Tuesday, February 28, 2012

Dulhan ki tarha sanwara kab tha…?

Yun hosla dil ne hara kab tha
Sartaan mera sitara kab tha
Lazim tha guzrna zindagi se
Bin zeher piye guzara kab tha
Kuch pal use or dekh sakte
Ashkon KO magar gawara kab tha
Hum khud bhi judai ka sabab the
Us ka hi qasoor Sara kab tha
Ab or k saath hai to kaya dukh
Pehle bhi koi hamara kab tha
Ik naam pe zakhm khil uthe they
qatil ki taraf ishara kab tha
Aye ho to roshni Hui hai
Is bam pe koi Tara kab tha
Dekha huwa ghar tha per kisi ne
Dulhan ki tarha sanwara kab tha…