Tuesday, February 28, 2012

Mausamon ki adat hai !!

Barishon k mausam main...
Waqt kay andheron main...
Main ne us se pucha tha...
CHOR TO NA JAO Gy...?
...
Hath tham kr usne...
Kaan main ye bola tha...
Kese chor sakta hoon...
...
TUM TO JAAN HO MERI...!!
...
...
Aur aaj aisa hai...
...
Waqt ki tamazat main...
Wehshaton k mousam mein...
...
Main ne us se pucha hai...
...
CHOR KAR HI JANA THA...?
Tou...
...
...
Aas kyun dilai thi...?
Pyaas kyun jagai thi...?
...
Mere in sawalon per...
Chalte chalte wo bola...
Mousamon ki aadat hai...
...
...
WAQT PER BADAL JANA....!!

Kon hain hum....

Log poochtay kon hain hum.??
Hum woh log hain jo,,
Naa kisi k dast e shumaar main hain,,
Na kisi ki nigaah kay hisaar main hain...
Youn jesay koi sadiyon kaa bay ant safar,,
Sehraa sehra phirtaa koi khaak basar.....
Kya poochtay ho k...!!!
Kon hain hum.???
Hum to jugnu bhi nahin hain,,
k kisi k aankh main chamktay...
Kisi ko sanwaartay........
Hum to ansu ki tarah hain,,
Aankh se tapkay aur doob gaye..

Mohabbat ki aass main,,
Gar say niklay aur bay simt musaaft main,,
Darbadar phirte hoye,,
Kisi bay nam shaam ki nazar hoye.......!!!!

Zindegi ...Taiz Bohat Taiz Hawa Ka Jhonka

Zindegi ...Taiz Bohat Taiz Hawa Ka Jhonka
Jalti Bhujti Hoi Shamai'n Mai Mah-o-Saal Meray
Dhalta Soraj Meray Mazi Ki Lehad Ka Katba
Rag-e-Sehra Ki Lakeerain Hain Khod-o-Khaal Meray

Chaand Meray Tan-e-Majrooh Pay Sang-e-Aizaz
Dhoop Chaoo'n Meray Sad-e-Chaak Libadahy Ka Kihraj
SUb Sitaray Meri Pooshaak Kay Paiwand-e-Naheef
Meray Ansoo'n Mera Virsa Meri Ankhoo'n Ka Mizaaj

Mera Cherah Meray Maqtool Huner Ki Tarigh
Meri Ankhai'n Meri Dukhti Hoi Ankhoo'n Kay Chiraagh
Meray Hontoo'n Pay Meri Piyaas Kay Nohoo'n Ka Hajoom
Meray Seenay Pay Darakhshan Meri Toheen Kay Dagh

Ajj Ki Sham Kay, Kay Her Saal Isi Shaam Kay Sath
Meri Ukhri Hoi Sansoo'n Mai Grirah Lagti Hai
Aasmaa'n Waqat Kay Anchal Ki Dhanak Bunta Hai
Sari Dharti Tan-e-Uryaa'n Ki Zirra Lagti Hai

Ajj Ki Shaam Kay Her Saal Meray Gham Nawaz
Muskuraatay Howay Kuch Phool Atta Kartay Hain
Kuch Maseeha Meri Khatir Mera Dil Rakhnay Ko
Khat Mai Jeenay Ki Duaa Behj Dia kartay Hain

Saal-ha-Saal Guzernay Pay Bhi Aai Dil-e-Zidgaa'n
Ajj Ki Shaam Manatay Howay Dar Lagta Hai
Muskuraatay Howay Chehroon Kay Bhanwar Hain Lakin
Akhri Shamma Jalatay Howay Dar Lagta Hai

Dil Dharakta Hai Kay Jalti Hoi Shammo'n Ka Dhowaa'n
Shula-e-Karab Mai Tehleel Na Ho Jai Kaheen
Ji Larrazta Hau Manzer Kay Adhiray Pan Ki
Ajj Ki Shaam Takmeel Na Ho Jai Kaheen...!!!

Aao Kuch Dair Ko Hum Zakhum Shumari Kar Lain
Orr Kuch Dair Mai Her Shamma Pighal Jai Gi
Ajj Ki Bazam Mai Kho Jain, Kaheen So Jain
Ajj Ki Shaam Bhi Kuch Dair Mai Dhal Jai Gi
Jalti Bhujti Shamoo'n Ka Bharosa Kaisa?
Zindegi Taiz Bohat Taiz Hawa Ka Jhonka....!!!

Qaidee....

Wafa ki jel say bhaga hoa majboor Qaidee hon
Agar dil ki adalat main, tumhen mera khayal aye
To, yad k dhundlay katahray main talab karna
Mere lafzon meri baton ko Dli hi Dil mian duhrana
Kay shayad tumhen koi purana naqsh mil jaye
Jo meri begunahi ki adalat main gawahi de
Tum mere deriina sathi ho tumhen to ye khabar hogi
Kay main apni safai main kabhi bhi kuch nahi kehta
Agar phir bhi main kisi pehlo say, Mujrim nazar aon
To, wafa ki raah main Nadan samajh kar darguzar karna

Ikhte-tam e safer ye raha.....

Kuch kehna tha, usy bhi aur mujhe bhi
Us ne ye chaha mien kuch kahon,
meri yeh zid ke baat wo kare.
Yehi sochty sochty zamane beet gaye,
Na us ki ana tooti, Aur na meri zid
Us ki ana faseel thi, toh meri bhi chattan,
Ana aur zid ke issi tazad mein,
Safer-E-Zindgi youn hi rawa raha.
Waqt kat-ta raha, dard barhta raha,
Aur safer ikhte-tam ko ponhcha
Ikhte-tam e safer ye raha.
“Meri ankhon mein halki si nami ,
Aur shayed us ki zindgi mein thori si kami.
Us ki ana shikast khurda,
Aur meri zid reza reza....!!!!

Main aisi mohabbat karti hon !!

tum jab bhi ghar par aatay ho...
aur sab say batain kartay ho...
main aut say parday ki janan...
bus tum ko dekhti rehti hoon...
ik tum ko dekhnay ki khatir...
main kitni pagal hoti hoon...
...
main aisi mohabat karti hoon...
tum kaisi mohabbat kartay ho...
...
Jab darwazay par dastak ho...
ya ghanti phone ki bajti ho...
main chor k sab kuch bhagti hoon...
aur tum ko jo na paoon tou...
ji bhar k ronay lagti hoon...
...
main aisi mohabbat karti hoon...
tum kaisi mohabbat kartay ho...
...
mehfil main kaheen bhi jana ho...
kapron ka selection karna ho...
rang bahut say samnay bikhray hoon...
us rang pe dil aa jata hai...
jo rang k tum ko bhata hai...
...
main aisi mohabbat karti hoon...
tum kaisi mohabbat kartay ho...
...
rozana apnay college main...
kisi aur ka lecture suntay hoay...
ya break k khali ghantay main...
sakhyoon say batain kartay hoay...
meray dhiyan main tum aa jatay ho...
main, main nahin rehti phir...
janan main tum main gum ho jati hoon...
bus khuwabon main kho jati hoon...
un aankhon main kho jati hoon...
...
main aisi mohabbat karti hoon...
tum kaisi mohabbat kartay ho...
...
jis chehray par bhi nigha paray...
her chehra tum sa lagta hai...
wo sham ho ya ke dhop samay...
sab kitna bhala sa lagta hai...
janay ye kaisa nasha hai...
garmi ka tapta mosam bhi...
Jaray ka maheena lagta hai...
...
main aisi mohabbat karti hoon...
tum kaisi mohabbat kartay ho...
...
tum jab bhi samnay aatay ho...
main tum say sunn na chahti hoon...
kash kabhi tum ye keh do...
tum mujh say mohabbat kartay ho...
lekin janay tum kyun chup ho...
yeh soch k dil ghabrata hai...
aisa to nahin hai na jana...
sirf meri nazar ka dhoka ho...
tum nay mujh ko chaha hi na ho...
koi aur hi dil main rehta ho...
main tum say poochna chahti hoon...
main tum say kehna chahti hoon...
lekin kuch pooch nahin sakti...
mana ke mohabbat hai phir bhi...
lab apnay khol nahin sakti...
main larki hoon kaisay keh doon...
...
...
main kaisi mohabat karti hoon...
main tum say ye kaisay pochoon...
...
tum kaisi mohabbat kartay ho...??
chup chap see main...ho jati hoon
phir dil main apnay kehti hoon
main aisi mohabbat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho

Raaston ki marzi hai !!

