Friday, June 24, 2011

Woh Zara Nhi Badli

Aaj baad mudet k
Mein nay us ko dekha hai

Woh Zara Nhi Badli
Ab bhi apni Ankhon main
So sewal rekhti hai
Choti choti baton per
Ab bhi khul k hensti hai
Ab bhi us k lehjay main
Wohi khenkhenaahet hai

Woh Zera Nhi Badli
Ab bhi us ki pelkon k
Saye geelay rehtay hein
Ab bhi us ki sochon main
Mera naam rehta hai
Ab bhi meri khatir woh
Us terha hi pagal hai

Woh Zera Nhi Badli

Aaj baad mudet k
Mein nay us ko dekha hai
To mujhay bhi legta hai
Mein bhi us ki chahet main
Us terha hi pagal hoon

Baad itni mudet k
Aur kuch nhi badla
Bus humaray Raston k
Aur kuch nhi Badla

Jab tumhein muhabbat ho

Jab Tumhein Kisi Se Muhabbat Ho Jai
Aur Tum Ye Jaanlo
Ke
Wo Bhi Bey Qarar Hai
tumhare liye
tumhari tarah us se bhi
jeena dushwaar ho jae
to apni muhabbat k nazuk phool kay murjhane se pehley
apni ana ka gala ghont dena
k tumhari ana aik zehreeley naag ki soorat
her khushi ko nigal jaegi
aur tumhari muhabbat sanwarne se pehley hi
ujar jaegi

Agar Ham Dost Hotey To

Agar Ham Dost Hotey
To Karam Ki Inteha Kartey
Tumhen Palkon Pey Rakhtey Ham
Tumhen Dil Men Basatey Ham
Agar Tum Rooth Jaatey To
Tumhen Kitna Manatey Ham
Jo Milney Tum Nahi Aatey To
Aa kar Khud Tumhen Miltey
Tumhari Laghzishon Ko Bhi
Hansi Main Ham Ura Detey
Agar Apni Khata Hoti
To Khud Ko Bhi Saza Detey
Magar Ye Sab Jabhi Hota
Agar Ham Dost Hotey To
Magar Itna Hi Jana Hey
K Tum Ney Aaj Tak Ham Ko
Paraya Keh Kar Jana Hey
Kabhi Hamdam Naa Mana Hey

Agar Ham Dost Hotey To

K*h*a*w*a*i*s*h!

band hain lab dil mehv e dua hai
tere mohabat ki khushboo se jana
mehkta rahe yunhi mera aangan
jab bhi salgira ho mere
pehnaye sada mujh ko phoolon ke kangan
qayam rahe pyar bhara yeh bandhan
ban ke rahe tu mera saajan

ek taza hikayat hai

ek taza hikayat hai sun lo to inayat hai
ek shakhs ko dekha tha taron ki trhan hum ne
ek shakhs ko chaha tha apno ki trhan hum ne
ek shakhs ko smjha tha ohololon ki trhan hum ne
wo shakhs qayamat tha kia uski krain batain
din us k leay peda or uski hi thi raatain
kab melta kisi se tha hum se thi mulaqatain
rang uska shahabi tha zulfain thi k mehkarean
ankhain thi ki jado tha palkain thi k talwarian
dushman bhi agr dekhy so jan dil haaray
kuch tum se wo milta tha batoon mein shahbahat mein
haan tum sa hi lgta tha shokhi mein sharart mein
lgta bhi tumhi sa tha dastor-e-mohabat mein
wo shakhs humain ek din
apno ki tarhaan bhoola
taroon ki tarah doba
pholo ki tarhaan toota
phir hath na aya
hum ne bahut dhonda tum kis leay chonky ho
kab zikar tumhara hai
kab tum se takaza
kab tum se shikayat hai
EK TAZA HIKAYAT HAI
SUN LO TO INAYAT HAI

Main hamesha ulajh si jati hun

Main hamesha ulajh si jati hun
raat k paish-e-nazar main
jab koi ghazal mai likhti hun
haath kahin ruk jata hai
yaad kahin kho jati hai
main ulajh si jati hun
apne he khayalon main
inhin purani baaton main
tere sang guzaray lamhon main
main ulajh se jati hun
jb tm kisi or se baatain kartay ho
kisi or k sang jb hanstay ho
main apne haath utha leti hun
or hamesha ulajh si jati hun
apne haathon ki lakeeron main
dil main bani tasweeron main
purani taweel tehreeron main
main hamesha ulajh si jati hun
apne haath pe likhay un lafzon main
jo dikhtay b nahi or mit'tay b nahi
phr yaad ye akser karti hun
tum BE-WAFA to nahi thay phr bhi
main hamesha uljh si jati hun
mai hamesha ulajh si jati hun

Mohabat tu Mohabat hay

mohabbat tu mohabbat hay,
wo kab paane khone ki mohtaaj hay.
kabhi hans k chupa li,kabhi ro kar baha di.
kisi nay kam zarf tu kissi nay aala zarf jana hay.
jisska jitna zarf tha osne otna he pahchana mujhe.

Thursday, June 23, 2011

Mujhe us nigah ki talash hai...!!!

Ye zara zara si baat pe
teher teher k azaab kiyon?
jo kisi se bhi khafa na ho,
mujhe us Khuda ki talash hai.

mujhay laghzishoon pe har ghaRi,
koi tokta hai bar bar,
jisay kar ke dil ko dukh na ho,
mujhe us gunah ki talash hai.

bina hamsefer ke koi kab talak,
musaftoon main ghiraa rahay,
jahan koi kisi se juda na ho,
mujhe us raah ki talash hai,

mujhe daikh kar jo ik nazar,
mere saray dard samajh sakay,
jo is kadar ho chara gar,
mujhe us nigah ki talash hai...!!!

Wafa Ka Aakhri Nata ....

Zeyada Se Zeyada Ye Hoga
Dil ki Dhadkan Tham Jayegi
Log Hasenge Aur Kahenge
Hum To Pehle Hi Kehte Thay
Barf Pighal Sakti Hai Lekin
Bhadak Uthe Ye Na-mumkin Hai
ChhoRRo Jo Bhi Kehte Hon Kehne Do Inko
Aao Janaan!!!
Aaj Wafa Ka Aakhri Nata ToRR Ke Dekhain

Palat Ke Dekha...

Mohabbat Ka Wajood Mujhko
Saraab Lagne Laga Tha Yaaro
Par Us Sitamgar Ne Jaate Jaate
Palat Ke Dekha...

Muhabbat rooth jaaye tau

Wafa jab maslehat ki shaal ourhay
Sard rutt ka roop dhaaray
Dil ke aangan mein utarti hai
Tu palkoon per sitaaroon ki
dhanak muskaane lagti hai
Kabhi khwaaboon ke
an-chouwon heyoloon se bhi
Un-dekhi si, anjaani si
khushboo aane lagti hai
Kisi ke sang beetay,
un-ginat lamhoon ki zanjeerain
Achaanak zehan mein
jab gun'gunaati hain
Nafs ke taar mein san'naatta
yak-dam cheekh uth'ta hai
Tu yun mehsoos hota hai
Hawaayain aa ke sargooshi si karti hain
Muhabbat ka tumhein
idraak ab tu hogaya hoga
Yeh jo bhi zakhm deti hai
kabhi seenay nahee deti
Muhabbat rooth jaaye tau
kabhi jeenay nahee deti...

