Tuesday, February 14, 2012

rifat sarosh's nazam .......

ek chhappar kaa ghar, neem ke saaye
uuNghtaa hai dhundhalke meN lipTaa huaa

shaam kaa waqt hai aur chuulha hai sard
sahan meN ek bachcha barahna badan

baasii roTii ka TukDaa liye haath meN
sar khujaataa hai, jaane hai kis soch meN

aur asaare meN aaTe kii chakkii ke paas
ek aurat pareshaan khaatir, udaas

apne rukh par liye zindagii kii thakan
sochtii hai ki din bhar kii mehnat ke baad

aaj bhii ruukhii roTii milegii hameN
tum hiqaarat se kyuuN dekhte ho use

Dost! ye mere bachpan kii tasviir hai