Bay qaraar logon ko...
Bay qaraar aankhon ko...
Badnaseeb qadmon ko...
Jis taraf bhi lay jain...
RAASTON KI MERZI HAI...
...
Bay nishan jazeeron par... bad gumaan shehron main...
Jis taraf bhi bhatka dain...
RAASTON KI MERZI HAI...
...
Ajnabi koi laa ker...
hamsafer bana dalen...
sath chalnay walon ki... Raakh bhi ura dalen...
Ya musafaten sari...
khaak main mila dalen...
RAASTON KI ERZI HAI...
...
Rauk lain ya berhnay den...
thaam len ya girnay den... wisal ki lakeeron ko...
Taur dain ya milnay den...
...
RAASTON KI MERZI HAI…!!

Mohabbat hamsafar meri !!

Kathan hay zindagi kitni...
Safar dushwaar kitna hay...
Kabhi paaoo’n naheen chaltay...
Kabhi rasta naheen milta...
Hamaara saath day paaye
Koi aisa naheen milta... Ager main yon guzaaron tou...
Yeh shab-o-roz naheen kat’tay...
Mager aye mairay maalik...
...
Mujhay shikwah naheen tujh say...
...
Main jaan pay khail sakta hoon...
...
Main har dukh jhail sakta hon...
Ager...
...
Tu aaj hi ker day...
...
...
Mohabbat hum safar mairi...!!

Kabhi rootha nahi kartay !!

Main sun k uski sub batain...
Faqat itna hi kehta tha...
Khafa hona mana laina...
Yeh sadiyon say riwayat hay...
Gilay shikway karo mujh say...
Tumhain janan ijazat hay...
Magar ik baat meri bhi...
Tum yaad rakh laina...
...
Kabhi aisa bhi hota hay...
Hawa’ain rukh badalti hain...
Khata’ain ho hi jati hain...
Khafa hona bhi mumkin hay...
Khata hona bhi mumkin hay...
Hamaisha yaad rakhna tum...
...
Ta’aluq toot janay say...
...
Kabhi toota nahin kertay…!!

Mohabbat kam nahi hogi !!

Tumhari Talkhiyon Se...
Aur...
Tumhare Na-Tarashida Rawayyon Se...
Tumhari Choti Choti Ranjishon Se...
Aur...
Bari Narazgi Se Bhi...
Mohabbat Kam Nahi Hogi...
...
Tumhare Shehr Bhar Se Dil Laga Lene Ki Aadat Se...
Tumhari Be-Wafai Se...
Tumhari Be-Hisi Se Bhi...
Mohabbat Kam Nahi Hogi...
...
Anaa Ka Darmiyan Aa Kar...
Kai Be-Saakhta Jazbey...
Achanak Maar Jane Se...
Dilon Ko Zaat Par Se Waar Jane Se...
Kisi Basti Mai Jaa Basne...
Kisi Sehra Mai Rasta Bhool Jane...
Ya...
Samandar Paar Jane Se...
Mohabbat Kam Nahi Hogi...
...
Kisi Ke Jeet Jane Se...
Kisi Ke Haar Jane Se...
...
...
Mohabbat Kam Nahi Hogi...!!
(Farhat Abbas Shah)

Mujhay aawaz day lena !!

Mujhe aawaz de lena...
...
Kabhi jab ankh chalkay tou...
Kabhi jab dil na sambhlay to...
Mujhe aawaz de lena...
...
Kabhi jab door ho koi...
Bahut majboor ho koi...
Koi aawaz na de to...
Mujhe aawaz de lena...
...
Koi ansoo na ponchay tou...
Koi hansnay se rokay tou...
Koi tum ko sataye tou...
Mujhe aawaz de lena...
...
Kabhi jab din na guzray tou...
Kabhi jab raat tarpaye tou...
Kabhi din main andhera ho...
Mujhe aawaz de lena...
...
Main tere pass hota hoon...
Main tere sath rehta hoon...
Magar phir bhi guzarish hai...
...
...
Mujhe aawaz de lena...!!

Wa'ada !!

Mera wa'ada hai yeh tum se...
...
Tumhein main itna chahun ga...
Kay...
...
duniya mein kaheen par bhi...
Muhabbat k hawaly se...
Kabhi jo baat nikly gi...
...
...
Hamara naam aye ga..!!!
(Atif Saeed)

Muhabbat jhoot lagti hay mujhay....

Muhabbat jhoot lagti hay mujhay
ik khookhla jazba
jisay izhar ki her waqt khuwahish hoo
kahay janay ki
sunanay ki
jisay her pal zaroorat hoo
"mujhay tum say muhabbat hay"
na janay rooz kitnay loog
is jumlay ko sunnnay k liyay baidar hotay hain
ye aisa jhoot hay jis ka sehr
sadioo’n say tari hay
magar janaa’n
muhabbat jab kabhi izhaar ko tersay
koi tum say ager kahday
"mujhay tum say muhabbat hay"
to us ki baat mat sunnana
muhabbat rooh say phootay
muhabbat aks ban jaye
to phir tum ko yaqee’n aye
k main nay sach kaha tum say
muhabbat rooh ban jaye
to phir us ka yaqee’n kerna
werna aik jumla koi kitni baar duhraaye
kahay jayee
NAHIN SUN'NA
muhabbat jhoot hay janaa’n
ager izhaar ki is ko zaroorat hoo…. !!

Kabhi yaad nahi aya ??

