Saturday, January 14, 2012

Saray jhagray Ana kay hotay hain...

Qurb kay na Wafa kay hotay hain
Saray jhagray Ana kay hotay hain

Bat Niyat ki hay sirf Warna
Waqt saray Dua kay hotay hain

Bhol jatay hain mat bura kahna
Log Putlay Khata kay hotay hain

Wo Bazahir jo kuch nai lagtay
Un se Rishtay Bala kay hotay hain

Wo Hamara hay is tarah se Faiz....
Jaise banday KHUDA kay hotay hain...