed akhri din tha
Guzrey baras kaheen main ne
Mohabbat lafz likha tha
Kisi kagaz ke turkey par
Achanak yaad aya hai
Guzery baras kaheen muj ko
Kisi se baat karni thi
Usey kehna tha jaan e jaan
Mujhe tum se mohabbat hai
Mager main keh nahi payi
Wo kaghaz aj tak
Lipta para hai dhool mein lekin
Kisi ko de nahi payi
December phir ke aya hai
December phir se jar aha hai
Magar dobarah chah kar bhi main
Mohabbat kar nahi payi……

Ab k saal kuch aisa karna....!!

Ab k saal kuch aisa karna
Apnay guzray baara maah k
Dukh sukh ka andaza karna
Guzri yaadain taaza karna
Sada sa aik kagaz lay kar
Bhoolay bisray pal likh laina
Apnay saray kal likh laina
Phir is guzray aik aik kal ka
Apnay guzray aik aik pal ka
Aik aik moor aahata karna
Saray dost aikhatay karna
Sari subhain hazir karna
Sari shamain pas bulana
Aur ailawah in k deakhoo
Saray mousam dhiyan main rakhna
Aik aik yaad gumaan main rakhna
Phir mohtaat Qayas lagana
Ger tou khushiayn berh jati hain
Tou phir meri taraf say aanay wala saal mubarak
Aur agar ghum berh jayen tou
Mat baikaar takaluf karna
Deakhoo phir tum aisa karna
Meri khushiyaan tum lay laina
Mujh ko apnay ghum day daina
Ab k saal kuch aisa karna ...........!

Usay kehna keh loat aay...

Usay kehna kitabooN main rakhay sookhay hoay kuch phool
Us kay loot aanay ka yaqeen ab talak dilatay haiN
Usay kehna kay us ki jheel si aankhaiN kisi manzer pay cha jaiN
To sab manzer younhi phir bheeg jatay haiN
Usay kehna thandi baraf per koi kisi kay sath chalta hai
To qadmooN kay nishan phir say usi kay loot aanay kay nishaN dil per banatay haiN
Usay kehna keh us ki bheegti aankhooN ka wo aansoo
Sitaray ki trha ab bhi humaiN shab bhar jagata hai
Usay kehna keh barish khirkiyooN pay us k aansoo paint kerti hai
Usi ka naam likhti hai
Usay hi gungunati hai
Usay kehna keh khushboo, chandni, taray, saba, rastay, ghata, kajal
Mohobbat, chandni, shabnam, hawa'aiN, raat, din, badal
Sabhi naraz haiN hum say
Usay kehna judai kay darakhtooN per jo sookhi tehniyaaN haiN
Baraf ki chader
Ki zad maiN haiN
Or un shakhooN pay yadooN kay
Jo patay thay sunehri ho gay haiN
Usay kehna december soo gaya hai
Or yakhbasta wo bheegi january phir loat aai hai
Usay kehna keh loat aay

Aao k DECEMBER Ko Ruksat Kren...

Aao Ke December Ko Rukhsat Karen
Kuch Khushiyon Ko Sambhal Kar,
Kuch Aansuon Ko Taal Kar,
Jo Lamhe Guzre Chahton me,
Jo Pall Beetay Rafakaton Mein,
Kabhi Wqt K Sath Chalte Chalte,
Jo Thak K Ruke Raston Mein,
Kabhi Khushiyon Ki Umeed Mili,
Kabhi Bichry Huon Ki Deed Mili,
Kabhi Be’panah MuskuRa Diye,
Kabhi Hanste Hanste Ro Diye,
In Sare Lamhon Ko Mukhtasir Kren,
Aao k DECEMBER Ko Ruksat Kren

Chand tanha hay....

chand tanha hain asmaan tanha
dil main hain kahan kahan tanha

bujh gaye as chup gaya tara
thartharata rahan dhuan tanha

zindagi kya is ko kehta hain
jism tanha hain aur jaan tanha

humsafar koi ghar milay bhi kaheen
dono chalte rahen tanha tanha
jalti bujhti roshniyoon kay par
simta simta sa ek makaan tanha

rah dekha karega sadiyoon tak
chor jayenge yeh jahan tanha

Larka....

waqt chup chap dabe paon utar aata hai
sir ke balon main bujhi dhoop ki rungut bun ke
aur aisay main december ki koi surmaee sham
mayray ehsas pe jam jati hai hayrat ban ke

kaheen nuzdeek se uth’ti hoi madhur si hansee
paas se jata hoa koi khilundra lamha
khol daita hai mari umr-e-guzishta ki kitab
aur ik sath kaee varq palat jatay hain
yaad aa jatay hain wo khuwab se din
wo bharay din ki si ratain wohi mehtab se din
bheegi aankhon main ma’ani ke samnadur perhna
jo kitabon main likha tha usay kam kam takna
chand chehron pe jo likha tha wo aksar parhna
roz ik taza qaseeda nai tashbeeb ke sath
aik hi shakhs ki gul parahan-i per parhna
lafz perhna bhi to lehjoon ke barabar perhna

upni yadoon ke dafeenay ki talab mein main ne
aaj khurchi hay badan say wo shub-o-roz ki gard
to ye ehsas hoa hai mujh ko
main ke shahkar hoon pathar se nikal aaya hoon
kitna larka sa main andar se nikal aaya hon!!!!!