Kitaab Uthatay Hoye,
Geet Koyi Gaatay Hoye
Ittar Lagatay Hoye
Choorian Pehentay Hoye
Sanwar K Der Talak Aa’eenay Ko
Taktay Hoye To Kiya Tumhain Main Kabi Yaad Hi
Nahi Aaya..? Subha Ko Uthtay Hoye
shaam Ko Teheltay Hoye
Neend Aaa Aaye Agar Karwatain
Badaltay Hoye
Kabi Yoon’hi Kisi Makhsoos Dhun Ko
Suntay Hoye Faarigh Oqaat Main
koyi Kitaab Parhtay Hoye To Kiya Tumhain Main Kabi Yaad Hi
Nahi Aaya….? Barastay Abr Men
Chat Par Kabi Kharay Ho Kar
Kisi K Rooth K Jaanay Pay
Chir’chiray Ho kar Kisi Saheli Say
Bus Yoon’hi Baat Kartay Hoye
Kisi Khayal Main Bethay Se
Uth K Chaltay Hoye
Kisi B Raat Ko Uth Kar
Yoon’hi Tehltay Hoye To Kiya Tumhain Main Kabi Yaad Hi
Nahi Aaya…? Akelay Yoon’hi Kabi
Apni Dhun Main Chlatay Hoye
Kisi Ki Saalgira Par Yoon’hi
Beheltay Hoye
Kisi Oonchayi Pe Tanha Sambhal K
Chartay Hoye Utartay Chaand ki Mojon Main
Aks Partay Hoye To Kiya Tumhain Main Kabi Yaad Hi
Nahi Aaya…? Kisi Gulaab Ko Tehni Se
Torr Kar Bhi Nahi
Kisi Darakht K Saaye Main
Beth Kar B Nahi Apnay Darwazay Pe Dastak Koyi
Sunkar B Nahi
Kisi Dareecha’e’Makaan Se Jhaank
Kar B Nahi
Apni Kitab Main Koi Naam Dekh Kar B
Nahi Yaad’e’Maazi Main Kaheen Door Doob
Kar B Nahi
Kisi B Shakhs Ko
Khamosh Dekh Kar B Nahi
Kisi B Aankh Ko
Num Dekh Kar B Nahi Kahin Lafzon Main Koi A Dekh Kar B
Nahi
Azaan Hotay Hi Aanchal Se Sar Ko
Dhaktay Hoye B Nahi To Kiya Tumhain Main Kabi Yaad Hi
Nahi Aaya…..??

Meri tehreer kay ansu !!

Suna hoga bohat tum ne….
kaheen aankhon ki rim jhim ka...
kahin palkon ki shabnam ka…
Parha hoga bahut tumne ….
kahen lehjay ki barish ka...
kaheen sagar ke aansu ka…
magar...
Tum ne kabhi humdam…
kaheen daikhay...? kaheen parkhay...?
kisi tehreer ke aansoo…!!
Mujhe teri judaai ne…
yehi mairaaj bakhshi hai…
Ke main jo lafz likhta hoon…
woh saray lafz rotay hain...
ke main jo harf bunta hon…
woh saray bain kartay hain...
mere sang is judaai main…
mere alfaz martay hain...
sabhi tareef kartay hain…
meri tehreer ki lekin...
abhi koi nahin sunta…
mere alfaz ki siski…
Falak bhi jo hila daalay...
mere lafzon main hain shamil…
usi taseer ke aansu...
kabhi daikho mere humdam…
meri tehreer ke aansoo..!!

''terii yaad mei sabb guzar gaye. . . .. . shab-0-roz kaya, maah-o-saal kaya''...

tujhe naaz haii k main husn hoon
mere gulistaaN ko zawaal kaya
mujhe fakhR haii k mae ishQ hoon
j0 jala na dun tu kamaal kaya

mje zindagii kii dua na de
mujhe zindagii kii talab nhe
merii maut ko jo taal de
is zindagii kii majaal kaya

hamien manziloN kii khabR nhe
hamien rah-guzR kii talaash hei
us rah-guzr pe nikal parrayy
tu urooj kaya, zawaal kaya

tere pyaaR mei shikweyy, gileyy
terii in adaa0N pe marr chalayy
jo hayaaT thii tujhe waaR dii
tu jawab kaya, aur sawal kaya

thii jo ik ada-e-dil-barii
saarii umeR ussii pe waar dii

~terii yaad mei sabb guzar gaye
 shab-0-roz kaya, maah-o-saal kaya~

''Ab to aa ja K tery hijr k Qaidi ko yahan''...

Har gharri dard ki shiddat se sisakti ankhain
Aur oopar se tery wasl ke khawabon ke azaab
Roz aangan mein kharray pairr sy girty patty
Aur sar-e-shaam parindon pe guzrti aafat
Nabz aur dil ki bghawat se
tarapti hay hayat
Is bharay shehr mein brrhta hua logon ka Qehat
Roz hoti hay merey sath deewaron ki jharrap
Roz ik sans ko phaansi ki saza milti hy
Ab to aa ja meri jan ke pyary dushman
Ab to aa ja K tery hijr k Qaidi ko yahan
Roz is shehr mein marnay ki dua milti hy

Hum aur nagar k baasi hain humain dil k pass na rakahin aap...

hum aur nagar k baasi hain humain dil k pass na rakahin aap
jo aap ko toot k chha kery,koi sathi aisa daikhain aap
hum kahan hain chhat k laiq humain pyar k khat mat likha karain
yadoon k sulagtay sehra main berbad na khud ko kia kerain
jab visal ka kuch imkaan nhin phir hijjar main toun na jala karain
... hum jo kuch aap say kehty hain issay thunday dilsay sochain aap
hum aur nagar k baasi hain humain dil k pass na rakahin aap
quraban na kerain yeh jan hum per uamain apna bakht nhin janain
iss ishq k rog ko mat palain her baatnhin dilki manain
hum kuch bhi nhin hum kuch bhi nhin humain apni rooh per mat tanain
hum aap ko milnai walai nhin youn ishoqon main mat bheegain aap
hum aur nagar k baasi hain humain dil k pass na rakahin aap
iss chah main aahain mat bherye mushkil na bnayee jeevan ko
her waqt terapna theek nhin her aiksay hass ker bolain aap
youn ukhrey ukhrey mat rahye her aik say adaawat theek nhin
hum aur nagar k baasi hain humain dil k pass na rakahin aap
jo aap ko toot k chha kery,koi sathi aisa daikhain aap
ab apni raah alag ker lain yeh gehri nisbat theek nhin
sach janian khudara bach jayen iss aag say youn mat khailain aap
humain toot ker pyar nhin kee jiye aur hum say bachayee jeevan ko
youn chup chup rehna theek nhin her aik say hass ker bolain aap
hum aur nagar k baasi hain humain dil k pass na rakahin aap
aan yaad ai sab kuch maianin hum koi baat nhin bhoolay
jo aap k sath beetaye thay wo din raat nhin bhoolay
thee kashtiy-e-jan rawan jis per wo ghum ka firat nhin bhoolay
her majboori ki zanjeerain?inhian kuch tu ghoor say daikahin aap
hum aur nagar k baasi hain haan hum say mohobbat theek nhin
kia aap nian ehad k aap humain ab khat bhi kabi nhin likahin gay
aur pyar ki batoon main mehkay hue sandaisey bhi nhin bhaijain gay
hum kahin deekhai bhi jo diyee tu mounh apna morr lain gay
kah hum nain aisa kehtyhue na chupaoo bheegi palkain aap
hum aur nagar k baasi hain humain dil k pass na rakahin aap
jo aap ko toot k chha kery,koi sathi aisa daikhain aap

Kehne ko Mohabaat hai Lakin...

Kehne ko Mohabaat hai lakin..
Ab aysi Mohabaat kia karni..
Jo Neend chura lay Ankhon se..
Jo khawab dekha kar PhooloN k..
Tabeer mein kaanty daay jaye..
Jo Ghum ki Kali raton se..
Har aas ka jugnoo lay jaye..
Jo khawab sajati Ankhon ko..
Ansoo hi Ansoo daay jaye..
Jo mushkil kar daay jeeny ko..
Jo marne ko asaan karay..
Wo Dil jo payar ka mandar ho..
Wo yadoon ko mehman karay..

Ab Aysi Mohabaat kia karni..

Jo umer ki naqdi lay jaye..
Aur phir bhi jholi khali ho..
Wo suraat Dil ka Rog bane..
Jo suraat dekhi bhali ho..
Jo Qais bana daay InsaaN ko..
Jo Ranjha aur Farhad karay..

Ab Aysi Mohabaat kia karni..

