Gum sum chop chop rahne wali
Tanha tanha si bathi ek larki se
Main ne ek din yeh kaha tha
kyun na ek achi se nazm
Main tumarey naam kar doon
Tumari kisi masoom ada ko
Lafzoon k jado main samo kar
Andekhey lamhoon k liye
Ek haseen si yaad bana doon
Woh lamhey jab sab kuch hotey huwe bhi
Koi bhi paas naheen hota
Koi dhirey dhirey bahanoon se
Do bateen kar jane wala
Na koi nazm kahne wala
Na koi nazm sunaney wala
Lekin is lamhey
Dayroon main apni soch k semti
Andekhi ahat se chop kar
Janey kis bandhan se dar kar
Inkar karti hui woh
Masoom si larki muj ko
Kuch aur bhi masoom lagi
K woh kaise jaan sakti thi
Us k takhkha tab ki sherni
Sada si us ki be antanai
Ek aur nazm ka unwan ban chuki thi