Thursday, June 23, 2011

Muhabbat rooth jaaye tau

Wafa jab maslehat ki shaal ourhay
Sard rutt ka roop dhaaray
Dil ke aangan mein utarti hai
Tu palkoon per sitaaroon ki
dhanak muskaane lagti hai
Kabhi khwaaboon ke
an-chouwon heyoloon se bhi
Un-dekhi si, anjaani si
khushboo aane lagti hai
Kisi ke sang beetay,
un-ginat lamhoon ki zanjeerain
Achaanak zehan mein
jab gun'gunaati hain
Nafs ke taar mein san'naatta
yak-dam cheekh uth'ta hai
Tu yun mehsoos hota hai
Hawaayain aa ke sargooshi si karti hain
Muhabbat ka tumhein
idraak ab tu hogaya hoga
Yeh jo bhi zakhm deti hai
kabhi seenay nahee deti
Muhabbat rooth jaaye tau
kabhi jeenay nahee deti...