Jo khushion ko barbaad kary..
Dekho tou Mohabaat k Bary..
Har Shakhs yehi kuch kehta hai..
Socho tou Mohabaat k andar..
Ek dard Hamesha rehta hai..
Phir bhi jo chez Mohabaat hai..
Kab inn baton se Darti hai..
Kab inn k bandhe rukti hai..
Jis Dil mein iss ko basna ho..
Yeh chupkay se bas jati hai..
Ek bar Mohabaat ho jaye..
Phir chahy Jina mushkil ho..
Ya jholi khali reh jaye..
Ya ankhain ansoo ban jain..
Ya Ranjha aur Farhad kary..
Phir iss ki hukomat hoti hai..
Abaad kary,Barbaad kary..
Ek baar Mohabaat ho jaye..
Kab inn baton se darti hai..
Kab inn k bande rukti hai..
Jo chezz Mohabaat hai Atif..
Jab honi ho Ho jati hai..

"Atif Saeed"

Kaho phir kya kiya jaye ??

Kaho phir Kiya Kiya Jaye...??
Mujhay Tum AcHi LaGti ho...
main tum ko acha lagta hoon...
kaho phir kya kiya jaye...??
...
Tumhari muskurati, geet gati dilruba ankhein...
Bahut gehri badi Qatil nihayat khushnuma ankhien...
mere dil say meri bytabiyoon say
khailti ankhein...
woh pehlay piyar ki zalim kasak ko jhailti ankhien...
khamooshi ki zuban main mujh say kia kuch bolti ankhein...
wo dil k bhaid saaray un’kahi main
khoolti ankhein...
Bazahir doston main khilkhilati chor nazroon say mujhay awaaz dayti dhoondti ankhein...
woh meri rooh kay rukhsaar ko ik faslay
say choomti ankhein...
...
ye sub batien batati hain...

main tum ko acha lagta hoon...
woh mery zabt kho daine pay fehmaish bhari nazrien...
Adaa e beniyazi ka woh ik nakam sa manzir...
woh ik kamzor si be iltafati berukhi ki sirf ik mahoom si kawish...
mujhay han, bus mujhay yoonhi nazar andaz kernay ki wo ik dilchusp si koshish...
ser e mehfil tumhara RaaZ Khul janay kay dar say be irada Ghair ahum logo say Rasmi Guftagoo kerna...
Ye sub batien batati hain...
main tum ko acha lagta hoon...
...
Kaho phir kya Kiya Jaye...??
...
mere be sakhta Fiqray... Mere Lehjay Ki HeR Shookhi...
mera har waqt HeR iK Simat tum Ko dhondtay Rehna...
Nazer Pertay hi tum par zaur say dil ka dharak uthna...
bahut hi walihana pan say tum ko daikhtay rehna...
mera khawabon khiyalon main tumhara hath thamay...
door tak chaltay chalay jana...
Misalon main hawalon main...
tumhara ziker le aana...
kisi nokhaiz ladkay ki terha...
her aik kaghaz par tumhara naam likhna aur pher likh ker mita dayna...
ye sub batien batati hain...
mujhy tum achi lagti ho...
...
Kaho phir kya kiya jaye...??
...
MujHay tum achi lagti ho...
main tum ko acha lagta Hoon...
Kaho phir kya kiya jaye...??
...
Hamaray dermiyan Rasmoon, riwajoon ka...
Samaji mertabay ka...
umer ka aur khandanoo ka...
bahut ghera Khala hai...
Is ko kaisay pur kiya jaye...??
...
...
Kaho phir kya kiya jaye...??
Kaho phir kya kiya jaye...??

Lamha lamha tere waJood mei basar hota..!!!

lamha lamha tere waJood mei basar hota,
khoob hota Jo main teri rooh ka mehwar hota,
teri In Jheel si ankhon mei mera ghar hota,
teri ankhein Jo dekhti main wo manzar hota,
kbi patJhar,
kbi rimJhim,
kbi sawan,
kbi badal,
kbi panchi,
kbi amber hota,
teri Umeed ka hasil,
teri khawhish ka sila,
main tere Ishq tere sabar ka samar hota,
kya khoob hota Jo main teri rooh ka mehwar hota,

Kaash....

lamha lamha tere waJood mei basar hota..!!!

Mohabbat ki dosri adhoori nazam !!

Mohabbat Zaat Hoti Hai...
Mohabbat Zaat Ki Takmeel Hoti Hai...
Koi Jungle Main Jaa Thehrey...
Kisi Basti Main Bas Jaye...
Mohabbat Saath Hoti Hai...
...
Mohabbat Khushbooun Ki Ley...
Mohabbat Mosamon Ka Dhan...
Mohabbat Aabshaaron Ke Nikharte Paaniyon Ka Mann...
Mohabbat Jungalon Main Raqs Karti Morni Ka Tan...
Mohabbat Barf Parti Sardiyon Main Dhoop Banti Hai
Mohabbat Chilchilaatey Garm Sehraaon Main Thandi Chaaon Ki Manind...
Mohabbat Ajnabi Duniya Main Apne Gaon Ki Manind...
Mohabbat Dil...
Mohabbat Jaan...
Mohabbat Rooh Ka Darmaan...
Mohabbat Moorti Hai...
Aur...
...
Kabhi Jo Dil Ke Mandir Main...
Kahin Per Toot Jaye To...
Mohabbat Kaanch Ki Guriya...
Fizaaon Main Kisi Ke Haath Se...
Gar Choot Jaye To...
Mohabbat Aabla Hai Karb Ka...
Aur...
Phoot Jaye To Mohabbat Rogg Hoti Hai...
Mohabbat Sogg Hoti Hai...
Mohabbat Shaam Hoti Hai...
Mohabbat Raat Hoti Hai...
Mohabbat Jhilmilaati Aankh Mai Barsaat Hoti haii...
Mohabbat Nend Ki Rut Main...
Haseen Khuwabon Ke Raston Par...
Sulagtey Jaan Ko Aate, Ratt jagon Ki Ghaat Hoti Hai...
Mohabbat Jeet Hoti Hai...
Mohabbat Maat Hoti Hai...
Mohabbat Zaat Hoti Hai...
...
...
(Farhat Abbas Shah)

Bina Ik Lafz Bolay Wo Gaya Or Phir Nahi Aaya...

Bazahir aam lehjay main
Kaha tha main ne jab us se
"Badal lo raasta apna
Juda rahain yaheen karlo
Hamaray chahnay na chahnay se
Kuch nahi hota
Ye hi sach hai ke hum do mukhtalif
Raston ke raahi hai
To phir kion dil ki manain hum
Shuru main manti hoon main
Azziyat dil ko pohanchay gi
Magar phir waqt guzray ga
Sabhi zakhmon ko bhar de ga"
Meray is aam se lehjay pe wo
Ik pal ko chonka tha
Meri aankhon main aankhain daal kar
Hairat se poocha tha
"Ye sab jo keh rahi ho khud ko ye samjha bhi pao gi?"
Bohat hi jee karra kar ke
Main us dam muskuraii thi
Bohat khud pe jabar kar ke
Main us se keh ye payi thi
"Meri tum fikr rehnay do
Sambhal jaoon gi main khud hi
Sabhi zakhmon ko sii loon gi
Bhula kar sari batoon ko
Akaili bhi main jee loon gi"
Buhat hi be yaqeen aakhoon se
Us ne mujh ko dekha aur
Bina ik lafz bolay wo gaya or phir nahi aaya
Aur ab tark_e_taalluq ko
Agarche umar beeti hai
Magar is dil pe us ki zaat ka
Jo naqsh qaaim tha
Kabhi dhundla nahi hota
Mujhay mehsoos hota hai
Ke jaisay meray kanoon main
Wo apni bolti aankhoon se
Sargoshi si karta hai
"WO SAB JO KEH RAHI THEEN
KHUD KO WO SAMJHA BHI PAI HO?"

