Sunday, January 15, 2012

Woh chal parha, aahista aahista....

Woh chal parha, aahista aahista
or waqt urhnay lag gaya
bohat taizi say, raasta chauta tha
aarzu lambi thi
hamsafri mukhtasir
musaafat bohat taweel
qadam qadam par wehshat-e-jaan ki yalghaar
qadam qadam par
iztiraab ka ik naya qaafla hamraah hojata tha
uski sama'at kareeb kareeb bund hogai thi
aas paas ki awazain usey bohat door sunai dey rahi theen
woh sirf apnay dil ki dharkan sun raha tha
jo har taraf har soo goonj rahi thi
or ik shaur
beychaini or iztiraab ka shaur
khamoshi ka shaur
bohat kuch kehnay ki khuwahish or na keh paaney ka shaur
usnay socha
main usay kahoon
main to hamesha tumharey saath hota hoon
kub main nay tumhain akaila honey dia
us waqt bhi tumharey saath hota hoon
jab tum dhoop main nikalti ho
tum kabhi apnay andar jhanko
dehaktey, sulagtey suraj k neechay
woh jo tumharey andar
aik narm or thanda ehsaas lehrain maarta hay
woh main hee to hota hoon
tareek or andheray raastoun main
woh jo aik roshan charaagh
tumharey andar jagmagata hay
woh main hee to hota hoon
buray or kharaab mausamoun main
woh jo aik chaadar si tumharey sar pay tann jaati hay
woh jo aik hifaazati hisaar sa
tumhaarey gird qayam hojata hay
woh main hee to hota hoon
bhala main nay tumhain kub akailey chaurha hay
tum jaagti ho
to aik pausheeda aitmaad ki soorat
tumhaarey andar rehta hoon
or sojaati ho
to khuwaboun ka pasmanzar ban k
tumhaari hifazat karta hoon...~!!