Tumhain kis ne kaha pagli...??

Tumhen kis ne kaha pagli
mujhe tm yad ati ho
bohat khush feham ho tm bi
tmhari khush-gumani he
meeri ankhonki surkhi main
tumhari yaad ka matlab???

mere shab bhr k jgne me
tmhare khwab ka mtlab???

ye ankhe to hmesha se hi
meri surkh rehti hain
tumhen malum hi hoga
is shayhar ki fiza kitni aloda he

to ye sozish,usi fiza ke bais he
tmhen kis ne kha pgli
ke me shab bhr nahi sota
mjhe is nokri ke sb jhamelon se
kbhi fursat mile to tab he na!!!

meri baton me larzish hai???
me aksr kho sa jata hon???
tmhen ks ne kaha pagli
mohabbat ke ilawa or bi to dard hote he
fikar-e-muaash, sukh ki talaash

aise or bi gham he
or tm
un sb ghamon k baad ati ho
tmhen ks ne kaha pgli
mjhe tm yad ati ho
yah dunya walay pagal he
zra si bat ko ye to afsana smjte he

mujhay ab bhi yah pagal tera dewana samjhaty hain
tumhen kis nay kaha pagli???
magar shayad!!!
magar shayad main jhoota hon

Suno ! Tum Laut Aao na...!


Suno ! Tum Laut Aao Na !
Jaha Tum Ho Wo Duniya Kab Tumhari Hai
Keh Suraj Dhal Gaya Hai,,
Hasseen Shaam Utri Hai
Wo Dekho Chand Nikla Hai ,, Sitaray Jagmagaty Hain,
Hamari Muntazir Ankhien,,
Duaen Mangti Aankhein ,
Tumhay Socthi Aankhein,,
Tumhe Dhondti Aankhein ,,,
Tumhe Wapis Bulati Hein,
Ye Dil Jab Bhi Dharakta Hai Tumhara Naam Laita Hai ,
Ye Ansoo Jab Bhi Behtay Hain ,
Tumharay Dukh Mein Behtay Hain
Kay Barish Jab Bhi Hoti Hai
Tumhe Hi Yaad Yaad Karti Hai ,
Khushi Koe Bhi Jo Aye
Tumhary Bin Adhuri Hai,
Suno ... !!!
Tum Laut Aao Na !!!!!!...

Suno tum ne kaha tha na...!!

Suno tum ne kaha tha na!!
mjhy jazb-e-muhbt say kabhi jo tum pukaro gi
main uss din lot aaon ga!!
to daikho na!!
kai lamhon
kai salon
kai sadiyon
se tera rasta takti
yeh meri muntzar ankhain
mere dil ki ye dharkan aur sansain
bus tumhara naam laiti hain
wohi ik wird karti hain
meri ankhon k sahil par
teri khwahish ki mojoan ne
bari halchal mchai hai
teri tasveer,sookhay phool aur tohfay!
teri chahat ki khushbu main
abhi takk sans laitay hain
woh sabb rastay k jin par tum hmaray sath chaltay thay
woh sabb rastay jahan teri hansi k phool khiltay thay
jahan pairhon ki shakhon par
hum apna naam likhtay thay
udasi say bharay manzar
tumharay lot kar anay ki umeedain dilatay hain
suno kuch bhi nahi badla
tumharay paaun ki awaz sun'nay ki
mere kamray ki bai tarteeb chezain muntazir hain
suno!!!
takmeel paati chahton ko yun adhoora to nahi choro
mujhay matt azmao tum
chalo abb lot aao tum!!!!

Use kaho qasam le lo....

Use kaho qasam le lo
tumharey baad,
kisi ka khwab
dekha ho
kisi ko ham ney chaha ho
kisi ko ham ney soocha ho,
kisi ki arzoo ki ho
kisi ki justuju ki ho
kisi ki raah dehki ho
kisi ka qrub manga ho
kisi ko sath rahka ho
kisi sey aas rahki ho
kohi umeed bandi ho,
kohi dil mian utra ho
kohi tum se piyara ho
kohi dil mian basaya ho
kohi apna banaeya ho
kohi rootha ho hum sey
usy ro ro kar manaeya ho
DECEMBER ki haseen rut mian
kisi ka hijr jhela ho
kisi ki yad ka mussam
merey aangan mian khela ho
kisi sey baat karney ko,
kabi yea hont tarsey hon
kisi ki bewafai par
kabi yea nena barsy hon
kabi raton ko uth uth kar
tery duhk mian na roye hon
usey kaho qasam ley lo
tumharey baad
hum ik pal b soye hon
ussey kaho qasam ley lo
kabi jugnu,
kabi tara,
kabi mehtab
dehka ho,
ussey kaho qasam ley lo
tumharey baad kisi ka
jo khawab dehka ho

DECEMBER lout aya hai...

Usay kehna DECEMBER lout aya hai
hwayen sard hain
aur vaadiyan bhi dhund main gum hain
paharon ne braf ki shaal
phir se ourh rakhi hai
Sbhi rastay tumhari yaad main
pur nam se lagtay hain
Jinhain sharf e musaafat tha
wo saray cards,wo perfume,wo chhoti c diary
wo terris
wo chaye jo ham ne saath main pee thi
tumhari yaad lati hain
tumhain wapis bulati hain
usay kehna k dekho yun stao na
DECEMBER lout aya hai
suno tum lout ao na

Kahan dil chor aye ho...

Kahan dil chor aye ho,
bohut chup chap se rehtay ho,
Na bante ho na sanwarte ho
na koi bat karta ho
Bhari mehfil main bhi aksar
hamesha khoay rehtay ho
Udasi aankho main le kay
her ek chehre ko takte ho
Koi jab yaad aata hai to
Thundi aah bharte ho
To khul kar kion nahin kehtay
Kisi se pyar kertay ho

Kabhi Socha Hai ?

Kabhi Socha Hai ?
Hamaray Rishtay Ka Naam Kya Hai
Mohabat,Zarorat,Khwahish,Junoon,Ishq Ya,
Woh Rishta Jo
Aasmaan Ka Zameen Se Hai
Baarish Ka Sehra Se Hai
Haqeeqat Ka Khwabon Se Hai
Din Ka Raat Se Hai
Yeh Kabhi Aik Dosray Se Mil Nahi Paatay
Laikin Aik Dosray K Baghair Adhoray Bhi Hain
Shayad Aaisa He Kuch Rishta
Mera Aur Tumhara Bhi Hai

Koi apna nahi banta!!!