Zakham e maseehai...

kab se khamoosh sa gum sum sa youn he baitha hoon
saamney khat hay tera
or dil k aangan main
mousam e dard dabay paon chala aaya hay
or zakhmoun ki fasal ab k bohot achi hay
batoun batoun main lagay dil pe jo
us baat ka zakham
dil ki mundairoun pe jam jaye jo
us raat ka zakham
is siyahi main jo gum gaya
us saath ka zakham
jo yaqeen toot k tabdeel howa raizoun main
rooh main chubtay khataktay howe zarraat ka zakham
tum ne likha hay
tum baat k zakhmoun ko sehna seekho
tum bhi ouroun ki tarha duniya main rehna seekho
mashwara hay to bohot khoob

magar.......

aisi duniya se kaha meri shanasaai hay
ye tera khat hay, ya zakham e maseehai hay....!!!

Zabt ki koan si manzil the..?

zabt ki koan si manzil the..?
kis maqam pay a k haray hien
itna tu tumhay maloam he ha
teray nam pay a k haray hien
kbhe khud pay jabar kia hum nay
kabhe khud ko yoan by-mol kia
hum subhoan ko lutanay walay thay
ek sham pay a k haray hien
ek dard musalsal hota ha
ek barish andar hoti ha
k heroan jesay log yahan
ik ilzam pay a k haray hien
kub jeet ka dawa hu nay kia
kia ya azl e abad ka kisa ha
hum bay khbre k alam mien
anjam pay a k haray hien
tabier ki khwaish the magar
in tootay bikharay khawboan ka
ek akas peryshan karta ha
lab e bam pay a k haray hien
ya dil ki batien dil he janay
jub chahay jis pay a jay
thay khas ul khas bhe log yahan
hum amm pay a k haray hien...!!!!

Waheen khara hun !!

Kabhi jo mujh ko talash karna...!!
...
Tou chand raaton ki chandni main...
Gul e chaman say sawal karna...
...
Udaas kiun ho...??
Ki un aus qatron main apnay aansu chupa rahay ho...??
Haseen mausam main kis ki yaadon main...
Apnay apnay dil ko jala raye ho...??
...
Gul e chaman yeh sawal sun kar...
Tumhari aamad ka haal sun kar...
...
Kahay ga tum jis ko khojtay ho...
Woh in baharon ki saari khushbu...
Chura kay ab ek naye chaman main mahek raha hai...
Udaas kar kay yahan pay ham ko...
...
Kisi chaman main chahek raha hai...
...
Gul e chaman ka yeh haal sun kar...
...
Tumhen lagay ga main bewafa hun...
Udaas kalion ko chor kay main...
Nayee baharon ko dhundta hun...
...
...
Magar haqeeqat main us chaman kay...
Tamam phoolon ki khowaishon ka...
Aur un ki nakaam khaawishon ka...
Haseen mausam ki baarishon ka...
...
Na meray dil pay asar howa tha...
Na meray dil pay asar howa hai...
...
Main aaj bhi ek naye chaman main...
Puranay qissay suna raha hun...
Jo meri chahat ka dewta tha...
Main aaj bhi us ko poojta hun...
...
Yaqeen naheen tou palat kay daikh...
...
Waheen khara tha...!!
Waheen khara hun...!!

Meray Sahir Teri Aankhien.....

Meray Sahir Teri Aankhien
Yeh Kaisa dArd Rakhtii hAin
Inhien Likhney Kii Khwaahish Mein
Meri Qalam Thaka Kitna
Inhien Parhney Kii Chahat Mein
Meri Aankhien jalli Kitna

Main Likh Likh Kar Teri Aankhien
Suanta Tha jO dUnya Ko
Zamana Ruktii SaansOn Mein
Teri AankhOn Ko Sunta Tha
Zamaney dOob jAtey They
jO tUjh Ko Yaad Rakhtey They
Wo Khud Ko BhOol jAtey They

Kisi Shab Ki Sa'at Mein
Teri AankhOn Sey SOya Tha
tO Jitney Khwaab Bhi Dekhey
Main PehrOn In Pey ROya Tha
Teri AankhOn Sey Takra Kar
tO Sapney tOot jAtey hAin
Meray Sahir Teri Aankhien
Yeh Kaisa dArd Rakhti hAin ?

Yeh Sapney Aur Bhii Lien tO
Kisi TaBeer Kii SOorat
Inhien Soney Nahii Daita
Kisi SheeShey Sey Manzar Par
Teri Aankhien jO Uth jAien
Wo SheeSha Zard hO Jaaye
Misaal e dArd hO Jaaye

Teri AankhOn Kii MehrOomii
Kisi Chehrey Ki dOalat Sey
KyOn Janey Kum Nahii hOtii

Yeh SadiyOn Ka Saffar Aur hAi
Laraztii Narm PalkOn Mein
Zamana Saaz Sii Aankhien
Na Janey Kab Sey Pathar hAin
kyOn Janey Num Nahii hOtien

Yeh SOcha Tha Kabhi Main Ney
Yahii Kuch Main Ney SOcha Tha
K ChahOn tO FaQt Eik Lams Dey Kar Hii
Inhien Phir Sey Jagga DaalOn
Main Is GumSum Sey Pathar Ko
Mehaz ChOo Kar Rula DaalOn
Main In AakhOn Mein Likha dArd
mOhabbat Sey Mitta DaalOn

Magar Jab ROo-BarOo Paaya
Teri AankhOn Ko Meri jAan
Teri Aankhien Meri AankhOn Mein
Jaisey Jazb hOtii Thi
Main KhUd Ko bhOol Baitha Tha
mUjhey tUm Yaad Rehtey They

Teri AankhOn Key dUkh Darya
Meri AankhOn Sey Behtey They
Meri Aankhien Bhi Ab Bilkul
Teri AankhOn Sii Lagtii hAin
wOhii HaSrat wOhii WehShat
wOhi ChUp Chaap Pathar Sii
K Jiss Manzar Pey Uth Jaaien
Aseer e dArd Kar Jaaien

Main Kab Sey SOch Mein gUm hOn
mUjhey Kuch tOo Hii Samjha Dey
Meray Sahir Teri Aankhien
Yeh Kaisa dArd Rakhtii hAin ??

Zara Jhoota sa lagta hai !!

Mujhe fursat hi fursat hai...!!
...
Sawery jaldi uthna hia...!!
Na shab ko dair say sona...!!
...
Kahin bahir nahin jana...
Kisi say bhi nahin milna...!!

Na koi fikr baqi hai...!!
...
Na koi yaad baqi hai...!!
...
Magar...!!
...
yeh aakhri misrah.!!
...
Zara jhoota sa lagta hai ...!!!

sardiyoN k mausam maiN....

sardiyoN k mausam maiN..
yaad ki zameenoN pe.. itni dhool uRti hai..
aankh k kinaroN pe.. saaray khush-numa manzar..
dhundla say jatay haiN..
kuch nazar nahiN aata..
aas k dareechoN say.. na muraadiyoN ki bail..
is tarah lipaT'ti hai..
jaisay subh ka bhoola.. raat doobnay tak bhi..
apne ghar nahiN aata..
sardiyoN k mausam maiN..
door ki musaafat par janay wala koi bhi..
lauT kar nahiN aata..
khoob gunguna bhi lo..
khul k muskura bhi lo..
chain.. par nahiN aata..
sardiyoN k mausam maiN..
bay sabab hi aankhoN maiN..
kuch nami si rehti hai..
zindagi mukammal ho.. phir bhi zaat maiN jaisay..
kuch kami si rehti hai..
sardiyoN k mausam maiN..!!

koun?

