Tum ne kabhi yeh goor kiya k
Chand k gird jo halah hay
Yeh khushi k aansou hain ya
Chand ka gham bhi nirala hay
Tum ne kabhi yeh goor kiya k
Badal jab barasta hay
Yeh hansi k chintey hain ya
Koi ghao rasta hay
Tum ne kabhi yeh goor kiya k
Suraj jo yeh chamakta hay
Wasl ki dhuop parti hay
Ya hijr alao dhkta hay
Tum ne kabhi yeh goor kiya k
Hawa ki citi kasi hay
Milan ki reel aa pounchi ya
Jati koyel jasi hay
Tum ne kabhi goor kiya k
Pani ka jharna kahta hay
Khushi ki chinkh hoti hay
Gham ander ander bahta hay
Tum ne kabhi yeh goor kiya k
Parbat bhi kuch kahta hay
Farsh se kitna uncha lekin
Arsh ki douri sahta hay
Tum ne kabhi yeh goor kiya k
Bashr ne kiya kuch jhela hay
Itni bheer main rah kar bhi
Khud ander se kitna akela hay