Koi apna nahi banta!!!
Labon pay naam rakhnay say
Dilon main yaad karnay say
Har ik dharkan, har ik tarpan
Kisi ke naam karnay say
Koi apna nahi banta...!!!
Tamam umar ki khushiyan
Mohabbat ki sabhi ghariyan
Kisi ko daan karnay say
ke ...us pay maan karnay say
Koi apna nahi banta ...!!!
Woh pehlay piyar ki batain
Fafaqat ki sabhi ratain
Woh chahat ki sabhi rasmain
Mohabbat ki sabhi qasmain
Humaisha yaad rakhnay say
Koi apna nahi banta ...!!!
Kisi tanha akaili raah guzar par
Puranay say kisi boorhay shajar par
Patthar say koi dil bananay say
Aur...
Uss main apna or kisi ka naam sajanay say
Koi apna nahi banta ...!!!
Kay jab......aankhain hi marr ja'ain
To phir sapna nahin banta
Yeh jeewan daaan kar ja'ain
To bhi apna nahi banta
Koi apna nahin banta...!!!
Koi apna nahin banta...!!!

Muhabbat tou khush-gumaa'n hai "

Tumhaari angushteri kay nag mein
Meri muhabbat chamak rahi hai
Agar kabhi yeh gumaan bhi guzrey
Ke mein tumhain bhoolney lagaa hoon
Tou iss nageenay ko bhi ghour sey daikhoo
Meri nigaahoun ki jagmagaahat
Tumhaarii aankhoun sey yeh kahey gee
"Suno,
"Muhabbat tou khush-gumaa'n hai"
Agar koi bughz-e-dil ka maara
Falak sey tootaa huaa sitaara
Tumhaarey seeney mein waswasoun kay
Kaisey khanjer utaartaa hoo
Ke woo jo dil-phaink-o-bey-wafaa hai
Ke woo sab per freefta hai
Ke woo jo perdais jaa basaa hai
Tumhain bhanwer beech chhour dey gaa
Wafaa kay sab qoul tour dey gaa
Chalo buss ab uss ko bhool jaaou
Tou iss sey pehlay ke jal bujho tum
Tou iss sey pehlay ke yeh kahoo tum
Woo aihd-o-paimaan sab ghalat thay
Wafaa kay unwaan sab ghalat thay
Sahar kay imkaan sab ghalat thay
Tum apni angusht-e-maahwash per
Gulaab chehraa jhukaa kay kehnaa
Suno, woo sach much bey-wafaa hai?
Tumhaara routa sawaal sun ker
Woo shukh nag muskuraa parey gaa
Tumhaarey gaaloun ko thapthapaa ker
Haseen angushteri kahey gee
"Suno,
Muhabbat tou khush-gumaa'n hai "

Ik ajnabi duwa

Us raat aasmaan pe taarey they is kadaR
dushwar ho raha tha safar mahtaab ka
Ik bekinaar hijaR ka dasht-e-chaman numa
aa'ttki hui thi nakhl-e-tamanna ki shaakh paR
fasal-e-paReeda rang ki masli hui qaba

Ik ajnabi duwa

khilney lagey they dast-e-hawa par khizaN key phool
jaati hui bahaar k tootey huwey asool
chehRa azal ki aag tha aaNkheN abad ki dhool!

us raat tootey huwy taaroN ki goonj meiN
ham kitni deR chaltey rahy kuch pata nahi
kab tak ham apney an-kahey lafzoN ki kirchiyaN
farsh-e-hawa se chuntey rahey kuch pata nahi

shabnam k saath saath chamkey tamaam shab
taarey they k wo aks meray aaNsu’oN key they!
kyuN kurbatoN k shor meiN ghutney laga tha dam
kismat k they k halqey terey baazu’oN k they

Kuch pata nahi

gard is qadaR hai aaina-o-maah-o-saal paR
khaaboN k aks apney khad-o-khaal kho gaye
aaNkhoN k rang ley gai taaroN ki roshni
chehroN k naksh ray'et ki tehreeR ho gaye
taktey they dil ki simt jo qarnoN ki ott sey
benaam khaahishoN k wo mosam badal gaye
soorat garoob ho gaye, mehtaab dhal gaye
taair shaheed ho gaey, ashjaar jal gaye

saahil ka jhaag ho k mitey ya k rizq-e-abr
aata nahi palat k kabhi jo gaya — gaya
lekin ye kya k aaj bhi jis raat mehtaab
taaroN k bekinaaR meiN rasta na paa sakey
aa'NkhoN meiN jilmilaatey huwy aaNsu’oN k paaR
milti heiN is tarhaN sey zamaanoN ki sarhadeN
chalta nahi pata

ham peechey reh gaye heiN
k aagey nikal gaye !!!

Barson baad....

Aadhi raat k sannate main
kis ne phone kia hai mujh ko?
jane kis ka phone aaya hai
phone utha ker yun lagta hai
us janib koi gum sum,
gum sum ukhra ukhra
dheeray dheeray kaanp raha hai
mehki hoi ik khamooshi hai
ghup khamoshi
laikin is khamoshi main bhi
goonj rahay hain
thandi saansain,barish,aansu
khamoshi se thak ker
us ne saans lia to
chooorhi khanki....
uf ye khun khun.....
ik lamhay main saaray badan main phail gae hai
teray ilawa koi nahi hai
lakin itne barson baad.

Hamain tum saath pao gay

Mujhay bas itna kehna hai
Kabhi main yaad aaoon to

Kabhi tanhai ki raatain
Tumhain ziada sataein to

Kabhi titli na bolay to
Aur jugnoo lout jaye to

Kabhi jab dil bhi bhar jaye
Koi jab sunn na paye to

Agar sab dost sathi bhi
Jo tum se rooth jaaein to

Kabhi jab khud se lar lar kar
Thakan se choor ho jao

Kabhi chahtay huay bhi khud akelay
Ro na paao to

Apni aankhon ko band karna
Mujhay aawaz de dena

Aur phir meray tasawwur se
Jo chaho batain keh dena

Meray kaandhay pe sir rakh kar
Tum jitna chaho ro lena

Phir khud main jab loat jao to
Us he duniya chalay jana

Magar bas itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khushiyon main

Hamain dil se pukaro gay
Hamain tum saath pao gay

Kaha tha na....

Kaha tha na....
mujhay tum iss tarha
sotay huay mat chor k jana
mujhay baishak jaga dena
bata dena
zindagi k safar mei
meray sath chal nahi sakhti
khuwaishon k safar mei
meray sath chal nahi sakhti
tumhain rasta badalna hai
meri hadh se nikala hai
tumhain kis baat ka darr tha
tumhain janay nahi deta ?
kahin pe qaid ker leta ?
aray Pagli
Mohabbat ki haqeeqat mei
zabardasti nahi hoti
jissay rasta badlna ho ..
ussay rasta badlnay se
jissay hadh se nikalna ho
usay hadh se nikalnay se
na koi rok paiya hai na koi rok paye ga
meray sathi haqeeqat hai
tumharay baad khonay k lia
kuch bhi nahi baki
magar khonay se darta hon
main abb sonay se darta hon !!!!!!!!!