Dast basta shehr main kholay meri zanjeer
koun?
Paa baa gul sab hain rehaayee ki karey tadbeer koun
Mera sar haazir
hay lekin mera munsif dekh lay
Kar raha hay meri fard0e0jurm ko tehreer
koun?
Meri chaadar toh chinni thee shaam ki tanhaayee main
Be-riddayii
ko meri phir dey gaya tash-heer koun
Neend jub kawbon sey pyari ho toh
aisey ehd main
Khawb dekhay koun aur khawbon ki dey taabeer koun
Rait
abhi pichlay gharondon sey na wapis ayee thee
Phir lab-e-saaahil gharonda kar
gaya taameer koun?
Dushmano kay sath merey dost bhi azaad hain
Dekhna
hay kheenchta hay mujh pay pehla teer
koun?

Koi kaisay bikhrta hay....

Agar ye
jan’na chaho,

Koi kaisay
Bikharta hai?
...
Bikhar kr kaisay
Jeeta hay?

Chaman main tum chalay jana,
Khizan k
Sard Mausam main,

Wahan Patton
ko dekho tum…

Ya phir 1
Aainaa lay lo,

Usay Pathar pe
Day maro,

Agar mushkil

ho ye Bhi to,

1 Phool lay lena,

Hawa k
Dosh pe rakhna,

To phir tum
jan jao gay,

Koi KAISAY
BIKHRTA hay.

Agar ye bhi na
ho tum se,

To mere pas
aa jana,

Mera Deedar
ker lena,

Khabar ye ho
hi jae gi,

KOI KAISAY
BIKHRTA HAY

Shaam dhaley...

Shaam dhaley namnaak sadak par
barf si rangat waali ladki
kisi ka rasta dekh rahi hai

khidki khol k mein kya dekhoon
keh degi wo nain churake
duniya kitna shak karti hai
kaan ka baala dhoond rahi hoon

Parveen Shakir

Mujhay TUM yaad aayi ho !!

Phir wohi dard sa Jaaga hai ragon main meri...
...
Phir wohi aaah si nikli hai meray seenay say...
...
Phir wohi khowab say tootay hain meri ankhon main...
...
Phir wohi dard ki talkhi hai meri baaton main...
...
Phir wohi ashk say thehray hain meri palkon pay...
...
Phir wohi raat si jeevan main utar ayi hai...
...
Phir wohi akhri manzar hai meri ankhon main...
...
...
Aaj phir shaam dhalay...
Mujhay TUM yaad ayi ho...!!

Dulhan ki tarha sanwara kab tha…?

Yun hosla dil ne hara kab tha
Sartaan mera sitara kab tha
Lazim tha guzrna zindagi se
Bin zeher piye guzara kab tha
Kuch pal use or dekh sakte
Ashkon KO magar gawara kab tha
Hum khud bhi judai ka sabab the
Us ka hi qasoor Sara kab tha
Ab or k saath hai to kaya dukh
Pehle bhi koi hamara kab tha
Ik naam pe zakhm khil uthe they
qatil ki taraf ishara kab tha
Aye ho to roshni Hui hai
Is bam pe koi Tara kab tha
Dekha huwa ghar tha per kisi ne
Dulhan ki tarha sanwara kab tha…

Mujhay TUMSE mohabbat hai !!

Chupana raaz is dil kay...
Agar tum chor do Jaana...
...
"Mujhay TUMSE mohabbat hai"
...
Agar tum bol do Jaana...
...
Tou jeevan kay safar main...
Raasta aasan ho jahay...
...
Hamaray paas bhi jeenay ka...
Kuch samaan ho jaahay...
...
Wagarna...!!
Ham tumharay dil kay darwazay kay bahir...
Aas main bethay rahein ge...
Kay...
...
Kabhi tou band darwazay ko kholo gi...
Meray shaanay pay sar rakh kar...
Kabhi dheeray say bolo gi...
...
...
"Mujhay TUMSE mohabbat hai"

Badua ka gumaan hota hai !!

Suno...!!
...
Mujhe tum dua detay ho na...
Kay...
Khuda tumhain hamesha khush rakhy...
...
Jahan bhi rakhy...
...
Jis k b sath rakhy
...
...
Par...
...
Najanay kiun...
...
Is akhri jumlay par...
...
mujhe bad-dua ka gumaan hota hai...!!

Bas tera aur mera ho !!

Sari zindgi mein
Ik pal to AISA ho,
.
“Jo Tera/Mera Ho”
.
Jis mein koi tesra na ho, Hum door tk 1 dosre se
Batain krte Chalty jayin,
.
Aur un baton ko sun ny wala,
Or koi na ho,
. Bas main Or tum Hon,
U hi bethe bethe ksi choti si baat pe,
Ham hans paren hanste hanste
Aankhon sy,
Aansoo Nikl paren,
. Un Aansoun ko saaf karny wala Or
koi Na Ho,
Bas main Or Tum Ho,
A kash Saari Zindagi Main,
Ek pal to Aisa Ho Jo sirf Mera\Tera Ho
Sirf Tera/Mera…

Tuesday, February 14, 2012

Abi Khuda Ki Zaat Baqi Hay...


Umeed Kisi Ki Yaad Dil Main Ha
Koi Ahesas Baqi Ha

Badlte Mosam K Darmian
Ak Raaz Baqi Ha

Abi Tu Main Safar Main Houn
Mile gi Manzil Muj Ko

Magar In Raston K Darmiyan
Aik Sath Baqi Ha

Kahi Par Shaam Dhalti Ha
Kahi Par Raat Hoti Ha

Abi Tu Chandni Ha
Chand Ki Raat Baqi Ha

Chale Aao Kisi Din
Tum Hamara Haal Bi Dekho

Humra Jisam Ha Murda
Magar Aik Sans Baqi Ha

Umeed Ha Phir Bi
Mile Ge Wo Aik Din

Khuda Par Ha Bharosa
Abi Khuda Ki Zaat Baqi Ha

Main Loat Chali...

mein behti rahi dehleez par
wo na aya mein lout chali
jane wale wapis palet kar na aye kabhi
yehi soch kar mein lout chali

osne apnai berukhi
humne na pochi wajah is ki
koi kahe wo bebas hai
koi kahe wo majbor hai
wo kahe ye nafrat hai
jala giya wo mera ashnaa
mein tinke utha kar lout chali

loog poche meri kahmoshi ka sabab
mein kaho yun hi!
ko kahe ye nadan hai
koi kahe ye pagli hai
wo kahe mere qabil nahi
wo chala giya mujhe chord kar
mein khali hath lout chali

phir bhi behti rahi ankhe bihcha kar
lein kar aik diya hath mein
koi kahe wo bewafa hai
koi kahe ye imtehaan hai
wo kahe koi aur hai
wo lein giya jaan nikal kar
mein jism ley kar lout chali

Tum Kiya Jaano ......???

