Friday, June 3, 2011

Suno aay chand c larki

Suno aay chand c larki
Abhi tum titliyaan pakro
Ya phir Guriyon sy khelo tum
Ya phr masoom c Aankhon sy
dheron khwab daikho tum
Faraz-o-Faiz-o-Mohsin,
ki kitaben mat abhi prhna
Ye sb lafzon k sahir hein
Tumhein uljha k rakh dein gy
Tumhein Maloom he kab hai
Mohabat k libady mein
Hawas aur Hirs hoti hai
Ye insanon ki dunya hai
Magr in sy kaheen barh kr
yahan wehshi drinday hein
Wo wehshi jin ki Aankhon me
Machalty piyar k peechy
Hawas aur Hirs hoti hai
Abhi kachi kalii ho tum
Abhi kaanton sy mat khelo
Abhi apni Hatheli par
Kisi ka Naam mat likho
Abhi apni kitabon mein
gulaabi phool mat rako
Abhi Sheron Main Mat Oljho
Abhi to Omr Baki Hay
Abhi Khud Ko Smbhalo tum
Abhi mat Gungunao Tum
Abi Sy Ishq Mat Socho
Abi Sub Bhool jao tum
Suno A Chaand Si larki