Monday, June 6, 2011

Muhabbat ki tabyat me...

Muhabbat ki tabyat me...
yeh kesa bachpan qudrat ne rakha he
k jitni purani jitni b mazbut ho jae...
ise taleeed-e-taza ki zarurat phir b rehty he
yaqeen ki akhri had tak diloon me lehrati he.
nigahoon se tapakty ho, lahoo me jagmagaty ho,
hazaroon tarhan se dilkash, hasin haal banaty ho.
use izhar-e-buhabbat k lafzoon ki hajat phir b rehty he.
muhabbat mangty he u guhai apne hone ki...
jese tafl-e-sada sham ko ik beej boe.
aur shab me boraa uthe.
zamin ko khod k dekhe...
k poda ab kahan tak he?
muhabbat ki tabyat me ik ajab taqrar ki khoj he...
k yeh iqrar k lafzoon ko sunane se nahi thakty,
bicharne ki ghari ho ya koi milne ki saaadat...
ise bas aik hi dhun he,... kahoo mujh se muhabbat he.
kuch aisi be sakuni he wafaon ki sar zaminoon men.
k jo hale muhabbat ko sada becheen rakhty he...
kjese phool me khushboo, jese hath me tara.
muhabbat karne waloon ki sehar ratoon me rehty he.
guma'n k shakoon men, aasha'n banta he ulfat ka.
yeh in wasal me bhi hijjar k khadshoon me rehty he,
muhabbat k musafir zindagi jab kaat chukty hen...
thakan ki kirchian chunne, wafaon ki aajrakeen pehne...
waqt ki taweel rah guzar ki akhri sarhad per rukte hen,
to khuli, dabti sansoon ki dori tham kar...
dhire se phir yeh kehty he, k yeh sach hena k...
hamari zindagi aik dusre k naam likhi thi.
dhundla pan jo aankhoon k qareeb-o-door phela he...
isi ka naam buhhabat he, isi ka naam chahat he...
tumhe ham se buhabbat thi, hameen tum se muhabbat thi,
tumhe ham se muhabbat he, hamen tum se muhabbat he.
phir b akhri daam tak yeh hi pukarty he, yeh hi kehty he...
k uski tabyat me qudrat ne,
yeh kesa bachpana rakha he,
k buhabbat ki tabyat me...
yeh kesa bachpana rakha he