Tum Kiya Jaano Main Khuda Se Kiya Maangta Hoon ?
Tumhari Salam-ti Ki Hamesha Duaa Mangta Hoon
~*~
Agar Anjaane Main Ho Jaaye Koi Tumse khata
Tou Do Mujhe Uski Saza Ye Maangta Hoon
~*~
Agar Lag Jaaye Koi Chot Tumko Ya Ho Jaaow Tum Pareshaan
Tou Meray Haq Main Wo Saari Takleefein Maangta hoon
~*~
AiY KHUDA Meray Mehboob Ko Gham Se Door Rakhna
Din Raat Tumhaaray Saaray Gham Maangta Hoon
~*~
Tum Ho Hamesha Kaamyaab Tumhaari Her Khwaahish Ho Poori
Buss Ye Chaahta Hoon Aur Tumhari Khushi Maangta Hoon
~*~
Main Jaanta Hoon Ke Tum Mayri Nahin Ho Lekin
Main Hamesha Khuda Se Tumhaara Saath Maangta Hoon

!!__!!*HaaThoN ki LAkIrAin*!!__!!

Kaatib-e-taqdeer ne
bakht ki siyaahi se
zindagi ki loh per
haar ka ya jeet ka
jo bhi faisla likha
wo hi ik haqeeqat hai
ghar ki balkoni main
beth ker ghanton tak
sochtay rehnay se
haathon ki lakeeron ko
khojtay rehnay se
wo to mit nahi sakta
maan le taqdeer ko
zid kerni chorr de
haathon ki lakeeron se
bandhay rishtay torr de
kyun k ye lakeerain to
bad gumaan kerti hain
bay eeman kerti hain
haathon ki lakeeron main
kuch bhi to nahi rakha
ye lakeerain to faqt
aarray tirchay naqshay hain
aarray tircchay naqshon main
dar ba dar bhataknay se
dilnasheen khwaabon ki
tabeerain nahi milteen
saaye haath lagte hai
aur kuch nahi milta
kyun k ye lakeerain hain
lakeerain jhoot kehti hain
lakeerain mit bhi sakti hain..!

*__~Woh PehLe Kabhi Tu AiSa NaHiin Tha.~__*

Kisi se be sabab uljhaa nahi thaaa !
woh pehle to kabhi aysaa nahi thaaa !
woh phir bhi yad rehnaa chataa thaa !
agarchaa mein ussey bhoool nahi thaaa !
bahot alaaa thaa usskaa zarf lakin !
woh meri zaat ko samjhaa nahi thaaaa !
woh jyse berukhi se chal para thaa !
mein itnaa bhi gayaaa guzraa nahi thaaa !
ussey mein kion buraaa teheraaon yaaro !
woh achaa thaa Fakat meraa nahi thaaaaaaaaaaa

Bohat masroof rehtay ho....


bohat masroof rehtay ho
sehar se shaam honay tak
koi lamha nahi milta
koi gumnaam si fursat
koi be naam si saa'at
yun hi baithay huway tanha
kaheen jo shaam ho jaaye
to meri iltaja hai ye
koi lamha chura lena
jo mere naam ho jaaye
k ham jesay aseeron ka
koi to kaam ho jaaye

vo nau-khez nuura, vo ek bint-e-maryam...

vo nau-khez nuura, vo ek bint-e-maryam
vo makhmuur aaNkheN vo gesuu-e-purkham

vo ek nars thii chaaragar jisko kahiye
madaava-e-dard-e-jigar jisko kahiye

javaanii se tiflii gale mil rahii thii
havaa chal rahii thii kalii khil rahii thii

vo pur-raur tevar, vo shadaab chehra
mataa-e-javaani pe fitrat ka pehraa

safed shaffaaf kapDe pahan kar
mere paas aatii thii ek huur ban kar

davaa apne haathoN se mujhko pilaati
'ab achchhe ho', har roz muzhda sunaati

nahiiN jaanti hai meraa naam tak vo
magar bhej deti hai paigaam tak vo

ye paigaam aate hii rahte haiN aksar
ki kis roz aaoge biimar hokar

rifat sarosh's nazam .......

ek chhappar kaa ghar, neem ke saaye
uuNghtaa hai dhundhalke meN lipTaa huaa

shaam kaa waqt hai aur chuulha hai sard
sahan meN ek bachcha barahna badan

baasii roTii ka TukDaa liye haath meN
sar khujaataa hai, jaane hai kis soch meN

aur asaare meN aaTe kii chakkii ke paas
ek aurat pareshaan khaatir, udaas

apne rukh par liye zindagii kii thakan
sochtii hai ki din bhar kii mehnat ke baad

aaj bhii ruukhii roTii milegii hameN
tum hiqaarat se kyuuN dekhte ho use

Dost! ye mere bachpan kii tasviir hai

Yaad Phir Wooh Mujh Ko Annay Lagey...

Yaad phir mujh ko woh aanay laga
Jis ki harr baat mehaz khushboo thee
Aap say tum, tum say phir jaan kehna
Baat hie baat main dil ki aarzoo kehna
Meray ehsas pay cha gaya hay youn
Mujh ko deewana bana gaya hay youn
Harr taraf uska aks hay ab to
Jaisay mujh main sama gaya hay woh
Uski sargoshiyan hain chaaron taraf
Kuch asay dil main sama gaya hay woh.....

KuCh LaFz SiRf TuMhArAy LiYe...

Kia pata kab zindagi se haath dho bethon gi main
Maut ki agoosh may chop chap soo jaoon gi main
Aaj main betaab hoon, be-chain hoon, be-khawab hoon
Kal tumhay tanhai ka dukh day kar kho jaon gi main
Jab tak zinda hoon,iss jahan main muskaraoo gi
Phir tu inn ranginiyoon se durr ho jaon gi main
Tum bhoulna bhi ager chahoo tu ya moumkin na hoo ga
Apni yaadein tumhari palkoon may peroo jaoon gi main
Kia bharosa zindagi ka, eik nazar tu dekh loon
Chand lamhoon baad tu bas khak ho jaon gi main…

Bin kahay reh na sakoon...

Lafzon mein keh na sakoon
>Bin kahay reh na sakoon
>Nasha hee nasha raat din hai
>Na poocho yeh kaisa pyar hai
>Lafzon mein keh na sakoon
>Bin kahay reh na sakoon
>
>Halkee see barsaat mein
>Pehlee mulaqat mein
>Pehlee hee baar mein
>Dil ko meray lay gayee
>Chahat ke iqrar mein
>Anjana gham de gayee
>Ayee jab samnay
>Janay kyoon wo dar gayee
>Pagal mujh ko kar gayee
>Jaan le janay jaan
>Na janay kya baat hai
>Yaqeen ke din mein raat hai
>Nayee hai subha to nayee shaam
>Ajab haal mera yaar hai
>Lafzon mein keh na sakoon
>Bin kahay reh na sakoon
>
>Mera dil meree jaan
>Mein yahan tu hai kahan
>Mein dekhoon mur ke jidhar
>Aye tu nazar
>Kehtee hain chahtain
>Deewana mein ho gaya
>Teree chahat mein sanam
>Najanay kab kho gaya
>Yeh kaisa hai asar
>Mujh na itnee khabar
>Kab jaga kab so gaya
>Jaan le jaanay jaan
>Lafzon mein keh na sakoon
>Bin kahay reh na sakoon
>Nasha hee nasha raat din hai
>Na poocho yeh kaisa pyar hai
>Lafzon mein keh na sakoon
>Bin kahay reh na sakoon

Ye zindagi bhi kamaal hai...