Kaha tha na....

Kaha tha na....
mujhay tum iss tarha
sotay huay mat chor k jana
mujhay baishak jaga dena
bata dena
zindagi k safar mei
meray sath chal nahi sakhti
khuwaishon k safar mei
meray sath chal nahi sakhti
tumhain rasta badalna hai
meri hadh se nikala hai
tumhain kis baat ka darr tha
tumhain janay nahi deta ?
kahin pe qaid ker leta ?
aray Pagli
Mohabbat ki haqeeqat mei
zabardasti nahi hoti
jissay rasta badlna ho ..
ussay rasta badlnay se
jissay hadh se nikalna ho
usay hadh se nikalnay se
na koi rok paiya hai na koi rok paye ga
meray sathi haqeeqat hai
tumharay baad khonay k lia kuch bhi nahi baki
magar khonay se darta hon
main abb sonay se darta hon !!!!!!!!!

"Dobara phir nahin milta"

Tumhain bhi to khabar ho gi
ke dariya paas baithe ho
to paani kitna acha lagta hai

kinaron se juri matti se poocho
rog Chahat ke
ke is paani ki chahat main
kinaron se ukkar kar
ajnabi deson main jaana kitna mushkil hai
Kinara phir nahin milta
tumhain bas itna likhna hai
yahan jo bhi bichar jaaye
"Dobara phir nahin milta"

Wednesday, June 22, 2011

CHALO CHORO

CHALO CHORO

Muhabbat jhoot haiEhd-e-wafa
ik shughl hai baikaar logon ka
“Talab” sookay huway patton ka
baironuq jazeera hai
“Khulish” deemuk-zuda awraaq pur
boseeda sutron ka zakheera hai
“Khumaar-e-wusl” tuptee dhoop ke seenay pe
Urrtay baadlon ki raaigan bukhshish
“Ghubar-e-Hijr” sehra main
sarabon say atey mosum ka khamyaza
..
CHALO CHORO
Ke ab tuk main andhairon ki
dhumuk main saans ki zarbon pe
Chahut ki bina ruk kar safar karta raha tha
Mujay ihsas hi kub tha
Ke tum bhee mosumon ke saat
apnay peruhun kay rung badlogi

CHALO CHORO
Wo saray khwab kuchee bhurbhuree muttee ky
baiqeemut gharonday they
Wo saray zaaiqey mairee zuban pur zukhm bun kar
jum gaye hongay
Tumharee unglion ki nurm porain
puthuron pe naam liktee thee mera laikin
Thumharee unglian tho aadtun
ye jurm karthee thee

CHALO CHORO
Safar main ajnubee logon say aisay haadsay
surzud huwa karthay hai
Sadion say

CHALO CHORO
Mera hona nu hona ik barabar hai
Tum apnay khaal-o-khud ko
aayeenay main phir nikurnay do
Tum apnee aank ki bustee main
phir say ik naya mosum uturney do
“meray khwabon ko murnay do”
nuyee tasweer daikophir naya maktoob liko
phir nuye mosum nuye lafzon say
apna silsila jorho
meray maazee ki chaahut raayegaan sumjo
meree yaadon say kuchey raabitay torho

CHALO CHORO
muhabbat jhoot haiEhd-e-wafa
ik shughl hai baikar logon ka

Aarzoo nahi rehti..

Ajnabi rahoon k
Ajnabi musafir aik
Mujh say pooch baitha hai
Rasta bata do gay?
Ajnabi rahoon k
Ajnabi musafir sun
Rasta koi bhi ho
Manzalin nahi milti
Manzilain tou dhoka hain
Manzilain jo mil jain
Justuju nahi rehti
Zindagi ko jeenay ki
Aarzoo nahi rehti........!!

Shehar-e-Dil Ki Galiyoon main....

Shehr-e-Dil ki Galiyoon main
Shaam se bhataktay hain
Chand k Taman-na-ee
Baiqarar Saudaii
Dil Gudaz Tarikii
Jan Gudaz Tanhai
Rooh-o-Jaan ko Dasti haii
Rooh-o-Jaan main Basti hai
Shehr-e-Dil ki Galiyoon maain

Taak-e-Shab ki bailoon per
Shabnami Sarshakoon ki
Beqarar Logon nay
Beshumaar Logon nay
yadgaar chorhi hay
Itni Baat Thori Hai ?

Sud-Hazar batain thin
Hela-e-Shakebaee
Soraton ki Zebai
Qamaton ki ranaii
In siah raton main
Aik bhi na yaad aae
Ja bja bhataktay hain
Kis ki rah taktay hain
Chand kay taman'naee

Ye Nagar Kabhi Pehlay
Is Qadar Na Veeran Tha
Kehnay walay kahte hain
Qarya-e-Nigaraan Tha
Khai apnay Jeenay Ka
Yeh bhi aik samaan tha

Aaj Dil main Veerani
Abr ban kay Ghiraaii
Aaj Dil ko kya Kahiyea
Ba-Wafa Na Haarjae
Phir Bhi Log Diwanay
Aa gayay hain samjhanay
Apni wehshat-e-dil k
Bun liyay hain afsanay
Khush khayal dunya nay

Garmiaan to Jaati hain
Woh rutaain bhi aati hain
Jab Maluul raton may
Doston ki baton may
Ji na chain payay ga
Aur oob jayay ga
Aahaton say Gonjain gi
Shehar-e-Dil ki Pinhaee
Aur chand raton main
Chandni kay Shedaii
Har bahanay niklain gay
Aarzoo ki Gairaii
Dhondnay ko Ruswaii
Sard Sard Raton ko
Zard Chand Bakhshay ga
Bay-Hisaab Tanhaii
Bay-Hijaab Tanhaii
Shehar-e-Dil Ki Galiyoon main.........!!

Aankhain Khoob Rooti Hain,

Tumhain Dil Say Bhulatay Hain
Tou Aankhain Khoob Rooti Hain,
Dard Dil Main Jagatay Hain
Tou Aankhain Khoob Rooti Hain..

Tumharay baad Chahat K Sabhi Punchi Uray Janaan,
Kahin Bhi Dil Lagatay Hain
Tou Aankhain Khoob Rooti Hain..

Teri Tasweer, Adhooray Khat Tu Jala Diyey Hum Nay,
Ab Paani Pay Naqsh Banatay Hain
Tou Aankhain Khoob Rooti Hain..

Ghata Aawargi Main Jab Siyah Chola Pehanti Hai,
Parinday Jab Satatay Hain
Tou Aankhain Khoob Rooti Hain..

K Jab Bhi Shaam Dhalti Hai Meri Qismat K Sab Taray,
Falaq Par Jagmagatay Hain
Tou Aankhain Khoob Rooti Hain..

Sard Tareek Raaton Main Siyah Sawan Ki Barish Main,
Dard Jab Muskuratay Hain
Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..

