Monday, June 6, 2011

yeh Ju Benishaan Se Hain Raaste..Mere Waste yeh Azab Hain

ye mussafateiN , raah-e-ishq meiN
kon shahr-e-jaaN ki nazar karey
kissey shouq tanhaa safar karey
karey shahr-e-furqat ki arzoo
kon dasht-e-hijraaN ko ghar karey

in raastoN par chalaa kabhii
merey saath ban ke wuh hum-safar
jissey samjhaa shareek-e-reh-guzar
sar-e-raah wuh kisi moR par
badley gaa manzil , thii kyaa khabar

mujhey faasiloN ki fikr nahi
merey ru-ba-ru merey khaab heiN
wuh jo manzileiN heiN dhuwaaN dhuwaaN
ye jo be-nishaaN se heiN raastey
merey waastey ye azaab heiN

ab uss ke aur merey darmiyaaN
haail anaa ke mizaaj heiN

ussey phir se milney ki chaah meiN
ab aur chalna muhaal hai
kisey tera itnaa khayaal hai?
kahaaN kon tera hai muntizar?
merey dil ka mujhsey sawaal hai?…

meri chaahtoN ka ye haal hai
jo merey junooN ka arooj thaa
wuhi hosloN ka zawaal hai
jo merey liye tha khushi kabhii
wuh ab.. baais-e-malaal hai

meri be-bassi bhi kamaal hai
nahi uss se milney ki justujoo
na hi waapsii ka khayaal hai…!