Naya Saal...

Lambay safar ki oat mein pal bar nahin ruka
Mein waqt k fareeb mein aa kar nahin ruka
Phir aa gaya aik naya sal dosto...
Is bar bi kisi say december nahin ruka
Lay kar kisi nain haath mein kashkol-e-waqt
Aisa safar kia k kahin per nahin ruka
Manzar kay aks mein koi chera chatakh gaya
Sheshay kay pas aa kay jo pathar nahin ruka
Chalta raha adoo ki safin rondta howa
Lakhon ka khoun-e-jigar kar k b lashkar nahin ruka
Bas yeh howa k Akhri lamha bi aa gaya
Dil ka tawaf koocha-e-dilbar nahin ruka

Aey Naye Saal Bata Tujh Main Naya Kya Hai

Aey Naye Saal Bata Tujh Main Naya Kya Hai
Har Taraf Khalq Ne Kyun Shor Macha Rakha Hai
Roshni Din Ko Wohi Taaron Bhar Raat Wohi
Aaj Hum Ko Nazar Ati Hai Har Baat Wo Hi
Aasmaan Badla Hai Na Afsos Badli Hai Zameen
Eik Hindsey Ka Badalna Koi Jiddat To Nahi
Agley Barson Ki Tarah Hongey Qareeney Terey
Kisey Maloom Nahi Baaraa Maheeney Terey
January,Ferwary,Aur March Main Paregy Sardi
Aur April,Mayee,June Main Hogi Garmiiiiii
Tera Sune Dehr Main Kuch Khoyega Kuch Payega
Apni Miyaad Basar Kar Key Chala Jayegaa’
Tu Naya Hai To Dikha Subha Nayee,Shaaam Nayeee
Warna In Ankhon Ney Dekhey Hain Saal Kayee!!
Aur Bhi Besabab Detey Hain Q Log Mubarakbadein!!
Galiban Bhool Gaye Waqt Ki Qarvii Yaadein!
Teri Aamad Sey Ghatti Umer Jahan Main Sab Ki!!
Faiz Ney Likhi Hey Ye Nazam Niraley Dhab Kiii!

Zara thehro... " chalay jana"

Zara
thehro...
" chalay jana"
Mujhe kch
tm sy kehna
hai"
zayada
waqt nhi
lu ga"
Zara si
baat krni
hai"
Na dukh
apnay sunanay
hain"
Na koi
faryad krni
hai"
Na ye
maloom krna
hai"
K ab
halaat kesay
hain"
Tumhare hmsafar
thay jo"
Tumhare
sath kesay
hain"
Na ye
maloom krna
hai"
Teray
din raat kesay
hain"
Mujhe bas
itna kahna
hai"
Mujhe tum
YAAD aatay
ho"
Boht hi YAAD aatay ho.

phir us k baad kitni dair taak maiN kuch nahi boli

maiN kahti teri chahat ki fiza maiN punkh bharooN kesay
wo bola k bichri huwei koonj k tootey huwey par se
maiN kahti thei samandar maiN khushi k kis tarha utrooN
kaha be-aa’b mahi ka sa paira’haN pahan dekho
maiN kahti thei chalo itna tu ho gha dard ki zanjeer tootey ghi
wo bola khawab-e-zeest ki teray taa’beer tootey ghi
maiN kahti thei tu kia ye tey hai k meray khawab jhoothey they
wo bola haaN yehi tey hai teray lufz jhoothey they
maiN kahti thei sara’bi hum they ya ye dunia he dhooka thei
wo bola baat hai itni tumhari payaa’s zaida thei
maiN kahti payaas asi hai k dar’yaa khud pukaa’ray gha
wo bola haar jaa’oo ghi suno waa’pis palat jaa’oo
maiN kahti thei meray baad tum tanhaa na rah jaa’oo
wo bola halqa-e-yaaraa’N bohat hai saath dainay ko
maiN kahti thei bohat mumkiN hai ye dukh jaaN lay jaa’ey
wo kahta tha tumhaiN kitna hai dukh maiN aazmaa’ooN gha
maiN kahti thei kaho itna kahaN taak aazmaa’oo gay’ay
wo bola bus wahaN taak , jab tum apni jaa’N se jaa’oo gay’ay
phir us k baad kitni dair taak maiN kuch nahi boli