Sahil Ki Woh Mitti K Jis Pay Khoon Hathoon Say,
Wafa Likh Kar Mitatay Hain
Tou Aankhain Khoob Rooti hian..

Bohat Mumkin hay...

Bohut mumkin hay sehra maiN abhi
kuchh phool khhilnay hooN

buhut mumkin hay aaNkhhoN ko abhi
kuchh khuwab bannay hooN

buhut mumkin hay darwazay pay
dastak day abhi soraj

buhut mumkin hay keh
shab ka andhera khatam hojaey

buhut mumkin hay achhay din
hamari raah taktay hooN

buhut mumkin hay rahooN maiN
kai dalkash nazaray hooN

abhi shayad khizaaN rut par
baharaiN chhanay wali hooN

ghhataooN nay dilooN ki khhetiyooN par
phir barasna hoo

buhut mumkin hay darya ko
dubara rukh badalna hoo

abhi behkay hoey qadmooN ko
dubara saNbhalna hoo

abhi ham nay chhupi khushyooN ka
aik aik raaz pana hoo

abhi kuchh der ruk jao
abhi us din ko aana hay

yeh jo bikhra bikhra sa shakhs hai…!!

Woh gumaan gumaan sa qayas sa
kabhi door sa kabhi paas sa
kabhi chandni main chupa hua
kabi khushbuoon main basa hua

kabhi sirf us ki shabahatain
kabhi sirf us ki hikayatain
kabhi sirf milnay k silsilay
kabhi sirf us say hi faaslay

kabhi door chalti hawaoon main
kabhi meenh barasti ghataoon main
kabhi bad-gumaan kabhi meherbaan
kabhi dhoop hai kabhi saayebaan

kabhi band dil ki kitaab main
kabhi lab kushaan woh khwab main
kabhi youn k jaisay sawal ho
kabhi youn k jaisay khayal ho

kabhi dekhnay k hain silsilay
kabhi sochnay k hain marhalay
kabhi sirf rang-e-bahar sa
kabhi sirf ik ghubaar sa

kabhi dastaras k qareeb qareeb
kabhi door paas kahin nahi
yeh jo ukhrra ukhrra sa shakhs hai
yeh jo bikhra bikhra sa shakhs hai…!!

Safar tanha nahin karte

Hazaron pal tumhare bin,
Na poocho kaise kat’tay hain
Kabhi yaadain rulaati hain
Kabhi mosam satatay hain
Usay kehdo hum atay hain
Hamain mayous na kerna
Humara maan rakh laina
Humain wapis nahin jana
Humain dil mein basa lena
Humain apna bana lena
Bohat tarpay hue dil say
Bohat rootha nahin kertay
Muhabbat to ebadat hai
Usay ruswa nahin kerte
zamanay say chhupate hain
Kabhi charcha nahin kerte

Suno aisa nahin kerte..
safar tanha nahin karte

kisi nay sach kaha hai yeh

kisi nay sach kaha hai yeh
muhabbat aur kahani main
koi rishta nahi hota
magar meri muhabbat to
kahani hi kahani hai
koi raja na rani hai
muhabbat ki kahan i to
musafat hi musafat hai
zaroorat ki musafat aur
musafir wapsi kay saray
imkan pass rakhta hai
muhabbat ki musafat main
musafir kay palatnay ka
koi rasta nahi hota
woh sari kashtiyan apni
jala detay hain sahil par
kay naummeed honay par
palatna bhi agar chahain
to wapis ja nahi payen

wahin gharq e aab ho jayen

koi mosam to aisa ho !!!

koi mosam to aisa ho

kay jub bichray hoowoon ki yaad kay jugnoo
chamak kho dain
kisi kay hijar main ronay say pahlay hi
mairi aankhain kabhi so dain

koi mosam to aisa ho !!!

kay jub sub phool ulfat kay
kisi unmit mohabbat kay
miray dil main khilain,per
un main who khushboo na ho baqi
woh khusboo jo tumharay qarb say mahsoos hoti thi

koi mosam to aisa ho !!!

kay dil kay zakham bhur jain
agar aisa naheen hota to phir
kitna hi acha ho kay sari khowahishain dilki
woh saray khowab aur arman
youn hi ghut ghut kay mur jain
mujhay azad ker jain

koi mosam to aisa ho !!!

Tab yaad bahut tum aate ho

Jab koi zikar ho judai ka
ya kissi kee bewafai ka

ya mosaam aik dam badley
koi awara badal achanak barsey

koi mily ya phir bhichrey
jab koi ajnabi haans key boley

piyaar jataey jhoot boley
tab yaad bohat tum atey ho

jab saans kee door kaheen tootey
jab koi kissi ko tanha chorey

dil kissi ka tootey
koi beech manjhdaar tanha jab kissi ko chorey

jab nao kissi kee doobey
jab be aas kissi kee tootey
han such

tab yaad bohat tum atey ho.
tab yaad bohat tum atey ho

Usay Matt Chhor Ke Jao

Suno!
Tum Azm Walay Ho
Bala Ka Zabt Rakhtay Ho
Tumhain Kuch Bhi Nahi Hoga
Magar Dekho
Jisay Tum Chhoray Jatay Ho
Usay Tou Theek Se Shayad
Bichharna Bhi Nahi Aata
Suno!
Tum Azam Walay Ho
Usay Matt Chhor Ke Jao

Mujhe Tum Se Muhabbat Hai.

Kisi Kamzor Lamhe Main Agar Main
Agar Main Tum Se Yeh Keh Doon
Mujhe Tum Se Muhabbat Hai
Tu Ye Mat Samajh Lena
Keh............
Main ne Sacch Kaha Ho Ga

Aisi Dil-Nasheen Batoon Ko Aise
Dilruba Andaaz Se Kaehna
Mujhe Bachpan se Aata Hai
Meri Aanken Mera Chehra
Mera Be-Sakhta Lehja
Ye Sab Kuch Jhoot Kehte Hain
Magar....
Is Jhoot Main Ik Sach Bhi Hai
Keh.........
Mujhe Tum Se Muhabbat Hai.

