Wednesday, June 22, 2011

CHALO CHORO

CHALO CHORO

Muhabbat jhoot haiEhd-e-wafa
ik shughl hai baikaar logon ka
“Talab” sookay huway patton ka
baironuq jazeera hai
“Khulish” deemuk-zuda awraaq pur
boseeda sutron ka zakheera hai
“Khumaar-e-wusl” tuptee dhoop ke seenay pe
Urrtay baadlon ki raaigan bukhshish
“Ghubar-e-Hijr” sehra main
sarabon say atey mosum ka khamyaza
..
CHALO CHORO
Ke ab tuk main andhairon ki
dhumuk main saans ki zarbon pe
Chahut ki bina ruk kar safar karta raha tha
Mujay ihsas hi kub tha
Ke tum bhee mosumon ke saat
apnay peruhun kay rung badlogi

CHALO CHORO
Wo saray khwab kuchee bhurbhuree muttee ky
baiqeemut gharonday they
Wo saray zaaiqey mairee zuban pur zukhm bun kar
jum gaye hongay
Tumharee unglion ki nurm porain
puthuron pe naam liktee thee mera laikin
Thumharee unglian tho aadtun
ye jurm karthee thee

CHALO CHORO
Safar main ajnubee logon say aisay haadsay
surzud huwa karthay hai
Sadion say

CHALO CHORO
Mera hona nu hona ik barabar hai
Tum apnay khaal-o-khud ko
aayeenay main phir nikurnay do
Tum apnee aank ki bustee main
phir say ik naya mosum uturney do
“meray khwabon ko murnay do”
nuyee tasweer daikophir naya maktoob liko
phir nuye mosum nuye lafzon say
apna silsila jorho
meray maazee ki chaahut raayegaan sumjo
meree yaadon say kuchey raabitay torho

CHALO CHORO
muhabbat jhoot haiEhd-e-wafa
ik shughl hai baikar logon ka