Thursday, January 12, 2012

Ab uss say bhi yehe kahay ga...

bichartay lamhon me
uss nay mujh say kaha tha
dekho
hamare rahain juda juda hain
magar hamain aik dosray ka
khayal rakhna hai zindagi bhar
kisi bhi lamha udasyon ki
faseel hayal na honay dena
hawa k hathon pe likhtay rehna
judaiyon k tamam qissay
qadam qadam pe jo paish ayn
wo sanahay bhi nazar me rakhna
me jab bhi lauta to
apnay honton ki tazgi ko
tumhare risti hui ankhon me laa rakhonga
jo mere apni hain, sirf mere
bichartay lamhon main uss nay mujh say
na janay kia kuch kaha suna tha
aur
ab uss say bhi yehe kahay ga
wo jiss k hathon me hath dalay
nayay safar pe nikal para hai