Mohabat

Asar dil per karay shikwa,
shikayat ho to aisi ho.!
Galay lag kar koi roye,
Nadamat ho to aisi ho.!
yehi mehsus ho jaisay
kai sadiyan guzari hain
faqat ek pal ki furqat mein,
Aziat ho to aisi ho..!!
mujhe kanta chubhay aur
us ki ankhon se lahu tapke,
talluq ho to aisa ho,
MUHABAT ho to aisi ho

ik or nazam us k nam

Gum sum chop chop rahne wali
Tanha tanha si bathi ek larki se
Main ne ek din yeh kaha tha
kyun na ek achi se nazm
Main tumarey naam kar doon
Tumari kisi masoom ada ko
Lafzoon k jado main samo kar
Andekhey lamhoon k liye
Ek haseen si yaad bana doon
Woh lamhey jab sab kuch hotey huwe bhi
Koi bhi paas naheen hota
Koi dhirey dhirey bahanoon se
Do bateen kar jane wala
Na koi nazm kahne wala
Na koi nazm sunaney wala
Lekin is lamhey
Dayroon main apni soch k semti
Andekhi ahat se chop kar
Janey kis bandhan se dar kar
Inkar karti hui woh
Masoom si larki muj ko
Kuch aur bhi masoom lagi
K woh kaise jaan sakti thi
Us k takhkha tab ki sherni
Sada si us ki be antanai
Ek aur nazm ka unwan ban chuki thi

~* Perceptions*~

Tum ne kabhi yeh goor kiya k
Chand k gird jo halah hay
Yeh khushi k aansou hain ya
Chand ka gham bhi nirala hay

Tum ne kabhi yeh goor kiya k
Badal jab barasta hay
Yeh hansi k chintey hain ya
Koi ghao rasta hay

Tum ne kabhi yeh goor kiya k
Suraj jo yeh chamakta hay
Wasl ki dhuop parti hay
Ya hijr alao dhkta hay

Tum ne kabhi yeh goor kiya k
Hawa ki citi kasi hay
Milan ki reel aa pounchi ya
Jati koyel jasi hay

Tum ne kabhi goor kiya k
Pani ka jharna kahta hay
Khushi ki chinkh hoti hay
Gham ander ander bahta hay

Tum ne kabhi yeh goor kiya k
Parbat bhi kuch kahta hay
Farsh se kitna uncha lekin
Arsh ki douri sahta hay

Tum ne kabhi yeh goor kiya k
Bashr ne kiya kuch jhela hay
Itni bheer main rah kar bhi
Khud ander se kitna akela hay

Hamari aankheen

Bhul sakta hay bhala koun
Yeh pyari aankhen
Rang main duobi hui
Neend se bhari aankheen
Meri sans ne har soch ne chaha hay
Tumeen jabse dekha hay
Tab se saraha hay tumeen
Bas gai hain meri ankhon main
Tumari aankheen
Tum jo nazroon ko utao to
Sitare jhuk jayeen
Tum jo palkoon ko jhukao to
Zamane ruk jayeen
Kyun na ban jaye in aankhon ki
Poujari aankheen
Jagti raton ko sapnon ka
Khazana mil jaye
Tum jo mil jao jenr ka bahana mil jae
apni kismat pe kareen naaz
Hamari aankheen

Pagli...

Tujhey nain mila kar chain mila
Kaha lakh tujhye kheen dil na laga

Ab thandi aaheen bhar pagli
Ja aur mohabbat kar pagli

Tue ne pyaar k nagmeen chaire the
Par kho gai gham k raag main tue

Woh aag na koi dekh saka
Chup chaap jali jis aag main tue

Ab aag se daman bar pagli
Ja aur mohabbat kar pagli

Pagli in pyaar ki rahoon main
Kyun koi kisi ko apnaye

Is duniya ki hay reet yehi
Jise pyaar karo wohi thukraye

Khaa thokar par thokar pagli
Ja aur mohabbat kar pagli

Kal dil main basaya tha jis ko
Wohi chain tera ab loutey ga

Kuch aur hansey gi yeh duniya
Kuch aur tera dil toutey ga

Be mout gai tue mar pagli
Ja aur mohabbat kar pagli

TumhE kIs nE kaha tha..?

TumhE kIs nE kaha tha..?
DupEhar k garm sUraj kI taraf dEkho
aUr ItnI daIr tak daIkho!
K bInayI pIgal jyE

TumhE kIs nE kaha tha..?
Aasman sE to0t'tI andI ulajtI bIjly0n sE d0stI kar lo
aUr ItnI d0stI kar lo k ghar ka ghar hE jal jayE

TumhE kIs nE kaha tha..?
Aik anjanE safar maI
AjnabI rahro k hamrah do0r tak jao!
aUr ItnI d0or tak jao
K wo rasta badaL jayE

...tUmhE kIs nE kaha tha...

Bus usi ko marna tha..!

Roz-o-shab k maily mein.......
Ghaflaton k maary hum.....

Shayad yeh samajhtay hain......
Hum ne jis ko dafnaya......

Bus usi ko marna tha........!

Tuesday, June 21, 2011

usne jab kahaa mujhse geet ek sunaa do naa

usne jab kahaa mujhse geet ek sunaa do naa
sard hai fizaa dil kii, aag tum lagaa do naa

kyaa hasiiN tevar the, kyaa latiif lahja thaa
aarzuu thii hasrat thii hukm thaa taqaazaa thaa

gungunaa ke mastii meN saaz le liyaa maiN ne
chheD hii diyaa aaKhir naGma-e-vafaa maiNne

yaas kaa dhuvaaN uThaa har navaa-e-Khastaa se
aah kii sadaa niklii barbat-e-shikasta se

Kalaa Jadoo !

Mera Tamaam Fun, Meri Kaavish, Mera Riyaaz
Ik Na-Tamaam Geet K Misray Hain Jin Key Beech
Maani Ka Rabt Hai Na Kisi Qaafi’ey Kaa Meil
Anjaam Jiss Ka Tay Na Hova Ho Ik Aisa Khel
Meri Mata'aa Bus Yehi Jadoo Hai Ishq Ka

Seekhaa Hai Jiss Ko Main Ne Barri Mushkilon K Saath
Lekin Ye Sehar-e-Ishq Ka Tuhfaa Ajeeb Hai
Khulta Nahi Hai Kuch K Haqeeqat Main Kya Hai Ye
Taqdeer Ki Attaa Hai Ya Koi Sazaa Hai Ye
Kis Say Kahein Ay Jaan K Ye Qissa Ajeeb Hai

Kehnay Ko Yon Tu Ishq Ka Jadoo Hai Meray Paas
Par Meray Dil K Vastay, Itna Hai Iss Ka Bojhh
Seenay Se Ik Paharr Sa, Hut'ta Nahi Hai Yeh
Lekin Asar Ke Baab Main Hulka Hai Iss Qadar
Tujh Pe Agar Chalaon Tu, Chaltaa Nahi Hai Ye

Tum Se Kya Kahein Jaanaa !

Zindagi Ke Meley Mein
Khvaahishon K Reley Mein
Tum Se Kya Kahein Jaanaa
Is Qadar Jhameley Mein
Waqt Ki Ravani Hai
Bakht Ki Giraani Hai
Sakht Be'zamini Hai
Sakht Laa'makaani Hai
Hijr Ke Samandar Mein
Takht Aur Takhtey Ki
Ek Hee Kahani Hai
Tum Ko Jo Suna'ni Hai

Baat Go Zara Si Hai
Baat Umar Bhar Ki Hai
Umar Bhar Ki Baatein Kab
Do Gharri Mein Hoti Hain
Dard Ke Samandar Mein
Un'ginat Jazeerey Hain
Be'shumaar Moti Hain
Aankh Ke Darichey Mein
Tum Ne Jo Sajaaya Tha
Baat Us Di'ey Ki Hai
Baat Us Giley Ki Hai
Jo Lahoo Ki Khilvat Mein
Chor Ban Ke Aataa Hai
Lafz Ki Fasilon Par
Toot Toot Jaata Hai

Zindagi Se Lambi Hai
Baat Rutt'Jagey Ki Hai
Raastey Mein Kaisey Ho
Baat Takhali'ey Ki Hai
Takhali'ey Ki Baaton Mein
Guftagu Izaafi Hai
Pyaar Karney Vaalon Ko
Ik Nigaah Kaafi Hai
Ho Sakey To Sun Jaao
Ek Din Akeley Mein
Tum Se Kyaa Kahein Jaanaa !
Is Qadar Jhameley Mein !!!!