Ye zindagi bhi kamaal hai
Na jaane kitne rang hain iske
Jab tak ek samajhta hoon
Tab tak ye doosre pehlu par aa jaati hai

Zindagi hai ya bewafa sanam
Pata nahi kitne aur dokhe degi
Aakhir zindagi hai isko hara bhi to nahi sakta
Par jab sanam kaha hai to bhula bhi nahi sakta

Kaisa pagal aashiq tha mein
Zindagi bana diya tha tujhe
Par karta bhi to kya karta
Zindagi ke chehre dekhe hi nahi the maine

Kabhi jo hum nahi hongey (.)

Kabhi jo hum nahi hongey
Kaho kis ko batao gey ?

Wo apni uljhanain sari
Wo bechaini me doobey pal

Wo aankhoon me chupey aansoo
Kisse phir tum dikhao gey ?

Kabhi jo hum nahi hongey
Buhat bechain hogey tum

Buhat tanha hogey tum

Abhi bhi tum nahi samjhe
Hamari ankahi batain

Mager jab yaad aain gi
Buhat tum ko rulain gi

Buhat chaho gey phir humko
Hummey na dhoond pao gey

Kabhi jo hum nahi hongey

Monday, February 13, 2012

Lau Charagon Ki,,,


Lau Charagon Ki Kal Shab Ezaafi Rahi
Roshni Tere Chehre Ki Kaafi Rahi,

Apne Anjaam Tak Aagai ZIndgi
Yeh Kahaani Magar Ekhtalafi Rahi,

Hai Zamaana Khafa Hai To Baja K Main
Us Ki Marzi Kay Bilkul Manaafi Rahi,

Ayse Mohtaat, Ayse Kam Aamez Se
EK Nazar Bhi Tawaja Ki Kaafi Rahi,

Subah Kiya Faisla Hakim-e-Nau Kare
Jashan Ki Raat Tak To Muafi Rahi.

Magar tumhain kya ??

Main aadhay tirchhay khayal sochon...
Kay be irada kitaab likhon...
Koi shanasa ghazal trashon...
Kay ajnabi intesab likhon...
Ganwa don ek umar kay zamanay...
Kay ek ek pal ka hisaab likhon...
Meri tabiyat par munhasir hai...!!
Kay jis tarhe ka bhi nisaab likhon...
Yeh meray apnay mizaj par hai...
AZAAB sochon, sawaab likhon...

Taveel tar hai safar, tumhay kya...??
Main ji raha hon magar, tumhay kya...??
Tumhay kya kay tum tou kab say...
Meray iraaday ganwa chukay ho...
Jala kay saaray huroof apnay...
Meri duaen bujha chukay ho...
Main raat odhoon kay subeh pehnon...
Tum apni rasmein utha chukay ho...
Suna hai sab kuch bhula chukay ho...
...
Tou ab meray dil pay yeh jabr kaisa...??
Yeh dil tou hadd say guzar chuka hai...
Guzar chuka hai magar tumhay kya...??
Khizaa'n ka mausam thehr chuka hai...
Thehr chuka hai magar tumhay kya...??
Tumhay kya kay is khizaa'n main...
Main Jis tarhe kay bhi khowab likion...!!

Mujh ko baatein kab aati hain !!

Mujh ko baatein kab aati hai...??
Main tou bas khamosh sa shahir...
Ulfat chahat kay rango say...
Dil ki khali tasveeron main...
Koi mohabbat bhar daita hon...
Aur kabhi apnay ashkon say...
Banjar is mann ki dharti par...
Koi mohabbat bou daita hon...
Aur kabhi deewar say lag kar...
Koi mohabbat ro daita hon...
Aur kabhi ankhon ankhon...
Saari baatein keh jata hon...
Main apnay is pagalpan main...
Kitna tanha reh jata hon...
Main tou ek khamosh sa shayar...
Mujh ko baatein kab aati hai...??
Mujh ko baatein gar aati tou...

Kya tum mujh ko chor kay jatein...??
Meray sapnay taur kay jati...??
Kya meri ankhon main...
Gham kay itnay ansu day sakti thein...??
Mera kul sarmaya tha jo...
Kya woh mujh say lay sakti thein...??
Gar mujh ko baatein aati tou...
Main lafzon kay jaadu say...
Main bhi tum ko khowab dikhata...
Tum say dheron pyar jatata...
Tum ko apna meet bnata...
Main bhi tum say woh sab kehta...
Jo tum sun'nay ki khowaish main...
Mujh ko aisay chor ayi thein...
Saaray rishtay taur ayi thein...
Main thehra khamosh sa shayar...
Mujh ko baatein kab aati hain...
Mujh ko baatein gar aati tou...
Tum bhi mujh ko meet bnati...
Meray saaray khowab sajati...
Yon na tanha chor kay jaati...
Main thehra khamosh sa shayar...

Kash mujhay bhi baatein aatein...!!

Ajab si yeh mohabbat hai !!

Ajab sa rabt hai ham main...!!
Na ek doojay ko daikha hai...!!
Na ek doojay ki awaazon main...!!
Ek doojay ko dhoondha hai...!!
Tumhay jo kuch kaha main nay...!!
Ussay tum sach samajhti ho...!!
Mujhay jo kuch kaha tum nay...!!
Ussay main sach samajhta hon...!!
Issi aik 'CHAT WINDOW' main...!!
Ham ek doojay kay jeewan kay...!!
Har ek mausam main rehtay hain...!!
Ajab sa rabt hai ham main...!!

Ajab si yeh mohabbat hai...!!

Jissay tasveer aur awaaz say...!!
Kuch bhi nahi laina...!!
Jissay khowaish nahi koi...!!
Kisi ko roobru daikhein...!!
Kisi awaaz ko poojein...!!
Mohabbat ki shabahat ko...!!
Kisi anmol saahat ko...!!
Kisi kay aks main dhoondein...!!

Ajab si yeh mohabbat hai...!!

K...!!
Jis main lafz kehtay hain...!!
Aur...!!
Ankhein kuch nahi kehti...!!
Yeh lafzo se behlti hai...!!
Yeh un main saans laiti hai...!!
Yeh in beJaan tasveeron main...!!
Kitnay rang bharti hai...!!
Ajab sa rabt hai ham main...!!

Ajab si yeh mohabbat hai...!!

Jissay awaaz aur tasveer say...!!
Kuch bhi nahi laina...!!
K...!!
Jo lafzon ki khusbu say...!!
Dilon main gungunati hai...!!
K...!!
Jo palko pay chahat kay...!!
Hazaaro khowab likhti hai...!!
Tumharay aur meray darmiyan...!!
Jo saans laiti hai...!!

Ajab si woh mohabbat hai...!!
Ajab si woh mohabbat hai...!!
(Atif Saeed)

Friday, February 3, 2012

Tumhari Yaad Se har Pal Saja huwa Campus

Tumhari Yaad Se har Pal Saja huwa Campus
Mayn Kiya Karon K Bhoola Hi Nahi Saka Campus

Udaas Nehar Mein TUM Paon Dalay Rakhti Thiin
Tumharay Baad Udaasi mein Dhal Geya Campus

Na Jaanay Kaun Yahan Usska Kho Geya Hoga
Kissi Ki Akhiri Saanson mein thi Dua , Campus

jo Mayn Ne Hailay ki Sarkon pe TUM ko Yaad Kiya
Tumhayn Khabar Hay Meray Sath ro Para Campus

Kissi Ne Tujh mein Guzaray hayn Etnay Saal Yahan
So Mayn Rahon Na Rahon Tu Sada Campus

Har Ek Department se Uss K Qehqahay Goonjay
Mayn Iss K Baad Wassi Jab Kabhie Geyya Campus

Wasi Shah