Ik Baar Kaho Tum Meri Ho

Hum Ghoom Chukey Basti Bun Main
Ik Aas Ki Phaans Li'ey Mun Main
Koi Sajan Ho, Koi Piyara Ho
Koi Deepak Ho, Koi Taara Ho
Jab Jeevan Raat Andheeri Ho

IK BAAR KAHO TUM MERI HO

Jab Saavan Badal Chha'ey Hoon
Jab Phaagan Phool Khila'ey Hoon
Jab Chanda Roop Lutata Ho
Jab Sooraj Dhoop Nahata Ho
Ya Shaam Nay Basti Ghairi Ho

IK BAAR KAHO TUM MERI HO

Haan Dill Ka Daman Phaila Hay
Kiyon Gori Ka Dill Maila Hay
Hum Kab Tak Peet Kay Dhokey Main
Tum Kab Tak Door Jharokey Main
Kab Deed Sey Dill Ko Sairi Ho

IK BAAR KAHO TUM MERI HO

Kiya Jhagrra Sood Khasarey Ka
Ye Kaaj Nahi Banjaarey Ka
Sab Sona Roopa Lay Jaa'ey
Sab Duniya, Duniya Lay Jaa'ey
Tum Aik Mujhey Bohteri Ho

IK BAAR KAHO TUM MERI HO

Aaj Ki Shab !

Aaj Ki Shub Tu Kisi Taur Guzar Ja'ey Gi
Raat Ghehri Hai,Magar Chaand Chamukta Hai Abhi
Meray Mathay Pay, Tera Pyar Damukta Hai Abhi
Meri Sansoon Mein, Tera Lums Mayhakta Hai Abhi
Meray Seeay Mein , Tera Naam Dharakta Hai Abhi
Zeest Karnay Ko Meray Paas Bohut Kuch Hai Abhi

Teri Aawaz Ka Jadoo Hai, Abhi Meray Li'ey
Teray Malboos Ki Khushboo Hai, Abhi Meray Li'ey
Teri Bahain Tera Pehloo Hai, Abhi Meray Li'ey
Sab Say Barrh Kar Meri Jaan' Tu Hai Abhi Meray Li'ey
Zeest Karnay Ko Meray Paas Bohut Kuch Hai Abhi

Aaj Ki Shab Tu Kisi Taur Guzar Ja'ey Gi
Aaj Kay Baad Magar, Rang-e-Wafa Kya Ho Ga?
Ishq Hairaan Hai Sar-e-Seher-e-Saba Kya Ho Ga
Meray Qaatil Tera Andaz-e-Jafa Kya Ho Ga

Aaj Ki Shub Tu Bohut Kuch Hai Magar, Kal Kay Li'ey
Ik Andesha-e-Be'Naam Hai Aur Kuch Bhi Nahi

Daikhna Ye Hai Kay Kal Tujh Say Mulaqaat Kay Baad
Rang-e-Umeed Khillay Ga, Kay Bikhar Ja'ey Ga
Waqt Parwaaz Karay Ga, Kay Theher Ja'ey Ga
Jeet Ho Ja'ey Gi, Ya Kheil Bigarr Ja'ey Ga
Khawaab Ka Sheher Rahay Ga, Kay Ujarr Jae'y Ga

Parveen Shakir

Saturday, June 18, 2011

Judai mar dalay gi..

Suno....
Hum toot jain gay...
k dori seh na pain gay
JUDAI MAR DALAY GI

Suno....
Ya ankhain bojhal hain
Inhain kis tarha behlain

Suno....
Hum so na pain gay
Kabhi khush ho na pain gay
JUDAI MAR DALAY GI

Suno....
Ya DIL tumhara hay
Na tum bin ab guzara hay

Suno....
Kuch wakt do hum ko
Bana lain dost is gham ko
Hamain maloom hay akhir
JUDAI MAR DALAY GI

Suntay ho na?
Samujhtay ho na?
JUDAI MAR DALAY GI

Passionate...


Ma jo din ko bhi kahooN raat, wo iqraar kare
Mujh ko hasrat hai koi yuuN bhi mujhe pyaar kare
Meri khaatir wo sahe dunya ke ta'ane dhakke
Nange paaoN se wo sehraaoN ke kaaNte chakkhe
Mujh ko paane ke liye June ke roze rakhe
Ma hooN deewana, wo deewanoN sa izhaar kare
Ma jo din ko bhi kahooN raat, wo iqraar kare
Mujh ko hasrat hai koi yuuN bhi mujhe pyaar kare

Wasi shah

AKhri Shaam

Wo AKhri Shaam
Yaad raKhna
Teri Nighaon Se
Jab Main Apni Nigah
Churha Ke PaLat raha Tha
Tu Tum Ne Kuch Bhi
Nahi Kaha Tha
Magar Hawa Main
Nami AchanaK He
Burh Gaye Thi

Wednesday, June 15, 2011

Ay Kaash Wo Wapis Aa Jaye

Kuch Raat Ki Aankhain Bheegi Thi
Or Chaand Bhi Rootha Rootha Tha
Kuch Yaadain Us Ki Baki Thi
Or DIL Bhi Toota Toota Tha
Kis Morr Pay Bichray Yaad Nahi
Honton Pay Koii Faryaad Nahi
Us Waaday Ki Bhi Khabar Nahi
Wo Sacha Tha Ya Jhoota Tha
Har Lamha Aahain Bhartay Hain
Or Ak Hi Dua Hum Kartay Hain
Ay Kaash Wo Wapis Aa Jaye
Ay Kaash Wo Wapis Aa Jaye

Meri Udasi

Ek din ek udas lamhey ne
muskurate huye jo dekh liya
jaane kya dil main soch liya
raasta mera hans ke rook liya
aur seeney se lag gaya aisey
jaisey bichra hua koi apna
ek muddat ke baad milta hai
tab se woh mere paas rehta hai
isliye dil udaas rehta hai.

Aaj Ki Shaam

Aaj Ki Shaam
Gehray Saaye Kay Saath
Phir Teri Yaadon Ka Basera Kiye Howay Hay
Zindagi Aisay Lagnay Lagi Hay Mujhay
Sokhay Darkhat Zakhmon Main
Apni Bahaar Kho Detay Hain
Koii Geet Jesay
Bagair Sur Kay Ho
Ya Shayed Koii Aisi Tasveer
Jis Kay Rang Maand Par Gaye Ho
Main Ghar Kay Aangan Main Dhoondta Hoon
Apnay Betay Ka Khailna, Rona, Hansna Or Roothna
Phir Ye Waqt Intazar Main Gum Hay
Har Shaam Teri Yaad Main Gum Hay
Ye Raat Bhi Teray Khayal Main Gum Hay

Kuch Aisay Ghao Bhi Hotay Hain

Kuch Aisay Ghao Bhi Hotay Hain
Jinhain Zakham Aap Nahi Kehtay
Bin Roye Howay Aanso'on Ki Tarah
Seenay Main Chupa Kay Rakhtay Hain
Or Sari Umar Nahi Rotay
Neendain Bhi Mohaiyan Hoti Hain
Sapnay Bhi Dorr Nahi Hotay
Kyun Phir Bhi Jagtay Rehtay Hain
Kyun Sari Raat Nahi Sotay
Ab Kis Say Kahay Ay Jan -e- Wafa
Ye Ahal -e- Wafa Kis Aag Main Jaltay Rehtay Hain
Kyun Bujh Kay Raakh Nahi Hotay

Meri zindagi ek katray ki manind hai

Meri zindagi ek katray ki manind hai
Key jiski keemat janta hai sehra ,, or koi nahi
Tujh Say Judai Key Ek Faislay Key Bad
Mai Khud Bhi Apnay Sath Kabhi Phir Raha Nahi
Aaj Tuk Rooh Mai Kanta Sa Chubhta Hai
Itna Kuch Keh Ker Bhi Kehney Ki Tamana Hi Rahi
Hayee!! woh Zakham Jo Lafzon Mai Paraoye Na Gaye
Ufffff!!! Woh Aansoo Jinhay Behney Ki Tamanna hi Rahi
Ker Gaye Daman Ko Taar, Phir Aaj Ashq
Mainay Behney Say Inhay Roka Bohat...
Mill Na Paya Apna Koi Bhi Nishaa'n
Khud Ko Apni Zaat Mai Dhonda Buhat...
Azmaon Main Bhi Ab Tujh Ko Zara
Zindagi Tu Nay Mujhay Jancha Bohat...

HUm dasht-e-junoon k sodaai ...... !!

Hum Dasht-e-junoon k sodaai
hum Gard-e-safar hum Naqash-e-qadam

Hum soz-e-Talab hum Taraz-e-Fughan
hum Ranj-e-chaman hum Fasal-e-Khizaa'n

Hum Heyrat-o-hasrat hum Yas-o-Alam
Hum dasht-e-junoon k sodaai

yeh dasht-e-junoon yeh pagal pan
yeh peecha karti ruswaai

yeh Ranj-o-Alam yeh Hunz-0-malal
yeh naala-e-shab yeh souz-e-kamal

Dil main kahein beynaam chuban
or Had-e-nazar tak Tanhai

Hum Dasht-e-junoon k sodaai

yeh Rooh-0-badan ka rishta tha
kai saal huey woh toot giya

Ab dil ki Dharkan Ruk jaye
Ab saaans ki dori Totey bhi

HUm dasht-e-junoon k sodaai ...... !!

Kami Mehsoos Hoti Hay ...

Keh Jab Naraz Hoti Ho
Meri Jaan Tum Kabhi Mujh Say

Main Hansna Bhool Jata Hoon
Mujhay Aansoo Nahi Aatay

Mager !!!

Aankhon Kay Gooshon Main
Nami Mehsoos Hoti Hay ,

Mujhay Har Cheez Main Jana
Kami Mehsoos Hoti Hay !!!

Ajab Pagal See Larki Hay

Ajab Pagal See Larki Hay
Mujhay Har Khat Main Likhti Hay
Mujhay Tum Yaad Kartay Ho
Tumhay Main Yaad Karti Hoon
Meri Baatain Satati Hain
Meri Neendain Jagati Hain
Meri Aankhain Rulati Hain
December Ki Sunairi Dhoop Main
Ab Bhi Tehalti Ho?
Kese Khamosh Rastay Say
Koii Aawaz Aati Hay
Thatharti Sard Raaton Main
Tum Ab Bhi Chat Pay Jatay Ho
Falak Kay Sab Sitaron Ko
Meray Qissay Sunatay Ho
Kitabon Say Tumharay Ishq Main Koii Kami Aayi?
Ya Meri Yaad Ki Shiddat Say
Aankhon Main Nami Aayi?
Ajab Pagal See Larki Hay
Mujhay Har Khat Main Likhti Hay
Jawab Us Ka Likhta Hoon
Meri Masrofiyat Dekho
Subah Say Shaam Office Main
Chirag -e- Umar Jalta Hay
Phir Us Kay Baad Dunya Ki Kaii Majboriyaan
Paon Main Beri Daal Rakhti Hain
Mujhay Be Fikar Chahat Say
Bharay Sapnay Nahi Dikhtay
Tehalnay, Jaagnay, Ronay Ki
Mohlat Hi Nahi Milti
Sitaron Say Milay Arsa Howa
Naraz Ho Shayed,
Kitabon Say Shagaf Mera
Abhi Wesa Hi Baki Hay
Faraq Itna Para Hay Ab
Unhain Arsay Main Parhta Hoon
Tumhay Kis Nay Kaha Pagli
Tumhay Main Yaad Karta Hoon
Keh Main Khud Ko Bhulanay Ki
Musalsal Justaju Main Hoon
Tumhay Na Yaad Aanay Ki
Musalsal Justaju Main Hoon
Mager Ye Justaju Meri
Bohat Nakaam Rehti Hay
Meray Din Raat Main Ab Bhi
Tumhari Shaam Rehti Hay
Meray Lafzon Ki Har Maala
Tumharay Naam Rehti Hay
Tumhay Kis Nay Kaha Pagli
Tumhay Main Yaad Karta Hoon
Purani Baat Hay Jo Log
Aksar Gungonatay Hain
Unhain Ham Yaad Kartay Hain
Jinhain Ham Bhool Jatya Hain
Ajab Pagal See Larki Ho
Meri Masrofiyat Dekho
Tumhay Dil Say Bhula'on Tu
Tumhari Yaad Aaye Na
Tumhay DIL Say Bhulanay Ki
Mujhay Fursat Nahi Milti
Or Is Masroof Jeewan Main
Tumharay Khat Ka Ak Jumla
" Tumhay Main YAAD Aati Hon?"
Meri Chahat Ki Shiddat Main
Kami Honay Nahi Deti
Kaii Raatain Jagati Hain
Mujhay Sonay Nahi Deti
So Agli Baar Apnay Khat Main
Ye Jumla Nahi Likhna
Ajab Pagal See Larki Hay
Mujhay Phir Bhi Ye Likhti Hay

" Mujhay Tum Yaad Kartay Ho?"
Tumhay Main Yaad Aati Hon?